Sunday, 18 November 2018

📍QIYAAMAT KE DIN KOI DOOSREY KE GUNAAH APNE OOPAR NA LEGA.


Allah Ta'ala Ne Farmaaya :

"Koi Bhi Bojh Uthaaney Wala Doosrey Ka Bojh Nahi Uthaayega Agar Koi Giran Baar Doosrey Ko Apna Bojh Uthaaney Ke Liye Bulaayega Tou Woh Us Mein Se Kuch Bhi Na Uthaayega Chaahey Qarabat-Daar (close relative) Hi Ho..."

📚{Soorah Faatir, Aayat:18}

Koi shaks kissi doosray ka bojh na uthayega.
Aur yeh kay her insan kay liye sirf wohi hai jiss ki kosish khud uss ney ki.
Aur yeh kay be-shak uss ki kosish unqareeb dekhi jayegi.

📚{Soorah Najam , Aayat:38-40}

📍TAFSEER:

Agar Koi Gunahgaar Apne Kuch Ya Saarey Gunaah Doosrey Par Laad-dena Chaahey Tou Yeh Chaahat Bhi Us Ki Poori Na Hogi. Koi Na Milega Jo Us Ka Bojh Bataaye, Azeez Wa AQaarib Bhi Mooh Mod Lengey, Chaahey Maa Baap Ya Aulaad Ho. Har Shakhs Apne Haal mein Mashghool hoga. Har Ek Ko Apni Apni Padi Hogi.

Ikrima (RahimahuLLaah) Kehte Hain:
Padosi Padosi Ke Peechey Pad Jaayega Allah Se Kahega Us Se Poocho Tou Saheeh Ke Us Ne Mujhse Apna Darwaaza Kyun Band KarLiya Tha❓

Kaafir Mumin Ke Peechey Lag Jaayega Aur Jo Ehsaan Us Ne Dunya Mein Kiye The Woh Yaad Dilakar Kahega Ke Aaj Mai Tera Mohtaaj Hoon Momin Bhi Us Ki Sifaarish Karega Aur Hosakta Hai Ke Us Ka Azaab Kam Ho Jaaye jo Jahannam Se Chhutkaara Mahaal Hai.

Baap Apne Betey Ko Apne Ehsaan Jatayega Aur Kahega Ke Raayi Ke Daaney Ke Baraabar Mujhe Aaj Apni Nekiyon Mein Se Dedey. Woh Kahega: Abba Aap Cheez Tou Thori Se Talab Farmaa Rahey Hain Lekin Aaj Tou Jo Khatra Aap Ko Hai Wahi Mujhe Bhi Hai Mai Tou Kuch Bhi Nahi Dey Sakta.

Neyk AmaaL Khud Tum Hi Ko Faaedah Dengey. Aakhir Allah Ke Paas Jaana Hai, Us Ke Saamney Pesh Hona Hai, Hisaab Kitaab Us Ke Saamney Hona Hai, AmaaL Ka Badla Woh Khud Deney Waala Hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

No comments:

Post a Comment