Thursday 26 July 2018

📍Ehsan Kya hai, Ehsan Jatlane Ki Saza❓❓



🚫Part - 1

Ehsan karna badi neki hai magar ehsan kar ke kisi par ehsan jatlana buri sifat hai. Aise logon ko Arabic mein “mannan” aur urdu mein “ehsan jatlane wala” kehte hain.

📮Mannan:
Is se murad woh shakhs hai jo kisi ko kuch dene ke bad ehsan jatlata hai. Imam Qurtubi Rahimahullah ne ehsan jatlane ki tareef (definition) is tarah ki hai:

ذکر النعمة علی معنی التعدید لها والتقریع بها، مثل ان یقول: قد احسنت إلیك

🖍Tarjumah:
Kisi ko jatlane ya dhamkane ke liye us par kiye huwe ehsan ka tazkirah karna. For example: Yeh kehna ki main ne (tere saath flan neki ki hai) tujh par flan ehsan kiya hai, wagerah (etc.)
📚(Tafseer e Qurtubi: 3 / 308)

Kuch logon ne ehsan ki tareef is tarah bhi ki hai:

التحدث بما اعطٰی حتی یبلغ ذلك المُعطٰی فیؤذیه

🖍Tarjumah:
Kisi ko di hue cheez ka tazkarah is tarah karna ke us ko jab yeh baat pahunche to us ko takleef de.


🚫Part – 2

📮Gunah e Kabirah Ki Tareef (Introduction):
Har woh gunah jis ko Quran o Hadith ya ummat ke Ijmaa' ne kabirah gunah qarar diya hai. Woh jis gunah ko azeem qarar dete huwe us par sakht saza ka hukm sunaya gya ho ya us par koi hadd muqarrar ki gai ho ya gunah ka irtikaab karne waale par la'nat ki gai ho ya jannat ke haram hone ka hukm lgaya gya ho.

Kabirah gunah baghair tauba maaf nhi hote. Allah ka farman hai:

إِنْ تَجْتَنِبُوا كَبَائِرَ مَا تُنْهَوْنَ عَنْهُ نُكَفِّرْ عَنْكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ وَنُدْخِلْكُمْ مُدْخَلًا كَرِيمًا

🖍Tarjumah:
Agar tum un bade gunahon se bachte rahoge jin se tum ko mana kiya jaata hai to hum tumhare chote gunaah door kar denge aur izzat o buzrugi ki jagah dakhil karenge.
📚(Surah An-Nisa, Ayat No: 31)

Qur'an:

وَلِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ لِيَجْزِيَ الَّذِينَ أَسَاءُوا بِمَا عَمِلُوا وَيَجْزِيَ الَّذِينَ أَحْسَنُوا بِالْحُسْنَى۞ الَّذِينَ يَجْتَنِبُونَ كَبَائِرَ الْإِثْمِ وَالْفَوَاحِشَ إِلَّا اللَّمَمَ ۚ إِنَّ رَبَّكَ وَاسِعُ الْمَغْفِرَةِ

🖍Tarjumah:
Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zameen mein hai taaki Allah Taala burey aamaal karne walon ko unke aamaal ka badla de aur neik kaam karne walon ko achcha badla inayat farmaye. Un logon ko jo bade gunahon se bachte hain aur be-hayaai se bhi. Siwaye kisi chote se gunah ke. Be-shak tera Rabb bahut kushada maghfirat wala hai.
📚(Surah An-Najm, Ayat No: 31 and 32)


🚫Part – 3
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

الصَّلَوَاتُ الْخَمْسُ وَالْجُمُعَةُ إِلَى الْجُمُعَةِ وَرَمَضَانُ إِلَى رَمَضَانَ مُكَفِّرَاتٌ مَا بَيْنَهُنَّ إِذَا اجْتَنَبَ الْكَبَائِرَ 

🖍Tarjumah:
Jab (insaan) Kabirah gunaahon se bach raha ho to, paanch (5) namazein, aik Juma' (doosre) Juma' tak aur aik Ramadhan doosre Ramadhan tak, darmiyan ke arse mein honay wale gunaahon ko mitaane ka sabab hain.
📚(Sahih Muslim: 233)

Aik doosri Hadees hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

إِنَّ الْعَبْدَ إِذَا أَخْطَأَ خَطِيئَةً نُكِتَتْ فِي قَلْبِهِ نُكْتَةٌ سَوْدَاءُ فَإِذَا هُوَ نَزَعَ وَاسْتَغْفَرَ وَتَابَ سُقِلَ قَلْبُهُ وَإِنْ عَادَ زِيدَ فِيهَا حَتَّى تَعْلُوَ قَلْبَهُ وَهُوَ الرَّانُ الَّذِي ذَكَرَ اللَّهُ ‏:‏ ‏(‏ كلاَّ بَلْ رَانَ عَلَى قُلُوبِهِمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ ‏)‏ ‏"‏ ‏.‏

🖍Tarjumah:
Banda jab koi gunah karta hai to us ke dil mein aik kaala (black) nukta (spot) pad jaata hai, phir jab woh gunah ko chor deta hai aur tauba wa isteghfaar karta hai to us ke dil ki safai ho jaati hai (kaala dhabba mit jaata hai) aur agar woh gunah dobara karta hai to kaala nukta (black spot) mazeed phail jaata hai yahan tak ke poore dil par chaa jaata hai, aur yahi woh «ران» hai jis ka zikr Allah Ta'ala ne is aayat {كَلاَّ بَلْ رَانَ عَلَى قُلُوبِهِمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ} mein kiya hai.
📚(Tirmidhi: 3334)

🚫Part – 4
Bade afsos ki baat hai ke log ehsan karne ke baad ehsan jatlate hain, kuch social organisation jo khairati kaam karti hain wo gareebon ko taana (reproach) deti hain, isi tarah kuch maaldaar faqeeron aur ghareebon par ehsan kar ke unhein be-izzat karte hain aur ehsan ka badla talash karte hain aur ehsan jatla kar baar baar unhein sharminda karte hain. Jo admi is tarah ke rawayye (attitude) ko ikhtiyar kiye rakhega, woh sadaqat aur khairat ki tamaam nekiyon se haath dhoo baithega (means mehroom ho jaayega).

Yehi wajah (reason) hai ke Allah Ta'ala ehsan karne ka hukm deta hai lekin ehsan jatlane par sakht wa'eed sunata hai. Allah Ta'ala ka farman hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تُبْطِلُوا صَدَقَاتِكُمْ بِالْمَنِّ وَالْأَذَىٰ كَالَّذِي يُنْفِقُ مَالَهُ رِئَاءَ النَّاسِ وَلَا يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۖ فَمَثَلُهُ كَمَثَلِ صَفْوَانٍ عَلَيْهِ تُرَابٌ فَأَصَابَهُ وَابِلٌ فَتَرَكَهُ صَلْدًا ۖ لَا يَقْدِرُونَ عَلَىٰ شَيْءٍ مِمَّا كَسَبُوا ۗ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْكَافِرِين

🖍Tarjumah:
Aye eman walo! apni khairaat ko ehsan jata kar aur takleef pahuncha kar barbaad na karo! Jis tarah woh shakhs apna maal logon ke dikhaawe ke liye kharch kare aur na Allah Ta'ala par eman rakhe na qayamat par, us ki misal us saaf paththar ki tarah hai jis par thodi si mitti ho phir us par zordaar paani barse aur woh usey bilkul saaf aur sakht chor de, in riyakaaron ko apni kamaai mein se koi cheez haath nahi lagti aur Allah Ta'ala kafiron ki qaum ko (seedhi) raah nahi dikhata.
📚(Surah Al-Baqarah, Ayat No: 264)


🚫Part – 5

Maqsad yeh hai ke jo kaam tum apni duniya aur aakhirat ki bhalayi ke liye kar rhe ho us par ehsan jatlana kaisa❓

Ehsan jatlane wale ke bare mein hadith mein bhayanak saza sunayi gayi hai:

عَنْ أَبِي ذَرٍّ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ ثَلاَثَةٌ لاَ يُكَلِّمُهُمُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلاَ يَنْظُرُ إِلَيْهِمْ وَلاَ يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ ‏"‏ قَالَ فَقَرَأَهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ثَلاَثَ مِرَارٍ ‏.‏ قَالَ أَبُو ذَرٍّ خَابُوا وَخَسِرُوا مَنْ هُمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ‏"‏ الْمُسْبِلُ وَالْمَنَّانُ وَالْمُنَفِّقُ سِلْعَتَهُ بِالْحَلِفِ الْكَاذِبِ

🖍Tarjumah:
Abu Zarr Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ke teen aadmi aise hain ke jin se Allah Taala Qayamat Ke din baat nahi karega aur na hi un ki taraf rehmat ki nazar se dekhega na unhein gunaaho se paak o saaf karega (means maaf karega) aur unke liye dardnaak azaab hai, Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu kehte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen baar yeh (Sentence) farmaya, Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Yeh log to sakht nuqsaan aur khasare mein honge, yeh kon log hain❓❓
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: takhnon se neeche kapda latkane wala, ehsan Jatlane wala Aur Jhooti qasam kha kar apna samaan (maal, sauda) bechne wala.
📚(Sahih Muslim: 106)

Isliye jo log ehsan karte hain unhein kisi tarah apne ehsan ka izhar nahi karna chahiye, aur agar kisi se ehsan jatla diya hai to apne gunah se tauba karni chahiye aur us bande se maafi maangni chahiye warna Allah ke yahan neki karne ke bawjood zaleel o ruswa hoga.

Allah Ta'ala hamein ehsan karne ki taufeeq ata farmaaye aur ehsan jatlane se bachaye!!
Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍In-dino Deeni Dawat ka kon sa Tareeqa hai❓❓


🚫Part - 1

Aaj kal Social media, whatsapp waghera par telephonic munazron ki badi dhoom hai. Khaas taur se hamaare deeni bhai jo ilm o aml ke aitbaar se na to pukhtagi ko puhanche hain na ilm o tehqeeq se koi khaas rabt hai is mashghale mein ziyadah masroof hain. Kisi muqallid aalim se ya aam aadmi se kisi khaas masle par guftugu shuru hoti hai aur phir jab saamne waala badzubani par utarta hai to idhar se us se bhi ziyadah gandi zubaan istemaal kar ke whatsapp waghera par apni fatah ka danka bajaaya jaata hai.

Sawaal yeh hai ke yeh da’wat ka konsa tareeqa hai❓

Aur is se hamein kya faidah haasil hone waala hai. Hamaara deen hamein hikmat ke saath da’wat ka kaam karne ka hukm deta hai:

ادْعُ إِلَىٰ سَبِيلِ رَبِّكَ بِالْحِكْمَةِ وَالْمَوْعِظَةِ الْحَسَنَةِ ۖ وَجَادِلْهُمْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ

🖍Tarjumah:
Apne Rabb ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat ke saath bulaaiye aur un se behtareen tareeqe se guftugu kijiye.
📚{Surah An-Nahl, Ayat No: 125}

🚫Part - 2

Bad zubani aur mizaaj ki tezi hamesha bane banaaye kaam ko bigaad deti hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne husn e akhlaaq aur khushguftaari (baat karne ka achcha saleeqa) se hi logon ka dil jeeta tha:

فَبِمَا رَحْمَةٍ مِنَ اللَّهِ لِنْتَ لَهُمْ ۖ وَلَوْ كُنْتَ فَظًّا غَلِيظَ الْقَلْبِ لَانْفَضُّوا مِنْ حَوْلِكَ

🖍Tarjumah:
Allah Ta'ala ki rehmat ke baa’is Aap in par naramdil hain aur agar Aap badzubaan aur sakht dil hote to yeh sab Aap ke paas se chatt jaate.
📚{Surah Aal e Imran, Ayat No: 159}

Jo Nabi yahoodiyon ke “Assaamu Alaikum” (السَّامُ عَلَيْكُمْ) ka jawab sirf “Walaikum” se dete hon aur Amma Aisha Radhiallahu Anha ko samajhaate huwe kehte hon:

مَهْلًا يَا عَائِشَةُ، عَلَيْكِ بِالرِّفْقِ، وَإِيَّاكِ وَالْعُنْفَ وَالْفُحْشَ

🖍Tarjumah:
Thehro Aisha! Tumhein naram-khoi ikhtiyaar karni chaahiye sakhti aur badzabani se bachna chahiye.
📚{Sahih bukhari: 6030}

Us Nabi ke muttaba’een (ittebaa’ karne waalon) ka haal yeh hai ke zara zara si baat par apna aapa kho dete hain aur zabaan par koi qaabu nahi rakhte❓❓

Yaad rakhen!
Da’wat ka yeh “Tareeqa” Kitaab o Sunnat ki ta’lemaat ke sarasar khilaaf hai. Behtar hota ke hum mustand ulama ke paas tarbiyat haasil karte aur phir roshan dalaail se saamne waale ko qaail karne ki koshish karte ke yahi Nabi ke Deen ke shayan e shaan usloob hai aur yahi da’wat ka munasib tareeqa hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Monday 23 July 2018

📍Aqiqah kisi kehte hain ❓❓

Aqiqah kisi kehte hain ❓❓

🚫Part - 1

Aqiqah aise janwar ko kahte hai jab bacha paida ho jaye uski taraf se paidaish ke satwe (7) din janwar zibah Kia jata Hai.
Aqiqah Karna Sunnate Muakkadah Hai Aur Mustahab Amal Hai Isliye Jo Shaksh Haisiyat Rakhta hai use chaiye apni aulad ki tarf se aqika kare.

Salam bin amir (Razi allah anhu) se riwayat hai Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne farmaya bache ke sath aqika (lazim) hai chunanche us ki taraf se qurbani karo aur us ki taqlif dur karo (matlb uska sar mundao).
📚{Bukhari 5472}

Samura (Razi allah anhu) se riwayat hai ki Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne farmaya har bacha apne aqika ke badle girvi hota hai paidaish ke satwe din uska aqika kia jaye uska naam rakha jaye aur sar ke bal mundaye jaye.
📚{Abu Dawood 2838}
📚{Tirmizi 1522}

🚫Part - 2
Jab bache ka sar munda dia jaye to us ke sar se utarne wale baalo ke wazan ke barabar chandi sadqa kar dena bhi Zaruri hai jaisa ki hadis me hai.

Ali (Razi allah anhu) se riwayat hai Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne Hazrat Hasan (Razi allah anhu) ki taraf se bakri ke sath aqika kia aur farmaya yhe Fatima is ka sar mundao aur uske balo ke wazan ke barabar chandi sadqa kar do.
📚{Tirmizi 1519}

📍Aqika ladke ki tarf se 2 bakriya aur ladki ki tarf se 1 bakri.

Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne farmaya ladke ki tarf se 2 baraber bkriya aur ladki ki tarf se ek bakri.
📚{Abu Dawood 2834}

Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne Hasan (Razi allah anhu) aur Husain (Razi allah anhu) ki tarf se 2,2 dumbe zabah kiye.
📚{Sunan an-Nasa'i 4219}

🚫Part - 3
Aqika ke janwar nar (male) wa mada (female) dono ho sakte hai:
Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne farmaya ladke ki tarf se 2 bakriya aur ladki tarf se 1 bakri zabah ki jaye nar ho ya madda tumhe koi chez nuksan nahi degi
📚{Mishkat 4152}
📚{Irwa Al Ghalil 3/390}

Kya aqika ki me unt(Camel) aur gay(Cow ) ki qurbani ki ja sakti hai❓

Unt aur gaay ka zikr kisi hadith me nahi Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne sirf bakri aur dumbe ka zikr kia hai isliye sirf yahi janwar zabah karna chahiye yahi sunnat hai.

Kya satwe (7th) din ke baad aqika kia ja sakta hai❓
Satwe(7th) din ke baad bhi aqika kia ja sakta hai chahe bacha baligh hi kyun Na ho gaya kyun ki woh bacha abi bhi girvi hai aur use girwi se churane ke liye aqika hi karna padega aur ek riwayat hai jis se malum hota hai ki satwe din ke bad 14 we ya 21 we din aqika krna chaiye jesa ki Rasulullah Sallellahu alaihi wasallam ne farmaya aqika ka janwar satwe din zabah kia jaye ya 14 we din ya 21 we din.
📚{Sahih saheehul jamehussagheer 4011}

🚫Part - 4
Samurah bin Jundub (Razi allah anhu) se riwayet hai ke,

Rasoolullah Sallellahu alaihi wasallam ne farmaya,
Har bachcha aqeeqe ke badal rahan rakha huwa hota hai. Lihaza satwe dinn janwar zubah karo, uss ka sarr mundhao aur uss ka achcha sa naam rakho.
📚{Sunan Abu Daud 2838}
📚{Sunan Nasai 4220}

📍Hadith ki tashreeh:
1. Hadith ke alfaz se wazeh hai ke harr bachche ka Aqiqah karna chahiye. Ye wajjib hai sunnat hai harr uss shaks par jo sahab-e-isteta’at ho.
2. Aqiqah agar ladka ka ho to 2 bakare zubah kare aur ladki ho to ek bakra.
3. Aqiqah sirf chote janwar mein hi hota hai, bade janwar mein Aqiqah nahee hota. Bade janwar mein Aqiqah karne ke talluq se koi bhi sahee hadith nahee milti.
4. Janwar hum umar hoon to bohat achcha hai. Janwar mein umar ki koi qaid nahee.
5. Aqiqah saatwe dinn karna sab se behtar hai. Agar na kar sakein to 14we dinn karein, agar tab bhi na kar sakein to kabhi na kabhi jab isteta’at mayassar ho zarur karein.
6. Aqeeqe ko shadi ke khane mein ya waleeme mein milana durust nahee. Kyunki jiss tarah waleema karna ek mustaqal sunnat hai ussi tarah Aqiqah bhi ek mustaqal sunnat hai.
7. Aqiqah ka maqsad sirf khoon bahana hai. Dawat dena ya bada function karna zaruri nahee.
8. Aqeeqe ka gosht khud bhi kha sakte hain. aur chahein to dusraun ko baant sakte hain.
9. Saatwe dinn hi bachche ka sarr mundana chahiye, aur jo baal nikalein unn ke wazan ke barabar chandi khairat karni chahiye.
10. Saatwe dinn bachche ka achche se achcha naam rakhein.
11. Naam rakhane ke talluq se ye 5 sharayit hain,

(a) ALLAH ke namaun mein se naam rakhana.
Naam ALLAH ke naamaun mein se ho to naam se pehle “ABD” lagana zaruri hai.
Jaise Abdullah, Abdur Rehman, Abdus Salam, Abdul Haadi wagaira.

(b) Nabi-e-kareem s.a.w. ke naam par naam rakhana.
jaise Mohammad, Ahmad, Rafeeq, Siraj wagira.
Nabi s.a.w. ki kuniyat nahee rakhana chahiye. ALLAH ke nabi s.a.w. ne humein iss se mana kiya hai.
Aap s.a.w. ki kuniyat “Abul Qasim” thi.

(c) Aisa naam rakhana jiss ka maana achcha ho, jaise Irfan, Ahteshaam, Waqaar wagaira.

(d) Aisa naam nahee rakhana chahiye jiss mein maana na ho ya galat maana nikalta ho, Jaise zoba, kulba, asna, shaqeeq, shaheeq wagaira.

(e) Aisa naam nahee rakhana chahiye jo kisi gairullah ki taraf mansoob ho, jaise Jeelani, Khwaja, Abe-Mustafa, Abe-munaaf wagaira.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Thursday 5 July 2018

📍 Shohar bhi biwi ke liye zeb o zinnat ikhtiyar kare❗


Hazrat Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu farmate hain ke main apni ahelia  ke liye zeb o zinnat ikhtiyar karun jaisa ki mujhe yeh baat pasnd hai ke meri ahelia mere liye zeb o zinnat ikhtiyar kare, kyun ke Allah Rabbul Izzat ka Farman hai ;

Aur dastur ke mutabiq auraton ke bhi mardon par ussi tarah haquq hain jaise mardon ke aurton par , albatah mardon ko unn par fazilat hai."

📘 (Tafseeer ibn e kathir ,  Surah al Baqrah :228)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand ka Biwi par Haq❗


Hazrat Abdullah bin Umar Bin A'as Radi Allahu Anhuma ne beyan kya keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

"Abdullah ! Kya meri yeh it's sahi hai ke tum  (rozana ) din mein rozah rakhte ho aur raat bhar ibadat karte ho ❓❓ "

"maine arz kya  : ji han ,ya Rasool Allah!"

"Aanhazrat sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya; "aisa na karo , roze bhi rakho aur baghair roze ke bhi raho, raat mein ibadat bhi karo , aur neend bhi , kyun ke tumhare badan ka bhi tum par haq hai, tumhari ankh ka bhi tum par haq hai , aur tumhari biwi ka bhi tum par haq hai."

📘 (Sahih Bukhari : 5199)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawnad par biwi ka haq❗


Biwi se Acha Suluq Karna

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"tum auraton ke mutaliq ache suluq ki meri wasiat qubul karo kyun ke aurat pasli se paida ki gayi hai aur pasli ka sab se terah hissah uss ka upar wala hissah hota hai , agar ap usse sidha karna chahen ge to usse taur dalen ge aur agar chorr denge to uss ka terhapan badsatur baki rahe ga , lehazah tum auraton se acha bartao hi kiya karo."

📘 (Sahih Bukhari : 5186, 5185)

Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne Hajjatul wida mein irshad farmaya tha;

"tum auraton ke mamle mein Allah se darte rehna kyun ke tum ne unhe Allah ki zimmadri par liya hai aur unhe Allah ke kalmah ke sath halal kiya hai."

📘 (Sahih Muslim:1218)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand par Biwi ka Haq❗


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

"momino mein sab se kaamil emaan wala woh shaksh hai Jo unn mein sab se ache ikhalaq ka hamil ho aur tum mein se sab se behtar woh hai Jo apni aurton ke haq mein behtar ho."

📘 (Tirmidhi : 1162)


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

"koi momin apni mominah biwi se bugzz na rakhe , agar uss ki koi adat usse na pasnd hogi to koi adat usse pasnd bhi to hogi ."

📘 (Sahih Muslim: 1469)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand par Biwi ka Haq❗


Ache Andaz se Bood o Baash Rakhna

Khawand par biwi ka haq yeh hai ke woh uss ke sath ache tariqe se bood o baash rakhe.

Jaisa ke Allah Ta'ala farmata hai ;

"aur unn ke sath bhale tariqe se zindagi basr karo , aur agar woh tumhe na pasnd hon to ho sakta hai ke koi cheez tumhe na gawar ho magar Allah Ta'ala uss mein bahut bhalai rakh di ho."

📘 (Surah An Nisa : 19)

🚫 Yani unn ke sath ache andaz se raho, unn ke sath acha suluq karo , aur unn se narm roiya aur ummdah bartao rakho jaisa ke tum khud unn se tawqah rakhte ho .
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand par Biwi ka Haq❗


Naan o nafqah

Hazrat Sa'd bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"beshak tuu jo bhi kharch kare ga uss par tujhe ajr diya jaye ga basharte ke uss ke zariye Allah ki raza ka talbgar ho ha'ta ke jo luqmah apni biwi ke munh mein dale ga uss par bhi tujhe ajr diya jaye ga."

📘 (Sahih Bukhari :56)

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"ek dinar woh hai jise tum Allah ke raste mein kharch karte ho , aur ek dinar hai jise tum gulam ki gardan ko azad karwane mein lagate ho , aur ek dinar woh hai jis ke sath tum ek miskeen par sadqah karte ho , aur ek dinar woh hai jise tum apne ghar walon par kharch karte ho ,inn mein sab se zayda aj'r wala woh dinar hai jise tum apne ghar walon par kharch karte ho."

📘 (Sahih Muslim : 995)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand par Biwi ka Haq❗

Naan o Nafqah !!

Khawand par biwi ka dusra haq yeh hai ke woh apni taqat ke mutabiq naan o nafqah aur rahish mohaiya kare aur akhrajaat ko pura kare.

Hazrat Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne Hajjatul wida mein irshad farmaya tha ;

"aur aurton ka tum par haq hai keh tum unhe urf e aam ke mutabiq khorak aur poshak mohaiya karo."

📘 (Sahih Muslim : 1218)

Hakim bin Muawiyah Radi Allahu Anhu kahte hain ke maine Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam se pucha keh biwi ka khawand par kya haq hai ❓❓

to aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

"uss ka haq yeh hai ke jab tum khud khao to uss ko bhi khilawo , aur jab tum khud pheno to uss ko bhi phenawo , aur munh par na karo , aur uss ko bura bhala na kaho (gali galoch na karo), aur agar chorna chaho to ghar mein hi choro."

📘 (Sunan ibn e Majah : 1850)

🚫 Inn ahdaith e mubarkah se saabit hua ke biwi ka naan o aur links waghairah khawand ke zimme hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Wednesday 4 July 2018

📍 Khawand par Biwi Ka Haq❗


Khawand par Biwi ka pehla haq yeh hai keh woh usse haq mahr a'da kare.

Allah Ta'ala ka farman hai ;

وَ اٰتُوا النِّسَآءَ صَدُقٰتِہِنَّ نِحۡلَۃً ؕ فَاِنۡ طِبۡنَ لَکُمۡ عَنۡ شَیۡءٍ مِّنۡہُ نَفۡسًا فَکُلُوۡہُ ہَنِیۡٓـئًا مَّرِیۡٓـئًا ﴿۴﴾

"aur auraton ko unn ke mahr razi Khussi de den , hn , agar woh khud apni khussi se kuch mahr chodd den to usse shauq se khuss ho kar khao."

📘 (Surah An Nisa : 4)

🚫 Iss ayat mein auraton ka mahr unhe a'da karne ko hukm diya gaya hai, lehazah shoharon par lazim hai keh woh Allah Ta'ala ki iss hukm ki tamil karte hue apne biwion ko unn ka haq mahr a'da karen, hn ! Agar koi aurat khud apni marzi se maaf kar de to mard ke liye halal hai, lekin sire se uss ka haq a'da karne se inkar kar dena , ya zabardasti uss se haq mahr maaf karwa lena bahut bara zurm hai .

Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ka irshad garami hai ;

"jo shaksh kamm ya zyada haq mahr par kisi aurat se shadi kare aur uss ke dil mein usse a'da karne ka kheyal hi na ho to woh usse d'hoka karta hai, phir ussi haal mein uss ki maut aa jaye ke abhi uss ne haq a'da nahi kiya tha to Qayamat ke din woh Allah Ta'ala se uss haal mein mile ga ke woh zani ( badd kirdar ) hoga."

📘 (Sahih At Targhib Wa't Tarhib Al-Albani: 1870)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand Ki Shukr Guzari ❗


Biwi par khawnd ka haq yeh hai keh woh har haal mein uss ki shukr guzar rahe aur kabhi uss ki na shukri na kare, kyun ke khawand ki na shukri karna bahut bara gunah hai.

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ka irshad garami hai keh , aap sallallahu Alaihi wasallam ko  jahnnam dekhlai gayi to iss mein zyada tar auraten thin jo khawnd ki na shukri kartin thin aur uss ke ehsanat ko bhula deti thin , agar inn mein se kisi ek par tum zindagi bhar ehsanat karte raho , phir bhi woh tumhari tarf se koi kammi kotahi dekh leti to kahti hai, maine to kabhi tujh se koi khair dekhi hi nahi."

📘 (Sahih Bukhari : 29 ,  5197, 5198)

Aur na shukr guzar biwi ke mutaliq Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ka irshad hai ;

"Allah Tabarak Wa Ta'ala uss aurat ki tarf dekhta hi nahi jo apne khawand ki na shukr guzar ho halanke woh uss ke baghair nahi rahh sakti."

📘 (Sahih At Targhib Wa't Tarhib Al-Albani:1944)

🚫 Inn hadith ke pesh e nazar biwi par lazim hai keh woh apne khawand ki shukr guzar aur ehsan mand ho aur uss ke tamam huquq a'da karne ki koshish kare.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Tuesday 3 July 2018

📍 Biwi Khawand ki ijazat ke baghair nafli rozah na rakhe❗


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"agar shohar ghar par majood ho to koi aurat uss ki ijazat ke baghair ( nafli ) rozah na rakhe."

📘 (Sahih Bukhari : 5192)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Aurat Apne Shohar Ke Ghar ki Hakim (Nigraan) Hai❗


Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"tum mein se har ek hakim hai aur har ek se uss ki raiyat ke baare me sawal hoga , amir hakim hai , mard apne ghar walon par hakim hai , aurat apne shohar ke ghar aur uss ke bachon par hakim hai , tum mein se har ek hakim hai aur har ek se uss ki raiyat ke baare mein sawal hoga."

📘 (Sahih Bukhari : 5200)

🚫 Yani jab har ek se uss ki raiyat ke mutaliq sawal kya jaye ga to biwi se uss ke shohar ke ghar ke mutaliq sawal hogi ke woh apne shohar ke ghar ki nigarani ki ya nahi , issi tarah har ek zimmedar se sawal hoga.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Aurat Apne Shohar Ke Maal Mein Se Uss Ke Ijazat ke Baghair Sadqah Na Karen❗


Ata Radi Allahu Anhu beyan karte hain keh Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se kisi ne pucha , aurat bhi apne shohar ke ghar se sadqah de sakti hai ❓❓

"unhone kaha nahi !! Albatah apne kharch se de sakti hai ( aur sawab dono khawand aur biwi ) ko mile ga , aur uss ke liye durust nahi ke apne shohar ke maal mein se uss ki ijazat ke baghair kisi ko sadqah de ."

📘 (Sunan Abu Dawud : 1688)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Aurat Apne Shohar Ke Ghar Mein Aane ki Kisi Ghair Mard Ko ijazat na de ❗


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"auart ke liye jayez nahi apne shohar ki maujdigi me uss ke ijazat ke baghair nafli rozah rakhe, aur aurat kisi ko uss ke ghar mein uss ki marzi ke baghair aane ki ijazat na de aur aurat jo kuch bhi apne shohar ke maal mein se uss ki sharih ijazat ke baghair kharch kar de ( sadqah kar de ) to usse bhi aadha sawab mile ga."

📘 (Sahih Bukhari : 5195)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Sunday 1 July 2018

📍 Khawand Ki Na Faramani Ek Azeem GUNAH ❗

Khawand ki na farmani karna itna bara gunah hai ke Uss ki wajah se nafaramn biwi ki namaz tak qubul nahi hoti jaisa ke Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ki irshad e garami hai,

"do aadmio ki namaz unn ke saron se upar tak nahi jati , ek apne aaqon se bhaga hua gulam yahan tak ke wo wapas aa jaye, aur dosri woh aurat jo apne khawand ki na farman ho yahan tak woh uss ki farmabardar ban jaye-"

📘 (Sahih At Targhib Wa't Tarhib Al-Albani:1948)

🚫 Yahan ye baat yaad rahe ji khawand ki itat uss taq zaruri hai jab tak Allah Ta'ala ki na farmani na ho ,agar khawand kisi aisi baat ka hukm de jis mein Allah Ta'ala ki na farmani ho to iss me khawand ki it'at hargiz nahi hogi.

Jaisa ki Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ka Farman hai, 

Allah Ta'ala ki na farmani mein kisi ki itat nahi, itat to sirf neiki ke kaamo mein hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍 Khawand ki farmabardari❗


Biwi par khawnd ka haq yeh hai ke wo uss ki farmabardari kare aur uss ki hukm ki nafarmani na kare,
Khawand ki farmabardar khatoon ki fazilat beyan karte hue Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ;

"jab ek aurat panchon waqt ji namazen a'da kare, Mahe Ramadan ke Roze rakhe aur apni khawand ki itat kare to usse kaha jaye ga , tum jannat ke jis darwaze se chaho Jannat mein dakhil ho jao."

📘 (At Tabrani : 8805)

📘 ( Ibn e Habban : 4163)

Aur ek Hadith me,

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi se sawal kya gya ke auraton mein kaun si auart sab se afzal hai ❓❓

To app sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya;

"woh jo ke usse (khawand ko ) khuss kar de jab woh usse dekhe, aur uss ki farmabardari kare jab woh usse hukm de , aur apne nafs aur maal me uss ki khilaf warzi na kare jisse woh na pasnd kare."

📘 (Sunan Nisai : 3239)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com