Saturday 30 June 2018

📍 Khawand Biwi.....ek dosre ke dukh dard ki sathi❗


Hazrat Aishah Radi Allahu Anhu ka beyan hai keh jab Rasool Allah sallallahu Alaihi par pehli wahi nazil hui to aap sallallahu Alaihi wasallam kanpte hue (shadid parishani ke alam mein ) apne ghar mein dakhil hue aur Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha se kahne lage (‏‏‏‏ زَمِّلُونِي ‏‏‏‏ ‏‏‏‏ زَمِّلُونِي)
Yani "mujhe chadar udha do, mujhe chadar udha do", toh Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha ne unhe chadar udha di, phir jab aap sallallahu Alaihi wasallam ka kahuf jata raha toh aap sallallahu Alaihi ne unhe pura haal sunaya aur farmane lage , (لَقَدْ خَشِيتُ عَلَى نَفْسِي،)
Yani , "mujhe to apni jaan ka khatra padd gya tha."

Iss par Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha ne aap sallallahu Alaihi ko tasalli dete hue kaha , 

َ‏‏‏‏ كَلَّا وَاللَّهِ مَا يُخْزِيكَ اللَّهُ أَبَدًا، ‏‏‏‏‏‏إِنَّكَ لَتَصِلُ الرَّحِمَ، ‏‏‏‏‏‏وَتَحْمِلُ الْكَلَّ، ‏‏‏‏‏‏وَتَكْسِبُ الْمَعْدُومَ، ‏‏‏‏‏‏وَتَقْرِي الضَّيْفَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُعِينُ عَلَى نَوَائِبِ الْحَق

"Hargiz nahi, aap ko toh bashart ho, Allah ki Qasam ! Allah Ta'ala aap ko kabhi riswa nahi kare ga, Allah ki Qasam ! Aap to silah Rahmi karte hain, sach bolte hain,bojh bardast karte hain, jis ke pass kuch na ho usse kama kar dete hain, mehman nawz hain , haq ke waqaat mein madad karte hain-"

Phir mazeed tasalli ke liye Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha aap sallallahu Alaihi wasallam ko Warqah bin Nawfil ke pass le gyn..........

📘 (Sahih Bukhari : 3)

📘 (Sahih Muslim : 16)

🚫 aap zara ghaur farmaen ! Hazrat Khadizah Radi Allahu Anha ne apne shohar Hazrat Mohammed sallallahu Alaihi wasallam ki parishani ko kaise kamm kyn aur kis tarah unn ke kahuf ko halka kiya aur unhe tasalli di aur nabuat ke azeem mansab ko uthane ke liye unn ki dharass bandhwai .

issi tarah har khawnd biwi ek dosre ki parishani ko samjhen aur ek dosre ki gham ko halka karne ki koshish karen .

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

No comments:

Post a Comment