Sunday 29 October 2017

📍ALVIDA JUMMA YA AAKHRI JUMMA KYA HAI OR ISKI HAQIQAT.


📘Part-1

Ummat Muslimah deen aur  ibadat ke naam par Jin Jin mann ghart baaton aur kaamo mein maloos hai inn mein ek maslah Ramadam ul Mubarak ke akhiri jumah ko , jumah ilwedah kahna samjhna aur bartna bhi hai.

Ramadan ke akhiri jumah ko aj urff aam mein jumah ilwedah ka naam diya jata hai, iss ke bawjood keh yeh Kitab o sunnat mein kahin nahi milta, agarche yeh kheyal kiya ja sakta hai ki jis tarah hijrat ke daswen sal app sallallahu Alaihi wasallam ke akhiri hajj ko hajjatul alwedah kaha jata hai iss tarah Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke akhiri Ramadan ul Mubarak ke akhiri jumah ko jumatul alwedah qarar dya ja sakta hai.

Lekin samjhne ki baat yeh hai ki Allah ke Rasool sallallahu Alaihi wasallam ne hajj ek martabah ada kya aur wahi hajj hajjatul alwedah bhi kahlaya ,lekin Ramadan ke roze aur iss ki jumah ek nahi hai bahut martabah ap ki ibadat ka hissah rahen , iss pass e manzar mein yeh baat ghalt saabit hoti hai akhiri jumah ko jumatul alwedah kaha jaye.

Dekha jaye to khassusan Hindustan mein aur iss ke degair mamalik mein bhi Ramadan ke akhiri jumah mein khutba ke dauran khutbe mein aise ashar padhte hain aur taqareer karte hain Jin mein Ramadan guzar Jane par afsoos kya jata hai.phir har ek jumlah aur do jumlon ke baad yeh kahte hain , alwedah alwedah ya kahte hain alfaraq alfaraq  ya kahte hain alwedah alwedah aye shar e Ramadan aur inn jaise degair alafz o mafhim bhi samne aate hain.jab ke inn jaise izhar e afsoos aur inn alfaz aur ehsasat ka izhar na muqtadmeen aur na hi mutakhreen muhadessen na fiqah ki kitabon mein aur na hi khulfa e Raseeden ke daurr e khilafat mein ya iss ke baad ke daurr mein milta hai.

Lehazah iss tarah rokne chahiye kyun ke.                     


📗1) yeh alwedaee kalmaat par mustamil khutbat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam, aap ke sahba Radi Allahu Anhuma, tabeeyeen taba tabeyeen se manqool nahi hai aur jo fail ( amal ) inn teeno jamana mein na paya jaye wo mann ghart biddat hoti hai aur har biddat gumrahi hai.
📚{Sunan Abu’daud 7064}
                 

📗2) Ramadan ke guzarne par afsoos ka izhar ghair mashroo hai kyun ke roze ka iftar to farhat ke asbaab mein se ek sabab hai aur iss ki daleel.

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ki woh Hadith hai JIS me Allah ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:

"Rozedar ko do khusian milti hain, ek khussi uss ko iftar ke waqt hoti hai aur dosri khussi jab woh Allah se mile ga, uss waqt uss ko mile gi.
📚{Bukhari 7492}
📚{Muslim 1946}

Aur eid ul fitr ke din namaz e eid to mashroo hi Ramadan ke roze khtam hone  aur mulk ul alalaam ke hukm ko ba'ja lane ki khussi ki wajah se hai to phir parishan hone aur Ramadan ka mahina guzrne par afsoos ka izhar karne ki koi wajah nahi hai.

📗3) Islam ke panchwan arkaan ke barabar darjah ke hain aur Ramadan ke guzrne ka wajah se khsoosi taur par gham karne ki koi daleel nahi hai aur na hi iss ke baare me shariat warad hui hai   aur agar qyyas se liya jaye to iss jaisa parishani aur takleef namaz,rozah ,hajj aur …


📘Part-2

Islamic Mahina Ramzan ke Aakhri Asre me Aakhri Jumma ko Log Bahut hi josh o kharosh k sath jumma ki Namaz ada karne jaate hai...
Issliye ki Aisa Jumma phir Dubara unhe Nahi milega...

Lekin Quran ki kisi bhi aayet se, Kisi bhi Hadith se, Nabi sallallahu wale wasallam kisi bhi Am'al aisi koi "Dalil" Nahi milti ki Ramzan k Aakhri Jumma ko Khas Banaya gaya ho.

Yeh Sarasar Galat hai.Aam Jumma k Tarah hi yeh bhi Ek Jumma hai. Issme KHAAS koi ibaadat nahi hai.

ALLAH Aur Nabi Sallallahu alaihi wasallam ki baato Ko "jahil Ulmaao" ne Jhutlaya.
📘(Astagferullah)

Aur apne Qayas ko Deen k hissa bana liya. Or Log unhi ki baato ko sunte aur Am'al bhi karte hai. "Unhone Apne Ulema aur Darweshon ko ALLAH K siwa Apna RABB bana liya"
📚{Surah Touba Aayet 31}

📘Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Ka Farman hai :

“Jisne Hamare Deen main Koi Nayee CHeez Ijad Ki Jiska Deen Se Koee Taulluq Nahin Hai Tu WOh Mardood Hai “
📚{Saheeh Bukhari, 2697}

Kya ye nahi jaante k jo bhi Allah ki aur Us k Rasool (sallallahu wale wasallam) ki mukhalifat karega us k liye yaqeenan dozakh ki Aag hai jis me woh hamesha rehne wala hai ' ye zabardast ruswaee hai .
📚{Sureh Touba, Aayet 63}

Ek Hadees aur Hai Deen ke Andar Nayee Nayee Cheeze Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila shubha HAR NAYEE CHEEZ BIDDAT HAI AUR HAR BIDDAT GUMRAHI Hai “.
📚{Sunan Abu’daud 7064}

ALLAH hum sabko sahih Deen k samjh den.Aur khalis sunnat par amal karne ki taufeeq ata farmay...

Aameen

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment