Tuesday, 28 August 2018

📍His sins will be forgiven, even if they are like the foam of the sea.


RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said whoever go to his bed and says below words his sins will be forgiven, even if they are like the foam of the sea.
📚{Al Silsila As Sahiha ,415}


 لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد 
وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله
سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر

La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu,
Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir.
La Hawla wa La Quwwata illa billah
SubhanAllah, Walhamdulillah,
Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar


Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.
📚{Al Silsila As Sahiha ,415}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Monday, 27 August 2018

📍Shirk ki halat mein khatima.


Hazrat Anas Radi-Allahu-Anhu se Riwayat Hain ke Ek shaks ne Arz kiya: Allah ke Rasool! Mere Walid Kaha hain❓ Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmya: Tumhare walid Jahannam mein hain. Jab wo peeth pher kar chala to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya " Mere walid aur Tere walid dono Jahannam mein hain.
📚{Sunan Abi Dawud 4718}

Anas (RadiAllahu anhu) se rivayat hai ki ek aadmi ne arz kiya, yhe Allah ke Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Mere Baap (Father) kaha hai❓
Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya dozakh mai, Jab vo admi wapas jane laga to Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne us ko bolaya or phir farmaya ke mere baap or tere baap dono dozakh mai hai.
📚{Sahih Muslim Vol 1,H-500}

📍Wazahat
Isse ye malum hota hai ke insaan ke liye Tauheed, Wahdaniyat ki kitni Ahmiyat hai.Tauheed ke bagair insaan ki zindagi be-mani Hai. Jis ka khatima Tauheed ke bagair ho, chahe wo Nabi ke Walid ho, ya Nabi ke Maa ho, ya Nabi ki biwi ho, ya Nabi ka beta ho, ya Nabi ke chacha ho, chahe kitni bhi badi motabar shaksiyat ho, unka thikana jannam hai. jo Allah Ta'ala ki Wahdaniyat ko nai pehchana Allah ke Nazdeek uski koi Ahmiyat Nahi hai..

Aur isse ye baat bhi malum hoti hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sifarish bhi unhi logon ke liye hai jinka khatima Tauheed par hota hai, jo shaks Allah Ta'ala ki zaat, sifaat,Ibadah me kisi doosre ko bhi shareek tehrata hai Matalb Allah par Imaan Rakhta hai ke Allah Aulaad ka Rizzaq ka, Maal ka, naam, shohrat ka dene wala hai aur bimariyon ko shifa karne wala hai.,

Aur saath saath ye bhi imaan rakhta hai ke, Nabi, sahabi, wali, ya peer faqeer ya koi baba bhi ye sab kuch dete hai, aisa Aqeeda aisa imaan Rakh kar tauba ke bagair is duniya se jayega to uski sifarish bhi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam nahi karenge..is liye ke Allah ta'ala ke Nazdeek sab se Aham chiz Tauheed hai. Allah ta'ala ko ek jaanna ek maanna aur sirf usi ki ibadat karan..

Allah ta'ala hum sab ka khatima Tauheed par kare.
Aameen ya Rabbal Aalemeen.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Wednesday, 8 August 2018

📍Whatsapp Use Karney Key kuch Aadaab📍

​​
Note -  please don't take it personally.

(1) Jo Bhi Qurani Aayat Ya Hadees Aap Ke Paas Aaye Usay Forword Karney Se Pehlay Check Kar Len Ya Kisi Mustanad (Authoritative) Aalim Se Pooch Len, Kahin Aisa Na Ho Ke Aap Ke Upar Jhooti Hadees Ko Phelanay Ka Wabaal (Pest) Aur Gunah Aa Jay.

(2) Apne Watsaap Ko Logon Ki Burai Aur Gheebat Ka Zariya Na Banayen, Yaad Rakhen Ke Sirf Aik Gheebat Wali Baat Share Karney Ki Wajah Se Lakhoon Logon Ka Gunah Aap Ke Sir Aajayga Aur Aap Ko Maloom Bhi Nahi Hoga.

(3) Logon Ki Izzat Ke Peechay Na Paden, Kisi Ki Jasoosi Na Karen, Kiyunkay Jo Dosron Ki Izzat Par Haath Dalta Hai Allah Taala Usay Zaleel o Ruswa Kar deyta Hai.

(4) Shahed Ki Makhkhi Ki Misaal Banen Jo Khushbudar Cheezon Par Hi Baithti Hai Aur Logon Ko Faiday Ki Cheez "Shahed" (Honey) Deti Hai. Aisay Hadsaat o Waqiyat Ko Share Na Karen Jin Se Koi Faida Na Ho, Logon Ko Khush Karen Na Ke Mayoos Karen. Us Makhkhi Ki Misaal Na Banen Jo Gandagi Par Baithti Hai.

(5) Apne Mulk o Watan Se Mutalliq Galat Baatein Share Na Karen, Aik Zimmedaar Shehri Banen. Allah Ka Shukr Ada Karen Ke Aap Apne Mulk Mein Aazaadana Taur Par Apne Deen Par Amal Kar Saktay Hain.

(6) Dosron Ki Khusoosan (Khaas Taur Sey) Ulma e Kiraam Ki Aib Joi Na Karen (Unkey Aib Na Nikalen), Lekin Agr Kisi Galati Par Aagaah Karna Ho To (Behtar Andaaz Mein) Kar Saktey Hain. Doosron Ke Aib Talaash Karney Ke Bajaye Apni Islaah Ki Ziyada Fikr Karen, Is Liye Ke Aib Talaash Karney Ke Liye Zabaan Sab Ke Paas Hai.

(7) Koi Link Share Karney Se Pehlay Check Karlen, Kahin Anjanay Mein Shareeyat Key Khilaaf Baat Na Share Kar Dein.

(8) Kisi Ko Koi Message Bhejnay Se Pehlay Yeh Zaroor Dekh Len Ke Un Ka Waqt Musnasib Hai Ke Nahi.

(9) Koi Zaroori Nahi Ke Har Woh Cheez Jo Aap Ke Paas Aaye Usay Zaroor Share Karen. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Farmatey Hain:

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ ‏"‏ ‏.‏

Tarjumah:
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Ke Aadmi Key Jhoota Honey Key Liye Ye Baat Kaafi Hai Ke Wo Har Suni Sunai Baat Ko Aagey Bayan Kar Dey.
📚(Sahih Muslim: 7)

📍Isliye Sirf Tehqeeq Ki Hue Cheezein Hi Bheja Karen.

(10) Apne Auqaat Ka Muhasba Karen Ke Kitna Waqt Whatsapp Istemaal Karne Mein Lagatey Hain❓ Aur Kitna Waqt Quran e Kareem Ko Samjh Kar Parhnay Aur Deen Seekhnay, Sikahnay Mein Lagatey Hain❓ Aur Kitna Waqt Doosrey Zaroori Kaam Mein Lagatey Hain❓ Is Ke Baad Time Spend Karney Ka Routine Banayen.

(11) Logon Ko Ziyada Se Ziyada Quran o Hadees Ki Sahih Baatein Pohnchayen Aur Awam (Logon) Mein Phailay Galat Afkaar o Nazariyyat Ki Bharpoor Tardeed Karen Lekin Wazeh Rahay Apni Dawat Ka Mehwar (Axis) Aqeeda e Toheed Ko Banayen.

(12) Jo Bhi Cheez Doosron Ko Bhaijtay Rahenge Woh Sab Aap Ke Nama e Aamaal Mein Darj Hota Rahayga. Is Liye Aap Ki Hamesha Yeh Koshish Ho Ke Hamaray Nama e Aamaal Mein Sawaab Ka Kaam Likha Jaye Or Azaab Walay Tamam Kaamon Se Parhaiz Karen.

📍Allah Hamein Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye.📍
Aameen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/


Tuesday, 7 August 2018

📌 Sajde sirf aur sirf Allah hi ke liye jayez hain.


Surah Fussilat 41, ayat 37

🍃🍂 Tum suraj ki sajda na karo aur na chand ko , balke sajda USS Allah ke liye karo Jis ne unn sab ko paida kiya hai , agar tumhe uss ki ibadat karni hai to.

📝 yani jo shaksh chahe ke Allah hi ka banda bane to sajda Ussi ko kare..aur Kisi chand , suraj ko sajda na kare yani sajda karna sirf khaliq hi ka haqq hai kisi bhi makhluq ko sajda na kia jaye aur makhluq sab hain suraj , chand, nabi aur wali , waghirah.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Wednesday, 1 August 2018

📍Do (2) Din Khushi Ke Liye….


📗Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Hijrat Farma Kar Madina Tashreef Laye Tou Dekha Yahan Ke Log Saal Me 2 Din Khel-Kood Karte Hain, Khushi Manate Hain.

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Logon Se Pucha – “Yeh 2 Din Kaise Hain ❓”

Log’on Ne Arz Kiya – “Inn 2 Dino Me Hum Jahalat Ke Zamaane Me Khushiyan Manatey They”.

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

“Allah Ne Inn 2 Dino Ko Badal Kar Is Sey Behtar 2 Din Khushi Ke Liye Tumhe Diye.

“Eid-Ul-Fitr(Ramzan Eid) Aur Eid-Ul-Azha(Qurbani Eid)”.

📚{Sunane Abu Dawood - Hadith 1134}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Thursday, 26 July 2018

📍Ehsan Kya hai, Ehsan Jatlane Ki Saza❓❓



🚫Part - 1

Ehsan karna badi neki hai magar ehsan kar ke kisi par ehsan jatlana buri sifat hai. Aise logon ko Arabic mein “mannan” aur urdu mein “ehsan jatlane wala” kehte hain.

📮Mannan:
Is se murad woh shakhs hai jo kisi ko kuch dene ke bad ehsan jatlata hai. Imam Qurtubi Rahimahullah ne ehsan jatlane ki tareef (definition) is tarah ki hai:

ذکر النعمة علی معنی التعدید لها والتقریع بها، مثل ان یقول: قد احسنت إلیك

🖍Tarjumah:
Kisi ko jatlane ya dhamkane ke liye us par kiye huwe ehsan ka tazkirah karna. For example: Yeh kehna ki main ne (tere saath flan neki ki hai) tujh par flan ehsan kiya hai, wagerah (etc.)
📚(Tafseer e Qurtubi: 3 / 308)

Kuch logon ne ehsan ki tareef is tarah bhi ki hai:

التحدث بما اعطٰی حتی یبلغ ذلك المُعطٰی فیؤذیه

🖍Tarjumah:
Kisi ko di hue cheez ka tazkarah is tarah karna ke us ko jab yeh baat pahunche to us ko takleef de.


🚫Part – 2

📮Gunah e Kabirah Ki Tareef (Introduction):
Har woh gunah jis ko Quran o Hadith ya ummat ke Ijmaa' ne kabirah gunah qarar diya hai. Woh jis gunah ko azeem qarar dete huwe us par sakht saza ka hukm sunaya gya ho ya us par koi hadd muqarrar ki gai ho ya gunah ka irtikaab karne waale par la'nat ki gai ho ya jannat ke haram hone ka hukm lgaya gya ho.

Kabirah gunah baghair tauba maaf nhi hote. Allah ka farman hai:

إِنْ تَجْتَنِبُوا كَبَائِرَ مَا تُنْهَوْنَ عَنْهُ نُكَفِّرْ عَنْكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ وَنُدْخِلْكُمْ مُدْخَلًا كَرِيمًا

🖍Tarjumah:
Agar tum un bade gunahon se bachte rahoge jin se tum ko mana kiya jaata hai to hum tumhare chote gunaah door kar denge aur izzat o buzrugi ki jagah dakhil karenge.
📚(Surah An-Nisa, Ayat No: 31)

Qur'an:

وَلِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ لِيَجْزِيَ الَّذِينَ أَسَاءُوا بِمَا عَمِلُوا وَيَجْزِيَ الَّذِينَ أَحْسَنُوا بِالْحُسْنَى۞ الَّذِينَ يَجْتَنِبُونَ كَبَائِرَ الْإِثْمِ وَالْفَوَاحِشَ إِلَّا اللَّمَمَ ۚ إِنَّ رَبَّكَ وَاسِعُ الْمَغْفِرَةِ

🖍Tarjumah:
Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zameen mein hai taaki Allah Taala burey aamaal karne walon ko unke aamaal ka badla de aur neik kaam karne walon ko achcha badla inayat farmaye. Un logon ko jo bade gunahon se bachte hain aur be-hayaai se bhi. Siwaye kisi chote se gunah ke. Be-shak tera Rabb bahut kushada maghfirat wala hai.
📚(Surah An-Najm, Ayat No: 31 and 32)


🚫Part – 3
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

الصَّلَوَاتُ الْخَمْسُ وَالْجُمُعَةُ إِلَى الْجُمُعَةِ وَرَمَضَانُ إِلَى رَمَضَانَ مُكَفِّرَاتٌ مَا بَيْنَهُنَّ إِذَا اجْتَنَبَ الْكَبَائِرَ 

🖍Tarjumah:
Jab (insaan) Kabirah gunaahon se bach raha ho to, paanch (5) namazein, aik Juma' (doosre) Juma' tak aur aik Ramadhan doosre Ramadhan tak, darmiyan ke arse mein honay wale gunaahon ko mitaane ka sabab hain.
📚(Sahih Muslim: 233)

Aik doosri Hadees hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

إِنَّ الْعَبْدَ إِذَا أَخْطَأَ خَطِيئَةً نُكِتَتْ فِي قَلْبِهِ نُكْتَةٌ سَوْدَاءُ فَإِذَا هُوَ نَزَعَ وَاسْتَغْفَرَ وَتَابَ سُقِلَ قَلْبُهُ وَإِنْ عَادَ زِيدَ فِيهَا حَتَّى تَعْلُوَ قَلْبَهُ وَهُوَ الرَّانُ الَّذِي ذَكَرَ اللَّهُ ‏:‏ ‏(‏ كلاَّ بَلْ رَانَ عَلَى قُلُوبِهِمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ ‏)‏ ‏"‏ ‏.‏

🖍Tarjumah:
Banda jab koi gunah karta hai to us ke dil mein aik kaala (black) nukta (spot) pad jaata hai, phir jab woh gunah ko chor deta hai aur tauba wa isteghfaar karta hai to us ke dil ki safai ho jaati hai (kaala dhabba mit jaata hai) aur agar woh gunah dobara karta hai to kaala nukta (black spot) mazeed phail jaata hai yahan tak ke poore dil par chaa jaata hai, aur yahi woh «ران» hai jis ka zikr Allah Ta'ala ne is aayat {كَلاَّ بَلْ رَانَ عَلَى قُلُوبِهِمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ} mein kiya hai.
📚(Tirmidhi: 3334)

🚫Part – 4
Bade afsos ki baat hai ke log ehsan karne ke baad ehsan jatlate hain, kuch social organisation jo khairati kaam karti hain wo gareebon ko taana (reproach) deti hain, isi tarah kuch maaldaar faqeeron aur ghareebon par ehsan kar ke unhein be-izzat karte hain aur ehsan ka badla talash karte hain aur ehsan jatla kar baar baar unhein sharminda karte hain. Jo admi is tarah ke rawayye (attitude) ko ikhtiyar kiye rakhega, woh sadaqat aur khairat ki tamaam nekiyon se haath dhoo baithega (means mehroom ho jaayega).

Yehi wajah (reason) hai ke Allah Ta'ala ehsan karne ka hukm deta hai lekin ehsan jatlane par sakht wa'eed sunata hai. Allah Ta'ala ka farman hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تُبْطِلُوا صَدَقَاتِكُمْ بِالْمَنِّ وَالْأَذَىٰ كَالَّذِي يُنْفِقُ مَالَهُ رِئَاءَ النَّاسِ وَلَا يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۖ فَمَثَلُهُ كَمَثَلِ صَفْوَانٍ عَلَيْهِ تُرَابٌ فَأَصَابَهُ وَابِلٌ فَتَرَكَهُ صَلْدًا ۖ لَا يَقْدِرُونَ عَلَىٰ شَيْءٍ مِمَّا كَسَبُوا ۗ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْكَافِرِين

🖍Tarjumah:
Aye eman walo! apni khairaat ko ehsan jata kar aur takleef pahuncha kar barbaad na karo! Jis tarah woh shakhs apna maal logon ke dikhaawe ke liye kharch kare aur na Allah Ta'ala par eman rakhe na qayamat par, us ki misal us saaf paththar ki tarah hai jis par thodi si mitti ho phir us par zordaar paani barse aur woh usey bilkul saaf aur sakht chor de, in riyakaaron ko apni kamaai mein se koi cheez haath nahi lagti aur Allah Ta'ala kafiron ki qaum ko (seedhi) raah nahi dikhata.
📚(Surah Al-Baqarah, Ayat No: 264)


🚫Part – 5

Maqsad yeh hai ke jo kaam tum apni duniya aur aakhirat ki bhalayi ke liye kar rhe ho us par ehsan jatlana kaisa❓

Ehsan jatlane wale ke bare mein hadith mein bhayanak saza sunayi gayi hai:

عَنْ أَبِي ذَرٍّ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ ثَلاَثَةٌ لاَ يُكَلِّمُهُمُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلاَ يَنْظُرُ إِلَيْهِمْ وَلاَ يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ ‏"‏ قَالَ فَقَرَأَهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ثَلاَثَ مِرَارٍ ‏.‏ قَالَ أَبُو ذَرٍّ خَابُوا وَخَسِرُوا مَنْ هُمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ‏"‏ الْمُسْبِلُ وَالْمَنَّانُ وَالْمُنَفِّقُ سِلْعَتَهُ بِالْحَلِفِ الْكَاذِبِ

🖍Tarjumah:
Abu Zarr Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ke teen aadmi aise hain ke jin se Allah Taala Qayamat Ke din baat nahi karega aur na hi un ki taraf rehmat ki nazar se dekhega na unhein gunaaho se paak o saaf karega (means maaf karega) aur unke liye dardnaak azaab hai, Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu kehte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen baar yeh (Sentence) farmaya, Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Yeh log to sakht nuqsaan aur khasare mein honge, yeh kon log hain❓❓
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: takhnon se neeche kapda latkane wala, ehsan Jatlane wala Aur Jhooti qasam kha kar apna samaan (maal, sauda) bechne wala.
📚(Sahih Muslim: 106)

Isliye jo log ehsan karte hain unhein kisi tarah apne ehsan ka izhar nahi karna chahiye, aur agar kisi se ehsan jatla diya hai to apne gunah se tauba karni chahiye aur us bande se maafi maangni chahiye warna Allah ke yahan neki karne ke bawjood zaleel o ruswa hoga.

Allah Ta'ala hamein ehsan karne ki taufeeq ata farmaaye aur ehsan jatlane se bachaye!!
Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍In-dino Deeni Dawat ka kon sa Tareeqa hai❓❓


🚫Part - 1

Aaj kal Social media, whatsapp waghera par telephonic munazron ki badi dhoom hai. Khaas taur se hamaare deeni bhai jo ilm o aml ke aitbaar se na to pukhtagi ko puhanche hain na ilm o tehqeeq se koi khaas rabt hai is mashghale mein ziyadah masroof hain. Kisi muqallid aalim se ya aam aadmi se kisi khaas masle par guftugu shuru hoti hai aur phir jab saamne waala badzubani par utarta hai to idhar se us se bhi ziyadah gandi zubaan istemaal kar ke whatsapp waghera par apni fatah ka danka bajaaya jaata hai.

Sawaal yeh hai ke yeh da’wat ka konsa tareeqa hai❓

Aur is se hamein kya faidah haasil hone waala hai. Hamaara deen hamein hikmat ke saath da’wat ka kaam karne ka hukm deta hai:

ادْعُ إِلَىٰ سَبِيلِ رَبِّكَ بِالْحِكْمَةِ وَالْمَوْعِظَةِ الْحَسَنَةِ ۖ وَجَادِلْهُمْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ

🖍Tarjumah:
Apne Rabb ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat ke saath bulaaiye aur un se behtareen tareeqe se guftugu kijiye.
📚{Surah An-Nahl, Ayat No: 125}

🚫Part - 2

Bad zubani aur mizaaj ki tezi hamesha bane banaaye kaam ko bigaad deti hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne husn e akhlaaq aur khushguftaari (baat karne ka achcha saleeqa) se hi logon ka dil jeeta tha:

فَبِمَا رَحْمَةٍ مِنَ اللَّهِ لِنْتَ لَهُمْ ۖ وَلَوْ كُنْتَ فَظًّا غَلِيظَ الْقَلْبِ لَانْفَضُّوا مِنْ حَوْلِكَ

🖍Tarjumah:
Allah Ta'ala ki rehmat ke baa’is Aap in par naramdil hain aur agar Aap badzubaan aur sakht dil hote to yeh sab Aap ke paas se chatt jaate.
📚{Surah Aal e Imran, Ayat No: 159}

Jo Nabi yahoodiyon ke “Assaamu Alaikum” (السَّامُ عَلَيْكُمْ) ka jawab sirf “Walaikum” se dete hon aur Amma Aisha Radhiallahu Anha ko samajhaate huwe kehte hon:

مَهْلًا يَا عَائِشَةُ، عَلَيْكِ بِالرِّفْقِ، وَإِيَّاكِ وَالْعُنْفَ وَالْفُحْشَ

🖍Tarjumah:
Thehro Aisha! Tumhein naram-khoi ikhtiyaar karni chaahiye sakhti aur badzabani se bachna chahiye.
📚{Sahih bukhari: 6030}

Us Nabi ke muttaba’een (ittebaa’ karne waalon) ka haal yeh hai ke zara zara si baat par apna aapa kho dete hain aur zabaan par koi qaabu nahi rakhte❓❓

Yaad rakhen!
Da’wat ka yeh “Tareeqa” Kitaab o Sunnat ki ta’lemaat ke sarasar khilaaf hai. Behtar hota ke hum mustand ulama ke paas tarbiyat haasil karte aur phir roshan dalaail se saamne waale ko qaail karne ki koshish karte ke yahi Nabi ke Deen ke shayan e shaan usloob hai aur yahi da’wat ka munasib tareeqa hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com