Saturday 30 June 2018

📍 Khawand Biwi ek dosre ke huquq a'da karen ❗


Kamiyab o khuss gawar azdawaji zindagi guzarne ke liye zaruri hai ke khawnd biwi ek dosre ke huquq ka ehtram karen aur unn mein se har ek dosre ke huquq ko a'da karen.

Irshad Bari Ta'ala hai ;

" وَ لَہُنَّ مِثۡلُ الَّذِیۡ عَلَیۡہِنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ  ۪ وَ لِلرِّجَالِ عَلَیۡہِنَّ دَرَجَۃ"

"Aur aurton ka bhi waise hi haq hain jaisa unn per mardon ke hain achai ke sath. Haan mardon ko aurton per fazeelat hai ...."

📘 (Surah al Baqrah : 228)

Issi tarah Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne bhi khutbah hajjatul wida mein farmaya tha :

"........ khbardar ! Beshak tumhari biwion ka tum par haq hai aur tum par tumhari biwion ka haq hai...."

📘 (Sahih At Taghrib Wa't Tarhib Al-Albani : 1930)

🚫 Lehazah, khawnd biwi agar ek dosre ke huquq ki pasdari karen to yaqeeni taur par unn ki azdawaji zindagi intehai achche se guzar sakti hai , Allah Ta'ala hum sab ko ek dosre ke huquq a'da karne ki taufeeq de... 
Aameen.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

No comments:

Post a Comment