Monday, 11 December 2017

📍 Jo dosron ko nasihat kare aur khud amal na kare.


Irshad Bari Ta'ala hai

👇👇👇👇

Aye eman walo! Tum woh baat kyun kehte ho jo kerte nahi.

Tum jo kerte nahi uss ka kehna Allah Ta'ala ko sakht na pasand hai.

📘 (Surah Saff 61: 2-3)

Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ek shaksh ko ( Qayamat ke din ) laya jaye ga aur usse aag mein dala jaye ga, phir woh uss mein chaki peese ga jaise gadha pista hai, phir dozakh ke log uss ke charon tarf jama ho jayen ge aur kahen ge, aye falan ! kya tum neikion ka hukm karte aur burayion se roka nahi karte the ?

Woh shaksh kahe ga main achchi baat ke liye kahta to zarur tha lekin khud amal nahi karta tha aur buri baat se rokta bhi tha lekin khud wahi kaam karta tha."

📘 (Sahih Bukhari : 7098)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

1 comment:

  1. Ap khud Insan ban Jaye to to dosro ko Insaniyat sikhaney ki zaroorat Nahi padegi! Ap Deen ka rasta khud apnaye dosro ko us pr chalaney ki zaroorat Nahi padegi Yaqeen maney ek ek kR k he Qafiley bantey hain.

    ReplyDelete