Sunday, 29 October 2017

📍Ramadhan ka isteqbaal kaise karen❓


📗Part-1
Ramadhan ul Mubarak ki aamad aamad hai, har taraf momin ke andar is ke mutalliq izhaar e masarrat hai. Yeh woh mubarak maheena hai jis ka intezaar ek momin saal bhar karta hai kiunki yeh neki, barkat, bakhshish, inaayat, taufeeq, ibadat, zuhd, taqwa, murawwat, khaksaari, masawaat, sadqa wa khairat, razaa e ilaahi, jannat ki basharat, jahannum se chutkaare ka maheena hai. Is muqaddas maheene mein momin ke andar fikr e aakhirat ke zariya Rabb se mulaqaat ki khwahish bedaar hoti hai.
Subhanallah!
Is qadar pakeeza aur mohtaram maheena. Yeh Rabb ki taraf se us par imaan laane walon ke liye azeem tohfa hai. Ab hamara yeh farz banta hai ke is azeem-ush-shaan maheene ka isteqbaal karen aur umda tareeqe se is maheene ke fawaaid aur barkaat se apne daaman ko nekiyon ke moti se bhar len.

Neeche Part wise Part post main Ramadhan ul Mubarak ki tayaari se mutalliq chand ahem baton ki taraf rahnumaayi ki jaa rahi hai jin se is maah e mukarram ka sa’adatmandi ke saath isteqbaal kar sakte hain.

📍Ramadhan ka isteqbaal kaise karen❓

Apne zehen mein zara tasawwur paida karen ke jab aap ke ghar kisi bade mehmaan ki aamad hoti hai to aap kya karte hain❓
Aap ka jawaab hoga. Hum bohat saari tayyariyan karte hain. Ghar aangan ko khoob sajaate hain, khud bhi un ke liye zeenat ikhtiyaar karte hain, poore ghar mein khushi ka maahol hota hai, bachchon ke lab pe naghme, chehre pe khushi ke aasaar hote hain. Mehmaan ki khaatir tawazo’ (aao bhagat) ke liye anginat (beshumaar) pur takalluf samaan tayyar kiye jaate hain. Jab ek mehmaan ke liye is qadar tayyari to mehmanon mein sab se aala aur Rabb ki taraf se bheja huwa mehmaan ho to us ki tayyari kis qadar purzor honi chaahiye❓
Aaiye is tayyari se mutalliq aap ke liye ek mukhtasar khaaka pesh karta hun.

📗(1) Azmat ka ehsaas:
Ramadhan ka maheena be-had azeem hai, is ki azmat ka ehsaas aur qadr o manzilat ka lihaaz Ramadhan ke aane se pehle hi zehen o dimaagh mein bitha liya jaaye taake jab Ramadhan mein daakhil hon to ghaflat, susti, be-tawajjohi, na-qadri, na-shukri, ehsaan faramoshi, roze aur qiyaam se be-raghbati ke bure awsaaf na paida hon.

Yeh itni azmat aur qadr wala maheena hai ke is ki ek raat ka naam hi qadr o manzilat hai:

إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ۞ وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ۞ لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ۞ تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ۞ سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِ

Tarjumah:
Beshak hum ne ise (Quran) ko shab e Qadr mein nazil farmaaya. Aur Aap ko kya maloom ke shab e Qadr kya hai. Shab e Qadr hazaar maheeno se behtar hai. Is (mein har kaam) ke sar anjaam dene ko apne Rabb ke hukm se farishte aur Rooh (Jibraeel) utarte hain. Yeh raat salamti ki hoti hai aur Fajr ke tulu’ hone tak (rehti hai).
📚{Surah Al-Qadr: Surah No: 97 (Mukammal)}


📗Part-2
Aap yeh na samjhein ke Ramadhan ki ek raat hi qadr ki raat hai balke is ka har din aur har raat qadr o manzilat ka haamil hai.

📗(2) Ne’mat ka ehsaas:
Ramadhan jahan Rabb ka mehmaan hai wahein us ki taraf se ek azeem ne’mat bhi hai. Aam taur se insaan ko us ne’mat ka ehsaas kam hi hota hai jo haasil ho jaati hai lekin jo nahi mil paati us ke liye tadapta rehta hai. Ek beena ko aankh ki ne’mat ka ehsaas kam hota hai is liye us ka istemaal film dekhne aur buraayi ke mushaahde mein karta hai. Agar use yeh ehsaas ho ke yeh Rabb ki bahut badi ne’mat hai is ki qadr karni chaahiye to kabhi apni aankh se buraayi ka idraak na kare. Beena ki ba-nisbat andhe ko aankh ki ne’mat ka ehsaas ziyadah hota hai. Yeh farq imaan mein kami ka sabab hai. Jis ka imaan mazboot hoga woh har ne’mat ki qadr karega. Imaan ka taqaza hai ke hum Ramadhan jaise muqaddas maheene ki ne’mat ka ehsaas karen. Aur is ehsaas ka taqaza hai ke is ne’mat par Rabb ki shukr-guzaari ho jaisa ke Allah ka farmaan hai:

وَإِذْ تَأَذَّنَ رَبُّكُمْ لَئِنْ شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ ۖ وَلَئِنْ كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِي لَشَدِيدٌ

Tarjumah:
Aur jab tumhaare parwardigaar ne tumhein aagaah kar diya ke agar tum shukr-guzaari karoge to be-shak main tumhein ziyadah dunga aur agar tum na shukri karoge to yaqeenan mera azaab bahut sakht hai.
📚{Surah Ibrahim,Ayat No: 7}

Mazeed Allah ka farmaan hai:

أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ بَدَّلُوا نِعْمَتَ اللَّهِ كُفْرًا وَأَحَلُّوا قَوْمَهُمْ دَارَ الْبَوَارِ۞ جَهَنَّمَ يَصْلَوْنَهَا ۖ وَبِئْسَ الْقَرَارُ

Tarjumah:
Kya Aap ne un ki taraf nazar nahi daali jinhon ne Allah ki ne’mat ke badle na shukri ki aur apni qaum ko halakat ke ghar mein laa utaara. Yani dozakh mein jis mien yeh sab jayenge, jo badtareen thikaana hai.
📚{Surah Ibrahim, Ayat No: 28-29}

Ne’mat mein Ramadhan jaisa maheena naseeb hone ki bhi ne’mat hai aur sehat o tandurusti is pe mustazaad hai. In ne’maton ka ehsaas kiun na karen ke in ne’maton ke badle hamein har qism ki neki ki taufeeq milti hai. Roza, namaz, sadqa, khairaat, dua, zikr, inabat e ila-llallah, tauba, tilawat, mughfirat, rehmat waghera in ne’maton ki den hai.

📗Part-3

📗(3) Inabat e ila-llallah (Allah ki taraf rujoo’ karna):
Jab hum ne apne dil mein mehmaan ki azmat bahaal kar li, is azeem ne’mat ki qadr o manzilat ka bhi ehsaas kar liya to ab hamara yeh fareeza banta hai ke duniya se rukh mod kar Allah ki taraf laut jaayen.
“Inabat e ila-llallah”
_Azmat aur ne’mat ke ehsaas mein mazeed quwwat paida karegi. Allah ki taraf lautna sirf Ramadhan ke liye nahi hai balki momin ki zindagi hamesha Allah ke hawaale aur us ki marzi ke hisaab se guzarni chaahiye. _

Yahan sirf bataur e tazkeer zikr kiya jaa raha hai ke kahin aisa na ho ke banda Rabb se door ho kar roze ke naam par sirf bhook aur piyaas bardasht kare. Agar aisa hai to roze ka koi faida nahi.

Pehle Rabb ki taraf lauten, us se talluq joden aur us ko raazi karen phir hamari saari nekiyan qubool hongi.Inabat e ila-llallah se meri murad yeh hai ke hum Rabb par sahih taur se imaan laayen, imaan billah (Allah par imaan) ko mazboot karen, ibadat ko Allah ke liye khaalis karen, Rabb par mukammal aitemaad karen, Allah ko saare jahan ka haakim manen, khud ko us ka faqeer aur mohtaaj jaanen, kisi ghareeb aur miskeen ko hiqaarat ki nazar se na dekhen, nadaaron ki madad karen, bemari aur museebat mein Allah hi ki taraf rujoo’ karen. Yeh saari baatein inabat e ila-llallah mein daakhil hain.

Bahut se log hain jo namaz bhi padhte hain, roze bhi rakhte hain, lambe lambe qiyaam ul lail (raat ka qiyaam) karte hain magar ghairullah ko pukaarte hain, Allah ko chor kar doosron ko mushkil kusha samajhte hain. Bemari aur museebat mein murdon se istighasa (madad talab) karte hain. Un logon ka roza kaise qubool hoga❓❓

Goya aise aqeede walon ka mukammal Ramadhan aur us ki nekiyan barbaad ho gaien. Allah Taala ka farmaan hai:

وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ

Tarjumah:
Aur be-shak tumhari taraf aur tum se pehle (nabiyon) ki taraf yeh wahi ki gayi hai ke agar (ba-farz e mahaal) tum ne shirk kiya to bila-shuba tumhara amal barbaad ho jayega aur tum yaqeenan khasara paane walon mein se ho jaaoge.
📚{Surah Az-Zumar, Ayat No: 65}

📍Is liye is baat ko achchi tarah zehen nasheen kar len.


📗Part-4

📗(4) Pesh qadmi:
Is ke do pehlu hain.

(a) Munkar (buraayi) se bachna
(b) Maroof (bhalaayi) ki raghbat

📕(a) Munkar se bachna:
Ramadhan ke isteqbaal mein ek ahem pehlu yeh hai ke hum pehle apne pichle gunaahon se sachchi tauba karen aur aindah gunaah na karne ka azm e musammam (pukhta iraada) kar len. Dekha jaata hai ke log ek taraf neki karte hain to doosri taraf buraayi karte hain. Is tarah aamaal ka zakheera nahi ban paata balki buraayi ke samandar mein hamaari nekiyaan doob jaati hain. Waise bhi hamaare paas nekiyon ki kami hai woh bhi barbaad ho jaaye to neki karne ka faida kya❓

Is liye neki ki agar hifazat chaahte hain aur Ramadhan ul Mubarak ki barkaton, rehmaton, ne’maton, bakhshishon aur hasanat ko bachaana chaahte hain to buraayi (gunaahon) se mukammal taur par bachna padega.

Allah taala ka farmaan hai:

قُلْ أَنْفِقُوا طَوْعًا أَوْ كَرْهًا لَنْ يُتَقَبَّلَ مِنْكُمْ ۖ إِنَّكُمْ كُنْتُمْ قَوْمًا فَاسِقِينَ

Tarjumah:
Keh dijiye ke tum khushi ya na khushi kisi tarah bhi kharch karo qubool to hargiz na kiya jaayega yaqeenan tum fasiq log ho.
📚{Surah At-Taubah, Ayat No: 53}

Is aayat se pata chalta hai ke Allah Taala fisq o fujoor aur na pasandeedgi se kharch karne ki wajah se sadqa ko qubool nahi karta.

Aur Hadees mein hai Sahaba bayan karte hain:

كُنَّا مَعَ بُرَيْدَةَ فِي يَوْمٍ ذِي غَيْمٍ، فَقَالَ: بَكِّرُوا بِالصَّلَاةِ؛ فَإِنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَنْ تَرَكَ صَلَاةَ الْعَصْرِ حَبِطَ عَمَلُهُ

Tarjumah:
Hum abar ke din ek martaba Buraidah bin Hussaib Radhiallahu Anhu Sahabi ke saath the, unhon ne farmaaya ke Namaz sawere padha karo. Kiunki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jis ne Asr ki Namaz chori us ka amal akaarat (barbaad) ho gaya.
{Sahih Bukhari: 594}

Jo aadmi ibadat bhi kare aur gunaah ka kaam bhi kare to is mein koi shak nahi ke us ka nek amal mardood hai:

إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَىٰ عَنِ الْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ

Tarjumah:
Yaqeenan namaz be hayaayi aur buraayi se rokti hai.
📚{Surah Al-Ankaboot, Ayat No: 45}

Is mein koi shak nahi ke namaz behayaai aur buraayi ke kaamon se rokti hai to jo namaz ya roza behaayi se na roke woh Allah ke yahan qaabil e radd hai.


📗Part-5

📕(b) Maroof ki raghbat:
Ramadhan bhalaayi kamaane ke liye hai, Allah Ta'ala mominon ko kayi tareeqe se is maheene mein bhalaayi se nawaazta hai, hamein un bhalaaiyon ke husool ki khatir Ramadhan se pehle hi tayyar ho jaana chaahiye aur mawaaqi e hasanaat se mustafeed hone ke liye riza aur raghbat ke saath ek khaaka tayyar karna chaahiye taaki har qism ki bhalaaiyan sameet saken. Samajh kar Quran padhne ka ihtimaam (kam se kam ek khatam), paanch (5) waqt ki namazon ke alawah nafli ibadaat, sadqa aur khairaat, zikr o azkaar, dua aur munajaat, talab e afw o darguzar, qiyaam ul lail ka khaas khayaal, roze ke masail ki ma’rifat saath saath Ramadhan ke mustahab aamaal, duroos o bayanaat mein shirkat, aamaal e saliha par mehnat o mashaqqat aur zohd o taqwa se musallah hone ka mukammal khaka tarteeb den aur is khaake ke mutaabiq Ramadhan ul Mubarak ka roohaani aur muqaddas maheena guzaaren.

Ramadhan mein har cheez ka sawab do guna ho jaata hai aur roze ki haalat mein sawaab ka kaam karna mazeed izafa e hasanat ka baa’is hai, is liye is mausam mein ma’mooli neki bhi badi ahmiyat rakhti hai chaahe miswaak ki sunnat hi kiun na ho. Har namaz ke liye miswaak karna, azaan ka intezaar karna balki pehle se Masjid mein haazir rehna, qiyaam ul lail mein pesh pesh rehna, neki ki taraf doosron ko da’wat dena, duroos o muhaazraat ka ihtimaam karna, munkaraat ke khilaaf muhim joyi karna aur saleh mu’ashra ki tashkeel ke liye koshish karna sabhi hamare khaake ka hissa hon.
[12:22 PM, 5/28/2017] +91 85078 06751: 📍Ramadhan ka isteqbaal kaise karen❓

📗Part-6

📕(5) Behtar tabdeeli:
Isteqbaal e Ramadhan ke liye khud ko mukammal tayyar karen, neki ka jazba kaseer miqdaar mein ho aur apne andar achchaayi ke mutalliq abhi se hi badlaao nazar aaye. Pehle se ziyadah sachchaayi aur neki ki raah ikhtiyaar kare. Ramadhan chunki Ramadhan hai is liye is se pehle hi behtari ka izhaar shuru hone lag jaaye. Taqwa ke asbaab apnaaye aur khud ko muttaqi insaan banaane par ibadat ke zariye koshish karne ka mukhlisaana jazba bedaar kare. Yahan yeh baat bhi nahi bhoolni chaahiye ke apne andar behtari paida karne ki khoobi aur khaassa sirf Ramadhan ke liye nahi balki saal bhar ke liye paida kare. Aise bahut se log hain jo Ramadhan ke namazi huwa karte hain aur Ramadhan rukhsat hote hi namaz se balki yeh kahen ke Allah se hi ghaafil ho jaate hain. Is liye abhi se hi yeh koshish rahe ke achchaayi ke liye badlaao maheena bhar ke liye nahi saal bhar balki zindagi bhar ke liye ho. Isi tarah ka badlaao Ramadhan ke saare aamaal ko Allah ke huzoor sharf e qabooliyat se nawaazega aur aap ki ukharwi zindagi ko behtar se behtar karega.

Aakhri paighaam:
Ramadhan ke isteqbaal ke liye koi khaas dua, khaas ibadat aur roza ya koyi makhsoos tareeqa Shari’at mein waarid nahi huwa hai. Hadees mein Ramadhan ke isteqbaal mein ek do din pehle ka roza rakhna mana hai. Lehaza deen mein kisi tarah ki bidat ke irtikaab se khud bhi bachen aur doosron ko bhi bachayen.

Allah Ta'ala hamein Ramadhan ka behtareen isteqbaal karne, is maheene se har tarah ka faida uthaane ka mauqa faraham kare aur Ramadhan mein kasrat se aamaal e saliha anjaam dene ki taufeeq de aur in aamaal ko akhirat mein najaat ka zariya banaaye.

Aameen.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment