Wednesday 13 December 2017

📍Mobhaila Kya hai❓❓


🥀Deen kisi Baat par  ya phir koi aisi baat Jiska ko Gawah na ho aur  Do Jamaton ya Do Saksh me iktelaaf ho aur Dono  Apni Apni Baat Qur'an aur Hadith se Saabit karen, Lekin Dono me Se Haq par koi ek hoga, us waqt Dono jamat Allah Ta'ala se Dua kar k apna Faisla Allah Ta'ala par chore den..

☝🏻Jo Haq par hoga usse Izzat milegi aur jo Gumrah hoga ussko zillat milegi..
☝🏻Aur Mout K liye Dua kiye Toh Jo Gumrah hoga usse Mout milegi..
In Sha Allaah

🥀Phir Aap ke paas ilm aa jane ke baad jo shakhs jhagda kare to keh den: Aao! Hum apne bete bulayen aur tum apne, hum apni aurtein bulayen aur tum apni, aur hum apne ashkhaas bulayen aur tum apne ashkhaas bulaao phir hum Mubahala karen ke jhooton par Allah ki la’nat ho.
📚{Surah Aal e Imran}
📚{Surah :3 Ayat: 61}

 Rasoolullah ﷺ ke paas Najran se do Esaai: Aqib aur Syed aaye taaki Aap (ﷺ) se Mubahala karen. Un mein se ek ne doosre se kaha: Mubahala na karna, Allah ki Qasam! Agar woh Nabi huwa to hum Mubahale ke baad kabhi kaamyaabi mein nahi rahenge aur na hamari nasal baqi rahegi.
 📚{Sahih Bukhari: 4380}

 📍Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhu ne farmaya: 
Agar woh log Nabi ﷺ se Mubahala karne ke liye bahar nikalte to wapsi par apne ghar waalon aur maal mein se kuch bhi na paate yani sab kuch tabah ho jaata.

📚{Tafseer Abdur Razzaq: 1/129 Hadees no: 411, Sahih}
📚{Tafseer Ibn e Jareer At-Tabari: 3/212, Sahih}
📚{Musnad Ahmed 1/248 Hadees no: 2225} 


🖍Nabi sallallahu alaihi wasallam ka Ahal koun hai❓❓

  Rasoolullah ﷺ ne Ali (bin Abi Talib), Fatima, Hasan aur Hussain (Radhiallahu Anhum) ko bulaya aur farmaya:
 🥀Aye Allah! Yeh mere ahal hain.
 📚{Sahih Muslim: 2404}

In dalail se maloom huwa ke agar shar’ee zaroorat ho to Sahih ul Aqeedah (aur qabil e aitimaad, nek) musalmaano ka kuffar ke khilaaf Mubahala karna jaaiz hai.

Mubahala karne ka matlab yeh hai ke do fareeqon ka baaham jama ho kar Allah se dua karna ke aye Allah! Jo haqq par nahi aur jhoota hai use halaak kar de, tabah o barbaad kar de, us par la’nat bhej.

📍Irshad e Baari Ta’ala hai:

Allah to yeh iradah karta hai ke aye ahl e bait! Tum se paleedi (gandagi) ko door kar de.
📚{Surah Al-Ahzaab, Ayat : 33}

Is Asar se maloom huwa ke agar shar’ee zaroorat ho to Sahih ul Aqeedah, nek aur qabil e aitimaad musalman ya musalmaano ka ahl e bid’at ya gumrahon aur kuffar ke khilaaf Mubahala karna jaaiz hai lekin yaad rahe ke sirf Nabi ﷺ ka Mubahala aisa hai ke muqable mein aane waale har shakhs ki tabahi aur barbadi yaqeeni hai,

🥀Mobhaila ka Dua Asar

 🖍Muhaddis Burhan-ud-Deen Al-Biqa’ee ne likha hai:

Hamare Ustaaz Hafiz Ibn e Hajar Al-Asqalani ka Ibn ul Ameen naam ke ek shakhs se Ibn e Arabi ke baare mein Mubahala huwa. Us aadmi ne kaha:
Aye Allah! Agar Ibn e Arabi gumraahi par hai to tu mujh par la’nat farma.

Hafiz Ibn e Hajar ne kaha:
Aye Allah! Agar Ibn e Arabi hidayat par hai to tu mujh par la’nat farma.

Woh shakhs us Mubahale ke kuch maheene baad raat ko andha ho kar mar gaya.

Yeh waqi’ah 797 Hijri ko Zul-Qa’da mein huwa tha aur Mubahala (taqreeban do maheene pehle) Ramadhan mein huwa tha.
📚{Tambeeh ul Ghabbi: 136-137}
📚{Ilmi maqalat: 2/470-471}

🥀Aaj Bahut se Log hai jo jante hai Mobhaila se Allah Sahih aur Baatil ka Faisla kar deta, woh Mobhaila ko Galat kahne me lage huye.

📍Ye Nabi sallallahu alaihi wasallam k liye tha.
📍Ummat k liye nahi hai.
📍Nahi karna chahiye Ektalaaf hota hai... Waghera Waghera.

📝NOTE:-
Yeh apne Aalim - Ulmaa k baaton par chalte hai..
Unko Rabb Bana liye hai.
Kyu ki Unke Ulma ne Mana kya hua hai Mobhaila ke liye.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment