Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Monday, 27 April 2020
📍Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail
📕1.Roze ki niyat (Part-1)
Tamam aamaal ka daar o madar niyat par hai lehaza Roze ki qubooliyat ke liye achchi niyat ka hona zaroori hai.
Allah ka farmaan hai:
قُلْ أَتُعَلِّمُونَ اللَّهَ بِدِينِكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۚ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ
Tarjumah:
Keh dijye ki kya tum Allah ko apni deendaari se aagaah kar rahe ho, Allah har us cheez se jo aasmaano mein or zameen mein hai bakhoobi aagaah hai. Or Allah har cheez ka jaanne waala hai.
📚{Surah Al-Hujuraat, Ayat No: 16}
Goya naam le kar apne aamaal ko bataane ki zaroorat nahi. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
حَدَّثَنَا الْحُمَيْدِيُّ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الزُّبَيْرِ، قَالَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، قَالَ حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الأَنْصَارِيُّ، قَالَ أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ التَّيْمِيُّ، أَنَّهُ سَمِعَ عَلْقَمَةَ بْنَ وَقَّاصٍ اللَّيْثِيَّ، يَقُولُ سَمِعْتُ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ـ رضى الله عنه ـ عَلَى الْمِنْبَرِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ: إِنَّمَا الأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ، وَإِنَّمَا لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى، فَمَنْ كَانَتْ هِجْرَتُهُ إِلَى دُنْيَا يُصِيبُهَا أَوْ إِلَى امْرَأَةٍ يَنْكِحُهَا فَهِجْرَتُهُ إِلَى مَا هَاجَرَ إِلَيْهِ
Tarjumah:
Alqamah Bin Waqqaas Al-Laithi bayan karte hain ki maine Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein Mimbar e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallahu Anhu ki zabaan se suna, wo farma rahe the ke maine Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farma rahe the ki tamaam aamaal ka daar o madaar niyat par hai aur har amal ka nateeja har insaan ko uski niyat ke mutaabiq hi milega, par jiski hijrat (tark e watan) doulat e dunya (duniya ki daulat) hasil karne ke liye ho ya kisi aurat se shaadi ki gharz ho, par uski hijrat un hi cheezon ke liye hogi jinke hasil karne ki niyat se usne hijrat ki hai.
📚{Sahih Bukhari: 1}
📕1.Roze ki niyat (Part-2)
Niyat ka talluq dil se hai lehaza alfaaz ke zariye zabaan se bol kar niyat karna bidat hai. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَكُلُّ ضَلَالَةٍ فِي النَّارِ
Tarjumah:
Har bidat gumraahi hai aur har gumraahi aag (jahannam) mein le jaayegi.
📚{Sunan Nasai: 1578}
Aamaal ki qubooliyat ke liye zabani alfaaz ki nahi balki sachchi niyat (ikhlaas) aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat ki pairwi ki zaroorat hai. Jis ka zikr Allah ke is farmaan mein hai:
فَمَنْ كَانَ يَرْجُو لِقَاءَ رَبِّهِ فَلْيَعْمَلْ عَمَلًا صَالِحًا وَلَا يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدًا
Tarjumah:
To jise bhi apne parwardigar se milne ki arzoo ho use chahiye ke nek aamaal kare aur apne parwardigar ki ibadat mein kisi ko bhi shareek na kare.
📚{Surah Al-Kahf, Ayat No: 110}
[10:51 AM, 6/1/2017] +91 85078 06751: 📍Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail.
📕2.Sehri (Part-1)
Roze ki sehat (yani Roze ke sahih hone) ke liye sehri khana zaroori nahi hai lekin sehri khana masnoon hai is liye sehri khana chahiye. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
تَسَحَّرُوا فَإِنَّ فِي السَّحُورِ بَرَكَةً
Tarjumah:
Sehri khaao kiunki sehri mein barkat hoti hai.
📚{Sahih Bukhari: 1923}
📚{Sahih Muslim: 1095}
Ek doosri hadees mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
السُّحورُ أكلةُ بركةٍ فلا تدعوهُ ولو أن يَجرعَ أحدُكم جرعةَ ماءٍ فإنَّ اللهَ وملائكتَهُ يُصلُّونَ على المتسحِّرينَ
Tarjumah:
Sehri tamam tar barkat hai lehaza is ko na choro chaahe tum mein se koi ek ghoont pani hi pi le kiunki Allah Ta'ala aur us ke farishte sehri khaane waalon par rehmat bhejte hain.
📚{Musnad Ahmad: 3/12 – 11101}
📕2.Sehri (Part-2)
Sehri ki barkat se sunnat ki pairwi, Ahl e Kitaab ki mukhalifat, ibadat par quwwat, chusti mein izafah, bhook ki wajah se badkhalqi se najaat, sehar ke waqt sayel ko sadqa, zikr o dua aur niyat e roza ke asbaab or mawaqe’ milte hain.
📚{Fatah ul Baari ke kalam ka ikhtesaar: 4/140}
Sehri khaane ki koi khaas dua nahi hai, sehri se pehle bas Roze ki niyat karni hai.
Kuch log sehri nahi khaate, kuch log raat ka khaana sehri samajh ke khaate hain aur kuch log aadhi raat mein uth ke khaa lene ko sehri samajhte hain. In tamam tareeqon mein sehri ki sunnat mafqood (khatm) hai.
Sehri ka waqt Fajr se kuch pehle hai. Daleel:
عَنْ زَيْدِ بْنِ ثَابِتٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ تَسَحَّرْنَا مَعَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ثُمَّ قَامَ إِلَى الصَّلاَةِ. قُلْتُ كَمْ كَانَ بَيْنَ الأَذَانِ وَالسَّحُورِ قَالَ قَدْرُ خَمْسِينَ آيَةً.
Tarjumah:
Sahabi e Rasool Zaid bin Sabit Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath hum ne sehri khaayi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam subah ki Namaz ke liye khade huwe. Main ne poocha ke sehri aur azaan mein kitna faasla hota tha to unhon ne kaha ke pachaas (50) Ayatein (padhne) ke muwafiq faasla hota tha.
📚{Sahih Bukhari: 1921}
📕2.Sehri (Part-3)
Agar kabhi sehri khaate khaate Fajr ki Azaan ho jaye to khaana na chore balki plate ka khaana saaf kar le. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: إِذَا سَمِعَ أَحَدُكُمُ النِّدَاءَ وَالإِنَاءُ عَلَى يَدِهِ فَلاَ يَضَعْهُ حَتَّى يَقْضِيَ حَاجَتَهُ مِنْهُ
Tarjumah:
Tum mein se jab koi (Fajr) ki azaan sune aur bartan us ke haath mein ho to use rakhe nahi balki apni zaroorat poori kar le.
📚{Sunan Abi Daud: 2350}
Is mein do (2) baatein dhiyaan dene ke laiq hain.
Pehli: Is tareeqe ko mamool na banayen.
Doosri: Is hadees mein us azaan ka zikr hai jo sahih waqt par ho. Jin Masajid mein Fajr ki azaan sahih waqt par nahi hoti balki takheer (late) se hoti hai wo is hukm mein daakhil nahi.
Sehri ke liye Taharat shart nahi is liye agar ehtelaam (wet dream) ho gaya ho ya jimaa’ (hambistri, sexual intercourse) kiya ho to us haalat mein sehri khaa sakte hain. Hazrat Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain:
قَالَتْ أَشْهَدُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِنْ كَانَ لَيُصْبِحُ جُنُبًا مِنْ جِمَاعٍ غَيْرِ احْتِلاَمٍ، ثُمَّ يَصُومُهُ. ثُمَّ دَخَلْنَا عَلَى أُمِّ سَلَمَةَ، فَقَالَتْ مِثْلَ ذَلِكَ
Tarjumah:
Mein gawaahi deti hun ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam subah junbi hone ki halat mein karte ehtelaam (wet dream) ki wajah se nahi balki jimaa’ (sexual intercourse) ki wajah se! Phir Aap Roze se rehte (yaani ghusl Fajr ki namaz se pahle sehri ka waqt nikal jaane ke baad karte). Uske baad hum Hazrat Umm e Salamah Radhiallahu Anha ki khidmat mein hazir huwe to Aap ne isi tarah Hadees bayan ki.
📚{Sahih Bukhari: 1931,1932}
Subah hi ghusl kar le taaki Fajr ki namaz jamaat se ada kare.
📕3.Iftaar (Part-1)
Iftaar karna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat hai:
عَنْ سَهْلِ بْنِ سَعْدٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: لاَ يَزَالُ النَّاسُ بِخَيْرٍ مَا عَجَّلُوا الْفِطْرَ
Tarjumah:
Hazrat Sahl bin Saad Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: Meri ummat ke logon mein us waqt tak khair baaqi rahega jab tak woh iftaar mein jaldi karte rahenge.
📚{Sahih Bukhari: 1957}
Iftaar mein jaldi karna chahiye yani Sooraj doobte hi fauran iftaar karna chahiye. Upar wali hadees is baat ki daleel hai.
Logon mein mashhoor iftaar ki dua “اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ” Mursal hone ki wajah se zaeef hai.
Sheikh Albani Rahimahullah ne Abu Dawood (2358) ki is Hadees ko Zaeef kaha hai.
📚{Zaeef ul Jami: 4349 or Zaeef Abu Dawood (Albani): 2358}
📕3.Iftaar (Part-2)
Iftaar karte waqt Bismillah kahen aur iftaar ke baad yeh dua padhen:
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
Tarjumah:
Piyaas khatm ho gayi, ragein tar ho gayein, aur agar Allah ne chaaha to sawaab (ajr) mil gya.
{Sunan Abi Dawood: 2357}
Iftaar karana bade ajr (sawaab) ka kaam hai. Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:
عَنْ زَيْدِ بْنِ خَالِدٍ الْجُهَنِيِّ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ فَطَّرَ صَائِمًا كَانَ لَهُ مِثْلُ أَجْرِهِ غَيْرَ أَنَّهُ لاَ يَنْقُصُ مِنْ أَجْرِ الصَّائِمِ شَيْئًا
Tarjumah:
Zaid bin Khalid Al-Juhani Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis shakhs ne kisi Rozedaar ko iftaar karaya to us shakhs ko bhi utna hi sawaab milega jitna sawab Rozedaar ke liye hoga, or Rozedaar ke apne sawaab main se kuch bhi kami nahi ki jayegi.
📚{Tirmizi: 807}
Jab koi kisi doosre ke yahan iftaar kare to yeh dua padhe:
أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ الصَّائِمُونَ وَأَكَلَ طَعَامَكُمُ الأَبْرَارُ وَصَلَّتْ عَلَيْكُمُ الْمَلاَئِكَةُ
Tarjumah:
Tumhare paas Rozedaaron ne iftaari ki, nek logon ne tumhara khaana khaaya aur tum par firshton ne rehmat bheji.
📚{Sunan Abi Dawood: 3854}
📕3.Iftaar (Part-3)
Ghalati se waqt se pehle iftaar karne waalon ko chahiye ke jaise hi ghalati ka ilm ho fauran khaana chor den, is par koi gunah aur koi kaffara nahi hai. Jaisa ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ أَكَلَ نَاسِيًا وَهْوَ صَائِمٌ فَلْيُتِمَّ صَوْمَهُ، فَإِنَّمَا أَطْعَمَهُ اللَّهُ وَسَقَاهُ
Tarjumah:
Jis ne Roza rakha ho or bhool kar khaa liya ho to use apna Roza poora kar lena chahiye kiunki use Allah ne khilaya pilaya hai.
📚{Sahih Bukhari: 6669}
Lekin jaan boojh kar aisa karne waalon ke liye sakht wa’eed hai.
Ghair Muslim agar halal kamaayi se iftaar karaye to us ke khane mein koi harj nahi hai agar deeni Maslehat ho lekin agar Islam ke liye bura ho to bachna behtar hai, isi tarah jo log iftaar ko siyasat (politics) se jodte hain aur iftaar party karte hain us se bhi parhez behtar hai.
Airplane mein safar karne walon ko bhi us waqt tak iftaar nahi karna hai jab tak sooraj nazar aaye. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
إِذَا أَقْبَلَ اللَّيْلُ مِنْ هَا هُنَا، وَأَدْبَرَ النَّهَارُ مِنْ هَا هُنَا، وَغَرَبَتِ الشَّمْسُ، فَقَدْ أَفْطَرَ الصَّائِمُ
Tarjumah:
Jab raat us taraf (mashriq) se aaye or din idhar maghrib mein chala jaaye ki sooraj doob jaaye to Roze ke iftaar ka waqt aa gya.
📚{Sahih Bukhari: 1954}
Musalmanon ke baaz tabqaat mein iftaar ke liye paanch (5) se dus (10) minute tak ka ehtiyaat hota hai, usi hisaab se yeh log apne iftaar ka calender banaate hain. Is liye hum aam musalmanon ko bakhabar karna chahte hain ke yeh sunnat ki mukhalifat hai balki iftaar mein ehtiyaat ko riwaaj dena bidat ka irtikaab hai. Sooraj doobte hi hamein baghair ehtiyaat kiye fauran iftaar karna chahiye.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Ramadhan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment