Tuesday 9 January 2018

Dua Ki Qubuliyat

🌺Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: tumhara Rab bada hi meherbaan, sharmeela aur Kareem hai, Usey is baat se sharm aati hai ke Uska banda iske samne haath phailaye to Wo inhen khaali ya namuraad lauta de.

📚{Sunan Ibne Majah: 3865}


Wazahat:
Yani saleh momin ki dua khali nahi jaati, ya to duniya hi mein qubool kar li jaati hain, ya phir aakhirat mein ise iska behtar badla milega, iski dua akhirat mein zakheera bana diya jaata hai, ya phir iski iss dua ki wajah se iske gunaho ka kaffara ada ho jaata hai.

Allah Ta'ala  ko dua maangne waale momin bande bada pasand hai, farmaya Ai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam  Jab mere banday mere barey mein Aap se sawal karen to Aap keh den ke mein bht hi qareeb hun har pukarne (dua maangne) wale ki pukar ko jab kabhi wo Mujhe pukare qubool karta hun iss liye logon ko bhi chahiye ke woh Meri baat maan liya karen aur Mujh per iman rakhen yahi unn ki bhalayi ka baes hai.

📖{Quran 2:186}

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment