Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se riwayat hai ke Rasool Allah (صلى الله عليه و سلم) ne farmaya:
Taqatwar momin Allah ke nazdeek kamzoor momin ki nisbat behtar or zyada mehboob hai, jabke dono me khair (mawjood) hai, jis cheez se tumeh (haqeeqi) nafa pohche is me hirs karo or Allah se madad mango or kamzoor na pado ( mayoos hokar na baitjao) agar tumeh koi nuqsan pohche tu yeh na kaho kash main is tarah karta tu aisa aisa hota balke yeh kaho
قَدَرُ اللَّهِ وَمَا شَاءَ فَعَلَ
kyounki "kash" (kehna) shaitan ke amal ( ke darwaze) khuldeta hai.
Sahih Muslim 2664
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment