Tuesday 13 November 2018

📍 Bande Ki Aazmaish Uss Ke Deen Ke Mutabiq Hoti Hai.


Bismillahir Rahmanir Raheem

Musa'ab bin Said Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh unn ke walid Sa'id bin Waqqas ne beyan kya keh , maine arz kya:

Allah ke Rasool ! Logon mein sab se zyada musibat aur aazmaish ka shikar kaun hota hai ❓❓

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

👇👇👇👇

Anbiya , phir jo unn ke baad ke martabah  mein hain , phir jo unn ke baad hain , bande ki aazmaish uss ke deen ke mutabiq hoti hai, agar woh deen mein sakht aur pokhta hai to aazmaish bhi sakht aur pokhta ho gi , agar deen mein narm aur dehla hai to musibat bhi ussi andaz se narm hogi, musibaton se bande ke gunahon ka kaffara hota rehta hai yahan tak keh banda roye zameen par iss haal mein chalta hai keh uss par koi gunah nahi hota.

📚 { Sunan ibn Majah: 4023}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.



https://adilsaba.blogspot.com

No comments:

Post a Comment