Tuesday, 9 January 2018

📍 QARZ LENE KI NIYYAT KAISA HO❓❓

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai woh Rasool Allah ﷺ se bayan karte hain ke ;

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne  farmaya;" jo shaksh logo se is niyyat se qarz le ke woh unhe ada kar dega to Allah Ta,ala use ada karne ki taufiq se nawazega , aur Jo shaksh logo ka maal zaaye kar dene ka Iradah se lega To Allah Usko zaaye Kar dega."

📘 (SAHIH BUKHARI # 2387)

🚫 Agar Qarz Ada karne ki niyyat se koi Qarz le to Allah Qarz Ada karne ke asbab paida kardega aur zyada muflisi ki wajah se na de paya to Qayamat ke din jisse karz Liya tha usko kush karke Maaf karwadega .

Aur Jo dene ki niyyat hi na rakhe to Allah Ta'ala unka maal duniya me bhi zaya kardega aur akhirat me bhi bari azab hai .

Allah hame aur apko awwalan to Qarz Lene ki naubat hee na laye aur kabhi Abhi jaye to usko Ada karne ki Taufiq de. 
Aameen.


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment