Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 7 January 2018
📍Aye Imaan walo un pakiza cheezo ko haram na karo jo Allah ne tumhare liye halal ki hain.
🥀Al Quran :
Aye Imaan walo un pakiza cheezo ko haram na karo jo Allah ne tumhare liye halal ki hain aur hadd se na badho beshak Allah hadd se badhne walo ko pasand nahi karta aur Allah ke rizq mein se jo cheez halal aur pakiza ho usko khao aur Allah se darte raho jis par tum imaan rakhte ho.
📚{Surah Al Maida, Aayat 87-88}
🥀Hadith :
Hazrat Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ke chand sahaba ne Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ki biwiyo se Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki khufiya ibadat ka haal pucha yani jo ibadat Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ghar mein kiya karte they to ek ne unmein se kaha ki main ab kabhi aurto se nikah nahi karunga , kisi ne kaha ki main kabhi gosht nahi khauunga, kisi ne kaha ki main kabhi bistar par nahi souunga ( taaki Allah ki zyada ibadat kar sake) Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Allah ki hamd bayan karne ke baad khutba padha aur farmaya ki kya haal hai un logo ka jo aisa kahne lage hain , jabki mera to ye haal hai ki main raat ko namaz bhi padhta hu aur so bhi jata hu aur roze bhi rakhta hu aur iftar bhi karta hu aur aurto se nikah bhi karta hu aur jisne mere tareeqe se munh moda wo meri ummat mein se nahi.
📚{Sahih Muslim 1401}
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join them with our group send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment