Thursday 28 December 2017

📍 NEKI KE IRADE PAR BHI SAWAB


Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu wasallam ne farmaya ; Allah Ta'ala farmata hai : "jab Mera banda burai ka iradah kare to uss ke amal karne tak uss ke namah amaal mat likho , agar woh burai kar le to uss ke barabar gunah likh do,aur agar woh mujh se darte hue burai chorr de to uss ke liye ek neki likh do, aur jab woh neki ka iradah kare aur kisi wajah se woh neik kaam na kar sake to uss ke liye ek neiki likh do, aur agar woh neki kar le to uss ke namah amaal mein dass se saat guna tak ajr likh do."

📘 (Sahih Bukhari : 7501)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment