Sunday 29 October 2017

📍ZAKAT Ul MAAL KIS TARHA NIKALI JAYE .KYA ZAKAT KA PAISA RISHTEDAAR ME KISI KO DE SAKTE HAI AGAR WO GHARIB HAI ❓❓❓


📗Jawab:
📘1. Zakat kis tarah nikali jaati hai❓
Zakaat alag alag ashya mein alag alag tareeqe se nikali jaati hai. Jaise,

📘Sone (gold) ki zakaat:
Saade satyasi (85) gram ka sona ek saal mukammal hone par poore sone ka dhai feesad (2.5%).

📘Chandi ki zakaat:
Saade bawan (52.5) tola ya 595 gram ek saal mukammal hone par 2.5% poori chandi par.

📘Currency yani cash ki surat mein:
Chandi ko meyar bana kar, agar kisi ke paas 52.5 tola chandi ke barabar cash yani paisa ho to ek saal guzarne par 2.5% poori currency par zakaat nikali jayegi.

Issi tarah galle aur anaj, maweshi janwar (gaye, bail, oont wagaira) ki alag zakat ka tareeqa hai.

Ek saal mukammal hona kis ko kehte hain❓
Agar koi shaks sona khareede 100 gram, moharram ke mahine mein. Aur uss sona par poora ek saal guzar jaye aur wo sona kisi kaam na aaye to iss ko kehte hain ek saal guzarna. Ab iss sone par zakaat wajib ho gayi. Yani wo shaks agle moharram mein 100 gram sone ka 2.5% bazar ke bhaw ke hisab se zakat nikalega.

Iss se ek baat ye bhi maloom huwi ke jiss cheez par jab ek saal mukammal ho ussi waqt uski zakaat nikali jaye. Bagair kisi sharai uzar ke ramazan ke maheene ka intezar na kiya jaye. Jitne mahine wo intezar karega utna hi wo gunhegaar hoga.

📘2. Zakaat ka paisa kisi restedar ko de sakte hain agar wo gareeb ho❓
Ji haan zarur de sakte hain. Balke dena chahiye. Jo log apna zakaat ka paisa apne zaruratmand ristedaraun par kharch karta hai uss ko dugna sawab multa hai. Ek sawab zakat ada karne ka aur ek sawab silarehmi karne ka.
Yaad rakhein zakaat rishtedaraun mein inn 2 logaun ko dena durust nahee.
1. Walidaen.
2. Biwi.

📘Zakaat ke mustahaq log kaun hain❓
Iss talluq se quran kehta hai,

{إنما الصدقات للفقراء والمساكين والعاملين عليها والمؤلفة قلوبهم وفي الرقاب والغارمين وفي سبيل الله وابن السبيل فريضة من الله والله عليم حكيم} [التوبة : 60]

Tarjuma:
Beshak zakat dena hai 1. faqeer ko, 2. Miskeen ko, 3. Zakaat ke jama karne walaun ko, 4. Islam ke liye naramgosha rakhane wale gair muslimaun ko, 5. Gulamaun ki azadi ya qaidiyaun ki rihayi mein, 6. Maqrooz ki madad ke liye, 7. Fi sabeelillah yani Jihad aur dawat wa tableeg mein, 8. Zaruratmand Musafir par.

Ye 8 wo masarif hain jahan zakat ka paisa kharch karna chahiye.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment