Saturday, 28 October 2017

BE-AMAL KI MISHAL GADHE SI


Bismillahir Rahmanir Raheem

(Surah Jumah 62: 5)

مَثَلُ ٱلَّذِينَ حُمِّلُوا۟ ٱلتَّوْرَىٰةَ ثُمَّ لَمْ يَحْمِلُوهَا كَمَثَلِ ٱلْحِمَارِ يَحْمِلُ أَسْفَارًۢا ۚ بِئْسَ مَثَلُ ٱلْقَوْمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُوا۟ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ ۚ وَٱللَّهُ لَا يَهْدِى ٱلْقَوْمَ ٱلظَّٰلِمِينَ ﴿٥﴾

The example of those who were entrusted with the Torah and then did not take it on is like that of a donkey who carries volumes [of books]. Wretched is the example of the people who deny the signs of Allah. And Allah does not guide the wrongdoing people.(5)

Jin logon ko Touret par amal karne ka hukm diya gaya phir unhone iss par amal nahi kiya ,unn ki mishal uss gadhe ki si hai Jo bahut si kitaben lade ho,Allah ki baaton ko jhutlane walon ki badi budi mishal hai ,aur Allah (aise) zalimon ko hedayat nahi deta.

Yahan  Allah Ta'ala ne be amal yahoodion ki mishal ek gadhe se di hai,jis tarah gadhe ko malum nahi hota ke iss ki kamar par kitaben ladi hui hain ,inn mein kya likha hai? Ya iss par kitab ladi hui hai yah koora karkat ..issi tarah yahoodi bhi taurat ko uthae phirte hain,uss ko padhne aur yaad karne ka da'wa bhi karte hain,lekin na isse samjhte hain aur na iss ke muqtaza (demands) par amal karte hain,isliye yeh haqiqat mein gadhe se bhi badtar hain.
Aj aisa hi haal ummat  Muhammadia ka bhi hai

No comments:

Post a Comment