Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 29 October 2017
📍JUME KE DIN KHAAS ROZA RAKHNA KAISA HAI❓
📘Abu Hurairah Radiallahu Anhu se riwayat hai:
Mein ne Nabi sallalaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna :
Tum mein se koi bhi sirf jume ka roza na rakhe illah (unless) ye ke ek din us se pahle ya ek din us se baad .
📚{Sahih Bukhari 1985}
📚{Sahih Muslim 1144}
📘Aur imam muslim Rahimullah ne apni Sahih muslim mein Abu Hurairah Radiallahu anhu se bayan kiya hai ke woh farmate hain ke nabi sallalaho alaihi wasallam ne farmaya :
Jume ki raat ko baaqi raton se qiyam (praying) ke liye khaas na karo aur jume ko baaqi dino se roze (fast) ke liye khaas na karo illah (unless) ye ke woh tumahre rozon ke darmiyan aajay.
📚{Sahih Muslim 1144}
Aur sahi bukhari mein hai ke Juwairia Bint e Haris Radiallahu anha se riwayat hai ke jume ke din Nabi sallalllaho alaihi wasallam unke paas tashreef laaye to woh roze se thi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya kya tune kal roza rakha tha❓
To woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya to achha kya kal roza rakhne ka iradah hai ❓
To woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya : roza tod do.
📚{Sahih Bukhari 1986}
Ibn Qudama Rahimahullah bayan karte hain ke : akele jume ka roza rakhna makrooh hai illah (unless) ye ke agar koyi roza rakhta ho to ye us ke mawafiq aajay maslan : 1 shakhs ek din roza rakhta aur ek nahi rakhta hai (means alternate days) to iska roza wala din jume ke mawafiq aajaye.
Aur is tarha agar kisi ki yeh aadat ho ke woh har mahine ke pehle ya akhiri din aur ya fir mahine ke darmiyan mein roza rakhta ho .
📚{Al-Mughni Ibn Qudaima Jild no.3. safa number. 53}
📗Khulasa:
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
Malum hua ke jume ko khas roza rakhna mana hai. Lekin usse ek din pahle ya ek din baad sath me milakar rakhe to wo roza jayez hoga. Ya agar wo kinhi dino me hamesha roza rakhta ho maslan mahine ke pahle din wo rakhta ho aur juma usi din pad jaye to bhi ye roza jayez hoga lekin khaskar ke jume ko roza rakhna Nabi Sallallaho alaihi wasallam ne mana kiya hai.
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment