Saturday, 15 February 2020

📍۞ Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Tarika:


"Mai (Rasool) Ne Jab Kabhi Unhe Teri Bakshish Ke Liye Bulaaya, Unhone Apni Ungliya Apne Kaano Me Daal Li Aur Apne Kapdo Ko Odh Liya Aur Ad Gaye Aur Bada Takabbur Kiya."
📗{Quran, Surah Nooh, Ayat-7}

👉🏻Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:

“Unhone apne kaan band kar liye taaki wo sun na sake jiski taraf mai (Rasool) unhe bula raha tha. Sa`id bin Jubayr aur As-Suddi dono ne kaha ki wo apne sar dhaanp liya karte the taaki wo unki (Rasool ki) baat sun na sake. Aur bada takabbur kiya ka matlab ye hai ki unhone haq se muh fer liya aur (khud ko) haq ke supurd na kiya.”
📗{Tafseer ibn Kaseer,  Surah Nooh, Ayat-7}

📍۞ Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Anjaam:

Aur wo kahenge, "Agar hum (unki baate) sun lete ya Aqal istemal kar lete, toh dozakiyo me (shareek) na hote."
📗{Surah al-Mulk (67), ayat-10}

Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:

“(Is ayat ka) Matlab, Agar ham apni aqal ka fayda uthate ya haq ko sunte jo Allah ne utaari hai toh fir ham Allah par kufr na karte aur uske bareme gumraah na hote. Balki hamare paas itni samajhdaari nahi thi ye samajhne ke liye jo Rasool laaye the, aur hamare pas aqal nahi thi taaki unki (Rasool ki) pairwi kar ke ham khud ko raahe raast par laa sakte.”
📗{Tafseer ibn kaseer, Surah al-Mulk (67), ayat-10}

•٠•●●•٠• •٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame haq ki mukhalifat karne se bachaye aur haq ko sunne aur aqal se fayda uthane ki taufeek ata kare.
Aameen.

•٠•●●•٠•    •٠•●●•٠•   •٠•●●•٠•

🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit karen.

https://adilsaba.blogspot.com/

Wednesday, 12 February 2020

📍Kya Andhere Me Namaz Padhna Jayz Hai❓

Alhamdulillah..

Andhere me namaz padhne me koi harj nahi hai.

۩ Abu Salama r.a. riwayat karte hai ki Ayesha r.a. ne batlaya ke mai RasoolAllah ﷺ ke aage so jati thi aur mere paon Aap ﷺ ke qibla ke ulat (opposite) hote the. Jab Aap ﷺ sajda karte, to mere paon ko aahista se daba dete. Mai apne paon samet leti aur Aap jab khade ho jate toh mai inhe fir faila deti. Un dino gharo mein charag bhi nahi hua karte the.

📗{Sahih al Bukhari, kitab al salaat ﴾8﴿, hadith - 382}

۩ Shaykh Abd al-Kareem al-Khudayr r.h. iske mutallik farmate hai:

“Agar namaz puri sharayat aur arqan aur wajibat ke sath ada ki jaye to woh namaz sahih hai, aur roshni na toh namaz ki shart mein se hai aur nah hi is ke arqan aur na wajibat mein shaamil hai.

Illa yeh ke agar andhera namazi ke liye khauf ka bais ho aur is ki bina par is ka khushu o khuzu hi jata rahe to fir andhere mein namaz padhna makruh hai.”

•٠•●●•٠•    •٠•●●•٠•   •٠•●●•٠•

🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit karen.

https://adilsaba.blogspot.com/

Tuesday, 11 February 2020

📍Maut ke Baad Aankhe Khuli Rahne ki Wajah:


۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Kya tum insaan ko dekhte nahi ke jab wo faut ho jata hai toh us ki aankhe khuli rah jati hai❓

Unhone (Abu Hurairah ne) kaha, 'Ji.'

Aap ﷺ ne farmaya, 'Ye is wajah se hota hai ki jab (uski rooh uske jism ko chorti hai toh) us ki nazar us ki rooh ka peecha karti hai.'

📕{Sahih Muslim, kitab al janaiz (11), hadees- 2132}

•٠•●●•٠•    •٠•●●•٠•   •٠•●●•٠•
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit karen.

https://adilsaba.blogspot.com/

Sunday, 9 February 2020

📍Haqeeqat Parast vs Shakshiyat Parast:


Insan do qism ke hote hai,

۩1. Shakshiyat Parast
۩2. Haqeeqat Parast

Shakshiyat Parast wo hai jo baato ko shakshiyat ke aetbaar se dekhte hai. Jis baat se uske mahboob shakshiyat ki ta'eed nikle, us ko wo thik samajhte hai, aur jis baat se uske mahboob shakshiyat ka radd ho raha ho toh wo uske inkari ban jaate hai.

Haqeeqat parast wo hai jo baato ko hakeekat ke aetebaar se dekhte hai. Jo baat dalail se sabit ho us ko maan lete hai, aur jo bat dalail se durust sabit na ho us ko radd kar dete hai,

Yahi dusri qism ke log hai jo khuda ko paate hai. Jo aakhri aa'laa hakeekat hai. Pahli qism ke log saari zindagi, saari umar shakshiyat ke qawl (farmaan) me band rahte hai, aur isi me mar jaate hai. Jab bhi unko sach baat batayi jaati hai wo jawab dete hai ki hamare buzurg, ulema, muhaddis kaise galat ho sakte hai? Yaani wo is haqiqat se anjaan hai ki insaan hone ke naate in sab se galti ho sakti hai.

Wo is lazzat e ma'arifat se mahroom rahte hai jo haqeeqi Rab ko paa kar kisi banda e parwar ko hasil hoti hai.

•٠•●●•٠•    •٠•●●•٠•   •٠•●●•٠•
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Saturday, 8 February 2020

📍Wirasat Me Beti ka Hissa:


Alhamdulillah..

Beti chahe wo maa ya apne waalid ki waris ho, uske hisse ki kayi ek halatein hain jinhe niche bayan kiya gaya hai,

💰1. Jab ladki akeli ho, yaani iski koi bahen ya bhai [yaani marne wali ki aage ki peedi (generation)] na ho to ladki ko wirasat ka aadha milega, Allah taala ka farmaan hai,

'Aur agar ladki akeli ho toh uske liye aadha hai.'
📗{Surah Nisa (4), ayat- 11}

💰2. Jab ek se zyada ladkiya ho toh (yani do ya do se zyada) aur faut-shuda shakhs ka koi beta na ho toh betiyo ko Do-Tihayi (2/3) mileyga, Allah taala ka farmaan hai,

'Agar aurte do se zyada hai toh unke liye do-tihayi hai us maal se jo mayyat chhor gaya hai.'
📗{Surah Nisa (4), ayat- 11}

💰3. Aur jab ladki ke sath faut-shuda shakhs ka beta bhi waris ho (ek ya ek se zyada) toh har waris ka muqarrar hissa ada kar ke (note-1) baaki maal in dono (ladke-ladki ) ko milega, aur ladki ka hissa iske bhai se aadha hoga (mard ko do aurto ke barabar ke hisaab se) chahe do ya do se zyada bahen-bhai ho toh ladke ko do ladkiyo ke barabar hissa milega, Allah taala ka farmaan hai,

'Allah taala tumhe tumhari aulaad ke mutalliq wasiyat karta hai, ladke ke liye do (2) ladkiyo ke barabar hai.'
📗{Surah Nisa (4), ayat- 11}

Aur ye hisse Allah Ta'ala ki janib se taqseem kardah hai lihaza kisi shakhs ke liye bhi is me kuch tabdeeli karni jayaz nahi, aur na hi kisi ke liye jaiz hai ke woh kisi waris ko wirasat se mahroom kare aur na kisi ke liye yeh jaiz hai je woh kisi aise shakhs ko wirasat me dakhil kare jo uske waris nahi, aur na koi kisi waris ke muqarrar karda hissa se kami kar sakta hai aur na hi is ke sharai hisse me zyadati kar sakta hai.

Allah Ta'ala hamare nabi Muhammad ﷺ par apni rahmate nazil farmaye.

Wa Allahu aalam.
•٠•●●•٠•

Note📍: Yaani jo maal batwaare se pahle dena hai, misaal ke taur par agar mayyat kisi ka karz baaki ho toh sabse pahle wo karz ada kiya jayega aur fir batwaara kiya jayega ladka-ladki me.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/