Sunday, 17 December 2017

📍 Jis ne dhoka kya uss ka mujh se koi taluq nahi hai.


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ghal'lah ke ek dherr par se guzre aap sallallahu Alaihi wasallam ne iss par apna  mubarak hath dala too unglian tarr ho gyn , aap sallallahu Alaihi wasallam ne ghal'lah ke malik se pucha ke ye kya hai ?


Uss ne arz kya ke barish ki wajah se bhigg gya hai , aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum ye tarr hissah upar nahi kar sakte the ke log iss ko dekh lete , phir farmaya jis ne dhoka kya, uss ka mujh se koi taluq nahi hai."

📘 (Sahih Muslim : 284)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment