Sunday 29 October 2017

📍 KHARABI UNN PAR JO NAAP TAUL MEIN KAMMI KARE


Bismillahir Rahmanir Raheem


وَیۡلٌ   لِّلۡمُطَفِّفِیۡنَ ۙ﴿۱﴾
الَّذِیۡنَ  اِذَا  اکۡتَالُوۡا عَلَی النَّاسِ یَسۡتَوۡفُوۡنَ ۫﴿ۖ۲﴾
وَ  اِذَا کَالُوۡہُمۡ  اَوۡ وَّزَنُوۡہُمۡ  یُخۡسِرُوۡنَ ﴿ؕ۳}

Bari kharabi hai naap taul mein kammi kerne walon ki

ke jab logon se naap ker lete hein to pura pura lete hain

Aur jab unhe naap ker ya taul kar dete hain to kaam dete hain

📘 (Surah al Mutafifeen : 1-3)

🚫 Jab maine iss surah ko pehle pehle padha to yeh samjh kar chorr dya ke yeh taziron ke liye hai , jo naap taul mein kamm kar ke logon ko faurkht karte hain

🚫 Lekin yeh Surah sirf tazir hazraat ke liye nahi  hai bulke yeh Surah har uss shaksh ke liye hai jo

🥀 logon se puri umeeden rakhe lekin unn ki umeedon par khara na utre

🥀 logon se leta hai to pura leta hai aur jab deta hai to ghata kar deta hai

🥀 Yani logon ke jo huquq uss par hain unn ko to pura usul karta hai , lekin uss par jo logon ke huquq hain unhe pura pura ada nahi karta

🥀  Rishtadar to uss ka kheyal rakhen,har khussi aur gham mein sharik hon , lekin ye rishatadron ke khussi aur gham mein sharik na ho to koi masala nahi

🥀  Awlaad se to khidmat ki umeed rakhe lekin awlaad ke huquq ada na kare

🥀 Biwi se khidmat ki umeed rakhe lekin biwi ke jo huquq hain unn mein kotahi kare

🥀 Allah se pura pura Inaam ki umeed rakhe aur shikwe kare lekin waisi ibadat aur shukr na kare jo uss ka haq hai.

🌹 Allah Ta'ala hume Quran ko samjh kar padhne aur uss par chalne ki taufeeq ata kare..... Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment