Tuesday 19 December 2017

📍Jannat mai Daakhil hone ka Tarika.


Ek dehati nabi kareem ﷺ ki khidmat mein aaya aur arz kiya ke aap mujhe koi aisa kaam batlaaiye jis par agar mein hameshgi karu to jannat mein daakhil ho jau.

Aap ﷺ ne farmaya ke
👇🏻👇🏻👇🏻

Allah ki ibadat kar iska kisi ko shareek nah thehra farz namaz qaim kar farz zakat de aur ramadan ke rozay rakh. dehati neh kaha is zaat ki qisam jis ke haath mein meri jaan hai in amlon par mein koi zayadti nahi karunga. jab woh peeth mor kar jaane laga to nabi kareem ﷺ ne farmaya ke agar koi aisa shakhs ko deikhna chahay jo jannat walon mein se ho to woh is shakhs ko dekh le.
📚{Sahih Bukhari: 397}

🥀Wazahat:
Ek shakhs ke jannat mein jaane ke liye kaafi hai ke wo kisi ko Allah ka shareek naa banaye ikhlaas ke saath.

Farz namaz kayam kare,
Zakat ada kare
Aur farz roze ada kare,

InSh'a Allah  duniya wa akhirat dono jaha mein kamyab hoga,

Dusri baat ye ke uss dehati shakhs ke alfaz "zyadti (أَزِيدُ) nahi karunga" yani jitna amal aap ﷺ ne bataya utna hi karna usme koi izafa nahi karna, jaise ke nabi ﷺ ne farmaya:
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

Main jis kaam se tumhen rokun is se ijtinab karo aur jis kaam ka hukm dun, apni takat ke mutabiq isko karo, kyun ke tumse pehle logon ko sawalaat ki kasrat aur apne ambiya alaihe salam se ikhtelaf ne unhe halaaq kar diya.
📚{Muslim: 6113}

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment