Monday 28 January 2019

Shaadi Ke Baad Shauhar Ka Naam Apney Naam Ke Saath Lagana Kaisa Hai ??


📌Jo Aurtein Shaadi K Baad Apney Walid Ka Naam Hata Ker Shauhar Ka Naam Adopt Kerti Hain Wo Zara Gaur Karen Ki Ye Haraam ❌ Hai.

💐 💐 ↔Misaal k tor pe, shaadi se pehley Larki naam "Fatima maqsood Ali" shaadi hui Sajid Siddique, se, ab naam badal kr "Fatima Sajid Siddique" ya sirf "Fatima Sajid". Rakh liya.

📌Ye haraam hai. iski ijazat nahi ki koi apne baap (Walid) ka naam hata ker apne shauhar ka naam ya apne shauhar k khaandaan ka naam apne agey lagaey ye kuffar ka tareeka hai hame iseko apnaney se bachna chahiye.

👉➡Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki HADITH KI ROSHNI ME DEKHYE .

Hazrat Abu Dharr (Radiallahu Anhu) ne suna ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : “ Kisi admi ne apne walid k siwa apni shinakth kisi or k saath milaee usne kufr kiya. Jisney us shaks se apney to jorda jo uska baap nahi wo apna theekana Jahannam me bana ley.” 
📚[Bukhari 3508]

Hazrat Sa’d ibn Abi Waqqaas or Hazrat Abu Bakar (Radiallahu Anhuma) ne kaha ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki: “Jo ye kehta hai ki wo musalman hai or wo kisi k saath khud ko jordta (attach) hai jo uska baap nahi ye jaan kar ki wo uska haqiqi baap nahi, JANNAT uske liye Haraam hai” 
📚[Bukhaari 4072]


⏩Issey zada or kya advice ho sakti hai..❓

❌🚫Ye kuffar ka tareeka tha or aaj hamari behney bade shauk se isko apnati hain yaad rahey Baap ka rishta kisi bhi naey rishtey k aney k baad khatam nahi hota or aulad ki shinakth or pehchan uske walid k naam se hi hogi, or apne shauhar ka naam apne naam k saath lagana ye Kufr or haraam ka bais hai.

❌Shauhar or Biwi ka khoon ka rishta nahi hota.
✅Aur naam sirf khoon k rishtey se hi jorda ja sakta hai.

➡Agar kisi wajah se uska talaq hoga to us surat me wo kitney naamo ko change kareygi ❓

📝 Agar shauhar ka naam lagana sahi hota to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwiyon ne bhi apna naam badla hota kyn ki unke shauhar to duniya k Afzal Tareen shaks they.

Hz. Khadeeja (Radiallahu Anha) hamesha Khadeeja bin Khuwalid rahin , 
Hazrat Aysha (Radiallahu Anha) hamesha ta umr Aysha bint Abu Baker rahin.
yahan tak ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki wo biwiyan jinke baap kafir they apney unke naam ka lakab bhi kabhi tabdeel nahi kiya.

📝 EXAMPLE :
Saffiya bint Huyayy (Radiallahu Anha)
( Huyayy Yahoodi tha or Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka jani dusman bhi tha)

📌⏩Jannat mey Aurton ki sardar Hz Fatima (Radiallahu Anha) hamesha Fatima Bint Muhammad rahin unhoney Hz Ali (Radiallahu Anhu) k NAAM ke SAATH APNEY NAAM KO KABHI NAHI JORDA .

✅Jis behan ne galti se aisa kiya hai wo Allah se sacchi tauba karey or apne walid ka naam wapas apne naam se jordey. hame apney amalon ka hisab Allah ko deyna hai or ye sarsar allah or uske rasool ki nafarmani hai.

Allah hame samjhney or is par amal krney ki taufeeq dey.
AAMEEN !!!

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

1 comment:

  1. Bhai deen me akal ka dhakhal nahi hota hai. aap apni akal na lagaye hadees me saf sag bataya gaya.

    ReplyDelete