Saturday, 30 June 2018

📍 Khawand Biwi Ke Darmiyan Mohbbat❗


Allah Ta'ala farmata hai;

"aur Uss ki nishanion mein se ek yeh hai ke Uss ne tumhare liye tumhari hi jins se biwian paida kyen ta'ke tum sakoon hasil kar sako , uss ne tumhare darmiyan mohbbat aur hamdardi qaym kar di."

📘 (Surah al Room : 21)

🚫 Iss ayat se malum hua keh Allah Ta'ala ne khawnd aur biwi ke darmiyan mohbbat aur hamdardi qaym kar di hai, jis ki badawlat woh ek dosre ko chahte hain, ek dosre ki jazbat ka ehtram karte hain, ek dosre ki raye ko ahmiyat dete hain aur har tarah se ek dosre ka khayal rakhte hain, aur yeh mohbbat aur hamdardi aisi hai jis ki koi nazir nahi milti,

Jaisa ke Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ka irshad garmi hai ;

:لَمْ يُرَ لِلْمُتَحَابَّيْنِ مِثْلُ النِّكَاحِ

"nikah yaftah jaise do mohbbat karne wale kahin nazar nahi aate."

📘 (Al Silasila-tus--tu Sahiha :1970)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

No comments:

Post a Comment