Sunday, 29 April 2018

📍"SHAB-E-BARAAT" manana Sunnat ya Biddat❓



🅾  Aap logo ki pesh-karta ZAEEF-HADEES ke mutabik Rasoolullah "Shab-e-Baraat" apni puri zindagi me sirf ek manaaye ya har saal❓

📚Jis ZAEEF HADEES me aata hai ke "15 Shabaan ki Raat" (Shab-e-Baraat) ko Rasoolullah ne Jannatul-Baqi Qabarstan jakar murdo keliye dua ki hai lekin sabse Ajeeb baat to ye hai ke ye Ayesha (R) se Riwayat wali Hadees se pata chalta hai ke apni puri zindagi me Raoolullah ne sirf 1 hi bhar Jannatul-Baqi Qabarstan jakar murdo ke liye dua ki. Sawal ye paida hota hai ke har saal "15wi Shaaban ki Raat" ko Rasoolullah Jannatul-Baqi Qabarstan kyun nahi jaaye karte the❓

halanke "15 Shaban" har saal aata hai. Jaisa ke  ham sab jaante hai ke Rasoolullah Ramadhan me "Layl-tul Qadr" ko paane ke liye apne Biwiyo ko Ramadhan ki pure aakhri 10 Raatein jagaate aur ibadaatein karne ka hukm dete lekin "15 Shaaban" ki raat ko har saal Rasoolullah ne aisa nahi kiya warna Ayesha (R) isi Hadees me ya kisi aur dusri Hadees me kaheti ke Rasoolullah HAR SAAL "15wi Shabaan ki Raat" ko Qabarstan jaaye karte the aur hamko ibaadat ke liye uthaate the.

❌Samajdaar ko ishara kaafi hai.❌

📚Dursi Ajeeb baat to ye hai ke SHAB-e-MERAJ ko BIDDAT kahne wale log SHAB-e-BARAAT aate hi BIDDAT kya hoti hai hai bhul jaate hai. SHAB-e-MERAJ nahi manane walo ka kahena hai ke "SHAB-e-MERAAJ" manana Sahih Hadees se saabit nahi hai, ham bhi to yehi kahe ke jis tarah "SHAB-e-MERAAJ" manana Sahih Hadees se saabit nahi hai usi taraf "SHAB-e-BARAAT" manana bhi to Sahih Hadees se sabit nahi hai, ye baat aap kyun nahi samaj paa rahe ho.

📚Waqai me ham agar Sahih Hadees ki roshni me amal karna chah rahe hai to fir SHAB-e-BARAAT manana ek Biddat hai kyunke ye Sunnat-e-Rasool nahi hai.

Lekin lekin lekin,

Logo ke amal se aisa lagta hai ke ye log Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki Sahih Hadees ki roshni me amal nahi karna chah rahe hai balke ye log apne apne Jamaat ke Ameero  aur Buzrogo ki pairawi karna chah rahe hai. Isiliye Sahih Hadees ko Nazar Andaaz karte huye apne apne Ulma ki pairwi karte huye BARELWI ke paas SHAB-e-MERAAJ manana jayez hai aur DEOBANDIYO ke paas SHAB-e-BARAAT" manana jayez hai halanke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki Sahih Hadees ki Roshni me Na "Shab-e-Meraj" manana jayez hai aur Nahi "Shab-e-Baraat" manana jayez hai.❌❌


🅾"SHAB-e-BARAT" ki SHARAI HAQIQAT:

1⃣ Sabse pahle "Shab-e-Baraat" ek Parsi alfaaz hai. Isliye ye SHARAI naam nahi hai. Hanafi Fiqh ke zariye "Parsi Culture" ne Musalmano ke andar naye naye Falsafe aur Biddatein dakhil huye hai jaisa ke ham Islami Shariyat ke alfaaz ko chhodkar Khuda, Paigambar, Namaz, Roza, Darood, Shab ye saare Parsi alfaaz istemaal karte hai jo hamko haqiqi Shariyat se dur kar rahe hai.

2⃣ Arabic mai is Raat ko "Layl-tul-Nusf min Sha’baan" kaha jata hai yaani "Aadhe (Mid) SHABAAN KI RAAT".

Islami Shariyat me "Layl-tul Qadr" ke alaawaa "Layl-tul-Nusf min Sha’baan" wali koi Raat nahi hai jise manaya jaaye.

3⃣Is Raat ki Fazilaat to ek Sahih Hadees aati hai lekin is Raat me Raat bhar sawab ki niyyat se ibaadatein karna jis andaz se aaj log kar rahe hai kisi Sahih Hadees se sabit nahi hai.

📚Aaye dekhte hai wo fazilat wali Hadees:

Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne farmaya:

"15 Shaban ke Raat Allah apne MAKHLUQ ko RAHMAT ki nazar se dekhta hai aur saare Insaano ki magfirat kar deta hai siway Mushrik (Mushrik me Kafir bhi Shamil hote hai) aur Dilo me keena-kapat rakhne walon ke".

📘(Ibn Ma’aja Silsila Saheeh 1652)

Yhe Rewayet Daief hai

⤴Lekin Is Hadees me Is Raat Ke Liye Makhsoos Ibadat Karne Ki Na Koi Daleel Hai Aur na hi Kisi Ibadat Ka Hukum Diya Gaya Hai. Sirf Fazilat batayi gayi.

Yaani: Allah is raat 2 tarah ke Insaano ko nahi baqshata

1. Allah ke sath na-insaafi karne walo ko

2. Insano ke sath na-insaafi karne walo

(Shirk Wa Kufr Allah ke sath na-insaafi hai)

4⃣Aap kahenge ke jab Allah is Raat me Apne Makhluq ko Rahmat ki nazar se dekhta hai to kyun na ham Allah ke nazar me is Raat Ibadaat karte huye nazar aaye❓

Ham kahenge aap aisa bhi nahi kar sakte kyunke ye Fazilat wali Raat sirf aaj hi apki zindagi me pahli baar nahi aarahi hai,

balke....

ye Raat Muhammadur Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) aur Sahaba ki zindagiyo me bhi har saal aaya karti thi lekin lekin unone apke jaisa apne logic ke hisaab se apna man-maana amal nahi kiya karte the balke Islam ko apse zyada samaja karte the aur wo to Allah ki Wahee ki mutabik amal kiya karte the aur waise bhi dusri koi Sahih Hadees se ye baat saabit nahi hai ke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ya Sahaba is Raat  me koi Khaas Ibaadatein kiya karte the.


🅾Ek Zaeef Hadees ka Sahara:

📚Is Raat me Ibadaatein karne aur Qabrstan jaakar dua karne ke liye ye Zaeef Hadees pesh ki jaati hai.

"Ayesha Razi Allahu Anha kehati hai ke ek Raat Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) Ayesha ke waha the, Rasolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) achanak waha se nikle, Ayesha unke ke piche nikli to kya dekhti hai ke Aap Baqee Qabristaan me tashreef le gaye, Rasolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne unhe (Ayesha ko) dekha to farmaya "kya tumhe is baat ka andaza tha ke Allah aur Uske Rasool tum par zulm karenge" (Yaani aaj raat apke paas meri baari hote huye apko chhod kar mai dusre Biwi ke paas jaauga),  Ayesha ne kaha ke "Aye Allah ke Rasool ! Mujhe ye shak hua tha ke shayad aap kisi aur beewi k yaha chale gaye",  tab aap ne farmaya: "Beshak Allah tabarak o ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko aasmaani dunya par nuzool hota hai phir is se zayada wo utne loogo ki magfirat karta hai jitne banu Kalb ki bakriyo ke baal hai".

📘(Sunan Tirmizi Hadees 739)
📘(Sunan Ibne Maaja Hadees 1389)


❌❌Is hadees ko Imam Tirmiz, Imam Bukhari, Imam Daarul Qutni, Allama Ibn Jauzi, Allama ibn Baaz aur Muhaddis Sheikh Nasiruddin Albaani Rahimahullah wagaira ne ZAEEF qaraar diya hai.❌❌

is HAdees se Malum hota hai ke :

1. Jab Hadees sahih nahi hai to phir is se Shab-e-Baraat mai qabro ki khasoosi ziyart ki mashruiyat ka saboot kaise hasil hoga❓

2. Agar is Raat  me ibaadatein karna sawab ka kaam hota to Aisha (R) ko bataye bina Rasoolullah chupke se ekele Qabarstan na jaate.

3. Ham sab jante hai ke Rasoolullah Ramadhan me "Layl-tul Qadr" ko paane ke liye apne Biwiyo ko pure 10 raatein jagaate aur ibadaatein karne ka hukm dete lekin "15 Shaaban" ki raat ko apne aisa nahi kiya. Samajdaar ko ishara kaafi hai.

4. Haan agar aap ko har Raat Tawajjud adaa karne ki aadat ho to aap apke ma-a-mul (daily routine) ke mutabik is raat bhi aap Tahajjud adaa kariye isme harj nahi lekin khaas isi Raat Zyada Sawab ki niyyat se koi khaas amal karna ye BIDDAT kahelaayega.

5. Fir bhi koi Shakhs is Raat jaagkar zyada amal karne ki koshish karta hai to samaj lijiye ke aisa shakhs RASOOLULLAH (SallallahuA'laihiWaSallam) ko OVERTAKE karte huye boundary cross karna chah raha hai aur apni aakhirat barbaad kar lena chah raha hai.


🅾Rasoolullah ko OVERTAKE karnewalo ka ANJAAM:

1.🔴🔴
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَا تُقَدِّمُوا۟ بَيْنَ يَدَىِ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ۖ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٌۭ

"Aye Imaan waale logo! Allah aur uske Rasool ke aage na bado aur Allah se darte raha karo, yaqinan Allah ta'ala sunne waala jaanne waala hai".

📘(Surah 49 Hujuraat : Ayat 01)

2. 🔴🔴
: قُلْ أَطِيعُوا۟ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ ۖ فَإِن تَوَلَّوْا۟ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلْكَٰفِرِينَ

"(Aye Rasool) kahe dijiye! ke Allah ta'ala aur Rasool ki ita'at (farmadari) karo agar ye muh pher le to beshak Allah ta'ala kaafiro se muhabbat nahi karta".

📘(Surah 03 Ale Imran : Ayat 32)

3. 🔴🔴
 وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلْهُدَىٰ وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيلِ ٱلْمُؤْمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىوَنُصْلِهِۦ جَهَنَّمَ ۖ وَسَآءَتْ مَصِيرًا

"Jo shakhs ba-wajoodh Raah hidaayat ke waazeh ho jaane ke bhi Rasool ke khilaaf kare aur tamaam Momino ki Raah chhod kar chale, hum use udhar hi mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur JAHANNAM mein daal denge,wo pahonchne ki bahuth hee buri jagah hai."

📘(Surah 04 Nisaa’a : Ayat 115)

4. 🔴🔴
: يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَا تَرْفَعُوٓا۟ أَصْوَٰتَكُمْ فَوْقَ صَوْتِ ٱلنَّبِىِّ وَلَا تَجْهَرُوا۟ لَهُۥ بِٱلْقَوْلِ كَجَهْرِ بَعْضِكُمْ لِبَعْضٍ أَن تَحْبَطَ أَعْمَٰلُكُمْ وَأَنتُمْ لَا تَشْعُرُون

"Aye Imaan waalo! apni awaaze Nabi ki awaaz se upar na karo aur na unse oonchi awaaz se baath karo, jaise aapas me ek dusre se karte ho, kahi (aisa na ho ke) tumhaare amaal akaarat jaaye aur tumhe qabar bhi na ho".

📘(Surah 49 Hujuraat : Ayat 02)


🅾 Khulasa:

"15wi Shaaban" ki Raat ki Fazilat to sahih Hadees se sabit hai lekin is raat sawab ki niyyat se saari raat ibaadatein karna biddat hai kyunki is Raat ki fazilat ke baawood Rasoolullah ne kisi Sahih Hadees me is Ummat ko is raat khaas ibaadatein karne ka hukm nahi diya.

Ham sab jante hai ke Rasoolullah Ramadhan me "Layl-tul Qadr" ko paane ke liye apne Biwiyo ko pure 10 raatein jagaate aur ibadaatein karne ka hukm dete lekin "15 Shaaban" ki raat ko apne aisa nahi kiya warna Ayesha (R) isi Hadees me ya kisi aur dusri Hadees me kaheti ke Rasoolullah HAR SAAL "15wi Shabaan ki Raat" ko Qabarstan jaaye karte the aur hamko ibaadat ke liye uthaate the. Samajdaar ko ishara kaafi hai.

Allah Se dua hai hum Musalmano ko Sahi Hadees per Amal kerne ki Taufeek ata kare or Shir or biddat se mahfooz rakhe.

📍Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Thursday, 26 April 2018

📍TEEN BAATEIN AISEE HAIN MAZAK MEIN KAHNA BHI HAQEEQAT HO JATA HAI.


🖍 Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya:

👇👇👇👇

3 Teen baatein aisee hain jisko haqeeqat mein kahna bhi haqeeqat hai aur Mazak mein kahna bhi haqeeqat ho jata hai.

📮Nikah (Marriage)
📮Talaq (divorce )
📮Ruju - (taking back (one's wife)), Yani talaq ke baad biwi ko wapas apna lena.

📚{Sunan Ibn Majah 2039}
📚{Sunan Abi Dawud 2194}

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Tuesday, 24 April 2018

📍Kabutar Aur Uss Ke Peeche Bhagne Waala:​


عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم رَأَى رَجُلاً يَتْبَعُ حَمَامَةً فَقَالَ: شَيْطَانٌ يَتْبَعُ شَيْطَانَةً​

🚫Tarjumah:
Abu Hurairah Radhiallahu Anhu farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik aadmi kabutri ke peeche bhagte huwe dekha to farmaya: “Shaitan, Shaitanah ke peeche bhaag raha hai.”

📚{Abu Dawood: 4940}

🥀Wazahat:
🚫 Yani dono shiytaan hain, kabutar udaane wala isliye shiytaan hai ke woh Allah se ghafil aur be parwah hai , aur kabutar isliye shiytaan hai ki woh udaane wale ki ghaflat ka sabab bana..

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Wednesday, 18 April 2018

📍ALLAH TALA KO DEEN(KA) WO(AMAL)BAHOT PASAND HAY JO HUMESHA KIYA JAAY.


Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Nabi Akram sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ek Martaba Inke Pass Tashreef Laay, Wahan Ek Aurat Baithi Hui Thi, Aap Ne Pucha:

“*Ye Kon Hay❓

Hazrat Aisha r.a. Ne Kaha:” Fala Aurat Hay Aur Iski (Kasrat) Namaz Ka Haal bayan Karne Lagi.

Aap Ne Farmaya:”Ruk Jao! Tum Apne Zimme Sirf Wahi Kaam Lo Jo(Humesha) Karsakte Ho. Allah Ki Qasam! Allah Ta'ala Sawab Dene Se Nahi Uktata Tum Hi Ibadat Karne Se Thak Jaoge.

Aur Allah Ta'ala Ko Sab Se Zyada Maheboob, Wo Kaam Hay Jiska Karna Wala Ispar Humeshgi Kare.”

📚{Sahih Al-Bukhari 43}

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Monday, 9 April 2018

📍Jannat Ka Khazana.


 🌿 Abu Musa Ashari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya,
“Kya Main Tumhein Jannat Ke Khazano Mein Se Ek Khazana Batlau ❓❓ ”

Maine Kaha (Zarur) Batalaiyye ,
Aapne Farmaya ,
👇👇👇

📍‘Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa Billah’

لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ

(Allah Ki Madad Ke Bagair Gunah Se Bachne Ki Taqat Aur Neki Karne Ki Quwwat Nahi)

📚{Sahih Muslim, Jild 6, Hadith No. 6868}
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Thursday, 5 April 2018

📍Dawa Kerna, Bina Daleel Ke Batil Hai.

📗Part-1

Is waqt aksar log social media se jude huwe hain. Har mazhab, har qaum aur har samaaj ke log yahan maujood hain. Jo jis qaum o mazhab aur samaaj se jude huwe hain us qism ki batein share kar rahe hain. Aur yeh baat bhi qabil e tawajjo hai ke koi cheez net par share ho jaati hai to phir gardish mein aa jaati hai, ek ne doosre ko, doosre ne teesre ko is tarah se samaaji circle mein circulate hoti rehti hai. Shia apni taleem ko phaila rahe hain, Qadyani apni dawat paish kar rahe hain, Yahood o Nasaara apne mission mein mashgool hain. Facebook, whatsapp, google plus, twitter, telegram, youtube aur deegar social zaraye ablaagh (mass media) se hum tak Shiaon ki, Qadyaniyon ki, Yahood o Nasaara aur tamam qism ke qaumon aur millaton ki cheezein muntaqil ho kar aa rahi hain. Muntaqil mawaad (contents) mein references na ke barabar hota hai. Shia ki kuch posts mein likha hota hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jabki ba-zahir post se yeh maloom nahi hota ke Shia ki taleem hai, isi tarah Qadyani ka maamla hai. Yeh kaafi tashweesh-naak maamla hai. Is se ziyadah tashweesh-naak yeh hai ke Islam ke dushman hamari hi language mein jhooti batein likh kar aur baqaida authentic books ke references de kar, for example: Bukhari aur Muslim etc, logon mein phailate hain jabki haqeeqat yeh hai ki un books mein woh baatein nahi hoti hain. Aise halaat mein ek musalman ki kya zimmedariyan (responsibilities) hain❓

Social Media ke zariye hum tak khabrein pahunchen to hum kya karen❓

📍Yeh ek ahem sawal hai❓

Sab se pehle hum yeh jaan len ki sirf Islam hi aisa mazhab hai jo apne maan-ne walon ko Quran aur Hadees ke alawah kisi aur baat ko maan-ne se rokta hai yani jo baat Allah aur us ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki na ho usay Islam ka naam de kar phailana Islam ke khilaaf hai. Ek musalman hone ki haisiyat se hum wohi baat manenge jo Allah ki Kitab aur Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat mein hai. Isi baat ka hamein hukm bhi hai aur isi mein hamari nijaat bhi hai.

Allah ka farmaan hai:

فَبِأَيِّ حَدِيثٍ بَعْدَ اللَّهِ وَآيَاتِهِ يُؤْمِنُونَ

Tarjumah:
Pas Allah Taala aur us ki aayaton ke baad kis Hadees (Quran) par imaan layenge.
📚(Surah Al-Jathiyah, Ayat No: 6)

Yani Quran aur Hadees ke alawah hamein kisi par Imaan laane ki zaroorat hi nahi. Mazeed ek doosri jagah Allah Ta'ala apni aur apne paighambar ki hi pairwi karne ka hukm dete huwe farmaata hai:

قُلْ أَطِيعُوا اللَّهَ وَالرَّسُولَ ۖ فَإِنْ تَوَلَّوْا فَإِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْكَافِرِينَ

Tarjumah:
Aap farma den ke Allah aur Rasool ki ita’at karo phir agar woh rogardani karen to Allah kafiron ko pasand nahi karta.
📚(Surah Aal e Imran, Ayat No: 32)

Is Aayat se saabit hota hai ke jis tarah Allah ki ita’at Quran ki soorat mein zaroori hai, usi tarah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ita’at hadees (qaul, fe’l, taqreer aur sifat) ki soorat mein zaroori hai balki yeh dono ita’atein asal mein ek hi hain.

Jaisa ki Allah ka farmaan hai:

مَنْ يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ

Tarjumah:
Jo shakhs Rasool ki ita’at karta hai, woh goya Allah Taala ki ita’at karta hai.
📚(Surah An-Nisa, Ayat No: 80)

📗Part-2

Doosri baat yeh hai ke Islam ka ek usool hai koi baat hum baghair Daleel ke nahi maanenge kiunki hamara deen daleel aur suboot par qayem hai.

Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma bayan karte hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

لَوْ يُعْطَى النَّاسُ بِدَعْوَاهُمْ لاَدَّعَى نَاسٌ دِمَاءَ رِجَالٍ وَأَمْوَالَهُمْ وَلَكِنَّ الْيَمِينَ عَلَى الْمُدَّعَى عَلَيْهِ

Tarjumah:
Agar sirf daawa ki wajah se logon ka mutalba maan liya jaane lage to bahut saare logon ka khoon aur maal barbaad ho jayega lekin dawa karne waale par qasam hai.
📚(Sahih Muslim: 1711)

Yeh Hadees hamein batlaati hai ke daawa karne wale par daleel dena laazim hai baghair daleel ke koi daawa na maana jaye aur jo kisi maamla mein inkaar kare to usay qasam khaani hai. Dawa karne waale ke zimme daleel o burhan dena hai is ki ek wazeh Hadees yeh hai:

الْبَيِّنَةُ عَلَى الْمُدَّعِي وَالْيَمِينُ عَلَى الْمُدَّعَى عَلَيْهِ

Tarjumah:
Daleel dena us ke upar hai jo daawa kare aur qasam khana us ke upar hai jo inkaar kare.
📚(Tirmizi: 1341)


Is wajah se agar hum se koi zabani daawa kare ya koi khabar social media par mile jo Islam ki taraf mansoob ki gayi hai to bhejne waale se daleel o burhan mangenge agar bhejne wala na bata sake to hum apne ulama se poochenge ke kya is baat ki Islam mein koi daleel hai, agar daleel mil jaye to theek warna us baat ko na maan-na hai aur na kahin phailana hai.

📚Note-
Yeh usool apne zehan mein rakhen aur sirf Yahood o Nasaara aur Shia ke liye nahi balki koi musalman bhi aap se zikr kare aur kahe ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne is tarah farmaya hai to us se daleel mangen ke yeh hadees kahan hai. Agar hadees mil jaye to phir dekhen ke kahin zaeef ya ghadhi hue to nahi. Agar aisa hai to us hadees par bhi amal nahi kiya jayega, jo Hadees sahih ho bus usi par amal karna hai.


📍In baton ke kuch namoone paish karta hun:

Qadyani ki misaal:
Mirza Ghulam Ahmed Qadyani kehta hai: Teen shehron ka naam aizaaz ke saath Quran shareef mein darj kiya gaya hai Makkah, Madinah aur Qadyan.
📚(Tazkira Page No: 60, by Mirza Qadyani)

Yeh bilkul safaid jhoot hai, Quran mein Qadyan ka kahin zikr nahi hai, phir bhi koi Qadyani aap se behas kare to kahen Quran se is ki daleel paish karo aur yeh tai hai ke usay daleel kahin bhi nahi milegi.

Shia ki misaal:
Hindi aur urdu language mein aap ne ek post dekhi hogi jis ka title hai “Ghar mein ghurbat aane ke asbaab” is ke tehat us mein 40 baton ka zikr hai yani 40 baton se ghar mein ghareebi aati hai. Share karne wala is message mein likhta hai sab pehle send karo kiunki jab tak koi yeh message padhta rahega Jannat mein aap ke naam ka darakht (tree) lagta rahega.
Jab main ne un baton ki tahqeeq ki to pata chala yeh saari batein Shia ki kitabon mein hain aur hum saada musalman usay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees samajh kar is niyat se share kar rahe hain ke jannat mein hamaray naam ka darakht lagta rahega.


Barelwi ki misaal:
Ilyas Qadri Barelwi ka kehna hai ke raat ko jhadu dene se tang-dasti aati hai. Is baat ko hum Quran o Hadees ki kasoti par parkhte hain to maloom hota hai yeh bilkul jhoot hai, is baat ka tang-dasti ya Islam se koi talluq nahi.

Deobandi Tableeghi ki misaal:
Maulana Tariq Jameel ke bahut saare qisse kahaniyan logon mein gardish kar rahe hain for example: Allah Taala ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka janazah padha, Mohammad Ali Jinnah se qabr mein Tariq Jameel ki mulaqaat waghera. Koi bhi baat ho shariyat se us ki daleel hai to welcome, nahi to Moulana Tariq Jameel hon ya koi aur unki baat radd kar di jayegi.

Soofiyon ki jamat:
Bahut gumraahi phaila rahi hai, buzurgon aur Imamon ke naam par jhooti batein ummat mein phaila rahe hain is liye hamein har hal mein Islam ki taraf mansoob baton ki daleel dhoondni hai aur us ki tehqeeq karni hai. Allah Taala ka farmaan hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا ضَرَبْتُمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَتَبَيَّنُوا وَلَا تَقُولُوا لِمَنْ أَلْقَىٰ إِلَيْكُمُ السَّلَامَ لَسْتَ مُؤْمِنًا

Tarjumah:
Aye Imaan walo! jab Allah ki raah mein niklo to khoob tehqeeq kar liya karo, aur jo shakhs tum par salam kahe to usay (kafir samajh kar) yeh na kaho ke tu momin nahi.
📚(Surah An-Nisa Ayat No: 94)

Jo baat baghair daleel ke ho usey na maan-na hai aur na kahin share karna hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:

كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ

Tarjumah:
Aadmi ke jhoota hone ke liye ye baat kaafi hai ke wo har suni sunayi baat ko aage bayan kar de.
📚(Sahih Muslim: 5)

Allah Ta'ala Aisay Logon Ko Hidayat Dey or Sahi deen ki samaghne ke Taufeek Dein.

Aameeen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Monday, 2 April 2018

📍 WALDAIN PAR LANAT KARNA YA GALI DENA.


Hazrat Abdullah bin `Amr Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kabira gunahon mein se yeh bhi hai ke aadmi apne maa baap par lanat kare, sahaba Radi Allahu Anhum ne arz kya ke koi shaksh apne waldaen par lanat kar sakta hai ?

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "aadmi kisi dosre ke maa baap ko gali de , aur dosra palt kar uss ke maa baap ko gali de, to iss tarah woh khud apne maa baap ko gali dene ka sabab banta hai."

📘 (Sahih Bukhari:5973)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍 MAUT KE WAQT DARR AUR UMEED KA EKHATA HONA.


Hazrat Ana's Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ek naujawan ke pass aye aur woh sakraat (marne ke halat me ) alam me tha, aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

"Tum apne ko kaisa paa rahe ho ?"

"uss ne arz kya: Allah ki Qasm , Allah ke Rasool!Mujhe Allah se umeed hai aur apne gunahon se darr bhi raha hun,"

Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ; "yeh dono cheezen iss waqt jis bande mein jama ho jati hain to Allah usse woh cheez ata karta kar deta hai jis ki woh umeed rakhta hai aur uss cheez se mahfooz kar deta hai jis se woh darr raha hota hai."

📘 ( Jamaia Tirmidhi: 983)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Sunday, 1 April 2018

📍April Fool (1st April) manana Islam me Jayez nahi Kyunki is din Jhoot bola jaata hai aur Jhoot bolna Gunah-e-Kabira hai.

🚫Aaiye Jhoot se related kuch Ahadees Aapke saamne pesh karta hu.

 Muawiyah ibne Jaydah Al-Qushayri Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-

👇👇👇
Halakat (Barbadi) hai us Shakhs ke liye jo Logon ko Hasane ke liye Jhooti Baat Kare, Uske liye Kharabi hai, Uske liye Kharabi hai.
📚{Sunan Abu Dawud:1552}

 Safwaan bin Sulaim Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se poocha gaya ki Kya Momin Buzdil ho Sakta hai ❓❓

Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya HAAN,

👇👇👇
Phir poocha gaya ki Kya Momin Kanjus ho sakta hai ❓❓
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya HAAN,

👇👇👇
Phir Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se poocha gaya Kya Momin JHOOTA ho Sakta hai ❓
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya NAHI.
📚{Mu'atta Imaam Malik:19}


 Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-

👇👇👇
Us Shakhs ka Imaan Mukammal nahi ho Sakta, Jab tak ki wo Hansi Mazaq me bhi JHOOT bolna na Chhor de.
📚{Musnad Ahmad: 8630}

 Abu Umama Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-

👇👇👇
Mai us Shakhs ke liye Jannat ke beech mein ek Ghar ki Zamanat deta hu jo Mazaq mein bhi JHOOT bolna chhor de.
📚{Sunan Abu Dawud:1372}

Abu Bakr Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-
Kya main tumhe Sabse bada gunah Na Bataun❓❓

Hamne Arz kiya Zaroor bataiye

👇👇👇
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya ALLAH ke Saath Shirk aur Waldein (Parents) ki Nafarmani karna, Aur Farmaya ki aagah ho jao Jhooti Baat aur Jhooti Gawahi se bhi, aagah ho jao Jhooti Baat aur Jhooti Gawahi bhi (Bade Gunaah hain).
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki hamne Socha Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм khamosh Nahi honge._
📚{Sahih Bukhari :5976}


 Abdullah Ibn-e-Masood Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-
Jhoot se bachte raho kyuki Jhoot Burayi ki taraf le jaata hai aur Burayi Jahannam ki taraf, Agar koi Aadmi Jhoot bolta hai aur hamesha Jhoot bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko Kazzab (Jhoota) likh diya jaata hai aur Sach bolna tum par Lazim hai kyuki Sach Neki ki taraf le jaata hai aur Neki Jannat ki taraf le jaati hai, Agar koi Aadmi Sach bolta hai aur hamesha sach bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko Siddique (Sachcha) likh diya jaata hai.
📚{Sunan Abu Dawud:1551} 

Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se Riwayat hai ki JHOOT se barh kar Koi Khaslat Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke Nazdeek Qaabil-e-Nafrat Na thi, Jab Aap ko Apne kisi Saathi ke Muta'allik Jhoot bolne ki Khabr milti to Aapka Rawaiya Badal jaata, Jab tak ye Maloom Na ho jaata ki isne apne is Amal se Tauba kar liya hai.
📚{Silsilah-us-Sahiya: 2052}

Allah Ta'ala hum sabko Jhoot jaise Bade Gunaah se bachne aur Hamesha Sach bolne ki taufeeq ata farmaye...AAMEEN

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍APRIL FOOL KI ISLAAM MEIN KOI JAGAH NAHI.


ApriL Fool Manaaney Se Paanch (5) Gunaah Sarzad Hotey Hain :


1. Dhoka Dena.
2. Jhoot Bolna.
3. Kisi Ko Sataana.
4. Kisi Ko Bina Wajah Takleef Dena.
5. Kaafiron Ki Naqal Karna.

Hamaare Deen Mein In Paanchon Kaam Ke Liye Koi Jagah Nahi Hai. Apne Aapko Is Azeem Gunaah Se Bachaaye Aur Doosrey Musalmaanon Ko Bhi Bachaiye Kyunke Yeh Jahannam Mein Ley Jaaney Waala Kaam Hai.

Nabi (SaLLaLLaahu ALaihi Wa saLLam) Ne Farmaaya :

"Mai Zimmedaari Leta Hoon Jannat Ke Darmiyaan Ek MahaL Ka, Us Shakhs Ke Liye Jo Jhoot Chhord Dey, Agarchey Mazaah (Fun) Hi Mein Ho."

📚{Sunan Abu Daawood : 4800}

💢Allah Ta'ala Se Duaa Hai Ki Hum Sab Ko Kuffaar wa Mushrikeen Ki Mushaabihat (Naqal) Karne Se Mahfooz Rakhey. Aammeen !

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/