Saturday, 28 October 2017

📍 JUMAH KE DIN DUA KI QAUBULIAT KI Ek GHARI.


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;

👇👇👇👇👇

behtreen din Jis mein suraj tulu hua jumah ka din hai , issi din Adam Alaihi Salam paida kyen gyen , issi din woh zameen par utare gyn , issi din unn ki tawbah qubul hui, issi din unn ka inteqal hua, aur issi din Qayamat barpa hogi , Ans o jinn ke ilawah Sabi jandar jumah ke din Qayamat barpa hone ke darr se subha se suraj niklne tak kaan lagye rehte hain , uss mein ek saat ( ghari ) aisi hai keh agar koi musalman banda namaz padhte hue uss garhi ko paa le ,phir Allah Ta'ala se apni kisi zarurt ka sawal kare to Allah Ta'ala uss ko ( zarur ) dega. Kabb ne kaha : ye saat ( ghari ) har saal mein kisi ek din hoti hai to maine kaha : nahi balke har jumah mein hoti hai phir kabb ne tawraat padhi aur kaha Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne sach kaha, Abu Hurairah Radi Allahu Anhu kahte hain phir main Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu se mila, aur kabb ke sath apni iss mutaliq unhe bataya to aap ne kaha , woh kaun si saat hai ? Mujhe malum hai , main ne unn se kaha , isse mujhe bhi bataiye to Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu ne kaha woh jumah ke din ki akhiri saat hai,maime arz kya wo jumah ke din ki akhiri saat kaise ho sakti hai ? Jab keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ka irshad hai keh : koi banda Uss waqt iss haal mein paye ki wo namaz padh raha ho ,aur uss waqt mein namaz nahi padhi jati to uss par Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu ne kaha,kya Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne nahi farmaya, jo shaks namaz ke intezar mein baitha rahe , wo hukman namaz me hi rehta hai jab tak ke wo namaz na padh le, Abu Hurairah Radi Allahu Anhu kahte hain, main ne kaha , kyun nahi , Rasool Allah sallallahu Alaihi ne to yeh farmaya hai ,to unho ne kaha isse murad yahi hai.

📚 (Sunan Abu Dawud : 1046)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment