بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Aisha Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se ek shakhs ne andar aane ki Ejazat chahi to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke usko andar bulaa lo, ye apni Qaum ka bahut hi bura aadmi hai, jab wo shakhs andar aa gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne is ke saath narmi ke sath guftagu farmayee , maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam aap ne abhi is ke mutalliq kya farmaya tha aur phir itni narmi ke sath guftagu farmayee .to Aap Sal-Allahu Alaihi ne farmaya, Aisha Allah ke nazdeek martabe ke aitbaar se wo shakhs sab se bura hai jisko log uski bad akhlaqi ki wajah se chorh dein
📚{Sahih Bukhari 6131}
Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke yahan Qayamat ke din wo log sabse badtareen honge jinki burayee ke darr se log unse milna chorh de.
📚{Sahih Bukhari 6032}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
No comments:
Post a Comment