Wednesday 6 December 2017

DEEN MEIN NIKALI GAYI NAYI BATOON KA IBTAAL.



Hazrat ummul Momineen Aaisha siddiqha Radi Allaahu Anha se rivayat hai , janab Rasool Allah salallahu Alaihi wasallam ne farmaya.

Jo shaksh hamare deen mein woh baat nikale Jo iss mein na ho to woh radd hai.

📓 (Sahih Muslim , Vol 4, hadith # 4492)


Ummul Momineen Hazrat Aaisha siddiqha Radi Allaahu Anha se rivayat hai janab Rasool Allah salallahu Alaihi wasallam ne farmaya.

"Jis ne bhi koi aisa amal kiya Jis par hamaara hukm nahin hai (Yani Deen mein aisa amal nikaale) tou woh na maqbool hai.” 

📓 (Saheeh Muslim, Vol 4, hadith# 4493 )

✍ Yani woh amal laghoo hai us mein kuch sawaab nahin balke azaab hai. Sawaab usi amal mein hai Jis ko Allah aur Us ke Rasool (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) ne bataaya aur bandon ko us ke karney ka hukm diya.

Is hadees se bid’atiyon ka saara dhaancha toot gaya aur unn ka ghar ujadd gaya. Kyun ke agar unho ne khud ba’z kaam nahin nikaale tou kya hota hai unn ke aglon ne nikaley hain aur hadees tou sab par radd (reject) karti hai.


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment