Wednesday 6 December 2017

MAUT KI YAAD.


Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu beyan karte hain keh main Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath tha achank ek ansari aya , uss ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko salam kaha, phir kahne laga: aye Allah ke Rasool !

Momino me sab se afzal kaun hai ?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :

"‏ أَحْسَنُهُمْ خُلُقًا ‏"‏

"Inn mein jo sab se achche ikhlaq wala ho -"

Uss ne phir pucha : Momino mein sab se zyada aqal mand kaun hai ?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

"‏ أَكْثَرُهُمْ لِلْمَوْتِ ذِكْرًا وَأَحْسَنُهُمْ لِمَا بَعْدَهُ اسْتِعْدَادًا أُولَئِكَ الأَكْيَاسُ ‏"‏ 

"Inn mein jo sab se zyada maut ko yaad karne wala ho aur jo maut ke baad ane wale marahil ke liye sab se zyada tayyari karne wala ho wahi zayda aqal mand hai-"

📓 (Sunan Ibn Majah: 4259)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment