Saturday, 28 October 2017

📍 ISLAM KA BUNYADI FARIZA



Allah Ta'ala ne farmaya hai

👇👇👇👇

Zamane ki Qasam be- Shak Insan khaasare main hai siwae in logon ke jo emaan laaye aur unhone Neik Amal Kiya aur ek dusre Ko haq ki talqeen ki aur dosre Ko sabr ki talqeen ki.


📘  (SURAH AL-ASR AYAT :1 - 3)

🚫  `Imam shafayi rahimahullah ne farmaya
agar Allah Ta'ala apni makhlooq ke liye mehaz iss Surat (AL-ASR) ke ilawah koyi aur daleel nazil na bhi farmata to to bhi Bani now Insaan ki kamiyabi ke liye sirf yahi soorat kaafi thi

📘 ( TAFSEER IBNE KASEER  , VOL 5, page 626)


🚫  Allah Ta'ala ka irshad hai,

فَاعۡلَمۡ  اَنَّہٗ  لَاۤ اِلٰہَ  اِلَّا اللّٰہُ

  Ap yeh ilm rakh lijaye ke Allah ke Siwa koi ibadat ke layq nahi


📘 (SURAH MUHAMMAD : 19)

🚫 Imam Bukhari ne apni kitab me iss ayat ke mutaliq beyan farmate hue kahte hain keh

Qual Aur Amal Se Pehle Ilm Zaruri hai

📘 ( SAHIH BUKHARI , BABUL ILM)

 🌹 Sab se phele ilm hasil karna fir Amal karna fir dawat Dena ye Islam ki bunyad hai

aur is Kaam mein apko mushkilat ayenge in mushkilat me sabr karna.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment