Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Monday, 26 November 2018
📍Kya Zaif hadith Dalaail ke taur par Islam me li ja sakti hai❓
📕Part-1
Hadith ki boht kisme hoti hai. Mukhtasar andaz me chaar (4) tarah ki hadith hoti hai. Wo hai
👇🏻👇🏻👇🏻
1) SAHIH (Sabit)
2) HASAN (Acha)
3) ZAIF (Kamzor)
4) MAUDU(Ghadi Hui,Manghadant)
📍Zaif Riwayaat:
Hadiths ke shariat me, Zaif riwayaat wo hoti hai jo na-qabil e qubool aur mardood(inkaar ki hui) hadiths hoti hai. Misal ke taur par; dekhye, Tayseer Mustalah al-Hadith (Pg 62).
Kuch log hai jo kahte hai ki Jab baki rawiya sahi hai to ye bilkul jayz hai, Zaif hadith ke upar amal karna, Fazaail e aamal ki baunyad par, lekin ye Jumhoor (aksar) ulma ke mutabik sahih nahi hai.
Note:-Hadith ke Zeif hone ke yhe kafi hai ki raawio ke jod me ek rawi kamjor hai.
📕Part-2
Ahkaam aur Aqeedah me, Zaif hadith na-qabool kiya jata hai sabhi ulmae ke mutabik lekin kuch ulema Fazaail ke muamle me Zaif hadith qubool kar lete hai, lekin kuch sharte lagane ke baad:
🔗Pahli Shart:
Wo boht Kamzor nai hono chaiye; wo jhuto, ghadne walo aur boht badi galti karne walo ki riwayat nahi honi chaiye.
[Is haalat pe Ijma hai]
🔗Dusri Shart:
Ye aam taur par subut ke mutabik honi chaiye .
🔗Teesri Shart:
Uspe amal karte waqt ye yakeen nahi karna chaiye ke ye amal achi tarha se qayam ya sabit hai .
[Dekhe: Al-Qaul al-Badee Fi Fadhal al-Salat Alal Habeeb al-Shafee’ Pg 258]
🔗Chauthi Shart:
Jo uspar amal karta hai usko ye yakeen karna chaiye ke ye zaif hadith hai .
[Tabiyeen al-Ajab bima warad fi Fadhail rajab by Ibn Hajr, Pg 72]
🔗Panchwi Shart:
Use ek ache amal ka zikr karni chaiye Jo ki Shariat ke buniyad maise ho.
🔗Chathi Shart:
Wo Zaif hadith kisi Sahih hadith ki wazahat karne ke liye shumar nahi karna chaiye .
[Dekhe: Hukam al-Amal bil Hadith Al-Da’eef fi Fadhaail al-A’maal by Abu al-Yasar Ashraf bin Sa’eed Al-Misri (pg 55)]
In halat pe amal karne ke liye, ye zaruri hai ke us hadith ke sanad(silsile) aur Takhreej pe Tahkeek ki jaye, jab tahkeek ho jae aur upar ki shart puri ho jae sirf tab hi us Zaif hadth ko liya jayega.
Dusre ulema ke giroh Zaif hadith pe amal karne ke haq me bilkul nahi hai chahe wo Aaqaid aur ahkam me ho ya Fazail aur Manaqib me ho, aur in ulema ke giroh ki tahkeek Sahih hai aur Haq ke nazdeek hai Kyuki ye Quran , Sunnah aur Ulemao ke Jumhoor(Ijma) se sabit hai.
IMAM MUSLIM, ne apni kitab ke muqaddimah mein kayi saboot diye hain jo batati hai ki fadhail me Zaif hadith lena galat hai .
Jabki dusri Raae(opinion) jo ki fazaail me Zaif hadith qubul karne ko kahte hai us raae ki Quran wa Sunnah se Himayat(support) nahi milti.
Ye kuch dalaail hai in un giroh ke ulema ki jo Zaif hadith ka inkaar karte hai Fazaail aur Ahkaam me:
📕Part-3
QURAN SE DALAIL:
Zaif hadith me ye shak hota hai ki shayad wo sabit na ho. Matlab hame ye pakka nai pata hota ki ye RasoolAllah s.a.w. se sabit hai ki nai aur Allah swt farmate hai
Jiss baat ki tumhe ilm hi na ho uss kay peechay mat pado. Kyu ki tumhare kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch-taach ki janey wali hai.
📕{Al-Isra: 36}
Hadith se dalail
RasoolAllah s.a.w. ne farmaya: Jo chize Halal hai wo bata diya gaya hai aur jo chize Haraam hai wo bata diya gaya hai, aur undono ke bich chize hai jinpar shak hai jo boht se log nahi jante.Jo aadmi apne aap ko aisi cheezo se bachata hai jo shaq aur shubhat paida kare woh apni deen ki hifazat karta hai aur apne aap ki hifazat karta hai,aur jo shaq aur shubhe waali cheez par amal paira hota hai woh haraam ki taraf chala jaata hai,usi tarah jis tarah ek charwaha apni jaanwaro ko charata hai kisi ki aurki zameen ke paas yeh laazim hai ki woh usme pad jaye.
📚{Saheeh Muslim:3882}
Note-Kyuki Zaif hadith me shak-shuba hota hai, isliye, is hadith ke mutabik, Jo ispe amal karta hai wo Haraam chizo pe apna amal khatm karta hai.
Isliye hame is hadith par amal karte hue shak-shuba wali chize ek kinare par rakh deni chaiye .
📕Part-4
Sahaba ikaraam aur Ulmao se Dalaail
Is giroh ke qabil ahtram Aalim ke athaar se dalai jisse ye sabit hota hai ki in aalimo ne Zaif hadith se Dalaail nahi liye.
1)📌RasoolAllah s.a.w. ke Sahaba se riwayat hai ki Abdullah bin Abbas r.a. Mursal riwayat sunna tak ittefak nahi karte the.
[Dekhe: Muqaddimah Muslim H. 21, & Al-Nakat ala Kitaab Ibn as-Salaah: 2/553]
Iska matlab ki Abdullah bin Abbas r.a. Mursal Riwayat qubool nahi karte the, agar wo Fazaail me ho fir bhi .
2)📌Imam Muslim ne ek baar kaha (jiska khulasa hai ki): Zaif hadith kabil e qubool nai hai kisi bhi surat me chahe wo Ahkaam ke liye ho, ya Targheeb-o-Tarheeb(Fazaail) ke liye.
[Dekhe: Muqaddimah Sahih Muslim Vol 1, Pg 185, 186 with the Sharh of al-Nawawi 127_ 123/1]
3)📌Hafiz Ibn Rajab al-Hanbali ne kaha: Imam Muslim ne jo apne kitab ke muqaddimah me kaha hai uska matlab ye hai ki Targheeb-o-Tarheeb (Fazaail) me bhi, hadith ke riwayati wo hone chaiye jo Ehkam(sadik,sachhe riwayatio) se riwayat karte hai.
[Sharh Illal al-Tirmidhi Vol 1, Pf 74]
4)📌Imam Sa’d bin Ibraheem ne kaha: Sirf Siqqah riwayatio ko RasoolAllah s.a.w. ki hadiths riwayat karni chaiye.
[Muqaddimah Sahih Muslim published by Darul-Salam: 31]
Note- Is baat se hame pata chala ki Imam Sa’d bin Ibrahim Zaif aur gair-kabile aeitbar raawio se dalaail nahi lete the.
📕Part-5
5)📌Abu Bakr ibn al-‘Arabi ne kaha ki Ye bilkul jayz nahi hai ki zaif hadith ke binah par amal kiya jaye ya to Fazaail ke muamle me ya dusri surat me.
[See Tadreeb al-Raawi, 1/252.]
6)📌Abu Ishaaq Ibraheem bin Eesa al-Talqani ne ek baar Munqati’ Fazaail ki hadith Abdullah bin al-Mubarak ko riwayat ki, lekin unhone(Abdullah bin al-Mubarak ne) Inkaar kar diya Tankeed(criticize) karte hue.
[See: Muqaddimah Sahih Muslim Pg 11]
7)📌Ibn Lahi’ah ne RasoolAllah s.a.w. ki ek hadith riwayat ki: “ Jo bhi Asr ke baad sota hai aur apna dimag kho baithta hai to wo apne ap ke siwa kisi aur ko zimmedar na thehrae .”
Marwaan bin Muhammad al-Tatri (Siqqah) ne kaha:
Maine Ramzaan me dekha ki Imam Layth bin Sa’d Asr ke baad sone chale gae, isliye hamne unse pucha: “Ae Abu Harith! Ap Asr ke baad kyu so gae❓
Jabki Ibn Lahi’ah ne riwayat kiya hai Makhool se Aqeel tak ke sanad se, ki RasolAllah ne farmaya:” Jo bhi Asr ke baad sota hai aur apna dimag kho baithta hai to wo apne ap ke siwa kisi aur ko zimmedar na thehrae.”
*Imam Layth ne jawab diya:_
Jo bhi mere liye faydemand hai, mai use Aqeel ki riwayat Ibn Lahi’ah se, ke binah pe nai chor sakta .
[Al-Kaamil by Ibn Adi Vol 4, Pg 1463]
Toh hame pata chala ki, Imam Layth bin Sa’d bhi Zaif hadith se riwayat nahi lete the chahe ki wo Fazaail ke muamle me hi kyu na ho.
8)📌Imam Yahya bin Sa’eed, Imam Zuhri aur Qatadah ki Mursal hadith me kuch bhi nahi gaur karte the ye kahkar “Huwa bi manzilah ar-reeh” Wo hawa(air) jesi hai.
[Al-Maraseel by Ibn Abi Haatim Pg 3]
Iska matlab Imam Yahya bin Sa’eed Zaif hadith ko Hujjah nahi samajhte the.
📕Part-6
9)📌Imam Yahya bin Ma’een ne kaha: Zuhri ki Mursal riwayate kuch bhi nahi hai.
[Al-Maraseel by Ibn Abi Haatim Pg 3]
Toh Imam Yahya bin Ma’een bhi Zaif hadith ko Hujjah nahi samajhte the .
10)📌Imam Ibn Hibban ne kaha: Jo Zaif hadith ka zikr karta hai aur us riwayat ka jo maujud hi nahi hai, dono ka barabar hukm hai.(matlab Zaif hadith ka hona ya na hona barabar hai)
[Kitab al-Majroheen 328/1]
11)📌Imam Abu Haatim Ar-Raazi aur Imam Abu Zur’ah Ar Raazi ek baar bahes(discussion) karne lage Witr me haath uthane ke muamle me. Imam Abu Hatim ne ek hadith ka zikr kiya, toh Imam Abu Zur’ah ne raawi Layth bin Abi Saleem pe tankeed (criticize) ki jo ke us hadith me maujood the. Imam Abu Hatim ne dusre Hadith ki zikr ki, toh Imam Abu Zur’ah ne riwayati Ibn Lahi’ah ki tankeed ki.Abu Haatim ne teesre hadith ka zikr kiya, toh Abu Zur’ah ne “Awf” riwayati par tankeed ki. Fir Jab Imam Abu Haatim ne Abu Zur’ah se dalaail mange hath nahi uthane ke toh unhone zikr kiya Anas r.a. ke (sahih)hadith ki, ke RasoolAllah s.a.w. ne kisi bhi dua siwae Istisqaa ki dua ke apne hath nahi uthaye, ye jawab sunne ke baad, Abu Haatim Be-Zuban ho gae.
[Dekhe: Taarikh Baghdad Vol 2, Pg 76]
📍Hame ye pata chala ki Imam Abu Zur’ah Zaif hadith se fazaail me bhi dalaail nahi lete tha.
12)📌Isi tarha Imam Shu’bah bhi saare Zaif hadith ko inkaar(reject) kar dete the.
[Dekhe: Tahdheeb al-Kamaal]
13)📌Imaam ibn Hazm, ‘al-Milal’ me kahte hai: “aur ye jayz nahi hai hamare liye ki ham aesa kahe ki (Zaif aur maudu)hadith aisa kahti hai, ya unpar yakeen kare, ya unse kuch bhi lena .”
14)📌Imaam Ibn Taymiyyah kahte hai, ‘ aur ye jayz nahi hai ki sahareeah me Zaif hadith par bharosa kiya jaye jo ke na hi Saheeh ho aur na hi Hasan.’
📕Part-7
15)📌Aj ki sadi ke azeem ulma e deen, Shaikh Ahmed Muhammad Shaakir (rahimahullah), jo azeem aur mashhoor Muhaddith hai, wo kahte hai:
Mere Hisab se, ye farz hai, sabhi haalat me, Zaif hadith ki kamzorio ko bayan karna, kyuki agar ham kamzori ka zikr nai karenge to dusre log ye soch sakte hai ki hadith sahih hai, khas taur pe jab wo shaks kisi Muhaddith ki bato se kah raha ho, jiske kahne pe yakeen karna chaiye. Aur usme koi ikhtilaf nahi Zaif hadith ko Ahkaam aur Fazaail me lene ke liye. Balki kisi ke liye koi daleel hi nahi hai ke wo koi bhi hadith logo se qubul kare siwae jo sabit ho jese Sahih ya Hasan.
[Sharh Alfiyah al-Suyooti Pg 84]
16)📌Shaikh Naasir ud-Deen Albani (rahimahullah) ne kaha:
“Duniya ke Purab(East) se lekar pashchim(west) tak, ham mashora(advice) dete hai sabhi musalman bhaiyo ko ke wo Zaif hadith ko bilkul chhor de aur RasoolAllah ki sahih aur sabit hadith ke taraf mude kyuki ye Zaif raawio ke bina koi parwah pe mushtamil hoti hai aur isme zarra barabar bhi jhoot hamare nabi par nahi hoti.
[Muqaddimah Sahih al-Jaami Vol 1, Pg 56]
Aur Wazahat ke liye Kitab “Hukm al-Amal bil-Hadith Al-Da’eef fi Fadhaail A’maal”
Abu Yasar Ashraf bin Sa’eed al-Misri padhe, aur ek article.
“Fataawa Shaikhul Islaam (65/18)”
Bhi padhe jo Shaikhul Islaam Ibn Taymiyyah ne is muamle pe likhi hui hai.
Hadiths ke Bunyadi ilm ke liye, ap, Dr. Bilal Philips ki mashhoor kitab Usool al Hadith padh sakte hai.
Downloading link of Usool al Hadith:
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
~http://www.bilalphilips.com/wp-content/uploads/2012/12/Usool-al-Hadith.pdf~
Jo Saheeh hadiths hai RasoolAllah ki wo hame kafi Dalaai deti hai ki hame koi zarurat nahi hai Zaif hadith ke mutabik amal karne ke liye.
📚Note-Ek musalman ko jiddo jahad karni chaiye talaash karne ke liye ki kaunsi hadith Sahih hadith hai aur kaunsi Zaif, aur khushi se Sahih riwayato pe amal karna chaiye.
Allah Ta'ala se Dua hai ki mughe or hum sab Musalmano ko Deen E Tawheed per Amal kerne wala banaye.
Aaameen!!
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
📍DA'IF HADITH KISE KAHTE HAI.
Alfazi taur par, Da'if ka matlab “Kamzor” hota hai.
Daif Riwayaat: Hadiths ke shariat me, daif riwayaat wo hoti hai jo na-qabil e qubool aur mardood(inkaar ki hui) hadiths hoti hai. Misal ke taur par; dekhye,
👇🏻👇🏻👇🏻
📚{Tayseer Mustalah al-Hadith (Pg 62)}
Hadith ke lihaz se da'if riwayat usko bolte hai jo hasan riwayat ke darje ke niche ki riwayat hoti hai. Is hadith me ek ya ek se zyada Sihhah(sahih) ki sharte puri nahi hoti hai. AL-Bayqoonee ne Uloom al Hadeeth me is hadith ki wazahat kuch is tarha ki hai:
“Jo bhi hasan darje ke niche ki hadith hoti hai use da'if kahte hai aur iski boht si shakhe(branches) hoti hai.”
📍Da'if hadith ki ek misaal:
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مَحْبُوبٍ، حَدَّثَنَا حَفْصُ بْنُ غِيَاثٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ إِسْحَاقَ، عَنْ زِيَادِ بْنِ زَيْدٍ، عَنْ أَبِي جُحَيْفَةَ، أَنَّ عَلِيًّا، – رضى الله عنه – قَالَ السُّنَّةُ وَضْعُ الْكَفِّ عَلَى الْكَفِّ فِي الصَّلاَةِ تَحْتَ السُّرَّةِ . ضعيف : حكم
Ali ibn Abu Talib riwayat karte hai ki Abu Juhayfah ne kaha ki Ali ne kaha “Ek hath ko dusri hath pe rakh kar aur use naaf ke niche bandhna sunnah hai.”
📚{Sunan Abi Dawud, hadith-756}
❌Darja-Da'if❌
Tahkeek:
RAAWIO KE JOD (CHAIN OF NARRATORS) :
[ Mohammed bin Mahboob → Hafs bin Ghias → Abdul Rahman ibn Ishaq → Ziad bin Zaid → Abu Juhayfah → Ali ]
Is hadith ko muhaddiths ne Da'if karar diya hai kyuki raawio ke jod me ek rawi Abdul Rahman ibn Ishaq zaif rawi hai.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Sunday, 25 November 2018
📍Allah Se Zyada Ghairat-Mand Aur Koi Nahin !!
Allah Mushrik ko kyun nahi BAKHSHEGA❓❓❓❓
Yaha Ghairat-Mand se murad "Behaya'ee ko na-bardasht aur na pasand karne wala hai".
Nabi-e-Kareem {Sallallahu Alaihi Wasallam} Ka Irshaad Allah Se Zyada Ghairat-Mand Aur Koi Nahin !!
Saeed Bin Ubadah {Radi Allahu Anhu} Ne Kaha Ke Agar Mai Apni Biwi Ke Saath Kisi Ghair Mard Ko Dekhu Tou Seedhe Talwaar Se Iski Gardan Maardun , Phir Ye Baat Rasool {Sallallahu Alaihi Wasallam} Tak Pahunchi Tou Aap {Sallallahu Alaihi Wasallam} Ne Farmaya ke Kya Tumhe Saeed Ki Ghairat Per Hairat Hai❓
Bila-Shuba Mai In Se Zyada Ghairat-Mand Hoon Aur Allah Taa'ala Mujhse Zyada Ghairat-Mand Hai , Aur Allah Ne Ghairat Hi Ki Wajah Se Fawaash Ko Haraam Kiya Hai -
Chahe Wo Zahiri Mein Hon Ya Chup Kar Aur Maazrat Allah Se Zyada Kisi Ko Pasand Nahin , Isi Liye Is Ne Basharat Dene Waale Aur Darane Waale Behje Aur Taareef Allah Se Zyada Kisiko Pasand Nahin , Isi Wajah Se Is Ne Jannat Ka Wadah Kiya Hai -
📚{Sahih Bukhari: 7416}
Is Hadees ko Imam Bukhari apni kitab Sahih Bukhari ke Kitabut- Tawheed (Yani Tawheed wale chapter) me laakar ye sabit karna chah rahe hai ke:
📗Jis tarah ek admi apni biwi ke sath dusre gair-mard ki partnership (shirkat) ko bardasht nahi kar pata, gusse se beqaabu hokar us gair-mard ko jaan se maar dene ki baat karta hai to bhala Allah kaise bardasht karega ke uske rahte huye uska banda kisi aur ki ibaadat kare, isi wahaj se Allah Mushrik ko kabhi nahi baqshega jo hamesha hamesha ke Jahannam me jalta rahega.
📗Shirk Allah ke Gusse ka sabab hai kyunke wo apni TAWHEED me kisi tarah ki partnership (shirk) ko bardasht nahi kar pata hai.
📗Imam Bukhari ne, indirectly, is HADEES ko lakar shirk ko Zinaa se compare kiya hai, yaani Allah ke sath shirk karne wala ek tarah ka zaani shakhs hai kyunke wo apna Rab hote huye dusre ki ibaadat kar raha hai aur is zameen par sab se bada gunah SHIRK hi hai baaki kabira gunaho ka number iske baad ata hai.
Apna shohar hote kisi gair-mard se tallukat kayam karna us Aurat ki BEWAFAI hai.
Usi tarah Allah ke hote huye kisi gairullah ki ibadaat karna ye Allah ke sath BEWAFAI hai.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Wednesday, 21 November 2018
📍 Jumah Ke Din Masjid pehle aane aur sawab ka darzaat❗
💐 Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya keh ;
👇👇👇👇
"jab jumah ka din aata hai to farishte Jama Masjid ke darwaze par aane walon ke naam likhte hain, sab se pehle aana wala , oont ki qurbani dene wale ki tarah likha jata hai , iss ke baad aane wala gaye ki qurbani dene wala ki tarah , phir mendhe ki qurbani ka sawab rehta hai, iss ke baad murghi ka , iss ke baad ande ka, lekin jab imam ( khutba dene ke liye ) bahr jata hai to farishte apne daftar band kar dete hain aur khutba sunne mein masghool ho iate hain."
📘 (Sahih Bukhari :929)
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
📍 Jumah ki Namaz Auraton Par Farz Nahi Hai❗
Tariq ibn Shihab Radi Allahu Anhu kahte hain ke Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;.
👇👇👇👇
"jumah ki namaz ada karna har musalman par farz hai siwae char logon : ghulam, aurat , nabaligh bacha aur bimar ke."
📘 (Sunan Abu Dawud : 1067)
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Monday, 19 November 2018
Momin momin ka aaina hai.
Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhuse se marwi hai. Rasool Allah Sallallahu Alaihe wasallam ne farmaya :
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Momin momin ka Aina hai 'Aur momin momin ka bhai hai ' Us k maal ka ( Nuksan hota ho to ) Bachao karta hai aur us ki gair maujoodgi me us ki ( izzat ki ) hifazat karta hai.
📗{Sunan Abu dawood : 4918}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Sunday, 18 November 2018
📍QIYAAMAT KE DIN KOI DOOSREY KE GUNAAH APNE OOPAR NA LEGA.
Allah Ta'ala Ne Farmaaya :
"Koi Bhi Bojh Uthaaney Wala Doosrey Ka Bojh Nahi Uthaayega Agar Koi Giran Baar Doosrey Ko Apna Bojh Uthaaney Ke Liye Bulaayega Tou Woh Us Mein Se Kuch Bhi Na Uthaayega Chaahey Qarabat-Daar (close relative) Hi Ho..."
📚{Soorah Faatir, Aayat:18}
Koi shaks kissi doosray ka bojh na uthayega.
Aur yeh kay her insan kay liye sirf wohi hai jiss ki kosish khud uss ney ki.
Aur yeh kay be-shak uss ki kosish unqareeb dekhi jayegi.
📚{Soorah Najam , Aayat:38-40}
📍TAFSEER:
Agar Koi Gunahgaar Apne Kuch Ya Saarey Gunaah Doosrey Par Laad-dena Chaahey Tou Yeh Chaahat Bhi Us Ki Poori Na Hogi. Koi Na Milega Jo Us Ka Bojh Bataaye, Azeez Wa AQaarib Bhi Mooh Mod Lengey, Chaahey Maa Baap Ya Aulaad Ho. Har Shakhs Apne Haal mein Mashghool hoga. Har Ek Ko Apni Apni Padi Hogi.
Ikrima (RahimahuLLaah) Kehte Hain:
Padosi Padosi Ke Peechey Pad Jaayega Allah Se Kahega Us Se Poocho Tou Saheeh Ke Us Ne Mujhse Apna Darwaaza Kyun Band KarLiya Tha❓
Kaafir Mumin Ke Peechey Lag Jaayega Aur Jo Ehsaan Us Ne Dunya Mein Kiye The Woh Yaad Dilakar Kahega Ke Aaj Mai Tera Mohtaaj Hoon Momin Bhi Us Ki Sifaarish Karega Aur Hosakta Hai Ke Us Ka Azaab Kam Ho Jaaye jo Jahannam Se Chhutkaara Mahaal Hai.
Baap Apne Betey Ko Apne Ehsaan Jatayega Aur Kahega Ke Raayi Ke Daaney Ke Baraabar Mujhe Aaj Apni Nekiyon Mein Se Dedey. Woh Kahega: Abba Aap Cheez Tou Thori Se Talab Farmaa Rahey Hain Lekin Aaj Tou Jo Khatra Aap Ko Hai Wahi Mujhe Bhi Hai Mai Tou Kuch Bhi Nahi Dey Sakta.
Neyk AmaaL Khud Tum Hi Ko Faaedah Dengey. Aakhir Allah Ke Paas Jaana Hai, Us Ke Saamney Pesh Hona Hai, Hisaab Kitaab Us Ke Saamney Hona Hai, AmaaL Ka Badla Woh Khud Deney Waala Hai.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Wednesday, 14 November 2018
📍Jhoot Mat Bolo.
Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu kahte hain ke Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;
👇👇👇👇
"tum jhoot se bacho, kyun ke jhoot burai ke tarf le jata hai, aur burai jahnnam mein le jati hai, aadmi jhoot bolta hai aur jhoot mein laga rehta hai , yahan tak ke woh Allah ke nazdik jhoota likh diya jata hai , aur sach bolne ko lazim kar lo isliye ke sach bhlai aur neiki ke tarf le jata hai aur neiki jannat mein le jati hai , aadmi sach bolta hai aur sach bolne mein laga rehta hai yahan tak ke woh Allah ke nazdeeq sacha likh diya jata hai."
📘 (Sunan Abu Dawud : 4989)
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
👇👇👇👇
"tum jhoot se bacho, kyun ke jhoot burai ke tarf le jata hai, aur burai jahnnam mein le jati hai, aadmi jhoot bolta hai aur jhoot mein laga rehta hai , yahan tak ke woh Allah ke nazdik jhoota likh diya jata hai , aur sach bolne ko lazim kar lo isliye ke sach bhlai aur neiki ke tarf le jata hai aur neiki jannat mein le jati hai , aadmi sach bolta hai aur sach bolne mein laga rehta hai yahan tak ke woh Allah ke nazdeeq sacha likh diya jata hai."
📘 (Sunan Abu Dawud : 4989)
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Tuesday, 13 November 2018
📍 Bande Ki Aazmaish Uss Ke Deen Ke Mutabiq Hoti Hai.
Bismillahir Rahmanir Raheem
Musa'ab bin Said Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh unn ke walid Sa'id bin Waqqas ne beyan kya keh , maine arz kya:
Allah ke Rasool ! Logon mein sab se zyada musibat aur aazmaish ka shikar kaun hota hai ❓❓
Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;
👇👇👇👇
Anbiya , phir jo unn ke baad ke martabah mein hain , phir jo unn ke baad hain , bande ki aazmaish uss ke deen ke mutabiq hoti hai, agar woh deen mein sakht aur pokhta hai to aazmaish bhi sakht aur pokhta ho gi , agar deen mein narm aur dehla hai to musibat bhi ussi andaz se narm hogi, musibaton se bande ke gunahon ka kaffara hota rehta hai yahan tak keh banda roye zameen par iss haal mein chalta hai keh uss par koi gunah nahi hota.
📚 { Sunan ibn Majah: 4023}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Saturday, 10 November 2018
📍SALAM KI ASHA’AT BHI ISLAM KA HISSA HAY.
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. Se Riwayat Hay, Ek Shakhs Ne Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Daryaft Kiya:
Konsa Islam Bahetar Hay❓
Aap Ne Farmaya:”
👇🏻👇🏻👇🏻
Tum Khana Khilao, Sab Ko Salam Karo Khwah Use Tum Jante Ho Ya Na Jante Ho.”
📚{Sahih al-Bukhari 28}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Wednesday, 7 November 2018
📍KALMA TAWHEED KE ARKAN.
🖍Part-1
Kalma Tawheed ke 2 Arkan hai.
📌1.Nafi (Inkar karna)
📌2.Isbaat (Iqraar karna)
✂Nafi (Inkar karna)
Har mabood ki ebadat ka inkar karna chahe woh buut ho.(Murti, Mazar, Makbara), daraqt ho,pathar ho,suraj yeh chand ho yeh farishte,ambiyaor Auliya ho. inki daleel.
1.Buuto patharo or daraqto ko mabood banaya gaya.bhala tum logo ne laat or uzza ko dekha or teesre manaat ko.
📚{Quran: Al Najam 19,20}
LAAT safed rang ka ek pathar tha ju ahle taif ka mabood tha.
UZZA Makkah or Taif ke darmiyan ek daraqt tha or MANAAT Mushrikeen ki ek pathar ki devi thi.
2.Suraj or Chand ko Mabood Banaya gaya.
Aur din raat aur sooraj chand bhi (ussi ki) nishaniyon mien say hain tum sooraj ko sajdah na kero na chand ko bulkay sajdah uss "Allah" kay liye kero jiss ney inn sab ko peda kiya hai agar tumhen ussi ki ibadat kerni hai to.
📚{Quran: Al Fussilat 37}
3.Farishto or Ambiya ko mabood banaya gaya.
Aur yeh nahi (hosakta) kay woh tumhen fariston aur nabiyon ko rab bana lenay ka hukum keray kiya woh tumharay musalman honey kay baad bhi tumhen kufr ka hukum dey ga.
📚{Quran: Al Imran-80}
4.Auliya ko Mabood banaya gaya.
Yeh log jinko (Allah ke siwa) pukarte hai woh khud apne parwadigar ka haan zariyat(taqarub) talash karte rehte hai ke kon in me (Allah ka) zyada muqarib (hota) or uski rehmat ke umeedwar rehte hai or uske azaab se kauf rakhte hai beshak tumahra parwadigar ka azaab darane ki cheez hai.
📚{Quran: Isra 57}
🖍Part-2
Isbaat (Iqraar karna)
Saari Ebadaat sirf or sirf Allah Ta'ala ke liye sabit karna jaise - Namaz,Zakat,Hajj,Dua,Madat,Nazar o Niyat,Darr,Qurbani,Umeed,Tawakkal etc.
✒1.Namaz or Zakat Ebadat hai.
Or inko hukum tu yehi hoa tha iqlaas ke saat Allah ki ebadat kare (or) iksa hokar namaz pade or zakat de or yehi saccha deen hai.
📚{Quran: Bayyina 5}
✒2.Hajj Ebadat hai.
Or logo par Allah ka haq (yani farz) hai ke ju us ghar tak jane ka maqdoor rakhe woh uska hajj kare ju uska hukum ki tameel nakarega Allah bhi ahle ilm se beniyaz hai.
📚{Quran: Imran 97}
✒3.Dua Ebadat hai.
Or tumahre parwadigar ne irshaad farmaya hai ke mujh se dua karo tumahri (Dua) khubool karoga ju log meri ebadat se izrah takabur katrate hai ankhareeb jahanum me zaleel hokar dakhil hoge.
📚{Quran: Ghafir 60}
✒4.Madad Ebadat hai.
Aya Parwadiga hum teri hi ebadat karte hai or tujh se madat mangte hai.
📚{Quran: Fateha 4}
✒5.Panah Ebadat hai.
Kaho ke main subah ke parwadigar ki panah mangta ho.
📚{Quran: Falaq 1}
✒6.Qurbani Ebadat hai.
Tu apne parwadigar ke liye namaz pada karo or qurbani kiya karo.
📚{Quran: Kausar 2}
✒7.Nazar wa Niyaz Ebadat hai.
Yeh log nazarin puri karte hai or usdin se jiski saqti pahelrahi hogi qauf rakhte hai.
📚{Quran: Al Insan 7)
✒8. Darr ebadat hai.
Yeh (Qauf dilane wale) tu shaitan hai ju apne dosto se darate hai tu agar momin ho tu inse mat darna or mujh hi se darte rehan.
📚{Quran: Imran 175}
✒9.Umeed Ebadat hai.
Jo shaqs apne parwadigar se milne ki umeed rakhe chahe ke naik amal kare or apne parwadigar ki ebadat me kisi ko shareek na banaye.
📚{Quran: Al Kahaf 110}
✒10. Tawakkal Ebadat hai.
Aur Allah hi par bharosa rakho bashartiye ke sahebe imaan ho.
📚{Quran: Almaida 23}
NOTE: HAR EBADAT SIRF OR SIRF ALLAH TAALA KE LIYE KARNA HUM PAR FARZ HAI.
NOTE: HAR BATIL MABOOD KI EBADAT KA INKAR KARNA HUMPAR FARZ HAI.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Tuesday, 6 November 2018
📍Musalman ko jo takleef pahuchti hai us se uske gunaah kam hote jate Hai.
Hazrat Ana's Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
"Jab Allah Ta'ala apne kisi bande ke sath khair aur bhalai ka iradaha karta hai to usse duniya mein jald saza de deta hai aur jab apne kisi bande ke sath shar (budai ) ka iradaha karta hai to uss ke gunahon ko saza ko roke rakhta hai yahan tak keh Qayamat ke din uss se pudi pudi saza deta hai."
📚{Jamai Tirmidhi: 2396}
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
"Allah Ta'ala Jis ke sath khair o bhalai chahta hai uss se bimari ki takaleef aur degair musibaton mein mubtala kar deta hai"
📚{Sahih Bukhari: 5645}
Abu Sa'id Al-Khudri aur Abu Hurairah Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Musalaman jab bhi kisi Pareshani, Beemari, Ranj aur malal,Takleef aur Gam mein mubtala ho jata hai , yahan tak ki use koi kaanta bhi chub jata hai toALLAH Subhanahu use uske gunaahon ka kaffara bana deta hai.
📚{Sahih Bukhari: 5641}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Sunday, 4 November 2018
📍Aayat-Al-Kursi ki Fazilat.
Jab bistar par leto to Aayat al kursi.
👇🏻👇🏻👇🏻
(Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena.
Iske padhne se Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega.
📚{Sahih Bukhari, 2311}
Rasool-Allah Sal-Allahu 'Alaihe Wasallam ne farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Jo koi isko (Ayat Al kursi ko) subha padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega.
📚{Al-Hakim , Al Targeeb wa Al Tarheeb, 1/273}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
Subscribe to:
Posts (Atom)