Monday 10 September 2018

📍Muharam ki Fazail.




🖍Part-1

👉🏻ALLAH ke yaha Mahino (Month) ki Barah (12) hai....
 Islamic Naya saal (year) suru ho gaya hai.
Islam me Pahala Mahina "Ⓜuharram" Hai..
Yeh Ek Hurmat wala Mahina hai....
 Jaise ALLAH NE Quran me Farmaya hai....

"Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah mahine hai , Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char hurmat wale hain (1-Dhul Qaida, 2- Dhul Hijja, 3- Muharram, 4- Rajab) yahi seedah deen hai isliye inmein (in mahino mein)apne upar zulm na karo (yani gunah ke kaam na karo)"

📚{Al Quran : Surah At-Tauba (9) Aayet 36}

Iss Aayet me Allah ne Gunah karne se mana kiya hai. Gunaho me sabse bada Gunah Shirk hai.

🖍Jaise ki ALLAH NE Quran me kaha hai.

Yaad karo jab Lukman(as) ne apne bete se nasihat karte huye kaha" Aye mere Bete , ALLAH ka sharik na tharana . Beshak Shirk Bahut bada zulm hai"

📚{Surah Lukman (31) Aayet No 13}

💢Aaj k Woh Log jo kalma padhte hai. Aur Apne Aapko Muslmaan kahate hai..
Woh iss Mahine ki 1⃣ (Pahali)  Tarikh (Date) se lekar 1⃣5⃣ Tarikh tak apne aapko Shirk me is Tarah Dube Rahate hai..
Jaise Bahut sawab ka kaam kar rahe hai...


🖍Log "ya husaain, ya Ali

" ka naara aise lagate hai jaise ki yeh log islam k sacche Fouz hai.

Magar ye , Yeh Nahi jante ki ussi halat me agar inko Mout ho gai.
To Allah k yaha inka Thikana Jahannam hai.

Kyuki ki Shirk karne wala Marne se pahle Touba na karen toh , woh hamesha hamesha k liye Jahannam me rahega.


🖍Part - 2

Kis Ka Inteqal Hogaya Toh Kitne Din Tak Sog Manaye.

Zainab bint Abi Salama Radhiallahu anha ne khabar Di ke woh Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam ki Zuja e Mohtarama Hazrat Umme Habibha Radhiallahu anha ke pas gayen toh uney ne farmaya ke Main ney Rasool Allah Sallalahu Alaihi Wasallam Se Suna Hai Ke Koi Bhi Aurat Jo Allah Aur Yaume Akhirat per Imaan Rakhti ho Uske liye Shauhar Ke Siwa Kisi Murde Per Bhi 🔟 (Ten days)Din Se Zyada Sog Manana Jaiz Nahi Hai- Haan Shauhar Per 4⃣ (Char)Mahine 1⃣0⃣ (Dus)Din Tak Sog Manaye- Phir Main Hazrat Zainab Bint Hajjashi Radhiallahu anha ke Yaha Gayi Jab Ke unke Bhai Ka Inteqal Howa, Unhoney Khushbo Mangwai Aur Use Lagaya- Phir Farmaya Ke Mujhe Khushbo Ki Koi Zarorat Nahi thi Lekin Main ney Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam Ko Member Per Yeh Kahtey huye Suna hai Ke Kisi Bhi Aurat Ko Jo Allah Aur Yaume Akhirat Per Imaan Rakhti Ho,  Jaiz Nahi Hai Ke Kisi Mayyat Per Teen (3) Din Se Zyada Sog Karey - Lekin Shauhar Ka Sog (Iddat) Char(4) Mahine Dus (10) Din Tak Karey-

📚{Sahih al-Bukhari 1281, 1282}

Iss Hadith se saaf pata chlta hai ki koi inteqal ho jaye to kitne din ka Matam ya sog manana chahiye.

💢Muharram ek hurmat wala Mahina hai.

Ibadat ka Mahina hai. Lekin kalma padhne wale log is Mahine me Hazrat Husaain Rz Hazrat Hasan Rz ki Sahadat ka iss Tarah Matam karte hai jaise unke liye wahi sab kuch ho. Unke yaad me Tazia bhi banate hai. Jisska Deen e  islam se koi lena dena nahi hai.
Yeh Log Khula khullam Shirk karte hai.
Aur Nabi Sallalahu wale wasallam ki koul k ulta kaam karte hai. Aur apne aap ko Muslim kahte hai.

💢Kya Shirk aur Biddat me Duba hua insan MUSLIM HAI❓


🖍BILKUL NAHI
Part - 3

Kya hum sab ko baap- dada k Raaste par (Deen k mamle me) Chalna Chahiye...

Ya phir ALLAH K RAASTE PAR CHALNA CHAHIYE❓❓

Aaiye dekhe Quran Me ALLAH NE KYA FARMAYA HAI.

“Aur jab unse kaha jata hai ki, ALLAH ne jo kuch utara hai uski ita’at karo, to kehte hain Nahi, balki ham to uski ita’at karenge jis par hamne apne baap-dada ko paya. Kya us haal me bhi jabki unke baap-dada kuch akl(dimag) se kaam na lete rahe ho aur na seedhey raah par rahe ho ❓”
📚{Surah Baqra 2/170}

_“Aur jab unse kaha jata hai ki us cheez ki aur aao jo ALLAH ne naazil ki hai, aur Rasool ki aur, to wo kehte hain
Hamare liye to wo hi kaafi hai jis par hamne apne baap-dada ko paya hai. Kya agar unke baap-dada kuch bhi na jaante ho aur na seedhey raah par ho ❓”_
📚{Surah Maidah 5,Aayet 104}


📍Note:- Baap-Dada ka Deen kya hai❓❓

❗Deen ka woh kaam jo log sawab or nek aamal samajh kar karte hai, jo Na ALLAH NE KAHA HAI or Na hi Nabi sallallaho walewasallam me kiya hai or na hi karne ko kaha hai..

For Example:-


📌Rajjab k Kunde..(Kheer Puri)
📌Shabe Barat (Raat bhar ibadat, Roza or halwa roti)
📌Eid Miladun Nabi (12 wafat, Nabi sallallaho wale wasallam ka Birthday manana)
📌Egarwi Shareef (Abdul Qadir Jilani RA ka yaad me Murga Katna)
📌Jasne Shab e Meeraj Manana. Hazari Roza Rakhana
📌Muharram me Taaziaa Dhol,Tasha, Akhara, Matam Manana. Phir usske Roze Rakhna..
📌Tija or Chaharam karna. 10wa,20wa, 40wa karna..
📌Barsi karna...
📌Jasne khatam Taravi.
📌Rajjab k Mahine me Khaja ka naam pe khichra or jasn manana..

List to kafi lamba hai. Par samjhne k liye Ye sab Example hai...

📍Quran me Allah ne Kah diya hai...

Shirk ko ALLAH kabhi maaf nahi karega, isske alawa jis gunah ko Allah Chahe to maaf karde.
📚{Surah Nisa 4/48}


Baap- Dada k jo Raaste hain Deen k mamale mein (zayadatar), woh Shirk aur Biddat ki Taraf le jaata hain, Hum sabko sahih Deen samjh kar us par am'al karna chahiye, Beshak Shirk ki Maafi nahi hai..

Part - 4

Hadith:
Hasan aur Hussain Mere Do khshubudar Phool hain

Ibn Abi Naam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye dono (Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma ) Duniya mein mere Do Phool hai.
📚{Sahih Bukhari, 5994}

Ibn Abi Nu'm se rivayat hai ki ek shaksh ne Abdullah bin umar radi allahu Anhuma se pucha ki agar koi shaksh (ehraam ki halat mein) makhkhi maar de to uska kaffara kya hoga is par Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

Iraq ke log makhkhi ke baarey mein sawal kartey hain jabki yahi log Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke nawasey ko Qatl kar chukey hain jinkey baarey mein Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha ki ye dono (Hasan aur Hussain ) Duniya mein mere Do khshubudar phool hain.
📚{Sahih Bukhari, 3753}

❗Hasan Rz aur Hussain Rz, Nabi Sallalahu wale wasallam k Do Nawase the aur Sahabi me se thai.

Aur jannat me Naujawano k sardar hai.

Aur koi Makam unka nahi hai.

Islam k liye inki Jaan gai hai aur iss k liye koi matam katrta rahe saalo saal to yeh islam nahi hai. Deen E Islam k liye inse pahale bhi bahut si jaane gai hai. Log unki sahadat ko bhula diye hai, Agar kisi k sahadat matam hi Deen hai, To koi yeh to bataye ki.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

🖍Nabi Sallallahu wale wasallam ne kis sahabi ki sahadat par Matam kiya tha ❓❓❓

Part - 5

Kya Qabro par Mela Lagana or Qabr walo ko Pukarna Chahiye❓

Hazrat Ali bin Al-Husayn (radiAllahu anhu) se marvi hai k Unho ne ek aadmi ko dekha k wo salam k liye hujray main dakhil ho raha hai, to unho ne usay mana kiya aur farmaya ki main tujhay wo hadith na sunaon jo Huzur (s.a.w) ne beyan farmai thi

Yani. "meri qabr ko mela na banana or na apne gharon ko qabrain banana (in main nawafil parhna), tumhara salam mujh per pohncha diya jaata hai jahan kahin bhi tum ho (yani qabr k nazdeek ho ya door)."
📚{Musnad Abi Ya'la al-Moosli 246/1}

🖍Iss Hadith me Nabi Sallallahu wale Wasallam ne Apne Qabr par Mela Lagane ki manahi ki hai.

Nabi saw se Muhabbat karne wale is hadith se Dur bhagte hai.
ALLAH wali maan kar Na jaane kis kis jagah Mela lagate hai.
Aur Nabi saw baat ka majak udate hai.

📮ALLAH ka farmaan hai.

“Bhalaa kaun hai jo majboor ki pukaar ko qubool kerta hai jab wo usey pukarta hai, or takleef ko door kerta hai.

(Ilava Allah ke)

Aur tumko zamin per khalifa banata hai
kya Allah k saath koi or ma’bood bhi hai❓
Hergiz nahi, balki tum bahut kam nasihat-o-ibrat qubool kertay ho.”
📚{Surah An-Naml Ayat#62}

Aur Allah Subhaanahu Wa Ta'ala ka farmaan hai,

“Us jaisi koi cheez nahin, aur Woh sab kuch Sunnay aur Dekhane wala hai"
📚{Surah Shuraa,42:11}

🖍Ghair Hazir ya Fout shuda ko pukarne k mutalliq Allah (s.wt) ka Farman,

“Aur matt pukaro tum Allah k siva kisi ko jo tumko nafa’ de sake aur na nuqsaan pohncha sakay, agar aisa karoge to mushrik banjaoge.”
📚{Surah Yunus Ayat#106}

📮ALLAH ne Quran me mana kiya hai.
Kisi bhi Qabr wale ko pukarne ko.
Jo bhi insan aisa karta hai. Woh jitna bhi nek amal aur ibadat kar le.

ALLAH K siwa kisi Gairullah ko pukarega to woh MUSHRIK  hoga.


Part - 6

❗Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai

🖍Hadith:
Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai, Agar noha (matam) karne wali bina tauba ke marr jaaye to Allah subhanhu usko "Tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo" ka kurta pahnayega.

Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi- Wasallam ne farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻

Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur noha karney wali agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega.
📚{Sunan Ibn Majah, Vol 1, #1581}

Jarir ne farmaya ki Muawiyah radi allahu anhu ne apney khutbey mein kaha ki Rasoollallah Sallallhu -Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai.
📚{Sunan Ibn Majah, Vol 1, #1580}

Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne humein Noha (matam) karney se mana farmaya hai.
📚{Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350}

Abdullah bin masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu- Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey (kapdey phaadey) aur jahiliyat ke zamaney ki tarah baatain karey wo hum mein se nahi ha.
📚{Sahih Bukhari, Vol2, #1297}

💢 Iss Mahe Mubarak main , kalma padhne wale log ye sab kaam bade Fakr se karte hai...

🖍Unhe bataya jaata hai ye sab galat hai. Shirk aur biddat hai to.
👇👇👇
"Khate hai hum to wahi karenge jo mere Baap Dada ne kiya hai. Yeh sab Naya Naya Baat hai hum nahi Manate".

Aur yeh bahut hi khusi se Nabi Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki Baat ki Nafarmani karte hai.

ALLAH Aise logo ko hidayet de..
Aameen.


Part - 7

📮🖍SIRF " YA ALLAH"

📌Na Ya Rasoollallah
📌Na Ya Hussain"
📌Na Ya Hasan
📌Na Ya Ali

🥫Sirf aur Sirf Ya Allah

Mai wadah karta hun ke aayindah Aapke elawah kisi aur ko madad k liye nahi pukarunga.
Mai har mushkil me aur kaam ke liye sirf "Ya Allah" hi kahunga.

Mai 📌"Ya Hussain Nahi" kahunga.
Kyu ki Ya ALLAH hum namaz me is baat ka aelan karte hai.

"Hum sirf Teri ebadat karte hai aur sirf Tujh hi se Madad chahte hai"
📚{Surah Fatiah Aayet No 4}

🖍Aur QURAN me hai.

Yahi hai ALLAH tum sab ka Palne Wala Isiki Saltanat hai, Jinhe tum Iss ke siwa pukar rahe ho wo to khajur ki guthli ke chilke ke bhi malik nahi hai. Agar tum inhe phukaro to,wo tumahri phukar sunte hi nahi agar(bal farz) sun bhi le to faryad rasi nahi karenge,
Balke qayamat ke din tumahre is shirk ka saaf inkar kar jayenge.
Aap Sallaha Alaihe Wasallam ko koi bhi  HAQUE TAALAH jaisa khabardar khabren na dega.
📚{Shura Fatir Aayet 13 , 14}

Aye Nabi Sallahu Alaihe Wasallam Aap kah dijye!bhala dekho to jinhe tum ALLAH ke siwa phukarte ho, mujhe bhi to dikhaon ke unhone zamin ka kaun sa tukra banaya hai, ya aasmano ke inka kaun sa hissa hai.

Agar tum sachche ho to isse pahle hi ki koi kitab ya koi ilm hi jo naql kiya jata ho, mere pass lao ,aur is se badh kar gumrah aur kaun hoga.
Jo ALLAH ke siwa aison ko phukarta hai jo kayamat tak kisi ki dua qabool na kar saken balke inke phukarne se mahaz be khabar ho,
Aur jab logon ko jama kiya jayega to ye inke dushman ho jayenge aur inki paristish se saaf inkar kar jayenge.
📚{Surah Haqaf Aayet 4, 6}

Jab MERE bande MERE  Bare Me aapse sawal kare to aap kah de ke MAI bohat hi karib hun, har phukarne wale ki phukar ko jab kabhi wo mujhe phukare,
📍Qabol Karta Hun,
is liye logon ko bhi chahiye ke WO Meri Baat Maan liya kare aur Mujh Par iman rakhe,
Yahi in ki bhalayi ka raasta hai..
📚{Surah baqrah Aayet 186}

Aur jo sakhs ALLAH par bharosa karega ALLAH iss ke liye kafi hoga..
📚{Surah Talaq Aayet 3}

QURAN KI AAYATO K BAAD BHI Log YA ALLAH na bol ke 📌"Ya Hussian Ya Hussain" Naara Lagate hai.

KYA DEEN E ISLAM K LIYE SAHADAT SIRF HUSSAIN RZ NE DI THI❓❓

Kya jo log Karbala k Maidan me Sahieed huye the unke ekhtiyaar me kuch bhi hai❓❓

Agar Nahi to Phir itna Shor kyu❓❓


Part - 8

Kaise hui TAAJIYON kee shuruaat❓

Taajiyon ki Paramparaa❓

Kya DEEN E ISLAM se Tajiyo ka koi lena Dena hai❓

MUHARRAM koee tyohaar (Festival) nahee hai, Yeh sirf Islaami Hijaree saal ka pahala(First) Mahina hai.
Pooree islaamI duniya me Muharram ki 9 aur 10 taareekh ko musalamaan roje rakhate hai aur Masjido-Gharo mein ibaadat ki jaatee hai. kyu ki ye taarikh islaami itihaas (History) ki bahut khaas taarikh hai.

Rahaa sawaal bhaarat (India) me Taajiyaa daaree kaa to yah ek shuddh bhaarateey paramparaa hai, jisakaa islaam se koi taalluk nahi hai.

❗Isakee shuruaat baraso pahale Taimoor Lang Badashah ne ki thi,

Jisakaa taalluk ‍Shiyao se tha.

Tab se bhaarat ke sheeaa - sunnee aur kuchh hiasso me  hindu bhee Taajiyo (Hazrat Husain Rz ki Qabr ki, jo iraq ke Karbalaa naamak Jagah par hai) ki paramparaa ko maanate aa rahe hai.

Bhaarat me Taajie ke itihaas aur badashah Taimoor lang ka gaharaa rishtaa hai.

Taimoor baralaa vansh ka Turkee yoddhaa tha aur (vishv vijay) duniya fatah karanaa usaka sapana tha.

Saal 1336 ko samarakand ke pass kesh Gram Traans uksaaniyaa (ab ujbekistaan) me janme taimoor ko changej khan ke Bete Chugatai ne Ladai Sikhai.

Sirf 13 Saal ki umr me hi woh Chugatai Turkiyo ka saradaar ban gaya. Phaaras, Afhaganistan, MesopoTaamiyaa aur Rush ke kuchh bhaago ko jeetate hue Taimoor Bharat (1398) pahucha. Usake saath 98000 sainik bhI Bharat aaye.

Delhi me Mehamood Tugalak se yuddh kar apanaa Thikaanaa banaayaa aur yahee usane Apne aapko Raza Banane ka elaan kiya.

Taimoor turkee Word hai, jiskaa meaning hai  Langraa. woh dayen (Right) haath aur dayen paanv se pangu tha.
Taimoor lang shiya  thaa aur Muharram k  Mahine me har saaliraq jaroor jata tha, lekin beemaaree ke wajah  ek saal nahi jaa payaa.

Usse Bimari thaa,isaliye hakimo  ne use safar ke liye manaa kiya tha. Badashah salaamat ko khush karane ke liye darabaariyo ne aisaa karanaa chaha, jisse taimoor khush ho jaye.

Us jamaane ke
kalaakaaro ko ikaTThaa kar unhe iraq ke karbalaa me bane Hazrat Husain Rz ke Qabr ki Majar  banane ka hukm diyaa.

Kuchh kalakaro ne baans ki kimachiyo ki madad se 'Qabr' ki Dhachaa taiyaar kiya. isse tarah-tarah ke
phulon se sajaya gaya.
Isse ko Tajiyaa naam diyaa gayaa. is taajie ko pahalee baar 801 hijaree me Taimoor lang ke mahal me rakhaa gayaa.

Taimoor ke Taajie ki dhoom bahut jald poore desh me mach gai..
Deshabhar se Raaje-Maharaje aam insan  in Taajiyo kee jiyaarat ke liye pahunchane laga.

Taimoor lang ko khush karane ke lie desh ke aur hisso me.n bhee is paramparaa ki shuruaat ho gai.

Khaasa taur par Delhi ke aas paas ke jo shiyo ke Nawab the, unhone jald is paramparaa par amal shuroo kar diyaa tab se lekar aaj tak is paramparaa ko Bhaarat, Paakistaan, Banglaadesh aur Barmaa (Myanmaar) me manaayaa jaa rahaa hai.

Jabaki khud Taimoor lang ke desh Ujbekistaan ya Kajaakistaan me yaa shiya  Desh iraan me Taajiyo ki paramparaa kaa koi History nahi milata hai.

68 saal k Taimoor apane shuru ki gai Taajiyo ki paramparaa ko jyaadaa dekh nahi paya aur bimari me mubtilaa hone ke kaaraN 1404 me.n Samarakand laut gayaa.

Bimaari ke bavajud usne Cheen jaane ki taiyaariyaa shuroo ki. lekin 19 February 1405 ko Otaraar Shimakent ke paas(ab Shimaket, Kajakistan) me Taimoor kaa intekaal ho gaya. Lekin taimoor ke jaane ke baad bhee bhaarat me yah paramparaa jaree rahee.

Tugalak-Taimoor ke baad Mughal ne bhee is paramparaa ko jaaree rakhaa. Mugal BADASHAH HUMAYUN ne sall nau hijaree 962 me.n Bairam khan se 46 Taulaa ke jamurrad (pannaa/Hira Moti) ka bana Taajiyaa Mangavaayaa thaa.

Kul milakar taaziyaa kaa islaam se koee Taalluk hi nahi hai....


Lekin hamare kalma padhne walo ko  ilm nahi hai aur is wajah se is kaam ko sawab samajh kar karate hai unhe hakeekat batana bhi ham sab kaa kaam hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment