Monday, 26 November 2018

📍DA'IF HADITH KISE KAHTE HAI.


Alfazi taur par, Da'if ka matlab “Kamzor” hota hai.

Daif Riwayaat: Hadiths ke shariat me, daif riwayaat wo hoti hai jo na-qabil e qubool aur mardood(inkaar ki hui) hadiths hoti hai. Misal ke taur par; dekhye,
👇🏻👇🏻👇🏻
📚{Tayseer Mustalah al-Hadith (Pg 62)}

Hadith ke lihaz se da'if riwayat usko bolte hai jo hasan riwayat ke darje ke niche ki riwayat hoti hai.  Is hadith me ek ya ek se zyada Sihhah(sahih) ki sharte puri nahi hoti hai. AL-Bayqoonee ne Uloom al Hadeeth me is hadith ki wazahat kuch is tarha ki hai:

“Jo bhi hasan darje ke niche ki hadith hoti hai use da'if kahte hai aur iski boht si shakhe(branches) hoti hai.”

📍Da'if hadith ki ek misaal:

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مَحْبُوبٍ، حَدَّثَنَا حَفْصُ بْنُ غِيَاثٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ إِسْحَاقَ، عَنْ زِيَادِ بْنِ زَيْدٍ، عَنْ أَبِي جُحَيْفَةَ، أَنَّ عَلِيًّا، – رضى الله عنه – قَالَ السُّنَّةُ وَضْعُ الْكَفِّ عَلَى الْكَفِّ فِي الصَّلاَةِ تَحْتَ السُّرَّةِ ‏.‏   ضعيف : حكم

 Ali ibn Abu Talib riwayat karte hai ki Abu Juhayfah ne kaha ki Ali ne kaha “Ek hath ko dusri hath pe rakh kar aur use naaf ke niche bandhna sunnah hai.”
📚{Sunan Abi Dawud, hadith-756}

❌Darja-Da'if❌


Tahkeek:

RAAWIO KE JOD (CHAIN OF NARRATORS) :

[ Mohammed bin Mahboob → Hafs bin Ghias → Abdul Rahman ibn Ishaq → Ziad bin Zaid → Abu Juhayfah → Ali ]

Is hadith ko muhaddiths ne Da'if karar diya hai kyuki raawio ke jod me ek rawi Abdul Rahman ibn Ishaq zaif rawi hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

No comments:

Post a Comment