Monday, 31 December 2018

📍NEW YEAR MANANA KAISA HAI❓


Allah Musalmano Ko Yahudiyon Aur Isayon Ke Raaste Se Bachaye’ Jinho Ne Sab Se Pehle Apne Ambiya (Alaihimussalam) Ki Saalgirah Ko Manana Shuru Kiya Aur Fir Apni Khud Ki Bhi Saalgirah Manane Lage Aur Unki Salgiraah Dekh Hamare Kuch Muslaman Bhai Bahen Bhi Manane Lage Aur Ye Ab Is Qadar Aam Ho Gaya Hai Ke Musalmano Me Saalgirah Manana Ab Ek Status Ban Chuka Hai. Muslaman Ye Jante Hue Bhi Ke Ye Yahoodiyo Aur Isaaiyo Ka Tareeqa Hai Ise Ankh Band Karke Manaate Hai.

Hamare Islam Me New Year Manane ka Quran Aur Ahadees Me Koi Bhi Saboot Nahi Milta hai. Agar New year Manana Islam Me Jaiz Hota To Rasool’Allah sallallaho Alaihi wasallam ne Zarur New Year Manaya hota lekin 63 saal ki umr me unhone kabi New year nahi manaya, Naa hi Sahaba Ne Manaya.

New Year Manana Yahoodi Aur Isaaiyo Ka Tareeqa Hai. Allah Ke Rasool Sallallahu Aalaihi Wasallam Ne Hame Kafiro Ki Copy Karne Se Mana Farmaya Hai.

Abdullah Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya.
“Jisne Kisi Qaum Ki Mushabehat(copy) Ki Wo Unhi Me Se Hai”
📚{Abu Dawood, 4031}

Allah Ta’ala Farmata hai.

📗Al-Quran
“Humne Har Ek Ummat Ke Liye Ibaadat Ka Ek Tareeqa Muqarrar Kar Di Hai Aur Unhe Usi Par Chalna Hai”
📚{Surah Hajj, Ayat 67}

Allah Ta’ala ne to hamare Musalaman hone ke Tahat Deen e Islam ki Raah Muqarrar Ki Hai aur Ye Allah Ka Hukm Hai Ke Hame Usi Par Chalna Hai. Kya Hamare Islam Ke Tareeqe Achhe Nahi❓

Jo Ham Ghair Muslim Qaum Se Unke Tareeqe Le Rahe Hai. Ye To Nauzbillah Allah Ta’ala Ke Deen me Kami Nikalna Hua…❗

Bhale Koi Zuban Se Na Kahe Lekin Is Baat Ka Matlab Yahi Nikalta Hai Ke Is Deen Me Kami Hai Tabhi Ham Apne Is Deen Ki Baato Ko Sikhne Ke Bajaye Ghair Muslimo Ke Tareeqe Sikh Rahe.

Allah Ta’ala Farmata Hai

📗Al-Quran
“Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Apni Ney’mat Tum Par Puri Kar di Aur Islam Ko Bahaisiyat e Deen Tumhare Liye Pasand Kar Liya.
📚{Surah Maida, Ayat 3}

SubhanAllah!!!!
Allah Ta’ala Ne Gawahi De Di Hai Ke Hamara Deen Mukammal Ho Chuka Hai Aur Hamare Liye Islam Ko Allah Ne Pasand Kiya hai. KYA Hamare liye Allah Ta’ala Ki Ye Gawahi Kaafi Nahii❓

To Fir Ham Kyu Bhatak Rahe Hai Aur Kafiro Se Milte Chale Ja Rahe Hai. Aur Is Qadar Mil Chuke Ke Badi Afsos Ki Baat Hai Ke Ab Agar Koi Sahi Raah Dikhata Bhi Hai To Log Usi Ko Hi Galat Khane Lagte Hai.

Hame Allah Ke Aage Ye Iqrar karna Chahiye Ke,

“Ya Allah Hum Utne Hi Deen Par Razi Hain, Jitna Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Tune Nazil Kiya Aur Hume Yaqeen Hai Ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Pura Deen Hum Tak Pahuncha Diya Hai..❗”

Jinhe Yaqeen Nahi Hai wo jo chahe izafa kare.

Aisha Radhi Allahu Anha Riwayat Karti Hai Ke Rasool’Allah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jisne Hamare Is Deen Me Koi Aisi Chiz Ijaad Ki Ke Jispe Hamara Amal Nahi To Wo Mardud hai”
📚{Sahih Bukhari,2697}
📚{Sahih Muslim, 1718}

Meri Ye Musalman Bhai Baheno Se Darkhwast Hai Ke New Year Parties Manana Chhod de Aur Na khud Manaye Aur Naahii New Year Ke Invitations Qubul Kare.Aur Ye Hamesha Yaad Rakhe Ke Ham Musalman Hai Aur Behatareen Deen E Isalm Se Nawaze Gaye Hai. Lehaza Kafiro Ka Tareeqa Chhod Kar Musalman Hone Ke Naate Allah Ke Diye Hue Deen Ko Hi Follow Karen.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Monday, 26 November 2018

📍Kya Zaif hadith Dalaail ke taur par Islam me li ja sakti hai❓


📕Part-1

Hadith ki boht kisme hoti hai. Mukhtasar andaz me chaar (4) tarah ki hadith hoti hai. Wo hai

👇🏻👇🏻👇🏻
1) SAHIH  (Sabit)
2) HASAN (Acha)
3) ZAIF (Kamzor)
4) MAUDU(Ghadi Hui,Manghadant)

📍Zaif Riwayaat:
Hadiths ke shariat me, Zaif riwayaat wo hoti hai jo na-qabil e qubool aur mardood(inkaar ki hui) hadiths hoti hai. Misal ke taur par; dekhye, Tayseer Mustalah al-Hadith (Pg 62).

Kuch log hai jo kahte hai ki Jab baki rawiya sahi hai to ye bilkul jayz hai,  Zaif hadith ke upar amal karna, Fazaail e aamal ki baunyad par, lekin ye Jumhoor (aksar) ulma ke mutabik sahih nahi hai.

Note:-Hadith ke Zeif hone ke yhe kafi hai ki  raawio ke jod me ek rawi kamjor hai.


📕Part-2

Ahkaam aur Aqeedah me, Zaif  hadith na-qabool kiya jata hai sabhi ulmae ke mutabik lekin kuch ulema Fazaail ke muamle me Zaif hadith qubool kar lete hai, lekin kuch sharte lagane ke baad:

🔗Pahli Shart:
Wo boht Kamzor nai hono chaiye; wo jhuto, ghadne walo aur boht badi galti karne walo ki riwayat nahi honi chaiye.
[Is haalat pe Ijma hai]

🔗Dusri Shart:
Ye aam taur par subut ke mutabik honi chaiye  .

🔗Teesri Shart:
Uspe amal karte waqt ye yakeen nahi karna chaiye ke ye amal achi tarha se qayam ya sabit hai .
[Dekhe: Al-Qaul al-Badee Fi Fadhal al-Salat Alal Habeeb al-Shafee’ Pg 258]

🔗Chauthi Shart:
Jo uspar amal karta hai usko ye yakeen karna chaiye ke ye zaif hadith hai .
[Tabiyeen al-Ajab bima warad fi Fadhail rajab by Ibn Hajr, Pg 72]

🔗Panchwi Shart:
Use ek ache amal ka zikr karni chaiye Jo ki Shariat ke buniyad maise ho.

🔗Chathi Shart:
Wo Zaif hadith kisi Sahih hadith ki wazahat karne ke liye shumar nahi karna chaiye .
[Dekhe: Hukam al-Amal bil Hadith Al-Da’eef fi Fadhaail al-A’maal by Abu al-Yasar Ashraf bin Sa’eed Al-Misri (pg 55)]

In halat pe amal karne ke liye, ye zaruri hai ke us hadith ke sanad(silsile) aur Takhreej pe Tahkeek ki jaye, jab tahkeek ho jae aur upar ki shart puri ho jae sirf tab hi us Zaif hadth ko liya jayega.

Dusre ulema ke giroh Zaif hadith pe amal karne ke haq me bilkul nahi hai chahe wo Aaqaid aur ahkam me ho ya Fazail aur Manaqib me ho, aur in ulema ke giroh ki tahkeek Sahih hai aur Haq ke nazdeek hai Kyuki ye Quran , Sunnah aur Ulemao ke Jumhoor(Ijma) se sabit hai.

IMAM MUSLIM, ne apni kitab ke muqaddimah mein kayi saboot diye hain jo batati hai ki fadhail me Zaif hadith lena galat hai .
Jabki dusri Raae(opinion) jo ki fazaail me Zaif hadith qubul karne ko kahte hai us raae ki Quran wa Sunnah se Himayat(support) nahi milti.

Ye kuch dalaail hai in un giroh ke ulema ki jo Zaif hadith ka inkaar karte hai Fazaail aur Ahkaam me:


📕Part-3

QURAN SE DALAIL:

Zaif hadith me ye shak hota hai ki shayad wo sabit na ho. Matlab hame ye pakka nai pata hota ki ye RasoolAllah s.a.w. se sabit hai ki nai aur Allah swt farmate hai

Jiss baat ki tumhe ilm hi na ho uss kay peechay mat pado. Kyu ki tumhare kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch-taach ki janey wali hai.
📕{Al-Isra: 36}

Hadith se dalail

RasoolAllah s.a.w. ne farmaya: Jo chize Halal hai wo bata diya gaya hai aur jo chize Haraam hai wo bata diya gaya hai, aur undono ke bich chize hai jinpar shak hai jo boht se log nahi jante.Jo aadmi apne aap ko aisi cheezo se bachata hai jo shaq aur shubhat paida kare woh apni deen ki hifazat karta hai aur apne aap ki hifazat karta hai,aur jo shaq aur shubhe waali cheez par amal paira hota hai woh haraam ki taraf chala jaata hai,usi tarah jis tarah ek charwaha apni jaanwaro ko charata hai kisi ki aurki zameen ke paas yeh laazim hai ki woh usme pad jaye.
📚{Saheeh Muslim:3882}

Note-Kyuki Zaif hadith me shak-shuba hota hai, isliye, is hadith ke mutabik, Jo ispe amal karta hai wo Haraam chizo pe apna amal khatm karta hai.

Isliye hame is hadith par amal karte hue shak-shuba wali chize ek kinare par rakh deni chaiye .


📕Part-4

Sahaba ikaraam aur Ulmao se Dalaail

Is giroh ke qabil ahtram Aalim ke athaar se dalai jisse ye sabit hota hai ki in aalimo ne Zaif hadith se Dalaail nahi liye.

1)📌RasoolAllah s.a.w. ke Sahaba se riwayat hai ki Abdullah bin Abbas r.a. Mursal riwayat sunna tak ittefak nahi karte the.
[Dekhe: Muqaddimah Muslim H. 21, & Al-Nakat ala Kitaab Ibn as-Salaah: 2/553]

Iska matlab ki Abdullah bin Abbas r.a. Mursal Riwayat qubool nahi karte the, agar wo Fazaail me ho fir bhi .

2)📌Imam Muslim ne ek baar kaha (jiska khulasa hai ki): Zaif hadith kabil e qubool nai hai kisi bhi surat me chahe wo Ahkaam ke liye ho, ya Targheeb-o-Tarheeb(Fazaail) ke liye.
[Dekhe: Muqaddimah Sahih Muslim Vol 1, Pg 185, 186 with the Sharh of al-Nawawi 127_ 123/1]

3)📌Hafiz Ibn Rajab al-Hanbali ne kaha: Imam Muslim ne jo apne kitab ke muqaddimah  me kaha hai uska matlab ye hai ki Targheeb-o-Tarheeb (Fazaail) me bhi, hadith ke riwayati wo hone chaiye jo Ehkam(sadik,sachhe riwayatio) se riwayat karte hai.
[Sharh Illal al-Tirmidhi Vol 1, Pf 74]

4)📌Imam Sa’d bin Ibraheem ne kaha:  Sirf Siqqah riwayatio ko RasoolAllah s.a.w. ki hadiths  riwayat karni chaiye.
[Muqaddimah Sahih Muslim published by Darul-Salam: 31]


Note- Is baat se hame pata chala ki Imam Sa’d bin Ibrahim Zaif aur gair-kabile aeitbar raawio se dalaail nahi lete the.


📕Part-5

5)📌Abu Bakr ibn al-‘Arabi ne kaha ki Ye bilkul jayz nahi hai ki zaif hadith ke binah par amal kiya jaye ya to Fazaail ke muamle me ya dusri surat me.
[See Tadreeb al-Raawi, 1/252.]

6)📌Abu Ishaaq Ibraheem bin Eesa al-Talqani ne ek baar Munqati’ Fazaail ki hadith Abdullah bin al-Mubarak ko riwayat ki, lekin  unhone(Abdullah bin al-Mubarak ne) Inkaar kar diya Tankeed(criticize) karte hue.
[See: Muqaddimah Sahih Muslim Pg 11]

7)📌Ibn Lahi’ah ne RasoolAllah s.a.w. ki ek hadith riwayat ki: “ Jo bhi Asr ke baad sota hai aur apna dimag kho baithta hai to wo apne ap ke siwa kisi aur ko zimmedar na thehrae .”

Marwaan bin Muhammad al-Tatri (Siqqah) ne kaha:
Maine Ramzaan me dekha ki Imam Layth bin Sa’d Asr ke baad sone chale gae, isliye hamne unse pucha: “Ae Abu Harith! Ap Asr ke baad kyu so gae❓

Jabki Ibn Lahi’ah ne riwayat kiya hai Makhool se Aqeel tak ke sanad se, ki RasolAllah ne farmaya:” Jo bhi Asr ke baad sota hai aur apna dimag kho baithta hai to wo apne ap ke siwa kisi aur ko zimmedar na thehrae.”

*Imam Layth ne jawab diya:_
Jo bhi mere liye faydemand hai, mai use Aqeel ki riwayat Ibn Lahi’ah se, ke binah pe nai chor sakta .
[Al-Kaamil by Ibn Adi Vol 4, Pg 1463]

Toh hame pata chala ki, Imam Layth bin Sa’d bhi Zaif hadith se riwayat nahi lete the chahe ki wo Fazaail ke muamle me hi kyu na ho.

8)📌Imam Yahya bin Sa’eed, Imam Zuhri aur Qatadah ki Mursal hadith me kuch bhi nahi gaur karte the  ye kahkar “Huwa bi manzilah ar-reeh” Wo hawa(air) jesi hai.
[Al-Maraseel by Ibn Abi Haatim Pg 3]

Iska matlab Imam Yahya bin Sa’eed Zaif hadith ko Hujjah nahi samajhte the.


📕Part-6

9)📌Imam Yahya bin Ma’een ne kaha: Zuhri ki Mursal riwayate kuch bhi nahi hai.
[Al-Maraseel by Ibn Abi Haatim Pg 3]

Toh Imam Yahya bin Ma’een bhi Zaif hadith ko Hujjah nahi samajhte the .

10)📌Imam Ibn Hibban ne kaha: Jo Zaif hadith ka zikr karta hai aur us riwayat ka jo maujud hi nahi hai, dono ka barabar  hukm hai.(matlab Zaif hadith ka hona ya na hona barabar hai)
[Kitab al-Majroheen 328/1]

11)📌Imam Abu Haatim Ar-Raazi aur Imam Abu Zur’ah Ar Raazi ek baar bahes(discussion) karne lage Witr me haath uthane ke muamle me. Imam Abu Hatim ne ek hadith ka zikr kiya, toh Imam Abu Zur’ah ne raawi Layth bin Abi Saleem pe tankeed (criticize) ki jo ke us hadith me maujood the. Imam Abu Hatim ne dusre Hadith ki zikr ki, toh Imam Abu Zur’ah ne riwayati Ibn Lahi’ah ki tankeed ki.Abu Haatim ne teesre hadith ka zikr kiya, toh Abu Zur’ah ne “Awf” riwayati par tankeed ki. Fir Jab Imam Abu Haatim ne Abu Zur’ah se dalaail mange hath nahi uthane ke toh unhone zikr kiya Anas r.a. ke (sahih)hadith ki, ke RasoolAllah s.a.w. ne kisi bhi dua siwae Istisqaa ki dua ke apne hath nahi uthaye, ye jawab sunne ke baad, Abu Haatim Be-Zuban ho gae.
[Dekhe: Taarikh Baghdad Vol 2, Pg 76]

📍Hame ye pata chala ki Imam Abu Zur’ah Zaif hadith se fazaail me bhi  dalaail nahi lete tha.

12)📌Isi tarha Imam Shu’bah bhi saare Zaif hadith ko inkaar(reject) kar dete the.
[Dekhe: Tahdheeb al-Kamaal]

13)📌Imaam ibn Hazm, ‘al-Milal’ me kahte hai: “aur ye jayz nahi hai hamare liye ki ham aesa kahe ki (Zaif aur maudu)hadith aisa kahti hai, ya unpar yakeen kare, ya unse kuch bhi lena .”

14)📌Imaam Ibn Taymiyyah kahte hai, ‘ aur ye jayz nahi hai ki sahareeah me Zaif hadith par bharosa kiya jaye  jo ke na hi Saheeh ho aur na hi Hasan.’


📕Part-7

15)📌Aj ki sadi ke azeem ulma e deen, Shaikh Ahmed Muhammad Shaakir (rahimahullah), jo azeem aur mashhoor Muhaddith hai, wo kahte hai:

Mere Hisab se, ye farz hai, sabhi haalat me, Zaif hadith ki kamzorio ko bayan karna, kyuki agar ham kamzori ka zikr nai karenge to dusre log ye soch sakte hai ki hadith sahih hai, khas taur pe jab wo shaks kisi Muhaddith ki bato se kah raha ho, jiske kahne pe yakeen karna chaiye. Aur usme koi ikhtilaf nahi  Zaif hadith ko Ahkaam aur Fazaail me lene ke liye. Balki kisi ke liye koi daleel hi nahi hai ke wo koi bhi hadith logo se qubul kare siwae jo sabit ho jese Sahih ya Hasan.
[Sharh Alfiyah al-Suyooti Pg 84]

16)📌Shaikh Naasir ud-Deen Albani (rahimahullah) ne kaha:

“Duniya ke Purab(East) se lekar pashchim(west) tak, ham mashora(advice) dete hai sabhi musalman bhaiyo ko ke wo Zaif hadith ko bilkul chhor de aur RasoolAllah ki sahih aur sabit hadith ke taraf mude kyuki  ye Zaif raawio ke  bina koi parwah pe mushtamil hoti hai aur isme zarra barabar bhi  jhoot hamare nabi par nahi hoti.
[Muqaddimah Sahih al-Jaami Vol 1, Pg 56]

Aur Wazahat ke liye Kitab “Hukm al-Amal bil-Hadith Al-Da’eef fi Fadhaail A’maal”
Abu Yasar Ashraf bin Sa’eed al-Misri  padhe, aur ek article.

“Fataawa Shaikhul Islaam (65/18)”

Bhi padhe jo Shaikhul Islaam Ibn Taymiyyah ne is muamle pe likhi hui hai.
Hadiths ke Bunyadi ilm ke liye, ap, Dr. Bilal Philips ki mashhoor kitab Usool al Hadith padh sakte hai.

Downloading link of Usool al Hadith:

👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
~http://www.bilalphilips.com/wp-content/uploads/2012/12/Usool-al-Hadith.pdf~

Jo Saheeh hadiths hai RasoolAllah ki wo hame kafi Dalaai deti hai ki hame koi zarurat nahi hai Zaif hadith ke mutabik amal karne ke liye.

📚Note-Ek musalman ko jiddo jahad karni chaiye talaash karne ke liye ki kaunsi hadith Sahih hadith hai aur kaunsi  Zaif, aur khushi se Sahih riwayato pe amal karna chaiye.

Allah Ta'ala se Dua hai ki mughe or hum sab Musalmano ko Deen E Tawheed per Amal kerne wala banaye.

Aaameen!!

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

📍DA'IF HADITH KISE KAHTE HAI.


Alfazi taur par, Da'if ka matlab “Kamzor” hota hai.

Daif Riwayaat: Hadiths ke shariat me, daif riwayaat wo hoti hai jo na-qabil e qubool aur mardood(inkaar ki hui) hadiths hoti hai. Misal ke taur par; dekhye,
👇🏻👇🏻👇🏻
📚{Tayseer Mustalah al-Hadith (Pg 62)}

Hadith ke lihaz se da'if riwayat usko bolte hai jo hasan riwayat ke darje ke niche ki riwayat hoti hai.  Is hadith me ek ya ek se zyada Sihhah(sahih) ki sharte puri nahi hoti hai. AL-Bayqoonee ne Uloom al Hadeeth me is hadith ki wazahat kuch is tarha ki hai:

“Jo bhi hasan darje ke niche ki hadith hoti hai use da'if kahte hai aur iski boht si shakhe(branches) hoti hai.”

📍Da'if hadith ki ek misaal:

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مَحْبُوبٍ، حَدَّثَنَا حَفْصُ بْنُ غِيَاثٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ إِسْحَاقَ، عَنْ زِيَادِ بْنِ زَيْدٍ، عَنْ أَبِي جُحَيْفَةَ، أَنَّ عَلِيًّا، – رضى الله عنه – قَالَ السُّنَّةُ وَضْعُ الْكَفِّ عَلَى الْكَفِّ فِي الصَّلاَةِ تَحْتَ السُّرَّةِ ‏.‏   ضعيف : حكم

 Ali ibn Abu Talib riwayat karte hai ki Abu Juhayfah ne kaha ki Ali ne kaha “Ek hath ko dusri hath pe rakh kar aur use naaf ke niche bandhna sunnah hai.”
📚{Sunan Abi Dawud, hadith-756}

❌Darja-Da'if❌


Tahkeek:

RAAWIO KE JOD (CHAIN OF NARRATORS) :

[ Mohammed bin Mahboob → Hafs bin Ghias → Abdul Rahman ibn Ishaq → Ziad bin Zaid → Abu Juhayfah → Ali ]

Is hadith ko muhaddiths ne Da'if karar diya hai kyuki raawio ke jod me ek rawi Abdul Rahman ibn Ishaq zaif rawi hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Sunday, 25 November 2018

📍Allah Se Zyada Ghairat-Mand Aur Koi Nahin !!


​Allah Mushrik ko kyun nahi BAKHSHEGA​

Yaha Ghairat-Mand se murad "Behaya'ee ko na-bardasht aur na pasand karne wala hai".

Nabi-e-Kareem {Sallallahu Alaihi Wasallam} Ka Irshaad Allah Se Zyada Ghairat-Mand Aur Koi  Nahin !!

Saeed Bin Ubadah {Radi Allahu Anhu} Ne Kaha Ke Agar Mai Apni Biwi Ke Saath Kisi Ghair Mard Ko Dekhu Tou Seedhe Talwaar Se Iski Gardan Maardun , Phir Ye Baat Rasool {Sallallahu Alaihi Wasallam} Tak Pahunchi Tou Aap {Sallallahu Alaihi Wasallam} Ne Farmaya ke Kya Tumhe Saeed Ki Ghairat Per Hairat Hai❓

Bila-Shuba Mai In Se Zyada Ghairat-Mand Hoon Aur Allah Taa'ala Mujhse Zyada Ghairat-Mand Hai , Aur Allah Ne Ghairat Hi Ki Wajah Se Fawaash Ko Haraam Kiya Hai -

Chahe Wo Zahiri Mein Hon Ya Chup Kar Aur Maazrat Allah Se Zyada Kisi Ko Pasand Nahin , Isi Liye Is Ne Basharat Dene Waale Aur Darane Waale Behje Aur Taareef Allah Se Zyada Kisiko Pasand Nahin , Isi Wajah Se Is Ne Jannat Ka Wadah Kiya Hai -

📚{Sahih Bukhari: 7416}

Is Hadees ko Imam Bukhari apni kitab Sahih Bukhari ke Kitabut- Tawheed (Yani Tawheed wale chapter) me laakar ye sabit karna chah rahe hai ke:

📗Jis tarah ek admi apni biwi ke sath dusre gair-mard ki partnership (shirkat) ko bardasht nahi kar pata, gusse se beqaabu hokar us gair-mard ko jaan se maar dene ki baat karta hai to bhala Allah kaise bardasht karega ke uske rahte huye uska banda kisi aur ki ibaadat kare, isi wahaj se Allah Mushrik ko kabhi nahi baqshega jo hamesha hamesha ke Jahannam me jalta rahega.

📗Shirk Allah ke Gusse ka sabab hai kyunke wo apni TAWHEED me kisi tarah ki partnership (shirk) ko bardasht nahi kar pata hai.

📗Imam Bukhari ne, indirectly, is HADEES ko lakar shirk ko Zinaa se compare kiya hai, yaani Allah ke sath shirk karne wala ek tarah ka zaani shakhs hai kyunke wo apna Rab hote huye dusre ki ibaadat kar raha hai aur is zameen par sab se bada gunah SHIRK hi hai baaki kabira gunaho ka number iske baad ata hai.

​Apna shohar hote kisi gair-mard se tallukat kayam karna us Aurat ki BEWAFAI hai.​

​Usi tarah Allah ke hote huye kisi gairullah ki ibadaat karna ye Allah ke sath BEWAFAI hai.​

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Wednesday, 21 November 2018

📍 Jumah Ke Din Masjid pehle aane aur sawab ka darzaat❗


💐 Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya keh ;

👇👇👇👇

"jab jumah ka din aata hai to farishte Jama Masjid ke darwaze par aane walon ke naam likhte hain, sab se pehle aana wala , oont ki qurbani dene wale ki tarah likha jata hai , iss ke baad aane wala gaye ki qurbani dene wala ki tarah , phir mendhe ki qurbani ka sawab rehta hai, iss ke baad murghi ka , iss ke baad ande ka, lekin jab imam ( khutba dene ke liye ) bahr jata hai to farishte apne daftar band kar dete hain aur khutba sunne mein masghool ho iate hain."

📘 (Sahih Bukhari :929)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

📍 Jumah ki Namaz Auraton Par Farz Nahi Hai❗


Tariq ibn Shihab Radi Allahu Anhu kahte hain ke Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;.

👇👇👇👇

"jumah ki namaz ada karna har musalman par farz hai siwae char logon : ghulam, aurat , nabaligh bacha aur bimar ke."

📘 (Sunan Abu Dawud : 1067)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Monday, 19 November 2018

Momin momin ka aaina hai.


Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhuse se marwi hai. Rasool Allah Sallallahu Alaihe wasallam ne farmaya :


👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Momin momin ka Aina hai 'Aur momin momin ka bhai hai ' Us k maal ka  ( Nuksan hota ho to ) Bachao karta hai aur us ki gair maujoodgi me us ki  ( izzat ki ) hifazat karta hai.

📗{Sunan Abu dawood : 4918}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Sunday, 18 November 2018

📍QIYAAMAT KE DIN KOI DOOSREY KE GUNAAH APNE OOPAR NA LEGA.


Allah Ta'ala Ne Farmaaya :

"Koi Bhi Bojh Uthaaney Wala Doosrey Ka Bojh Nahi Uthaayega Agar Koi Giran Baar Doosrey Ko Apna Bojh Uthaaney Ke Liye Bulaayega Tou Woh Us Mein Se Kuch Bhi Na Uthaayega Chaahey Qarabat-Daar (close relative) Hi Ho..."

📚{Soorah Faatir, Aayat:18}

Koi shaks kissi doosray ka bojh na uthayega.
Aur yeh kay her insan kay liye sirf wohi hai jiss ki kosish khud uss ney ki.
Aur yeh kay be-shak uss ki kosish unqareeb dekhi jayegi.

📚{Soorah Najam , Aayat:38-40}

📍TAFSEER:

Agar Koi Gunahgaar Apne Kuch Ya Saarey Gunaah Doosrey Par Laad-dena Chaahey Tou Yeh Chaahat Bhi Us Ki Poori Na Hogi. Koi Na Milega Jo Us Ka Bojh Bataaye, Azeez Wa AQaarib Bhi Mooh Mod Lengey, Chaahey Maa Baap Ya Aulaad Ho. Har Shakhs Apne Haal mein Mashghool hoga. Har Ek Ko Apni Apni Padi Hogi.

Ikrima (RahimahuLLaah) Kehte Hain:
Padosi Padosi Ke Peechey Pad Jaayega Allah Se Kahega Us Se Poocho Tou Saheeh Ke Us Ne Mujhse Apna Darwaaza Kyun Band KarLiya Tha❓

Kaafir Mumin Ke Peechey Lag Jaayega Aur Jo Ehsaan Us Ne Dunya Mein Kiye The Woh Yaad Dilakar Kahega Ke Aaj Mai Tera Mohtaaj Hoon Momin Bhi Us Ki Sifaarish Karega Aur Hosakta Hai Ke Us Ka Azaab Kam Ho Jaaye jo Jahannam Se Chhutkaara Mahaal Hai.

Baap Apne Betey Ko Apne Ehsaan Jatayega Aur Kahega Ke Raayi Ke Daaney Ke Baraabar Mujhe Aaj Apni Nekiyon Mein Se Dedey. Woh Kahega: Abba Aap Cheez Tou Thori Se Talab Farmaa Rahey Hain Lekin Aaj Tou Jo Khatra Aap Ko Hai Wahi Mujhe Bhi Hai Mai Tou Kuch Bhi Nahi Dey Sakta.

Neyk AmaaL Khud Tum Hi Ko Faaedah Dengey. Aakhir Allah Ke Paas Jaana Hai, Us Ke Saamney Pesh Hona Hai, Hisaab Kitaab Us Ke Saamney Hona Hai, AmaaL Ka Badla Woh Khud Deney Waala Hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Wednesday, 14 November 2018

📍Jhoot Mat Bolo.

Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu kahte hain ke Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

👇👇👇👇

"tum jhoot se bacho, kyun ke jhoot burai ke tarf le jata hai, aur burai jahnnam mein le jati hai, aadmi jhoot bolta hai aur jhoot mein laga rehta hai , yahan tak ke woh Allah ke nazdik jhoota likh diya jata hai , aur sach bolne ko lazim kar lo isliye ke sach bhlai aur neiki ke tarf le jata hai aur neiki jannat mein le jati hai , aadmi sach bolta hai aur sach bolne mein laga rehta hai yahan tak ke woh Allah ke nazdeeq sacha likh diya jata hai."

📘 (Sunan Abu Dawud : 4989)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com

Tuesday, 13 November 2018

📍 Bande Ki Aazmaish Uss Ke Deen Ke Mutabiq Hoti Hai.


Bismillahir Rahmanir Raheem

Musa'ab bin Said Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh unn ke walid Sa'id bin Waqqas ne beyan kya keh , maine arz kya:

Allah ke Rasool ! Logon mein sab se zyada musibat aur aazmaish ka shikar kaun hota hai ❓❓

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

👇👇👇👇

Anbiya , phir jo unn ke baad ke martabah  mein hain , phir jo unn ke baad hain , bande ki aazmaish uss ke deen ke mutabiq hoti hai, agar woh deen mein sakht aur pokhta hai to aazmaish bhi sakht aur pokhta ho gi , agar deen mein narm aur dehla hai to musibat bhi ussi andaz se narm hogi, musibaton se bande ke gunahon ka kaffara hota rehta hai yahan tak keh banda roye zameen par iss haal mein chalta hai keh uss par koi gunah nahi hota.

📚 { Sunan ibn Majah: 4023}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.



https://adilsaba.blogspot.com

Saturday, 10 November 2018

📍SALAM KI ASHA’AT BHI ISLAM KA HISSA HAY.


Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. Se Riwayat Hay, Ek Shakhs Ne Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Daryaft Kiya:

Konsa Islam Bahetar Hay❓

Aap Ne Farmaya:”

👇🏻👇🏻👇🏻
Tum Khana Khilao, Sab Ko Salam Karo Khwah Use Tum Jante Ho Ya Na Jante Ho.”

📚{Sahih al-Bukhari 28}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Wednesday, 7 November 2018

📍KALMA TAWHEED KE ARKAN.


🖍Part-1

Kalma Tawheed ke 2 Arkan hai.
📌1.Nafi (Inkar karna)
📌2.Isbaat (Iqraar karna)

✂Nafi (Inkar karna)

Har mabood ki ebadat ka inkar karna chahe woh buut ho.(Murti, Mazar, Makbara), daraqt ho,pathar ho,suraj yeh chand ho yeh farishte,ambiyaor Auliya ho. inki daleel.

1.Buuto patharo or daraqto ko mabood banaya gaya.bhala tum logo ne laat or uzza ko dekha or teesre manaat ko.
📚{Quran: Al Najam 19,20}

LAAT safed rang ka ek pathar tha ju ahle taif ka mabood tha.

UZZA Makkah or Taif ke darmiyan ek daraqt tha or MANAAT Mushrikeen ki ek pathar ki devi thi.

2.Suraj or Chand ko Mabood Banaya gaya.
Aur din raat aur sooraj chand bhi (ussi ki) nishaniyon mien say hain tum sooraj ko sajdah na kero na chand ko bulkay sajdah uss "Allah" kay liye kero jiss ney inn sab ko peda kiya hai agar tumhen ussi ki ibadat kerni hai to.
📚{Quran: Al Fussilat 37}

3.Farishto or Ambiya ko mabood banaya gaya.
Aur yeh nahi (hosakta) kay woh tumhen fariston aur nabiyon ko rab bana lenay ka hukum keray kiya woh tumharay musalman honey kay baad bhi tumhen kufr ka hukum dey ga.
📚{Quran: Al Imran-80}

4.Auliya ko Mabood banaya gaya.

Yeh log jinko (Allah ke siwa) pukarte hai woh khud apne parwadigar ka haan zariyat(taqarub) talash karte rehte hai ke kon in me (Allah ka) zyada muqarib (hota) or uski rehmat ke umeedwar rehte hai or uske azaab se kauf rakhte hai beshak tumahra parwadigar ka azaab darane ki cheez hai.
📚{Quran: Isra 57}

🖍Part-2
Isbaat (Iqraar karna)

Saari Ebadaat sirf or sirf Allah Ta'ala ke liye sabit karna jaise - Namaz,Zakat,Hajj,Dua,Madat,Nazar o Niyat,Darr,Qurbani,Umeed,Tawakkal etc.

✒1.Namaz or Zakat Ebadat hai.
Or inko hukum tu yehi hoa tha iqlaas ke saat Allah ki ebadat kare (or) iksa hokar namaz pade or zakat de or yehi saccha deen hai.
📚{Quran: Bayyina 5}

✒2.Hajj Ebadat hai.
Or logo par Allah ka haq (yani farz) hai ke ju us ghar tak jane ka maqdoor rakhe woh uska hajj  kare ju uska hukum ki tameel nakarega Allah bhi ahle ilm se beniyaz hai.
📚{Quran: Imran 97}

✒3.Dua Ebadat hai.
Or tumahre parwadigar ne irshaad farmaya hai ke mujh se dua karo tumahri (Dua) khubool karoga ju log meri ebadat se izrah takabur katrate hai ankhareeb jahanum me zaleel hokar dakhil hoge.
📚{Quran: Ghafir 60}

✒4.Madad Ebadat hai.
Aya Parwadiga hum teri hi ebadat karte hai or tujh se madat mangte hai.
📚{Quran: Fateha 4}

✒5.Panah Ebadat hai.
Kaho ke main subah ke parwadigar ki panah mangta ho.
📚{Quran: Falaq 1}

✒6.Qurbani Ebadat hai.
Tu apne parwadigar ke liye namaz pada karo or qurbani kiya karo.
📚{Quran: Kausar 2}

✒7.Nazar wa Niyaz Ebadat hai.
Yeh log nazarin puri karte hai or usdin se jiski saqti pahelrahi hogi qauf rakhte hai.
📚{Quran: Al Insan 7)

✒8. Darr ebadat hai.
Yeh (Qauf dilane wale) tu shaitan hai ju apne dosto se darate hai tu agar momin ho tu inse mat darna or mujh hi se darte rehan.
📚{Quran: Imran 175}

✒9.Umeed Ebadat hai.
Jo shaqs apne parwadigar se milne ki umeed rakhe chahe ke naik amal kare or apne parwadigar ki ebadat me kisi ko shareek na banaye.
📚{Quran: Al Kahaf 110}

✒10. Tawakkal Ebadat hai.
Aur Allah hi par bharosa rakho bashartiye ke sahebe imaan ho.
📚{Quran: Almaida 23}

NOTE: HAR EBADAT SIRF OR SIRF ALLAH TAALA KE LIYE KARNA HUM PAR FARZ HAI.

NOTE: HAR BATIL MABOOD KI EBADAT KA INKAR KARNA HUMPAR FARZ HAI.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Tuesday, 6 November 2018

📍Musalman ko jo takleef pahuchti hai us se uske gunaah kam hote jate Hai.


Hazrat Ana's Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya.

👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
"Jab Allah Ta'ala apne kisi bande ke sath khair aur bhalai ka iradaha karta hai to usse duniya mein jald saza de deta hai aur jab apne kisi bande ke sath shar (budai ) ka iradaha karta hai to uss ke gunahon ko saza ko roke rakhta hai yahan tak keh Qayamat ke din uss se pudi pudi saza deta hai."
📚{Jamai Tirmidhi: 2396}

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
"Allah Ta'ala Jis ke sath khair o bhalai chahta hai uss se bimari ki takaleef aur degair musibaton mein mubtala kar deta hai"
📚{Sahih Bukhari: 5645}

Abu Sa'id Al-Khudri aur Abu Hurairah Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya.

👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Musalaman jab bhi kisi Pareshani, Beemari, Ranj aur malal,Takleef aur Gam mein mubtala ho jata hai , yahan tak ki use koi kaanta bhi chub jata hai toALLAH Subhanahu use uske gunaahon ka kaffara bana deta hai.
📚{Sahih Bukhari: 5641}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Sunday, 4 November 2018

📍Aayat-Al-Kursi ki Fazilat.


Jab bistar par leto to Aayat al kursi.

👇🏻👇🏻👇🏻
(Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena.
Iske padhne se Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega.

📚{Sahih Bukhari, 2311}


Rasool-Allah Sal-Allahu 'Alaihe Wasallam ne farmaya.

👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Jo koi isko (Ayat Al kursi ko) subha padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega.

📚{Al-Hakim , Al Targeeb wa Al Tarheeb, 1/273}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Wednesday, 24 October 2018

📍JO KUFR ME JANA IS TARAH NA PASAND KARTA HO JAISE AAG ME PHAINKA JANA, TO YE IMAN HY SE HAI.


"Hazrat Anas r.a. se riwayat hai ki Rasool ﷺ ne farmaya,“

👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Jis aadmi me teen baate hogi woh Emaan ka maza Paa lega,
“Ek woh aadmi jise Allah aur uske Rasool puri dunya se zyada mahboob ho,

Aur dusri ye ki jo kisi bande se mahaz Allah hi ke liye mohabbat kare.

Aur  teesri baat ye ki jise Allah ne kufr se nijaat di ho,

Fir dobara kufr ikhtiyar karne ko woh aisa bura samjhe jaisa aag me gir jane ko bura janta hai.” 

📚{Sahih al-Bukhari,21}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Sunday, 21 October 2018

📍Iman, Islam Aur Ihsan Kya Hay❓


Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi Akram ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Logo Ke Saamne Tashrif Farma The Ke Achchanak Ek Shakhs Aapki Khidmat Me Hazir Hua. Aur Puchne Laga:

“Iman Kya Hay❓

Aap Ne Farmaya: “Iman Ye Hay Ke Tum Allah Par, Aur Uske Farishton Par Aur Roz e Hashar Allah Ke Huzur Pesh Hone Par Aur Allah ke Rasoolon Par Iman Lao Aur Qayamat Ka Yaqeen Karo.”

Inhone Mazeed Sawal Kiya:

Islam Kya Hai❓

Aap Ne Farmaya: “Islam Ye Hay Ke Tum Mahez Allah Ki Ibadat Karo Aur Uske Saath Kisi Ko Shareek Na Karo. Namaz Thik Taur Pe Ada Karo Aur Farz Zakat Ada Karo Aur Ramzan Ke Roze Rakho.”

Fir Inhone Pucha:

Ehsaan Kya Hay❓

Aap Ne Farmaya: “Ehsaan Ye Hay Ke Tum Allah Ki Ibadat Is tarha Karo Goya Tum Use Dekh Rahe Ho, Agar Tum Use Nahi Dekh Rahe Ho To Wo To Tumhe Dekh Raha Hay.”

Inhone Kaha:

Qayamat Kab Barpa Hogi❓

Aap ﷺ Ne Farmaya: “Jis Se Sawal Kiya Gaya Wo Bhi Sawal Karne Wale Se Zyada Nahi Jaanta, Albatta May Tumhe Qayamat Barpa Hone Ki Kuch Nishaniya Bata Deta Hun: Jab Laondi Apni Malik Ko Janegi Aur Jab Siyah Unto (camel) Ke Charane Wale (Deehati Log Tarakki Karte Karte) Maqanat Ki Taamir Me Ek Dosre Se Bazi Lejaynge(To Qayamat Karib Hongi). Darasal Qayamat In Paanch Baato Me Se Hay Jinko Allah Ke Siwa Aur Koi Nahi Jaanta.

Fir Aapne Ye Ayat Tilawat Farmai: “Beshak Allah Hi Ko Qayamat Ka Ilm Hay..” Iske Baad Wo Shakhs Wapas Chala Gaya, To Apne Farmaya:” Ise Mere Pass Laao.” Chunancha Logo Ne Ise Talash Kiya Lekin Uska Koi Suraag Na Mila To Aap ﷺ Ne Faramaya: “Ye Jibrail The Jo Tumhe Tumhara Deen Sikhane Aye The.”

Imam Bukhari r.h. Kahte hai: “Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne In Tamam Chizo Ko Iman Karar Diya Tha.”

📚{Sahih al-Bukhari , Hadith 50}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com

Wednesday, 26 September 2018

📍 TAKBBUR KYA HAI❓

📍 TAKBBUR KYA HAI❓❓

Hazrat Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya keh.

Jis ke dil mein raii ke dana ke barabar bhi takbbur hoga woh jannat me nahi jaye ga.

iss par ek aadmi ne arz kya keh ek aadmi chahta hai keh uss ke kapde achche hon , aur uss ki juti bhi achchi ho

Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya keh.

Yaqeenan Allah Sahab e Jamal hai, Woh Jamal hi ko pasnd karta hai, takbbur to haq ki tarf se munh morne aur dosre logon ko kamtar samjhne ko kahte hain.

📚 (Sahih Muslim : 91)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.



https://adilsaba.blogspot.com

Tuesday, 25 September 2018

📍Allah Ta'ala ki Azmaish, 3 Admiyon Ka Imtihaan.


Bani israeel me 3 shakhs thay,

❗  Ek Safed Daag wala (Khorhi)
❗  Dusra Ganja aur
❗  Teesra Andha.

In sab ka Allah Tabaraktala ne imtihaan lena chaha aur in k pass ek farishta behja wo farishta sab se pahle safed daag(Khorhi) wale k pass aaya.

Aur isse pucha tumhe kaun si cheez zyada pasand hai❓

Isne kaha acha rang aur acha chamda(skin) aur yeh marz jaye jisse log nafrat karte hai,
Farishte ne is k jism pr hath fhera aur marz jata raha,acha rang ise mil gaya.

Farishte ne isse pucha,tumhe kaunsa maal zyada pasand hai❓

Isne oont (camel) ya gaye (cow)  kaha.
Ise farishte ne das maah ki hamila oothni di aur dua di k Allah Ta'ala isme tujhe barkat de.

📍Fir wo farishta ganje k pass aaya.

Aur isse pucha k tujhe kaun si cheez zyada pasand hai❓

Isne kaha khoobsurat baal mujhe pasand hain aur yeh k mera marz jata rahe jisko log napasand karte hain. Farishte ne is per hath phera jisse iska marz jata raha aur khoobsurat baal ise mayyasar aa gaye. is ke pasaddeeda maal k bare me farishte ne isse pucha to isnne bataya ke gaaye(cow) mujhe zyada mehboob hai,ise ek hamila gaye di gaye aur farishte ne ise dua di ke Allah tumhare liye is me barkat de.

📍Is k bad wo farishta andhe ke pass aaya.

Aur pucha k tumhe kaun si cheez zyaada pasand hai❓

Isne kaha ke main chahta hun ke Allah Ta'ala meri nigah wapas kar de ke main logon ko dekh sakun Farishte ne hath fhera aur Allah Ta'ala ne iski nigah wapas kar di.

Isse Farishte ne pucha ke tujhe kaun sa maal zyada pasand hai❓

Isne kaha mujhe bakri pasand hai. Ise ek hamila bakri di gaye.kuch dino bad ooth,gaye,bakri sab ke bache paida hue, Aur har ek ke liye apne oothon gaye aur bakriyon se jungle bhar gaya.

Wahi farishta us safed daag wale k pass uski pehli jaisi surat me aaya aur kaha k main miskeen aadmi hun ,mera aasmane safar khatam ho gaya hai aur aaj mujhe apni manzil tak pauchne ki surat nazar nahi aati bas Allah madad kare aur aap madad kare to ho sakta hai.jisne tumhe khoobsurat rang aur acha chamda aur maal diya hai is k waste main tumse ek oonth mangta hun taki main apni manzil murad tak pahauch jaun isne jawab diya k hakhookh bahut sare hain.farishte ne kaha lagta hai k main tumhe pehchaan raha hun kya.

Tum safed daag wale na thay jisse log nafrat karte thay❓
Kya tum gareeb nahi thay fir Allah ne tumhe maaldaar banaya, isne kaha main to is maal ka nasl bad nasle waris hua hun.
Farishte ne kaha agar tu jhoot bol raha hai to Allah tujhe waisa kar de jaisa tu pehle tha.

Fir ganje k pass iski surat me wo farishta aaya,isse bhi wahi kaha,isne bhi waisa hi jawab diya Farishte ne kaha agar tu jhoot bol raha hi to Allah tujhe waisa hi kar de jaisa tu tha.

Is k bad andhe ki surat me is k pass wahi farishta aaya aur kaha main gareeb aadmi hun ek musfir hun aur mera paisa khatam ho chuka hai,aaj manzil tak pahauchne ki koi surat nahi siwaye is k k Allah ki madad ho aur fir tumhari madad ho.jisne tujhe nigah di is k waste main tumse ek bakri maangta hun jisse apni manzil trak pahauch sakun.Isne kaha main andha tha Allah ne mujhe aankhen di tum jo chaho le lo aur jo chaho chod do kasam Allah ki tum jo bhi loge isme tumhe meri taraf se koi tangi na hogi.

Farishte ne kaha tu apna maal apne pass rakh,ASAL BAAT YEH HAI K MAIN TUM TEENO K LIYE IMTIHAAN THA.

❗Tere liye Allah ki raza hai aur in dono k liye Allah ki narazgi hai.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/


Tuesday, 18 September 2018

📍 It is Mustahab to also fast on 9th or 11th of Muharram along with fasting on Ashura (10th of Muharram)


‘Abdullah ibn ‘Abbas (Allah be pleased with him) said: When the Messenger of Allah ﷺ fasted on the day of ‘Ashoora and told the people to fast, they said, “O Messenger of Allah, this is a day that is venerated by the Jews and Christians.” The Messenger of Allah ﷺ said: “Next year, if Allah wills, we will fast on the ninth day.” But by the time the following year came, the Messenger of Allah ﷺ had passed away.

عبداللہ بن عباس رضی اللہ تعالی عنہما بیان کرتے ہيں کہ جب نبی مکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے یوم عاشوراء کا روزہ خود بھی رکھا اوردوسروں کو بھی اس کا حکم دیا تو صحابہ کرام انہیں کہنے لگے یھودی اورعیسائي تو اس دن کی تعظیم کرتے ہیں۔ تورسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم فرمانے لگے: آئندہ برس ہم ان شاء اللہ نو محرم کا روزہ رکھیں گے، ابن عباس رضي اللہ تعالی کہتے ہیں کہ آئندہ برس آنے سے قبل ہی رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم فوت ہوگۓ۔

 📚 [Sahih Muslim: 1916]

📘 NOTE: Regarding more information about fasting on 11th Muharram please visit:

http://islamqa.info/en/128423

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍HAZRAT HUSAIN RADIYALLAHU ANHU KO KIN LOGO NE QATAL KIYA❓❓

Ek shaks Ibn-E-Umar radiyallahu anhu ki khidmat mein aaya aur poochne laga ke (ahram ki halat mein) machchar maarne ka ( kaffara kya hoga ) Ibn-E-Umar radiyallahu anhu ne poocha tum kaha ke ho❓

Uss shakhs ne bataya IRAQ ka, Ibn-E-Umar radiyallahu anhu ne farmaya."

👇👇👇👇
 Is shakhs ko dekho,( machchar maarne ka kaffara poochta hai ) halankay is ke mulk walo ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke nawase ko (bila wajah qatal kar dala), Maine Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam se suna Aap sallallahu alaihi wasallam farma rahe thay ke yeh dono  ( Hasan aur Husain radiyallahu anhuma ) duniya mein mere phool hai.

📚{Sahih al Bukhari Hadith : 5994}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍Yaum-E-Ashurah​ (10 MUHARRAM) KE DIN SHARBAT PEENA CHAHIYE YA ROZAH RAKHNA CHAHIYE❓❓


Hazrat Abdullah ibn-E-Abbas RaziAllahu anhu kahte hain..

👇👇👇👇
📌 Jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Madinah tashreef laye to yahoodiyo ko Yaum-E-Ashurah ka (10 Muharram) ka Roza rakhte huye paaya,

Uss ke baare mein jab unn se poocha gaya to unhone bataya ke yeh woh din hai jis mein *ALLAH TA'ALA ne Moosa Alaihi Salam ko firaun par fatah naseeb ki thi,*

Isiliye taazeem ke taur par hum Roza rakhten hain,
(yeh sun kar) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya...." Hum moosa alaihessalam ke tum se zyadah haqdaar hain.
Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne uss din rozah rakhne ka hukm farmaya.

📚{Sunnan Abu Dawood Hadith : 2445}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍Ashurah ka Roza.

JO SHAKHS AASURAH 10 MUHARRAM KA ROZAH RAKHNA CHAHTA HAI USAY 9 MUHARRAM KA ROZAH BHI RAKHNA CHAHIYE.

Hazrat ibn e Abbas radiyallahu anhu farmate hai ke jis waqt Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aashura (10 Muharram) ke din roza rakha aur uss ke roze ka hukm farmaya to logo ne farmaya ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam...!
Is din to yahoodi aur eesayi taazeem karte hai to Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke jab agla saal  (next year) aayega to hum nauwi taareekh (9 muharram ka) bhi roza rakhe ge raawi kahte hai ke abhi agla saal nahi aaya tha ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka inteqaal ho gaya.

📚{Sahih Muslim Hadith : 2666}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Monday, 10 September 2018

📍Muharam ki Fazail.




🖍Part-1

👉🏻ALLAH ke yaha Mahino (Month) ki Barah (12) hai....
 Islamic Naya saal (year) suru ho gaya hai.
Islam me Pahala Mahina "Ⓜuharram" Hai..
Yeh Ek Hurmat wala Mahina hai....
 Jaise ALLAH NE Quran me Farmaya hai....

"Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah mahine hai , Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char hurmat wale hain (1-Dhul Qaida, 2- Dhul Hijja, 3- Muharram, 4- Rajab) yahi seedah deen hai isliye inmein (in mahino mein)apne upar zulm na karo (yani gunah ke kaam na karo)"

📚{Al Quran : Surah At-Tauba (9) Aayet 36}

Iss Aayet me Allah ne Gunah karne se mana kiya hai. Gunaho me sabse bada Gunah Shirk hai.

🖍Jaise ki ALLAH NE Quran me kaha hai.

Yaad karo jab Lukman(as) ne apne bete se nasihat karte huye kaha" Aye mere Bete , ALLAH ka sharik na tharana . Beshak Shirk Bahut bada zulm hai"

📚{Surah Lukman (31) Aayet No 13}

💢Aaj k Woh Log jo kalma padhte hai. Aur Apne Aapko Muslmaan kahate hai..
Woh iss Mahine ki 1⃣ (Pahali)  Tarikh (Date) se lekar 1⃣5⃣ Tarikh tak apne aapko Shirk me is Tarah Dube Rahate hai..
Jaise Bahut sawab ka kaam kar rahe hai...


🖍Log "ya husaain, ya Ali

" ka naara aise lagate hai jaise ki yeh log islam k sacche Fouz hai.

Magar ye , Yeh Nahi jante ki ussi halat me agar inko Mout ho gai.
To Allah k yaha inka Thikana Jahannam hai.

Kyuki ki Shirk karne wala Marne se pahle Touba na karen toh , woh hamesha hamesha k liye Jahannam me rahega.


🖍Part - 2

Kis Ka Inteqal Hogaya Toh Kitne Din Tak Sog Manaye.

Zainab bint Abi Salama Radhiallahu anha ne khabar Di ke woh Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam ki Zuja e Mohtarama Hazrat Umme Habibha Radhiallahu anha ke pas gayen toh uney ne farmaya ke Main ney Rasool Allah Sallalahu Alaihi Wasallam Se Suna Hai Ke Koi Bhi Aurat Jo Allah Aur Yaume Akhirat per Imaan Rakhti ho Uske liye Shauhar Ke Siwa Kisi Murde Per Bhi 🔟 (Ten days)Din Se Zyada Sog Manana Jaiz Nahi Hai- Haan Shauhar Per 4⃣ (Char)Mahine 1⃣0⃣ (Dus)Din Tak Sog Manaye- Phir Main Hazrat Zainab Bint Hajjashi Radhiallahu anha ke Yaha Gayi Jab Ke unke Bhai Ka Inteqal Howa, Unhoney Khushbo Mangwai Aur Use Lagaya- Phir Farmaya Ke Mujhe Khushbo Ki Koi Zarorat Nahi thi Lekin Main ney Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam Ko Member Per Yeh Kahtey huye Suna hai Ke Kisi Bhi Aurat Ko Jo Allah Aur Yaume Akhirat Per Imaan Rakhti Ho,  Jaiz Nahi Hai Ke Kisi Mayyat Per Teen (3) Din Se Zyada Sog Karey - Lekin Shauhar Ka Sog (Iddat) Char(4) Mahine Dus (10) Din Tak Karey-

📚{Sahih al-Bukhari 1281, 1282}

Iss Hadith se saaf pata chlta hai ki koi inteqal ho jaye to kitne din ka Matam ya sog manana chahiye.

💢Muharram ek hurmat wala Mahina hai.

Ibadat ka Mahina hai. Lekin kalma padhne wale log is Mahine me Hazrat Husaain Rz Hazrat Hasan Rz ki Sahadat ka iss Tarah Matam karte hai jaise unke liye wahi sab kuch ho. Unke yaad me Tazia bhi banate hai. Jisska Deen e  islam se koi lena dena nahi hai.
Yeh Log Khula khullam Shirk karte hai.
Aur Nabi Sallalahu wale wasallam ki koul k ulta kaam karte hai. Aur apne aap ko Muslim kahte hai.

💢Kya Shirk aur Biddat me Duba hua insan MUSLIM HAI❓


🖍BILKUL NAHI
Part - 3

Kya hum sab ko baap- dada k Raaste par (Deen k mamle me) Chalna Chahiye...

Ya phir ALLAH K RAASTE PAR CHALNA CHAHIYE❓❓

Aaiye dekhe Quran Me ALLAH NE KYA FARMAYA HAI.

“Aur jab unse kaha jata hai ki, ALLAH ne jo kuch utara hai uski ita’at karo, to kehte hain Nahi, balki ham to uski ita’at karenge jis par hamne apne baap-dada ko paya. Kya us haal me bhi jabki unke baap-dada kuch akl(dimag) se kaam na lete rahe ho aur na seedhey raah par rahe ho ❓”
📚{Surah Baqra 2/170}

_“Aur jab unse kaha jata hai ki us cheez ki aur aao jo ALLAH ne naazil ki hai, aur Rasool ki aur, to wo kehte hain
Hamare liye to wo hi kaafi hai jis par hamne apne baap-dada ko paya hai. Kya agar unke baap-dada kuch bhi na jaante ho aur na seedhey raah par ho ❓”_
📚{Surah Maidah 5,Aayet 104}


📍Note:- Baap-Dada ka Deen kya hai❓❓

❗Deen ka woh kaam jo log sawab or nek aamal samajh kar karte hai, jo Na ALLAH NE KAHA HAI or Na hi Nabi sallallaho walewasallam me kiya hai or na hi karne ko kaha hai..

For Example:-


📌Rajjab k Kunde..(Kheer Puri)
📌Shabe Barat (Raat bhar ibadat, Roza or halwa roti)
📌Eid Miladun Nabi (12 wafat, Nabi sallallaho wale wasallam ka Birthday manana)
📌Egarwi Shareef (Abdul Qadir Jilani RA ka yaad me Murga Katna)
📌Jasne Shab e Meeraj Manana. Hazari Roza Rakhana
📌Muharram me Taaziaa Dhol,Tasha, Akhara, Matam Manana. Phir usske Roze Rakhna..
📌Tija or Chaharam karna. 10wa,20wa, 40wa karna..
📌Barsi karna...
📌Jasne khatam Taravi.
📌Rajjab k Mahine me Khaja ka naam pe khichra or jasn manana..

List to kafi lamba hai. Par samjhne k liye Ye sab Example hai...

📍Quran me Allah ne Kah diya hai...

Shirk ko ALLAH kabhi maaf nahi karega, isske alawa jis gunah ko Allah Chahe to maaf karde.
📚{Surah Nisa 4/48}


Baap- Dada k jo Raaste hain Deen k mamale mein (zayadatar), woh Shirk aur Biddat ki Taraf le jaata hain, Hum sabko sahih Deen samjh kar us par am'al karna chahiye, Beshak Shirk ki Maafi nahi hai..

Part - 4

Hadith:
Hasan aur Hussain Mere Do khshubudar Phool hain

Ibn Abi Naam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye dono (Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma ) Duniya mein mere Do Phool hai.
📚{Sahih Bukhari, 5994}

Ibn Abi Nu'm se rivayat hai ki ek shaksh ne Abdullah bin umar radi allahu Anhuma se pucha ki agar koi shaksh (ehraam ki halat mein) makhkhi maar de to uska kaffara kya hoga is par Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

Iraq ke log makhkhi ke baarey mein sawal kartey hain jabki yahi log Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke nawasey ko Qatl kar chukey hain jinkey baarey mein Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha ki ye dono (Hasan aur Hussain ) Duniya mein mere Do khshubudar phool hain.
📚{Sahih Bukhari, 3753}

❗Hasan Rz aur Hussain Rz, Nabi Sallalahu wale wasallam k Do Nawase the aur Sahabi me se thai.

Aur jannat me Naujawano k sardar hai.

Aur koi Makam unka nahi hai.

Islam k liye inki Jaan gai hai aur iss k liye koi matam katrta rahe saalo saal to yeh islam nahi hai. Deen E Islam k liye inse pahale bhi bahut si jaane gai hai. Log unki sahadat ko bhula diye hai, Agar kisi k sahadat matam hi Deen hai, To koi yeh to bataye ki.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

🖍Nabi Sallallahu wale wasallam ne kis sahabi ki sahadat par Matam kiya tha ❓❓❓

Part - 5

Kya Qabro par Mela Lagana or Qabr walo ko Pukarna Chahiye❓

Hazrat Ali bin Al-Husayn (radiAllahu anhu) se marvi hai k Unho ne ek aadmi ko dekha k wo salam k liye hujray main dakhil ho raha hai, to unho ne usay mana kiya aur farmaya ki main tujhay wo hadith na sunaon jo Huzur (s.a.w) ne beyan farmai thi

Yani. "meri qabr ko mela na banana or na apne gharon ko qabrain banana (in main nawafil parhna), tumhara salam mujh per pohncha diya jaata hai jahan kahin bhi tum ho (yani qabr k nazdeek ho ya door)."
📚{Musnad Abi Ya'la al-Moosli 246/1}

🖍Iss Hadith me Nabi Sallallahu wale Wasallam ne Apne Qabr par Mela Lagane ki manahi ki hai.

Nabi saw se Muhabbat karne wale is hadith se Dur bhagte hai.
ALLAH wali maan kar Na jaane kis kis jagah Mela lagate hai.
Aur Nabi saw baat ka majak udate hai.

📮ALLAH ka farmaan hai.

“Bhalaa kaun hai jo majboor ki pukaar ko qubool kerta hai jab wo usey pukarta hai, or takleef ko door kerta hai.

(Ilava Allah ke)

Aur tumko zamin per khalifa banata hai
kya Allah k saath koi or ma’bood bhi hai❓
Hergiz nahi, balki tum bahut kam nasihat-o-ibrat qubool kertay ho.”
📚{Surah An-Naml Ayat#62}

Aur Allah Subhaanahu Wa Ta'ala ka farmaan hai,

“Us jaisi koi cheez nahin, aur Woh sab kuch Sunnay aur Dekhane wala hai"
📚{Surah Shuraa,42:11}

🖍Ghair Hazir ya Fout shuda ko pukarne k mutalliq Allah (s.wt) ka Farman,

“Aur matt pukaro tum Allah k siva kisi ko jo tumko nafa’ de sake aur na nuqsaan pohncha sakay, agar aisa karoge to mushrik banjaoge.”
📚{Surah Yunus Ayat#106}

📮ALLAH ne Quran me mana kiya hai.
Kisi bhi Qabr wale ko pukarne ko.
Jo bhi insan aisa karta hai. Woh jitna bhi nek amal aur ibadat kar le.

ALLAH K siwa kisi Gairullah ko pukarega to woh MUSHRIK  hoga.


Part - 6

❗Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai

🖍Hadith:
Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai, Agar noha (matam) karne wali bina tauba ke marr jaaye to Allah subhanhu usko "Tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo" ka kurta pahnayega.

Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi- Wasallam ne farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻

Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur noha karney wali agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega.
📚{Sunan Ibn Majah, Vol 1, #1581}

Jarir ne farmaya ki Muawiyah radi allahu anhu ne apney khutbey mein kaha ki Rasoollallah Sallallhu -Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai.
📚{Sunan Ibn Majah, Vol 1, #1580}

Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne humein Noha (matam) karney se mana farmaya hai.
📚{Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350}

Abdullah bin masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu- Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey (kapdey phaadey) aur jahiliyat ke zamaney ki tarah baatain karey wo hum mein se nahi ha.
📚{Sahih Bukhari, Vol2, #1297}

💢 Iss Mahe Mubarak main , kalma padhne wale log ye sab kaam bade Fakr se karte hai...

🖍Unhe bataya jaata hai ye sab galat hai. Shirk aur biddat hai to.
👇👇👇
"Khate hai hum to wahi karenge jo mere Baap Dada ne kiya hai. Yeh sab Naya Naya Baat hai hum nahi Manate".

Aur yeh bahut hi khusi se Nabi Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki Baat ki Nafarmani karte hai.

ALLAH Aise logo ko hidayet de..
Aameen.


Part - 7

📮🖍SIRF " YA ALLAH"

📌Na Ya Rasoollallah
📌Na Ya Hussain"
📌Na Ya Hasan
📌Na Ya Ali

🥫Sirf aur Sirf Ya Allah

Mai wadah karta hun ke aayindah Aapke elawah kisi aur ko madad k liye nahi pukarunga.
Mai har mushkil me aur kaam ke liye sirf "Ya Allah" hi kahunga.

Mai 📌"Ya Hussain Nahi" kahunga.
Kyu ki Ya ALLAH hum namaz me is baat ka aelan karte hai.

"Hum sirf Teri ebadat karte hai aur sirf Tujh hi se Madad chahte hai"
📚{Surah Fatiah Aayet No 4}

🖍Aur QURAN me hai.

Yahi hai ALLAH tum sab ka Palne Wala Isiki Saltanat hai, Jinhe tum Iss ke siwa pukar rahe ho wo to khajur ki guthli ke chilke ke bhi malik nahi hai. Agar tum inhe phukaro to,wo tumahri phukar sunte hi nahi agar(bal farz) sun bhi le to faryad rasi nahi karenge,
Balke qayamat ke din tumahre is shirk ka saaf inkar kar jayenge.
Aap Sallaha Alaihe Wasallam ko koi bhi  HAQUE TAALAH jaisa khabardar khabren na dega.
📚{Shura Fatir Aayet 13 , 14}

Aye Nabi Sallahu Alaihe Wasallam Aap kah dijye!bhala dekho to jinhe tum ALLAH ke siwa phukarte ho, mujhe bhi to dikhaon ke unhone zamin ka kaun sa tukra banaya hai, ya aasmano ke inka kaun sa hissa hai.

Agar tum sachche ho to isse pahle hi ki koi kitab ya koi ilm hi jo naql kiya jata ho, mere pass lao ,aur is se badh kar gumrah aur kaun hoga.
Jo ALLAH ke siwa aison ko phukarta hai jo kayamat tak kisi ki dua qabool na kar saken balke inke phukarne se mahaz be khabar ho,
Aur jab logon ko jama kiya jayega to ye inke dushman ho jayenge aur inki paristish se saaf inkar kar jayenge.
📚{Surah Haqaf Aayet 4, 6}

Jab MERE bande MERE  Bare Me aapse sawal kare to aap kah de ke MAI bohat hi karib hun, har phukarne wale ki phukar ko jab kabhi wo mujhe phukare,
📍Qabol Karta Hun,
is liye logon ko bhi chahiye ke WO Meri Baat Maan liya kare aur Mujh Par iman rakhe,
Yahi in ki bhalayi ka raasta hai..
📚{Surah baqrah Aayet 186}

Aur jo sakhs ALLAH par bharosa karega ALLAH iss ke liye kafi hoga..
📚{Surah Talaq Aayet 3}

QURAN KI AAYATO K BAAD BHI Log YA ALLAH na bol ke 📌"Ya Hussian Ya Hussain" Naara Lagate hai.

KYA DEEN E ISLAM K LIYE SAHADAT SIRF HUSSAIN RZ NE DI THI❓❓

Kya jo log Karbala k Maidan me Sahieed huye the unke ekhtiyaar me kuch bhi hai❓❓

Agar Nahi to Phir itna Shor kyu❓❓


Part - 8

Kaise hui TAAJIYON kee shuruaat❓

Taajiyon ki Paramparaa❓

Kya DEEN E ISLAM se Tajiyo ka koi lena Dena hai❓

MUHARRAM koee tyohaar (Festival) nahee hai, Yeh sirf Islaami Hijaree saal ka pahala(First) Mahina hai.
Pooree islaamI duniya me Muharram ki 9 aur 10 taareekh ko musalamaan roje rakhate hai aur Masjido-Gharo mein ibaadat ki jaatee hai. kyu ki ye taarikh islaami itihaas (History) ki bahut khaas taarikh hai.

Rahaa sawaal bhaarat (India) me Taajiyaa daaree kaa to yah ek shuddh bhaarateey paramparaa hai, jisakaa islaam se koi taalluk nahi hai.

❗Isakee shuruaat baraso pahale Taimoor Lang Badashah ne ki thi,

Jisakaa taalluk ‍Shiyao se tha.

Tab se bhaarat ke sheeaa - sunnee aur kuchh hiasso me  hindu bhee Taajiyo (Hazrat Husain Rz ki Qabr ki, jo iraq ke Karbalaa naamak Jagah par hai) ki paramparaa ko maanate aa rahe hai.

Bhaarat me Taajie ke itihaas aur badashah Taimoor lang ka gaharaa rishtaa hai.

Taimoor baralaa vansh ka Turkee yoddhaa tha aur (vishv vijay) duniya fatah karanaa usaka sapana tha.

Saal 1336 ko samarakand ke pass kesh Gram Traans uksaaniyaa (ab ujbekistaan) me janme taimoor ko changej khan ke Bete Chugatai ne Ladai Sikhai.

Sirf 13 Saal ki umr me hi woh Chugatai Turkiyo ka saradaar ban gaya. Phaaras, Afhaganistan, MesopoTaamiyaa aur Rush ke kuchh bhaago ko jeetate hue Taimoor Bharat (1398) pahucha. Usake saath 98000 sainik bhI Bharat aaye.

Delhi me Mehamood Tugalak se yuddh kar apanaa Thikaanaa banaayaa aur yahee usane Apne aapko Raza Banane ka elaan kiya.

Taimoor turkee Word hai, jiskaa meaning hai  Langraa. woh dayen (Right) haath aur dayen paanv se pangu tha.
Taimoor lang shiya  thaa aur Muharram k  Mahine me har saaliraq jaroor jata tha, lekin beemaaree ke wajah  ek saal nahi jaa payaa.

Usse Bimari thaa,isaliye hakimo  ne use safar ke liye manaa kiya tha. Badashah salaamat ko khush karane ke liye darabaariyo ne aisaa karanaa chaha, jisse taimoor khush ho jaye.

Us jamaane ke
kalaakaaro ko ikaTThaa kar unhe iraq ke karbalaa me bane Hazrat Husain Rz ke Qabr ki Majar  banane ka hukm diyaa.

Kuchh kalakaro ne baans ki kimachiyo ki madad se 'Qabr' ki Dhachaa taiyaar kiya. isse tarah-tarah ke
phulon se sajaya gaya.
Isse ko Tajiyaa naam diyaa gayaa. is taajie ko pahalee baar 801 hijaree me Taimoor lang ke mahal me rakhaa gayaa.

Taimoor ke Taajie ki dhoom bahut jald poore desh me mach gai..
Deshabhar se Raaje-Maharaje aam insan  in Taajiyo kee jiyaarat ke liye pahunchane laga.

Taimoor lang ko khush karane ke lie desh ke aur hisso me.n bhee is paramparaa ki shuruaat ho gai.

Khaasa taur par Delhi ke aas paas ke jo shiyo ke Nawab the, unhone jald is paramparaa par amal shuroo kar diyaa tab se lekar aaj tak is paramparaa ko Bhaarat, Paakistaan, Banglaadesh aur Barmaa (Myanmaar) me manaayaa jaa rahaa hai.

Jabaki khud Taimoor lang ke desh Ujbekistaan ya Kajaakistaan me yaa shiya  Desh iraan me Taajiyo ki paramparaa kaa koi History nahi milata hai.

68 saal k Taimoor apane shuru ki gai Taajiyo ki paramparaa ko jyaadaa dekh nahi paya aur bimari me mubtilaa hone ke kaaraN 1404 me.n Samarakand laut gayaa.

Bimaari ke bavajud usne Cheen jaane ki taiyaariyaa shuroo ki. lekin 19 February 1405 ko Otaraar Shimakent ke paas(ab Shimaket, Kajakistan) me Taimoor kaa intekaal ho gaya. Lekin taimoor ke jaane ke baad bhee bhaarat me yah paramparaa jaree rahee.

Tugalak-Taimoor ke baad Mughal ne bhee is paramparaa ko jaaree rakhaa. Mugal BADASHAH HUMAYUN ne sall nau hijaree 962 me.n Bairam khan se 46 Taulaa ke jamurrad (pannaa/Hira Moti) ka bana Taajiyaa Mangavaayaa thaa.

Kul milakar taaziyaa kaa islaam se koee Taalluk hi nahi hai....


Lekin hamare kalma padhne walo ko  ilm nahi hai aur is wajah se is kaam ko sawab samajh kar karate hai unhe hakeekat batana bhi ham sab kaa kaam hai.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Tuesday, 28 August 2018

📍His sins will be forgiven, even if they are like the foam of the sea.


RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said whoever go to his bed and says below words his sins will be forgiven, even if they are like the foam of the sea.
📚{Al Silsila As Sahiha ,415}


 لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد 
وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله
سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر

La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu,
Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir.
La Hawla wa La Quwwata illa billah
SubhanAllah, Walhamdulillah,
Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar


Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.
📚{Al Silsila As Sahiha ,415}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Monday, 27 August 2018

📍Shirk ki halat mein khatima.


Hazrat Anas Radi-Allahu-Anhu se Riwayat Hain ke Ek shaks ne Arz kiya: Allah ke Rasool! Mere Walid Kaha hain❓ Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmya: Tumhare walid Jahannam mein hain. Jab wo peeth pher kar chala to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya " Mere walid aur Tere walid dono Jahannam mein hain.
📚{Sunan Abi Dawud 4718}

Anas (RadiAllahu anhu) se rivayat hai ki ek aadmi ne arz kiya, yhe Allah ke Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Mere Baap (Father) kaha hai❓
Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya dozakh mai, Jab vo admi wapas jane laga to Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne us ko bolaya or phir farmaya ke mere baap or tere baap dono dozakh mai hai.
📚{Sahih Muslim Vol 1,H-500}

📍Wazahat
Isse ye malum hota hai ke insaan ke liye Tauheed, Wahdaniyat ki kitni Ahmiyat hai.Tauheed ke bagair insaan ki zindagi be-mani Hai. Jis ka khatima Tauheed ke bagair ho, chahe wo Nabi ke Walid ho, ya Nabi ke Maa ho, ya Nabi ki biwi ho, ya Nabi ka beta ho, ya Nabi ke chacha ho, chahe kitni bhi badi motabar shaksiyat ho, unka thikana jannam hai. jo Allah Ta'ala ki Wahdaniyat ko nai pehchana Allah ke Nazdeek uski koi Ahmiyat Nahi hai..

Aur isse ye baat bhi malum hoti hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sifarish bhi unhi logon ke liye hai jinka khatima Tauheed par hota hai, jo shaks Allah Ta'ala ki zaat, sifaat,Ibadah me kisi doosre ko bhi shareek tehrata hai Matalb Allah par Imaan Rakhta hai ke Allah Aulaad ka Rizzaq ka, Maal ka, naam, shohrat ka dene wala hai aur bimariyon ko shifa karne wala hai.,

Aur saath saath ye bhi imaan rakhta hai ke, Nabi, sahabi, wali, ya peer faqeer ya koi baba bhi ye sab kuch dete hai, aisa Aqeeda aisa imaan Rakh kar tauba ke bagair is duniya se jayega to uski sifarish bhi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam nahi karenge..is liye ke Allah ta'ala ke Nazdeek sab se Aham chiz Tauheed hai. Allah ta'ala ko ek jaanna ek maanna aur sirf usi ki ibadat karan..

Allah ta'ala hum sab ka khatima Tauheed par kare.
Aameen ya Rabbal Aalemeen.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Wednesday, 8 August 2018

📍Whatsapp Use Karney Key kuch Aadaab📍

​​
Note -  please don't take it personally.

(1) Jo Bhi Qurani Aayat Ya Hadees Aap Ke Paas Aaye Usay Forword Karney Se Pehlay Check Kar Len Ya Kisi Mustanad (Authoritative) Aalim Se Pooch Len, Kahin Aisa Na Ho Ke Aap Ke Upar Jhooti Hadees Ko Phelanay Ka Wabaal (Pest) Aur Gunah Aa Jay.

(2) Apne Watsaap Ko Logon Ki Burai Aur Gheebat Ka Zariya Na Banayen, Yaad Rakhen Ke Sirf Aik Gheebat Wali Baat Share Karney Ki Wajah Se Lakhoon Logon Ka Gunah Aap Ke Sir Aajayga Aur Aap Ko Maloom Bhi Nahi Hoga.

(3) Logon Ki Izzat Ke Peechay Na Paden, Kisi Ki Jasoosi Na Karen, Kiyunkay Jo Dosron Ki Izzat Par Haath Dalta Hai Allah Taala Usay Zaleel o Ruswa Kar deyta Hai.

(4) Shahed Ki Makhkhi Ki Misaal Banen Jo Khushbudar Cheezon Par Hi Baithti Hai Aur Logon Ko Faiday Ki Cheez "Shahed" (Honey) Deti Hai. Aisay Hadsaat o Waqiyat Ko Share Na Karen Jin Se Koi Faida Na Ho, Logon Ko Khush Karen Na Ke Mayoos Karen. Us Makhkhi Ki Misaal Na Banen Jo Gandagi Par Baithti Hai.

(5) Apne Mulk o Watan Se Mutalliq Galat Baatein Share Na Karen, Aik Zimmedaar Shehri Banen. Allah Ka Shukr Ada Karen Ke Aap Apne Mulk Mein Aazaadana Taur Par Apne Deen Par Amal Kar Saktay Hain.

(6) Dosron Ki Khusoosan (Khaas Taur Sey) Ulma e Kiraam Ki Aib Joi Na Karen (Unkey Aib Na Nikalen), Lekin Agr Kisi Galati Par Aagaah Karna Ho To (Behtar Andaaz Mein) Kar Saktey Hain. Doosron Ke Aib Talaash Karney Ke Bajaye Apni Islaah Ki Ziyada Fikr Karen, Is Liye Ke Aib Talaash Karney Ke Liye Zabaan Sab Ke Paas Hai.

(7) Koi Link Share Karney Se Pehlay Check Karlen, Kahin Anjanay Mein Shareeyat Key Khilaaf Baat Na Share Kar Dein.

(8) Kisi Ko Koi Message Bhejnay Se Pehlay Yeh Zaroor Dekh Len Ke Un Ka Waqt Musnasib Hai Ke Nahi.

(9) Koi Zaroori Nahi Ke Har Woh Cheez Jo Aap Ke Paas Aaye Usay Zaroor Share Karen. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Farmatey Hain:

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ ‏"‏ ‏.‏

Tarjumah:
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Ke Aadmi Key Jhoota Honey Key Liye Ye Baat Kaafi Hai Ke Wo Har Suni Sunai Baat Ko Aagey Bayan Kar Dey.
📚(Sahih Muslim: 7)

📍Isliye Sirf Tehqeeq Ki Hue Cheezein Hi Bheja Karen.

(10) Apne Auqaat Ka Muhasba Karen Ke Kitna Waqt Whatsapp Istemaal Karne Mein Lagatey Hain❓ Aur Kitna Waqt Quran e Kareem Ko Samjh Kar Parhnay Aur Deen Seekhnay, Sikahnay Mein Lagatey Hain❓ Aur Kitna Waqt Doosrey Zaroori Kaam Mein Lagatey Hain❓ Is Ke Baad Time Spend Karney Ka Routine Banayen.

(11) Logon Ko Ziyada Se Ziyada Quran o Hadees Ki Sahih Baatein Pohnchayen Aur Awam (Logon) Mein Phailay Galat Afkaar o Nazariyyat Ki Bharpoor Tardeed Karen Lekin Wazeh Rahay Apni Dawat Ka Mehwar (Axis) Aqeeda e Toheed Ko Banayen.

(12) Jo Bhi Cheez Doosron Ko Bhaijtay Rahenge Woh Sab Aap Ke Nama e Aamaal Mein Darj Hota Rahayga. Is Liye Aap Ki Hamesha Yeh Koshish Ho Ke Hamaray Nama e Aamaal Mein Sawaab Ka Kaam Likha Jaye Or Azaab Walay Tamam Kaamon Se Parhaiz Karen.

📍Allah Hamein Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye.📍
Aameen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/


Tuesday, 7 August 2018

📌 Sajde sirf aur sirf Allah hi ke liye jayez hain.


Surah Fussilat 41, ayat 37

🍃🍂 Tum suraj ki sajda na karo aur na chand ko , balke sajda USS Allah ke liye karo Jis ne unn sab ko paida kiya hai , agar tumhe uss ki ibadat karni hai to.

📝 yani jo shaksh chahe ke Allah hi ka banda bane to sajda Ussi ko kare..aur Kisi chand , suraj ko sajda na kare yani sajda karna sirf khaliq hi ka haqq hai kisi bhi makhluq ko sajda na kia jaye aur makhluq sab hain suraj , chand, nabi aur wali , waghirah.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Wednesday, 1 August 2018

📍Do (2) Din Khushi Ke Liye….


📗Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Hijrat Farma Kar Madina Tashreef Laye Tou Dekha Yahan Ke Log Saal Me 2 Din Khel-Kood Karte Hain, Khushi Manate Hain.

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Logon Se Pucha – “Yeh 2 Din Kaise Hain ❓”

Log’on Ne Arz Kiya – “Inn 2 Dino Me Hum Jahalat Ke Zamaane Me Khushiyan Manatey They”.

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

“Allah Ne Inn 2 Dino Ko Badal Kar Is Sey Behtar 2 Din Khushi Ke Liye Tumhe Diye.

“Eid-Ul-Fitr(Ramzan Eid) Aur Eid-Ul-Azha(Qurbani Eid)”.

📚{Sunane Abu Dawood - Hadith 1134}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Thursday, 26 July 2018

📍Ehsan Kya hai, Ehsan Jatlane Ki Saza❓❓



🚫Part - 1

Ehsan karna badi neki hai magar ehsan kar ke kisi par ehsan jatlana buri sifat hai. Aise logon ko Arabic mein “mannan” aur urdu mein “ehsan jatlane wala” kehte hain.

📮Mannan:
Is se murad woh shakhs hai jo kisi ko kuch dene ke bad ehsan jatlata hai. Imam Qurtubi Rahimahullah ne ehsan jatlane ki tareef (definition) is tarah ki hai:

ذکر النعمة علی معنی التعدید لها والتقریع بها، مثل ان یقول: قد احسنت إلیك

🖍Tarjumah:
Kisi ko jatlane ya dhamkane ke liye us par kiye huwe ehsan ka tazkirah karna. For example: Yeh kehna ki main ne (tere saath flan neki ki hai) tujh par flan ehsan kiya hai, wagerah (etc.)
📚(Tafseer e Qurtubi: 3 / 308)

Kuch logon ne ehsan ki tareef is tarah bhi ki hai:

التحدث بما اعطٰی حتی یبلغ ذلك المُعطٰی فیؤذیه

🖍Tarjumah:
Kisi ko di hue cheez ka tazkarah is tarah karna ke us ko jab yeh baat pahunche to us ko takleef de.


🚫Part – 2

📮Gunah e Kabirah Ki Tareef (Introduction):
Har woh gunah jis ko Quran o Hadith ya ummat ke Ijmaa' ne kabirah gunah qarar diya hai. Woh jis gunah ko azeem qarar dete huwe us par sakht saza ka hukm sunaya gya ho ya us par koi hadd muqarrar ki gai ho ya gunah ka irtikaab karne waale par la'nat ki gai ho ya jannat ke haram hone ka hukm lgaya gya ho.

Kabirah gunah baghair tauba maaf nhi hote. Allah ka farman hai:

إِنْ تَجْتَنِبُوا كَبَائِرَ مَا تُنْهَوْنَ عَنْهُ نُكَفِّرْ عَنْكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ وَنُدْخِلْكُمْ مُدْخَلًا كَرِيمًا

🖍Tarjumah:
Agar tum un bade gunahon se bachte rahoge jin se tum ko mana kiya jaata hai to hum tumhare chote gunaah door kar denge aur izzat o buzrugi ki jagah dakhil karenge.
📚(Surah An-Nisa, Ayat No: 31)

Qur'an:

وَلِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ لِيَجْزِيَ الَّذِينَ أَسَاءُوا بِمَا عَمِلُوا وَيَجْزِيَ الَّذِينَ أَحْسَنُوا بِالْحُسْنَى۞ الَّذِينَ يَجْتَنِبُونَ كَبَائِرَ الْإِثْمِ وَالْفَوَاحِشَ إِلَّا اللَّمَمَ ۚ إِنَّ رَبَّكَ وَاسِعُ الْمَغْفِرَةِ

🖍Tarjumah:
Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zameen mein hai taaki Allah Taala burey aamaal karne walon ko unke aamaal ka badla de aur neik kaam karne walon ko achcha badla inayat farmaye. Un logon ko jo bade gunahon se bachte hain aur be-hayaai se bhi. Siwaye kisi chote se gunah ke. Be-shak tera Rabb bahut kushada maghfirat wala hai.
📚(Surah An-Najm, Ayat No: 31 and 32)


🚫Part – 3
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

الصَّلَوَاتُ الْخَمْسُ وَالْجُمُعَةُ إِلَى الْجُمُعَةِ وَرَمَضَانُ إِلَى رَمَضَانَ مُكَفِّرَاتٌ مَا بَيْنَهُنَّ إِذَا اجْتَنَبَ الْكَبَائِرَ 

🖍Tarjumah:
Jab (insaan) Kabirah gunaahon se bach raha ho to, paanch (5) namazein, aik Juma' (doosre) Juma' tak aur aik Ramadhan doosre Ramadhan tak, darmiyan ke arse mein honay wale gunaahon ko mitaane ka sabab hain.
📚(Sahih Muslim: 233)

Aik doosri Hadees hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

إِنَّ الْعَبْدَ إِذَا أَخْطَأَ خَطِيئَةً نُكِتَتْ فِي قَلْبِهِ نُكْتَةٌ سَوْدَاءُ فَإِذَا هُوَ نَزَعَ وَاسْتَغْفَرَ وَتَابَ سُقِلَ قَلْبُهُ وَإِنْ عَادَ زِيدَ فِيهَا حَتَّى تَعْلُوَ قَلْبَهُ وَهُوَ الرَّانُ الَّذِي ذَكَرَ اللَّهُ ‏:‏ ‏(‏ كلاَّ بَلْ رَانَ عَلَى قُلُوبِهِمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ ‏)‏ ‏"‏ ‏.‏

🖍Tarjumah:
Banda jab koi gunah karta hai to us ke dil mein aik kaala (black) nukta (spot) pad jaata hai, phir jab woh gunah ko chor deta hai aur tauba wa isteghfaar karta hai to us ke dil ki safai ho jaati hai (kaala dhabba mit jaata hai) aur agar woh gunah dobara karta hai to kaala nukta (black spot) mazeed phail jaata hai yahan tak ke poore dil par chaa jaata hai, aur yahi woh «ران» hai jis ka zikr Allah Ta'ala ne is aayat {كَلاَّ بَلْ رَانَ عَلَى قُلُوبِهِمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ} mein kiya hai.
📚(Tirmidhi: 3334)

🚫Part – 4
Bade afsos ki baat hai ke log ehsan karne ke baad ehsan jatlate hain, kuch social organisation jo khairati kaam karti hain wo gareebon ko taana (reproach) deti hain, isi tarah kuch maaldaar faqeeron aur ghareebon par ehsan kar ke unhein be-izzat karte hain aur ehsan ka badla talash karte hain aur ehsan jatla kar baar baar unhein sharminda karte hain. Jo admi is tarah ke rawayye (attitude) ko ikhtiyar kiye rakhega, woh sadaqat aur khairat ki tamaam nekiyon se haath dhoo baithega (means mehroom ho jaayega).

Yehi wajah (reason) hai ke Allah Ta'ala ehsan karne ka hukm deta hai lekin ehsan jatlane par sakht wa'eed sunata hai. Allah Ta'ala ka farman hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تُبْطِلُوا صَدَقَاتِكُمْ بِالْمَنِّ وَالْأَذَىٰ كَالَّذِي يُنْفِقُ مَالَهُ رِئَاءَ النَّاسِ وَلَا يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۖ فَمَثَلُهُ كَمَثَلِ صَفْوَانٍ عَلَيْهِ تُرَابٌ فَأَصَابَهُ وَابِلٌ فَتَرَكَهُ صَلْدًا ۖ لَا يَقْدِرُونَ عَلَىٰ شَيْءٍ مِمَّا كَسَبُوا ۗ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْكَافِرِين

🖍Tarjumah:
Aye eman walo! apni khairaat ko ehsan jata kar aur takleef pahuncha kar barbaad na karo! Jis tarah woh shakhs apna maal logon ke dikhaawe ke liye kharch kare aur na Allah Ta'ala par eman rakhe na qayamat par, us ki misal us saaf paththar ki tarah hai jis par thodi si mitti ho phir us par zordaar paani barse aur woh usey bilkul saaf aur sakht chor de, in riyakaaron ko apni kamaai mein se koi cheez haath nahi lagti aur Allah Ta'ala kafiron ki qaum ko (seedhi) raah nahi dikhata.
📚(Surah Al-Baqarah, Ayat No: 264)


🚫Part – 5

Maqsad yeh hai ke jo kaam tum apni duniya aur aakhirat ki bhalayi ke liye kar rhe ho us par ehsan jatlana kaisa❓

Ehsan jatlane wale ke bare mein hadith mein bhayanak saza sunayi gayi hai:

عَنْ أَبِي ذَرٍّ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ ثَلاَثَةٌ لاَ يُكَلِّمُهُمُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلاَ يَنْظُرُ إِلَيْهِمْ وَلاَ يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ ‏"‏ قَالَ فَقَرَأَهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ثَلاَثَ مِرَارٍ ‏.‏ قَالَ أَبُو ذَرٍّ خَابُوا وَخَسِرُوا مَنْ هُمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ‏"‏ الْمُسْبِلُ وَالْمَنَّانُ وَالْمُنَفِّقُ سِلْعَتَهُ بِالْحَلِفِ الْكَاذِبِ

🖍Tarjumah:
Abu Zarr Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ke teen aadmi aise hain ke jin se Allah Taala Qayamat Ke din baat nahi karega aur na hi un ki taraf rehmat ki nazar se dekhega na unhein gunaaho se paak o saaf karega (means maaf karega) aur unke liye dardnaak azaab hai, Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu kehte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen baar yeh (Sentence) farmaya, Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Yeh log to sakht nuqsaan aur khasare mein honge, yeh kon log hain❓❓
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: takhnon se neeche kapda latkane wala, ehsan Jatlane wala Aur Jhooti qasam kha kar apna samaan (maal, sauda) bechne wala.
📚(Sahih Muslim: 106)

Isliye jo log ehsan karte hain unhein kisi tarah apne ehsan ka izhar nahi karna chahiye, aur agar kisi se ehsan jatla diya hai to apne gunah se tauba karni chahiye aur us bande se maafi maangni chahiye warna Allah ke yahan neki karne ke bawjood zaleel o ruswa hoga.

Allah Ta'ala hamein ehsan karne ki taufeeq ata farmaaye aur ehsan jatlane se bachaye!!
Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/