Sunday 29 October 2017

📍Jab kapry is qadar lambi ho k wo takhno se neechy pohonch rahi ho to kya is k sath namaz sahi hogi❓❓



Answer :
Patloon wagairah ko takhno k neeche latkana haram hai. Nabi Kareem S.A.W ka irshad hai:
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

Izar ka jo hissa takhno sy neechay ho woh jahannum ki aag mein hoga.
📚{Sahi Bukhari 5787}

Aur Nabi S.A.W ne in hadis mein jo Izar ki babat farmai hai' baqi kapron  k liye bhi yehi kukam hai, lehaza har Musalman k liye ye wajib hai k wo apni patloon aur deegar kapron ko takhno se oncha rakhe aur agar kapra neeche latak raha ho to is halat mein parhi janay wali namaz k barae mein Ahl e Ilm mein Ikhtalaf hai. baz ki ra'ay mein  ye namaz sahi hogi kyun k admi ne wajib yani satar poshi  k hukam ko pura kar diya hai aur baz ki ra'ay ye hai k is halat mein namaz sahi na hogi kyun k is ne haram kapray k sath satar poshi ki hai' unhon ne satar poshi k liye ye bhi shart qarar di hai k wo jaiz kapry k sath ho lehaza kapron k kapron k takhno se hony ki surat mein khatrah zarur hai lehaza issy Allah Ta'ala se darty hue apne kapry oper utha leny chahiye ta k wo takhno se oper oper rahein.


Abu Hurairah r.a. bayan karte hai, Ek aadmi apna tahband latkaye namaz padh raha tha toh RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne use farmaya: “Jaao wuzu karo.” Wo gaya aur wuzu karke fir hazir hua to kisi aadmi ne arz kiya, Allah ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм! Apne use wuzu karne ka hukm kyu farmaya❓

Ap ne farmaya: “Woh apna tahband latkaye hue namaz padh raha tha, Jabki Allah Tahband latka kar namaz padhne wale shaks ki namaz qubul nahi farmata.”

📚{Sunan Abu Dawud, hadith-638}
Grade - Hasan [Sheikh Zubair Ali Zai]

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment