Wednesday 3 January 2018

📍786 Ki Haqikat.


🥀 Dar-haqikat 786 Ke Kayi Maaney Hotey Hai.
Dour-e-Jahalat Mearbo Me Ek Tareeka Hua Karta Tha Jisey “Abjad” Kahte Hai.
Ismey Arbi Ke Alfazo Me Kuch Numbers Lagatey They, Jaise Misaal Ke Taur Par
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Alif= 1,
Ba = 2,
Inn Gintiyon Ko Milakar Yeh Log Faal Khola Karte They.

Jaise Misal Ke Tour Par Apka Naam Faiz, Ismey.
👇🏻👇🏻👇🏻
‘Fa’, ‘Ye’, ‘Jwad’ Tou Inki Value of Numbering Ki Calculation Karke Total Number Nikaltey.

AurChittiyo Ko Mod Detey Aur Kehte Likho Koi Ek Number, Agar Yeh Dono Mil Gaye Tou Tumhara Kaam Ho Jayega.

Isko Faal Kholna Boltey Hai.

Jo Ke Dour-e-Jahalat Ka Abjad Tareeka, Aur Shariyat Ne Iss Cheez Ko Haraam Karar Diya, Ab Logo Ne Abjad Ke Aitbaar Se Ye Matlab Nikala Ke 786 Ka Meaning.
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim’ Hota Hai,

Lekin 786 Ka Matlab Sirf ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim’ Nahi Hota Yeh Baat TouTay Hai, Isliye Ke Bohot Se Majahib Me Bhi 786 KaBada Akida Hai .. Usko Bhi Bada Respect Diya Jata Hai»

Ab Shariyat-e-Islamiya Me Iska Istemal Kaisa❓❓

Sabse Pahli Baat Shariyat Me Aisi Shortcuts Ka Maana Biddat Hai,
Aur Agar Aisi Biddat Shariyat Me Jayaj Hoti Tou Hum Ek Ek Raat Me1000 Rakat Nawafeel Padh Letey.

Jaise Misaal Ke Taur Pe
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
786 = Bismillah,
1000= Surah Fatiha,
2000 = Surah Baqraah,

Andaza Lagayiye Kitni Aasan Hojayegi Humari Namaze.
Subhan’Allah !!

🥀Ekdum Shortcut Numerical Namaz, Kya Allah Ke Nazdeek Humari Aisi Ibadate Kabile Kabul Hogi❓❓

Nahi Na. Tou Fir Kyu Kar Hum 786 Ke Aadi Ho Gaye Hai❓❓

Kyu Hum Deen Aur Shariyat Ko Chorrkar Jahilana Aqaiyid Par Jyada Aitmaad Rakhtey Hai.
InshaAllah Ul Azeez!!

Allah Hume Tamam Kism Ki Gumraahiyo Se Bachney Ki Taufiq Dey, Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye # Khatma Humara Imaan Par Ho …!!!

Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment