Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 29 October 2017
📍Shawwal ke 6 rozo ka huqum kya hain aur kya ye roze wajib hain❓
Ramzan ul mubarak ke rozo ke baad shawwal ke 6 roze rakhna wajib nahi balki mustahab hain, aur musalmano ke liye mashruh hain ki wo shawwal ke 6 roze rakhe jismain fazle azeem aur bhot bada ajr o sawab hain, kyuki jo sakhsh bhi ramzan ul mubarak ke roze rakhne ke baad shawwal ke 6 roze bhi rakhe toh pure saal ke roze rakhne ka ajro sawab likha jata hain hain.
Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм se bhi ye sabit hain ki isse pure saal ka ajar milta hain . Abu Aiyub Ansari razi allahu anha bayan karte hain ke Rasul e akram sallahu ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, ” Jis ne ramzan ul mubarak ke roze rakhne ke baad shawwal ke 6 roze rakhe toh ye aesa hain jese pure saal ke roze ho.
📘{Sahih Muslim, 2614}
Nabi akram ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne iski sharah aur tafsir is tarha bayan farmai hain ki jisne Eidul Fitr ke baad 6 roze rakhee uske pure saal ke roze hain.
(Jo koi naiki karta hain use uska ajar dus guna milega).
Aur ek riwayat main hain ki Allah tala ek naiki ko dus guna karta hain lihaza ramzanul mubarak ka mahina dus mahino ke barabar hua aur 6 dino key roze saal ko pura karte hain.
📘{Sunan Nisai, Sunan Ibne Majah, dekhey Sahih al Targib wa al Tarhib (421\1)}
Aur Ibne Khuzaima ne mundarza zail alfaz ke saath riwayat kiya hain:
Ramzan ul mubark ke roze dus guna aur shawwal ke 6 roze do mah ke baraber hain toh is tarha pure saal ke roze hue.
Imam Hambal aur Shafai ikram ne tashrih ki hain ki:
Ramzan ul mubarak ke baad shawwal ke 6 roze rakhna pure ek saal ke farzi rozo ke barabar hain warna toh amumi taur per nafli rozo ka ajro sawab zyada hona sabit hain kyuki ek neki dus ke baraber hain.
Phir Shawwal ke 6 roze rakhne ka ahem fawaid main ye bhi shamil hain ki ye roze Ramzan ul mubarak main rakhe gaye rozo ki kami o beshi aur nuksh ko pura karte hain aur uske awaz me hain kyuki rozedar se kami o beshi ho jati hain aur gunah bhi sarzad ho jate hain jo ki uske rozo main salbi pahlu rakhta hain.
Aur roze qayamat farz main paida shuda nuksh nawafil se pura kiya jayega jesa ki Nabi e karim ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne bhi farmaya hain roze qayamat bande ke amaal main sabse phele namaz ka hisabo kitab hoga. Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya humara Rab ajjo wajal apne farishto se se farmayega halaki wo zada ilm rakhne wala hain mere bande ki namazo ko dekho kya usne puri ki hain ki us main nuks hain, agar toh mukammil hongi toh mukammil likhi jayegi aur agar ismain kuch kami hui toh Allah tala farmayega dekho mere bande ke nawafil hain agar toh uske nawafil hoge toh Allah tala farmayega mere bande ke faraiz iske nawafil se pure kar do, fir baki amaal bhi isi tarha liye jayege.
📘{Sunan Abu Dawud hadis-733}
📚Sheikh Ibn ‘Uthaymeen r.a. farmate hai.
“Ye Durust hai ki koi shaks Shawwal ke 6 din roze rakhe lagataar ya alag-alag.”
📘{Noor ala darab no. 376}
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment