🚫Aaiye Jhoot se related kuch Ahadees Aapke saamne pesh karta hu.
Muawiyah ibne Jaydah Al-Qushayri Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-
👇👇👇
Halakat (Barbadi) hai us Shakhs ke liye jo Logon ko Hasane ke liye Jhooti Baat Kare, Uske liye Kharabi hai, Uske liye Kharabi hai.
📚{Sunan Abu Dawud:1552}
Safwaan bin Sulaim Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se poocha gaya ki Kya Momin Buzdil ho Sakta hai ❓❓
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya HAAN,
👇👇👇
Phir poocha gaya ki Kya Momin Kanjus ho sakta hai ❓❓
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya HAAN,
👇👇👇
Phir Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se poocha gaya Kya Momin JHOOTA ho Sakta hai ❓
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya NAHI.
📚{Mu'atta Imaam Malik:19}
Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-
👇👇👇
Us Shakhs ka Imaan Mukammal nahi ho Sakta, Jab tak ki wo Hansi Mazaq me bhi JHOOT bolna na Chhor de.
📚{Musnad Ahmad: 8630}
Abu Umama Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-
👇👇👇
Mai us Shakhs ke liye Jannat ke beech mein ek Ghar ki Zamanat deta hu jo Mazaq mein bhi JHOOT bolna chhor de.
📚{Sunan Abu Dawud:1372}
Abu Bakr Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-
Kya main tumhe Sabse bada gunah Na Bataun❓❓
Hamne Arz kiya Zaroor bataiye
👇👇👇
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya ALLAH ke Saath Shirk aur Waldein (Parents) ki Nafarmani karna, Aur Farmaya ki aagah ho jao Jhooti Baat aur Jhooti Gawahi se bhi, aagah ho jao Jhooti Baat aur Jhooti Gawahi bhi (Bade Gunaah hain).
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki hamne Socha Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм khamosh Nahi honge._
📚{Sahih Bukhari :5976}
Abdullah Ibn-e-Masood Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Farmaya :-
Jhoot se bachte raho kyuki Jhoot Burayi ki taraf le jaata hai aur Burayi Jahannam ki taraf, Agar koi Aadmi Jhoot bolta hai aur hamesha Jhoot bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko Kazzab (Jhoota) likh diya jaata hai aur Sach bolna tum par Lazim hai kyuki Sach Neki ki taraf le jaata hai aur Neki Jannat ki taraf le jaati hai, Agar koi Aadmi Sach bolta hai aur hamesha sach bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko Siddique (Sachcha) likh diya jaata hai.
📚{Sunan Abu Dawud:1551}
Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se Riwayat hai ki JHOOT se barh kar Koi Khaslat Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke Nazdeek Qaabil-e-Nafrat Na thi, Jab Aap ko Apne kisi Saathi ke Muta'allik Jhoot bolne ki Khabr milti to Aapka Rawaiya Badal jaata, Jab tak ye Maloom Na ho jaata ki isne apne is Amal se Tauba kar liya hai.
📚{Silsilah-us-Sahiya: 2052}
Allah Ta'ala hum sabko Jhoot jaise Bade Gunaah se bachne aur Hamesha Sach bolne ki taufeeq ata farmaye...AAMEEN
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join them with our group send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 1 April 2018
📍April Fool (1st April) manana Islam me Jayez nahi Kyunki is din Jhoot bola jaata hai aur Jhoot bolna Gunah-e-Kabira hai.
Labels:
April Fool
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment