Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 29 October 2017
📍Taraweeh (Qiyam-Ul-Lail)
📕Part-1
Ramadan mein qiyam karne ko qiyam e Ramadan kaha jaata hai. Yeh wahi namaz hai jo deegar maheeno mein qiyam ul lail aur Tahajjud ke naam se jaani jaati hai. Lakin Ramadan mein aam taur se yeh Taraweeh ke naam se mash-hoor ker diya gaya hai. Yeh nafl namaz hai is ka bahut ziyadah sawab hai. Hadees mein hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ
Tarjumah:
Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis ne Ramadan ki raaton mein qiyaam kiya, imaan aur sawab ki niyat ke saath, us ke pichle tamam gunah mu’aaf ho jaayenge.
📚{Sahih Muslim: 759}
📗Taraweeh (Qiyam-Ul-Lail)
📕Part-2
Taraweeh(Qiyam-Ul-Lail) ki masnoon rakat aath (8) hain, is ki sab se badi daleel Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ki Hadees hai jo Bukhari Shareef mein hai:
عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ كَيْفَ كَانَتْ صَلاَةُ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي رَمَضَانَ فَقَالَتْ مَا كَانَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ، وَلاَ فِي غَيْرِهَا عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً، يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلاَ تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلاَ تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلاَثًا
Tarjumah:
Abu Salamah bin Abdurrehman ne Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se poocha ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki raat ki namaz Ramadan mein kaisi thi. Unhon ne jawab diya ke Ramadan mein aur us ke alawah dono mein giyarah (11) rakaton se ziyadah na padhte the. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam pehli Chaar (4) rakatein padhte, tum un ke husn o khoobi or tool (lambaayi) ka haal na poocho. Phir chaar (4) rakatein padhte un ke bhi husn o khoobi aur tool (lambaayi) ka haal na poocho. Phir teen (3) rakatein (witr) padhte the.
📚{Sahih Bukhari: 2013}
‼Is Hadees par kuch aitraazat ka jawab‼
Aitraaz:❓
Yeh Tahajjud ki namaz hai Taraweeh ki nahi.
Jawaab:✅
Tahajjud aur Taraweeh ek hi namaz ke do alag alag naam hain.
📕Taraweeh (Qiyam-Ul-Lail)
📗Part-3
Aitraaz:❓
Taraweeh aur Tahajjud do alag alag namazein hain.
Jawaab:✅
Yeh dono ek hi namazein hain jo ke Hadees mein hi mazkoor hai ke Ramadan ya ghair e Ramadan mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka qiyam aath (8) rakat ka huwa karta tha. Agar yeh Tahajjud ki namaz maan li jaaye to phir yeh maanna padega ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dobara taraweeh alag se padhi jis ki koi daleel nahi. Aur Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum jab chauthe roz (4th day) ba-jama’at Taraweeh ke liye jama huwe aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam nahi nikle to Sahaba dobara doosre qiyam ke waqt phir aate magar unhon ne aisa nahi kiya❓
! Aalimo ne bhi Tahajjud aur Taraweeh ko ek hi namaz tasleem kiya hai.
Aitraaz:❓
Agar yeh Taraweeh ki namaz hai to do do kiun padhte hain, is Hadees mein to char char ka zikr hai❓
Jawaab:✅
Is Hadees mein chaar chaar rakat ki sifat bataayi gai hai na ke chaar rakat par salam pherne ka. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam do do kar ke hi qiyam karte the jis ke bahut se dalail hain.
📗Pehli Daleel:
عَنْ عَائِشَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَتْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ أَنْ يَفْرُغَ مِنْ صَلاَةِ الْعِشَاءِ - وَهِيَ الَّتِي يَدْعُو النَّاسُ الْعَتَمَةَ - إِلَى الْفَجْرِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يُسَلِّمُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ وَيُوتِرُ بِوَاحِدَةٍ
Tarjumah:
Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Isha ki namaz se (jise log atamah kehte hain) farigh hone ke baad se subah tak giyarah (11) rak’aat padhte the, Aap har do rakat par salam pherte the aur witr ek padhte the.
📚{Sahih Muslim: 736}
📗Taraweeh (Qiyam-Ul-Lail)
📕Part-4
📗Doosri Daleel:
صَلاَةُ اللَّيْلِ مَثْنَى مَثْنَى، فَإِذَا خَشِيَ أَحَدُكُمُ الصُّبْحَ صَلَّى رَكْعَةً وَاحِدَةً، تُوتِرُ لَهُ مَا قَدْ صَلَّى
Tarjumah:
Raat ki namaz do do rakat hai, fir jab koi subah ho jaane se dare to ek rakat padh le, wo uski saari namaz ko taaq bana degi.
📚{Sahih Bukhari: 990}
📚{Sahih Muslim: 749}
Taraweeh ki namaz akele aur ba-jama’at dono padhna sahih hai.
Mard imam ke peeche sirf aurton ka Taraweeh padhna bhi jaaiz hai.
Taraweeh masjid aur ghar dono jagah padhi jaa sakti hai.
Taraweeh mein zaroorat ke waqt Quran uthana aur dekh kar padhna dono jaaiz hai.
Taraweeh mein quran complete karna zaroori nahi hai albatta complete kare to behtar hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ramadan mein mukammal quran ka daur karte the.
Note:✅
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob bees (20) rakat Taraweeh waali koi riwayat sahih nahi hai.
📕Taraweeh (Qiyam-Ul-Lail)
📗Part-5
‼Do ghalatfehmiyon ka izaala‼
📍Pehli ghalatfehmi:
Logon ke darmiyan yeh ghalatfehmi pheli hai ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne logon ko bees (20) rakat Taraweeh par jama kiya jabki Hazrat Umar Radhiallahu Anhu se mutalliq bees rakat wali hadees zaeef hai aur sahih hadees ke mukhalif hai. Durust baat yahi hai ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne Ubai bin Ka’ab aur Tamim Daari ko giyarah (11) rak’aat padhaane ka hukm diya tha jo sahih sanad se saabit hai:
عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، أَنَّهُ قَالَ أَمَرَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ أُبَىَّ بْنَ كَعْبٍ وَتَمِيمًا الدَّارِيَّ أَنْ يَقُومَا، لِلنَّاسِ بِإِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً
Tarjumah:
Sa’ib bin Yazeed se riwayat hai wo kehte hain ki Hazrat Umar bin Khattaab Radhiallahu Anhu ne Ubai bin Ka’ab aur Tamim Ad-Daari ko hukm diya tha ke wo logon ko giyarah (11) rak’aat padhaya karen.
📚{Tohfat ul Ahwazi: 3/234}
📚{Mu’atta Imam Malik: Book 6, Hadith 4}
! Sheikh Albani Rahimahullah ne “Mishkaat”, “Irwa ul Ghaleel”, “Tamam ul Minnah” aur “Salat ut Taraweeh” mein, Sheikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah ne “Buloogh ul Maraam” aur “Riyadh us Saliheen” ki sharah mein, Allamah Mubarakpoori Rahimahullah ne “Tohfat ul Ahwazi” mein is Hadees ki sanad ko Sahih bataya hai.
Goya Hazrat Umar Radhiallahu Anhu se bhi giyarah (11) rak’aat par hi logon ko jama karna saabit hota hai aur yahi baat Bukhari Shareef mein mazkoor Aisha Radhiallahu Anha ke bayan ke muwafiq hai.
📗Taraweeh (Qiyam-Ul-Lail)
📕Part-6
‼Do ghalatfehmiyon ka izaala‼
📍Doosri ghalatfehmi:
Bhut bara Sawal ❓❓❓
Agar sunnat Taraweeh aath (8) rak’aat hai to Haram Shareef mein bees (20) rak’aat Taraweeh kiun padhaayi jaati hai❓
Asal mein Haram aalami (international) jagah hai, yahan kisi zamaane mein chaar (4) musalle huwa karte the, “Aal e Sa’ood” ne Alhamdulillah ek musalle qaaim kar ke fitnah khatm kiya. Taraweeh bhi logon ke liye ikhtilaaf ka sabab thi is liye maslehat ko dekhte huwe bees (20) rak’aat rakhi gayien. Is ke liye do imam ka intikhab kiya gaya ek imam dus (10) padha kar chale jaate hain aur alag se akele ek rakat witr padhte hain jis se giyarah (11) rak’aat ki sunnat poori ho jaati hai. Yahi haal doosre imam ka bhi hai (means wo bhi isi tarah karte hain). Is tarah se na sirf fitnah khatm ho gaya balki imam ko giyarah (11) giyarah (11) rak’aat padhne aur door daraaz se late aane waalon ko jis qadar mayassar ho padhne ka mauqa mil gaya. Haram ke alawah Saudi Arab ki her Masjidon mein sirf aath (8) rakat Taraweeh hoti hai kiunki Arab ke ulama ka yahi mauqif aur fatwa hai. Chunancha “Saudi Lajna Daima” ka fatwa hai:
والأفضل ما کان النبیﷺ یفعله غالبًا وھو أن یقوم بثمان رکعات یسلم من کل رکعتین، ویوتر بثلاث مع الخشوع والطمأنینة وترتیل القراء ة، لما ثبت فی الصحیحین من عائشة رضی اﷲ عنھا قالت: کان رسول اﷲ ﷺ لا یزید فی رمضان ولا فی غیرہ علی إحدٰی عشرة رکعة
Tarjumah:
Aur afzal woh hai jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam aksar o beshtar karte the, aur woh yeh ke insaan aath (8) rakat padhe, aur har do rakat ke baad salam phere, phir teen (3) witr ada kare aur poori namaz mein Khashoo’, itminan aur tarteel e quran malhooz rakhe. Bukhari o Muslim mein Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se marwi hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ramadan aur deegar maheeno mein giyarah (11) rak’aat se ziyadah nahi padhte the.
📚{Fatawa Al-Lajnah Ad-Daymah: 7/212}
! Yahi fatwa Sheikh Ibn e Baaz, Sheikh Ibn e Uthaimeen aur Arab ke deegar muftiyon ka hai.
Allah Ta'ala se dua hai ke hamein sunnat ko samajhne aur us ke mutabiq amal karne ki taufeeq ata farmaaye.
📍Aameen.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Ramadhan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment