🖍Hadees:
Abu Dharr (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pass aaye aur arz kiya:
👇👇👇
“Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai.
Tou aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta’ala ne sadqe ka samaan kar diya hai.
🖍Har Tasbeeh (Subhanallah kahna) Sadqa hai,🖍Aur har Takbir (Allahu Akbar kahna) Sadqa hai,
🖍Aur har Tahmeed (Alahmdulillah kahna) Sadqa hai,
🖍Aur har Tahleel (La ilaha illallah kahna) Sadqa hai,
🖍Aur har Acchi Baat Sikhana Sadqa hai,
🖍Aur har Buri Baat se Rokna Sadqa hai,
🖍Aur har Shakhs ke badan ke tukde me Sadqa hai,
(Yaani Apni Biwi/Shohar se Sohbat karna bhi Sadqa hai)
Logon ne arz kiya:
Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! hum me se koi shakhs apne badan se apni shahwat nikalta hai (yaani apni Biwi se Sohbat karta hai) to kya usmey bhi Sawab hai ❓
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: kyu nahi (yaani haan), agar wo Haraam me sarf karta tou uss se wabal (Gunaah) hota ki nahi ❓ isi tarah jab Halaal me sarf karta hai tou Sawaab hota hai.
📚{Sahih Muslim, Vol 3, 2329}
📚{Sahih Muslim 1005}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com
This discussion on Quran-o-Sunnah is so important for understanding the foundations of our faith! The relationship between the two is essential for a comprehensive grasp of Islamic teachings. If you’re looking to enhance your knowledge, I highly recommend reading Surah Yaseen. It’s a beautiful chapter filled with powerful messages that resonate deeply. You can find a Surah Yaseen PDF online, making it easy to read and reflect on its teachings whenever you want. A wonderful addition to your study of the Quran and Sunnah!
ReplyDelete