Thursday, 26 July 2018

📍In-dino Deeni Dawat ka kon sa Tareeqa hai❓❓


🚫Part - 1

Aaj kal Social media, whatsapp waghera par telephonic munazron ki badi dhoom hai. Khaas taur se hamaare deeni bhai jo ilm o aml ke aitbaar se na to pukhtagi ko puhanche hain na ilm o tehqeeq se koi khaas rabt hai is mashghale mein ziyadah masroof hain. Kisi muqallid aalim se ya aam aadmi se kisi khaas masle par guftugu shuru hoti hai aur phir jab saamne waala badzubani par utarta hai to idhar se us se bhi ziyadah gandi zubaan istemaal kar ke whatsapp waghera par apni fatah ka danka bajaaya jaata hai.

Sawaal yeh hai ke yeh da’wat ka konsa tareeqa hai❓

Aur is se hamein kya faidah haasil hone waala hai. Hamaara deen hamein hikmat ke saath da’wat ka kaam karne ka hukm deta hai:

ادْعُ إِلَىٰ سَبِيلِ رَبِّكَ بِالْحِكْمَةِ وَالْمَوْعِظَةِ الْحَسَنَةِ ۖ وَجَادِلْهُمْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ

🖍Tarjumah:
Apne Rabb ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat ke saath bulaaiye aur un se behtareen tareeqe se guftugu kijiye.
📚{Surah An-Nahl, Ayat No: 125}

🚫Part - 2

Bad zubani aur mizaaj ki tezi hamesha bane banaaye kaam ko bigaad deti hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne husn e akhlaaq aur khushguftaari (baat karne ka achcha saleeqa) se hi logon ka dil jeeta tha:

فَبِمَا رَحْمَةٍ مِنَ اللَّهِ لِنْتَ لَهُمْ ۖ وَلَوْ كُنْتَ فَظًّا غَلِيظَ الْقَلْبِ لَانْفَضُّوا مِنْ حَوْلِكَ

🖍Tarjumah:
Allah Ta'ala ki rehmat ke baa’is Aap in par naramdil hain aur agar Aap badzubaan aur sakht dil hote to yeh sab Aap ke paas se chatt jaate.
📚{Surah Aal e Imran, Ayat No: 159}

Jo Nabi yahoodiyon ke “Assaamu Alaikum” (السَّامُ عَلَيْكُمْ) ka jawab sirf “Walaikum” se dete hon aur Amma Aisha Radhiallahu Anha ko samajhaate huwe kehte hon:

مَهْلًا يَا عَائِشَةُ، عَلَيْكِ بِالرِّفْقِ، وَإِيَّاكِ وَالْعُنْفَ وَالْفُحْشَ

🖍Tarjumah:
Thehro Aisha! Tumhein naram-khoi ikhtiyaar karni chaahiye sakhti aur badzabani se bachna chahiye.
📚{Sahih bukhari: 6030}

Us Nabi ke muttaba’een (ittebaa’ karne waalon) ka haal yeh hai ke zara zara si baat par apna aapa kho dete hain aur zabaan par koi qaabu nahi rakhte❓❓

Yaad rakhen!
Da’wat ka yeh “Tareeqa” Kitaab o Sunnat ki ta’lemaat ke sarasar khilaaf hai. Behtar hota ke hum mustand ulama ke paas tarbiyat haasil karte aur phir roshan dalaail se saamne waale ko qaail karne ki koshish karte ke yahi Nabi ke Deen ke shayan e shaan usloob hai aur yahi da’wat ka munasib tareeqa hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

1 comment:

  1. Jhazak Allahu khair for posting this..your blog is very helpful to me....!

    ReplyDelete