Sunday 21 October 2018

📍Iman, Islam Aur Ihsan Kya Hay❓


Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi Akram ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Logo Ke Saamne Tashrif Farma The Ke Achchanak Ek Shakhs Aapki Khidmat Me Hazir Hua. Aur Puchne Laga:

“Iman Kya Hay❓

Aap Ne Farmaya: “Iman Ye Hay Ke Tum Allah Par, Aur Uske Farishton Par Aur Roz e Hashar Allah Ke Huzur Pesh Hone Par Aur Allah ke Rasoolon Par Iman Lao Aur Qayamat Ka Yaqeen Karo.”

Inhone Mazeed Sawal Kiya:

Islam Kya Hai❓

Aap Ne Farmaya: “Islam Ye Hay Ke Tum Mahez Allah Ki Ibadat Karo Aur Uske Saath Kisi Ko Shareek Na Karo. Namaz Thik Taur Pe Ada Karo Aur Farz Zakat Ada Karo Aur Ramzan Ke Roze Rakho.”

Fir Inhone Pucha:

Ehsaan Kya Hay❓

Aap Ne Farmaya: “Ehsaan Ye Hay Ke Tum Allah Ki Ibadat Is tarha Karo Goya Tum Use Dekh Rahe Ho, Agar Tum Use Nahi Dekh Rahe Ho To Wo To Tumhe Dekh Raha Hay.”

Inhone Kaha:

Qayamat Kab Barpa Hogi❓

Aap ﷺ Ne Farmaya: “Jis Se Sawal Kiya Gaya Wo Bhi Sawal Karne Wale Se Zyada Nahi Jaanta, Albatta May Tumhe Qayamat Barpa Hone Ki Kuch Nishaniya Bata Deta Hun: Jab Laondi Apni Malik Ko Janegi Aur Jab Siyah Unto (camel) Ke Charane Wale (Deehati Log Tarakki Karte Karte) Maqanat Ki Taamir Me Ek Dosre Se Bazi Lejaynge(To Qayamat Karib Hongi). Darasal Qayamat In Paanch Baato Me Se Hay Jinko Allah Ke Siwa Aur Koi Nahi Jaanta.

Fir Aapne Ye Ayat Tilawat Farmai: “Beshak Allah Hi Ko Qayamat Ka Ilm Hay..” Iske Baad Wo Shakhs Wapas Chala Gaya, To Apne Farmaya:” Ise Mere Pass Laao.” Chunancha Logo Ne Ise Talash Kiya Lekin Uska Koi Suraag Na Mila To Aap ﷺ Ne Faramaya: “Ye Jibrail The Jo Tumhe Tumhara Deen Sikhane Aye The.”

Imam Bukhari r.h. Kahte hai: “Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne In Tamam Chizo Ko Iman Karar Diya Tha.”

📚{Sahih al-Bukhari , Hadith 50}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

No comments:

Post a Comment