Saturday, 30 June 2018

📍 Woh sharten jo nikah mein jayez nahi❗


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

"kisi aurat ke liye yeh jayez nahi keh woh apni kisi (sokan) behan ki talaq ki sharat iss liye lagae ta'ke uss ke hisse ka payala bhi khud andel le kyun ke usse wahi mile ga jo uss ke muqadar mein hoga."

📘 (Sahih Bukhari : 5152)

Aur ek Hadith me Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ki irshad e garami hai ;

" har woh sharat jo kitab Allah mein nahi woh batil hai....."

📘 (Sunan ibn e Majah : 2521)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Nikah ke waqt taye kurdah Sharaaet ko pura karna ❗


Hazrat Uqba Radi Allahu Anha ne beyan kya keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"tamam sharton mein woh sharten sab se zyada puri ki jane ke layq hain jin ke zariya tum ne sharm gawahon ko halal kiya hai ( yani nikah ki sharten zarur puri karni hogi)."

📘 (Sahih Bukhari :5151)

🚫 Nikah ki Sharaaet maslan,

Biwi ke liye haq mahr, naan o nufqah aur khawnd ki itat aur khidmat karna waghairah.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand Biwi ek dosre ke huquq a'da karen ❗


Kamiyab o khuss gawar azdawaji zindagi guzarne ke liye zaruri hai ke khawnd biwi ek dosre ke huquq ka ehtram karen aur unn mein se har ek dosre ke huquq ko a'da karen.

Irshad Bari Ta'ala hai ;

" وَ لَہُنَّ مِثۡلُ الَّذِیۡ عَلَیۡہِنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ  ۪ وَ لِلرِّجَالِ عَلَیۡہِنَّ دَرَجَۃ"

"Aur aurton ka bhi waise hi haq hain jaisa unn per mardon ke hain achai ke sath. Haan mardon ko aurton per fazeelat hai ...."

📘 (Surah al Baqrah : 228)

Issi tarah Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne bhi khutbah hajjatul wida mein farmaya tha :

"........ khbardar ! Beshak tumhari biwion ka tum par haq hai aur tum par tumhari biwion ka haq hai...."

📘 (Sahih At Taghrib Wa't Tarhib Al-Albani : 1930)

🚫 Lehazah, khawnd biwi agar ek dosre ke huquq ki pasdari karen to yaqeeni taur par unn ki azdawaji zindagi intehai achche se guzar sakti hai , Allah Ta'ala hum sab ko ek dosre ke huquq a'da karne ki taufeeq de... 
Aameen.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand Biwi.....ek dosre ke dukh dard ki sathi❗


Hazrat Aishah Radi Allahu Anhu ka beyan hai keh jab Rasool Allah sallallahu Alaihi par pehli wahi nazil hui to aap sallallahu Alaihi wasallam kanpte hue (shadid parishani ke alam mein ) apne ghar mein dakhil hue aur Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha se kahne lage (‏‏‏‏ زَمِّلُونِي ‏‏‏‏ ‏‏‏‏ زَمِّلُونِي)
Yani "mujhe chadar udha do, mujhe chadar udha do", toh Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha ne unhe chadar udha di, phir jab aap sallallahu Alaihi wasallam ka kahuf jata raha toh aap sallallahu Alaihi ne unhe pura haal sunaya aur farmane lage , (لَقَدْ خَشِيتُ عَلَى نَفْسِي،)
Yani , "mujhe to apni jaan ka khatra padd gya tha."

Iss par Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha ne aap sallallahu Alaihi ko tasalli dete hue kaha , 

َ‏‏‏‏ كَلَّا وَاللَّهِ مَا يُخْزِيكَ اللَّهُ أَبَدًا، ‏‏‏‏‏‏إِنَّكَ لَتَصِلُ الرَّحِمَ، ‏‏‏‏‏‏وَتَحْمِلُ الْكَلَّ، ‏‏‏‏‏‏وَتَكْسِبُ الْمَعْدُومَ، ‏‏‏‏‏‏وَتَقْرِي الضَّيْفَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُعِينُ عَلَى نَوَائِبِ الْحَق

"Hargiz nahi, aap ko toh bashart ho, Allah ki Qasam ! Allah Ta'ala aap ko kabhi riswa nahi kare ga, Allah ki Qasam ! Aap to silah Rahmi karte hain, sach bolte hain,bojh bardast karte hain, jis ke pass kuch na ho usse kama kar dete hain, mehman nawz hain , haq ke waqaat mein madad karte hain-"

Phir mazeed tasalli ke liye Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha aap sallallahu Alaihi wasallam ko Warqah bin Nawfil ke pass le gyn..........

📘 (Sahih Bukhari : 3)

📘 (Sahih Muslim : 16)

🚫 aap zara ghaur farmaen ! Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha ne apne shohar Hazrat Mohammed sallallahu Alaihi wasallam ki parishani ko kaise kamm kyn aur kis tarah unn ke kahuf ko halka kiya aur unhe tasalli di aur nabuat ke azeem mansab ko uthane ke liye unn ki dharass bandhwai .

issi tarah har khawnd biwi ek dosre ki parishani ko samjhen aur ek dosre ki gham ko halka karne ki koshish karen .

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand Biwi Ke Darmiyan Mohbbat❗


"Hazrat Aaisha Radi Allahu Anha ka beyan hai keh ;

"main Jan halat e haiz mein hoti aur pani peeti to main bacha hua pani Rasool Akram sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me peish karti , phir aap sallallahu Alaihi wasallam bhi ussi jagah se pani peete Jahan se maine peeya hota , issi tarah main jab khane ke dauran ek hadi se gosht katti aur wahi hadi aap sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me peish karti toh aap sallallahu Alaihi wasallam bhi ussi jagah par munh rakh kar gosht katte jahan maine munh rakh kar gosht kata hota."

📘 (Sahih Muslim : 300)

Hazrat Aaisha Radi Allahu Anha beyan karti hain keh ek martabah main aap sallallahu Alaihi wasallam ke sath safar mein thi toh maine aap sallallahu Alaihi wasallam se daurr mein muqabla kiya aur main muqable mein aage barh gayi , phir jab Mera jism bhari ho gaya toh hum dono mein ek baar phir muqabla hua toh aap sallallahu Alaihi wasallam mujh se aage bhar gyen aur aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ; "meri yeh jeet tumhari uss jeet ke badle mein hai."

📘 ( Sunan Ibn e Majah : 1979 )

📘 (sunan Abu Dawud : 2578)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand Biwi Ke Darmiyan Mohbbat❗


Allah Ta'ala farmata hai;

"aur Uss ki nishanion mein se ek yeh hai ke Uss ne tumhare liye tumhari hi jins se biwian paida kyen ta'ke tum sakoon hasil kar sako , uss ne tumhare darmiyan mohbbat aur hamdardi qaym kar di."

📘 (Surah al Room : 21)

🚫 Iss ayat se malum hua keh Allah Ta'ala ne khawnd aur biwi ke darmiyan mohbbat aur hamdardi qaym kar di hai, jis ki badawlat woh ek dosre ko chahte hain, ek dosre ki jazbat ka ehtram karte hain, ek dosre ki raye ko ahmiyat dete hain aur har tarah se ek dosre ka khayal rakhte hain, aur yeh mohbbat aur hamdardi aisi hai jis ki koi nazir nahi milti,

Jaisa ke Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ka irshad garmi hai ;

:لَمْ يُرَ لِلْمُتَحَابَّيْنِ مِثْلُ النِّكَاحِ

"nikah yaftah jaise do mohbbat karne wale kahin nazar nahi aate."

📘 (Al Silasila-tus--tu Sahiha :1970)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Wednesday, 27 June 2018

📍 Chaar Cheezen Khuss Nasibi Ki Alamat Hai.❗


Hazoor Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ka irshad garamai hai ;

"chaar cheezen khuss nasibi aur sadat mandi ki alamat hai:"

Neik Biwi

khusadah ghar

acha hamsaya (neik parosi ) aur

aaram dah sawari

📘 (Sahih At Targhib Wa't Tarhib Al-Albani: 1914)

📘 (Sahih ibn e Habban : 4032)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Nikah Ke Liye Deendariat Ko Tarjeeh Dena ❗


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh, Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne arshad farmaya ;

"aurton se nikah chaar cheezon ke bina par kiya jata hai ,

unn ki maal ki wajah se,

unn ki hasb o nasb ki wajah se,

unn ki khubsurti ki bina par,

aur unn ki deendari ke sabab

Tum deendar aurton seI nikah kar ke kamiyab bann jao, (tumhare hath khak alood hon)-

📘 (Sunan Abu Dawud : 2047)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Sunday, 24 June 2018

📍Zabardasti Badkari (Rape) Karne Par Saza-e-Maut.

Aurat Ke Saath Zabardasti Badkari (Rape) Karne Par Saza-e-Mout 📘Hadees: Ibn Hujr (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Zamane Me Ek Aurat(Sahabiya) Namaz Ke Liye Nikli, Raaste Me Ek Aadmi Unsey Mila Aur Usney Uss Aurat Ke Saath Zabardasti Badkari Ki (Yaani Uska Rape Kiya), Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Uss Shakhs Ko Sangsaar Yaani Rajam Karne Ka Hukm Diya. (Yaani Usey Zameen Me Aadha Daalkar Tab Tak Paththar Mare Jaye Jab Tak Wo Mar Na Jaye). 📚{Sunan Abi Dawud 4379} 📘# Sabak : Aaj Bahut Se Mulk Rape Ke Liye Maut Ki Sazaa Ki Demand Kar Rahe Hain. Magar Islam Ne Ye Sazaa 1400 Saal Se Bhi Pahley Muqarrar Kar Di Hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Thursday, 21 June 2018

📍Har Haal Me Parda.


📘Hadees:
Syyedatuna Umme Khalid (Razi’Allahu Anhaa) Ka Beta Jang Me Shaheed Ho Gaya.
Aap Inke Baare Me Malumaat Haasil Karne Ke Liye Naqaab Daale BaaParda Nabi e Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke pass Haazir Huyeen,

Iss Par Kisi Ne Hairat Se Kaha, “Is Waqt Bhi Aap Ne Naqaab Daal Rakha Hai❓

Tou Aapne Kaha, “Mai Ne Beta Zaroor Khoya Hai, Hayaa Nahi Khoyi”.
📚{Sunan Abi Dawood Hadith .2488}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍Har Haal Me Maa-Baap Se Neki Karna.


📘Al-Quraan

Apne Maa-Baap (Parents) Ke Saath Bhalayi (Neki) Karte Raho.
Aur Agar Tumhare Samney Unmein Se Ek Ya Dono Budhape Ko Pahunch Jaye.
Tou Unhe Uff Bhi Na Kaho Aur Na Unhe Zidkao Aur Unn Se Adab Se Baat Karo.
Aur Unke Samne Shafqat Se Aajazi Ke Saath Jhukey Raho.
Aur Kaho Ki Aye Mere Rab Jaise Unhone Mujhe Bachpan Se Paala Hai.
Isi Tarah Tu Bhi Un Par Raham Farma.

📚{Surah Al-Isra: Ayat-23, 24}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Deen Aasan hai Aur Deen Mein Sakhti nahi balke Pukhtigi ikhtiyar karo


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anha se rivayat hai keh Rasool sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : " beshak deen aasan hai aur jo shaksh Deen mein shkati ikhtiyar kare ga to Deen iss par ghalib aa jaye ga ( aur uss ki shakti na chal sake gi ) pass apne amal mein Pukhtigi ikhtiyar karo aur Jahan tak mumkin ho mayena roee barto aur khuss ho jao aur subha , aur dophar aur  sham  aur kisi qadr raat me ( ibadat se ) madad hasil karo"


📚 ( Sahih Bukhari: 39)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Hazrat Luqman Alaih Salam ka apne bête ki Nasihat.

Aey meray piyaray bete! Tu namaz qayem rakhna ache kaamo ki naseehat kerte rehna bure kaamon se mana kiya kerna aur jo museebat tum per aajaye sabar kerna (yaqeen maan) ke yeh bare takeedi kaamo mein se hai. (Surah Luqman 31:17) 🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Tuesday, 5 June 2018

Lailatul Qadr !!



Today take a little time to read the Tafseer of  "Surah Al-Qadar" to understand what actually happens in this nights !!

You will feels it's power & greatness so much more !!

Memorize and keep asking Dua's Taught by the Prophet Mohammed (peace and blessings of Allah be upon him)


اللَّهُمَّ إِنَّكَ عُفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

O Allah, You are pardoning and You love to pardon, so pardon me.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/