Tuesday, 28 November 2017

📍Allah Ta’ala Sabr Karne Walon Ke Sath Hai.




🥀SABR

Duniya me jahan kabhi mukhtalif taqleefon, mashaqqaton se do’chaar hona padhta hai, kabhi khushiyan hoti hain to kabhi marsiya khwani bhi hoti hai.

” Jahan bajti hai shahnaayi, wahan matam bhi hote hain “

Is waadi me phool bhi hain, aur kaante bhi,

Jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, wah allah ka muqarrab banda ban jaata hai,

Use Aakhirat me aisa maqaam wa martaba haasil hoga ise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi.

🥀Allah Ta'ala Quran mai irshad Farmata hai :-”
Sabr karne waalon ko unki mazdoori be’hisaab milegi “
📚{Surah zumar Ayat 10}

Sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge”
📚{Surah daher, Aayet12}


Sabr karne waalon ki badi taareef ki gayi hai, banda saabir allah ka baada pyara aur mahboob hota hai,

Allah sabr karne waalon se muhabbat karta hai “
📚{Surah Al-Imram, Aayet 146}

Aye Imaan walo Sabar aur namaz se madad liya karo, beshak Allah Sabr karne walon ke saath hai.
📚{Surah Baqra, Aayet 153}

Khus’kismAt hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur rabb se ajar haasil karte rahte hain.

Museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke elawa, basa awqaat duniya me bhi uska ajar mil jaata hai.

ALLAH TA' ALA HAM SABKO SABR KARNE KE TAUFEEQ DE.
Ameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends  & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

Monday, 27 November 2017

Nabi ﷺ Ki Gustakhi Eid Milad Un Nabi ﷺ Ke Nam Pe !!!






Siwaaa Iblis ke Jahan mey sabhi to khusiyan manarahey hain is per tafsili jayeza ek baar zaroor sunoyen !!
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

Sunday, 26 November 2017

📍 ALLAH TA'ALA SE YEH DUA NA KAREN KE ,AYE ALLAH JO KUCH TUU AKHIRAT MEIN AZAAB DENE WALA HAI , WOH DUNIYA MEIN HI DE DEN



Bismillahir Rahmanir Raheem

💐💐 Hazrat Ana's Radi Allahu Anhu se rivayat hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek musalman ki iyadat  ki jo bemari se chooze ki tarah ( yani bahut zaeef aur natawan ho gaya tha ) aap ne iss se farmaya tuu kuch dua kiya karta tha ya Allah Ta'ala se kuch sawal kiya karta tha, woh bola haan main yeh kaha karta tha,

Ya Allah jo kuch tuu akhirat mein azaab karne wala hai, woh duniya hi mein kar le

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, subhan Allah, tujhe itni taqat kahan hai keh Allah ka azabb utha sake , ( duniya mein) ,tuu ne yeh kyun nahi kaha,

اللَّهُمَّ آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ ‏"‏ ‏

Ya Allah mujh ko duniya mein bhi bhalai de aur akhirat me bhi bhalai de aur mujhe ko bacha ke jahnnam ke azaab se

phir ap Sallallahu Alaihi Wasallam ne iss ke liye Dua ki, Allah az'za wa jal'la se, Allah Ta'ala ne iss ko achcha kar dya.

📓 (Sahih Muslim, vol 6, hadith # 6835)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

APNE AAP KO JAHNNAM SE KHUD HI BACHO AUR APNE RISHTADARON KO DARA DO


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu beyan karte hain keh jab yeh ayat

{‏ وَأَنْذِرْ عَشِيرَتَكَ الأَقْرَبِينَ‏}‏
  
 apney qareebi rishte walon ko dara de
(26: 214)

nazil hui to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne quraish ko bulaya , woh akhate ho gyen to aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne aam aur khass sab logon ko khetab farmaya:

"Aaye ka'bb bin luwayy ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se  khud hi bachao"

"Aye Murra bin ka'bb ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aaye Abdd shams ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam  se khud hi bachao"

"Aye Abdd bin Manaf ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Hashim ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Abdul Mutalib ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Fatima ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"kyun ke main tumhare liye Allah Ta'ala se kisi cheez ka Malik nahi, haan tumhare liye rishtadari ka haq hai jise main ada Karun ga"

📓 ( Sahih Muslim: 204)

🚫  Iss hadith mubarak mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne wajhe kar diya hai keh woh apne khandan ke liye to kaja apne lakht e jigar Hazrat Fatima Radi Allahu Anha ke liye bhi nafa o nuqsan ka ikhtiyar nahi rakhte .

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

Mushrik ki Misaal


(Surah al Rad 13:14)

Bismillahir Rahmanir Raheem

لَہٗ دَعۡوَۃُ   الۡحَقِّ ؕ وَ الَّذِیۡنَ  یَدۡعُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِہٖ لَا یَسۡتَجِیۡبُوۡنَ لَہُمۡ بِشَیۡءٍ  اِلَّا کَبَاسِطِ کَفَّیۡہِ  اِلَی الۡمَآءِ لِیَبۡلُغَ فَاہُ وَ مَا ہُوَ بِبَالِغِہٖ ؕ وَ مَا دُعَآءُ الۡکٰفِرِیۡنَ  اِلَّا  فِیۡ  ضَلٰلٍ ﴿۱۴﴾

ussi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko iss ke siwa pukarte hain woh unn (ki pukar) ka kuch bhi jawab nahi dete magar jaisay koi shaksh apney dono hath pani ki taraf phelaye huye ho ke uss ke munh mein parr jaye halanke woh pani uss ke munh mein phonchne wala nahi inn munkiron ki jitni pukar hai sab gumrahi mein hai.

🚫 Ghairullah ko muafiq ul fitri taur par hajat roaayi aur fariyaad rasi ke liye pukarna aisa hai jaise nadi nale ,kunwa o talaab ,dariya o samandar ke Pani ko pukarna agar koi shaksh Pani ko hath phila kar Pani se darkhwast kare tuu mere munh me aa jaa aur meri peyass bujha jaa to kya Pani uss ke munh mein pahunch kar usse sheeraab kar dega?
Nahi hargiz nahi pani na uss ki darkhwast sune ga aur na peyass bujhae ga issi tarah jo insan Allah ko chodd kar asbaab ke beghair ghairullah ko fariyaad rasi ke liye pukarta hai to ghairullah na uss ki fariyaad sunn sakta hai aur na uski hajat puri kar sakta hai iss tarah ghairullah ko pukarne wala ek lahasil kaam karta hai aur bad aqeedgi se do chaar ho kar aqibat Barbados karta hai..
Allah neik samjh ki taufeeq de  (Aameen )

🚫   Ghairullah mein khaliq ke siwa sab makhluq shamil hain chahe farishte ho ya Anbiyaa aur Rasool ho ya shida o saleheen ho ya awlia koi bhi kisi ki madad nahi kar sakte aur na kisi ki pukar sunn sakte hain.
Han lekin jahiri asbaab ke sath zindon ki madad li ja sakti hai.

📓 ( Sahih Muslim: 204)

🚫  Iss hadith mubarak mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne wajhe kar diya hai keh woh apne khandan ke liye to kaja apne lakht e jigar Hazrat Fatima Radi Allahu Anha ke liye bhi nafa o nuqsan ka ikhtiyar nahi rakhte .


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

APNE AAP KO JAHNNAM SE KHUD HI BACHO AUR APNE RISHTADARON KO DARA DO


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu beyan karte hain keh jab yeh ayat

{‏ وَأَنْذِرْ عَشِيرَتَكَ الأَقْرَبِينَ‏}‏
 
 apney qareebi rishte walon ko dara de
(26: 214)

nazil hui to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne quraish ko bulaya , woh akhate ho gyen to aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne aam aur khass sab logon ko khetab farmaya:

"Aaye ka'bb bin luwayy ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se  khud hi bachao"

"Aye Murra bin ka'bb ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aaye Abdd shams ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam  se khud hi bachao"

"Aye Abdd bin Manaf ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Hashim ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Abdul Mutalib ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Fatima ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"kyun ke main tumhare liye Allah Ta'ala se kisi cheez ka Malik nahi, haan tumhare liye rishtadari ka haq hai jise main ada Karun ga"

📓 ( Sahih Muslim: 204)

🚫  Iss hadith mubarak mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne wajhe kar diya hai keh woh apne khandan ke liye to kaja apne lakht e jigar Hazrat Fatima Radi Allahu Anha ke liye bhi nafa o nuqsan ka ikhtiyar nahi rakhte .

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

AAP KIS SE MOHABBAT KARTE HAIN❓❓


Ek Ansari Sahabi Jinka Chehra Bada Ghamzada Tha, Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Aaye! Rasoolullah  Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Unki Pareshani Ka Sabab Pucha,

To Unhone Kaha :

“Aye Allah Ke Rasoo! Ek Gham Mujhe Khaye Ja Raha Hai, Ke Mai Yeh Sochta Hoon Ke Aaj Duniya Mein Aapka Chehra Mubarak Dekhey Baghair Hum Reh Nahi Pate, Chalte Aur Phirte, Uthte Aur Baithte Jab Bhi Aapki Yaad Aati, Aapse Aakar Hum Mil Lete Aapka Didaar Karte Aur Humey Sukoon Milta ..
Lekin Mujhe Yeh Soch Kar Gham Kha Raha Hain Ke Roz e Qayamat To Aap Ambiya (Alaihi Salaam) Ke Sath Honge, Wahan Hum Aapka Deedaar Na Kar Payenge..

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam  Khamosh Rahe…
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Ye Aayat Nazil Hui....

وَمَن يُطِعِ اللَّهَ وَالرَّسُولَ فَأُولَٰئِكَ مَعَ الَّذِينَ 

أَنْعَمَ اللَّهُ عَلَيْهِم مِّنَ النَّبِيِّينَ وَالصِّدِّيقِينَ 

وَالشُّهَدَاءِ وَالصَّالِحِينَ وَحَسُنَ أُولَٰئِكَ رَفِيقًا

“Jo Koi Allah Aur Rasool Ki Farmabardari Kare Wo (Roz e Qayamat) Unn Logon Ke Saath Hoga Jin Per Allah Ta’ala Ne Inaam Kiya Hai Jaise Nabi Aur Siddique Aur Shaheed Aur Nek Log Yeh Behtareen Rafeeq Hai."

📖 Al-Qur'an; Surah 4 Nisa: Ayat 69

Aur Phir Aap Ne Farmaya:

 “Insan (Qayamat Ke Din) Uske Saath Rahega Jisse Wo Mohabbat Karta Hai."

📚Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189

📝 To Jisney Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Mohabbat Ki Yaani Rasoollullah Ki Ita'at Ki Wo Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saath Rahega ..

Lihaza wazeh hai ki Jisney Rasool  ke ilawa kisi aur se mohabbat ki aur Unkey Tarz e Amal Ko Apnaya Aur Unke Tareeko Par Chala Wo Unke Saath Hai..

SABAQ:

Hume Chahiye Ke Zindagi Ke Tamam Shobo Mein Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wasallam  Ko Apna Uswa-tul-Hasana (Ideal Aur Role Model) Maaney.
Aur Aap Ki Sunnato Par Amal Ko Lazim Aur Farz Jaaney.

Allah se dua hai ki Allah Subhanahu Ta'ala Humey Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnato Ka Muttabi Banaye...

Aameen Ya Allah

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

📍 SHADI KE BAAD JIS NE ZINA KYA USSE RAJM KIYA JANA CHAHIYE /TEEN AISE SHAKSH JIS KA KHOON HALAL HAI


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Aaisha Radi Allahu Anha beyan kartin hain keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:

kisi musalman ka khoon halal nahi jab woh gawhi deta hai keh Allah ke siwa koi mabood nahi aur beshak Muhammad sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain , magar teen mein se kisi ek wajah se-

➡ Jis shaksh ne shadi ke baad zina kiya usse rajm ( sangsaar ) kiya jaye ga

➡ Woh shaksh jo Allah aur uss ke Rasool se ladaee karne  nikle to usse qatal kiya jaye ya usse sooli pe chadha diya jaye ga ya usse jila watan kar diya jaye ga

➡ Ya koi shaksh kisi ka qatl kar de to uss ke badle mein qatal kiya jaye ga

📓 (Sunan Abu Dawood: 4353)


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

📍 TEEN AISE SHAKSH JIS SE ALLAH TA'ALA ROZZ E QAYAMAT BAAT NAHI KARE GA


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai Keh teen aadimon se Allah Ta'ala baat na kare ga qayamat ke rozz na unn ko paak kare ga,na unn ke taraf dekhe ga, unn ko dukh ka azaab hai,

➡ Ek to buraha zina karne wala

➡ dosra badsha jhoota

➡ teesra mohtaj maghroor

📓 (Sahih Muslim, Vol 1, hadith#296)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

Tuesday, 21 November 2017

📍 Jab do bhai aapas mein qata taluqi kar lete hain to unn ki maghfirat nahi ki jati tawaqt-e-kay woh aapas mein sulah karen



Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

Jannat ke darwaze khole jate hain har peer aur jumarat ke din phir ek banda ki maghfirat hoti hai , jo Allah Ta'ala ke sath shrik nahi karta magar woh shaksh jo keenah rakhta hai apne bhai se uss ki maghfirat nahi hoti hai aur hukm hota hai unn dono ko dekhte raho, jab tak mil jayen,unn dono ko dekhte raho jab tak mil jayen.(jab mil jayen ,unn ki maghfirat hogi)

📓 (Sahih Muslim: 6544)


🚫  Lehaza hum par wajib hai ki hum musalmano se Qata taluqi na karen aur aapas ke taluqat ko khuss guar banayen .

 Allah Ta'ala hum sab ko iss ki taufeeq de aur musalmano ke darmiyan ulfat aur mohbbat paida farmaye. 
Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍 MAJLIS MEIN DAKHIL HOTE WAQT AUR WAPAS WAQT BHI SALAM HI KAHNA❗



Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :

👇👇👇👇

 "jab tum mein se koi majlis mein pahunchaen to Salam kare ,aur phir jab uth kar jane lage to bhi Salam kare , kyun ke pehla dosre se zyada haq daar nahi hai ( balke dono ki yaksan ahmiyat o zarurt hai , jaise majlis mein sharik hote waqt Salam kare aise hi majlis se rukhsat hote waqt bhi sab ko Salamti ki dua dete hue jaye."

📘 ( Sunan Abu Dawud : 5208)

🚫 iss hadith se saabit hua keh Majlis mein dakhil hote waqt ya kisi se milte waqt Salam karna hai aur wapas hote waqt bhi Salam hi karna hai.. Allah Hafiz ya khuda Hafiz karna kisi hadith se saabit nahi hai

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 Jo log khule aam gunah karte hain aur phir kahte hain, "don't judge me", mere dil ka haal Allah janta hai , unn ko Umar ibn e khtab Radi Allahu Anhu ka jawa,



""إِنَّ أُنَاسًا كَانُوا يُؤْخَذُونَ بِالْوَحْيِ فِي عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنَّ الْوَحْيَ قَدِ انْقَطَعَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنَّمَا نَأْخُذُكُمُ الْآنَ بِمَا ظَهَرَ لَنَا مِنْ أَعْمَالِكُمْ، ‏‏‏‏‏‏فَمَنْ أَظْهَرَ لَنَا خَيْرًا أَمِنَّاهُ وَقَرَّبْنَاهُ وَلَيْسَ إِلَيْنَا مِنْ سَرِيرَتِهِ شَيْءٌ اللَّهُ يُحَاسِبُهُ فِي سَرِيرَتِهِ، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ أَظْهَرَ لَنَا سُوءًا لَمْ نَأْمَنْهُ وَلَمْ نُصَدِّقْهُ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ قَالَ إِنَّ سَرِيرَتَهُ حَسَنَةٌ"".

Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ke zamane mein logon ka wahi ke zariye maukhaza ho jata tha ,lekin ab wahi ka silsila khtam ho gya aur hum unhi ummoor mein maukhaza karen ge jo tumhare amal se hamare samne zahir honge, isliye jo koi zahir mein hamare samne khair kare ga , hum usse aman denge aur apne qareeb rakhen ge ,iss ke batin se hume koi sar o kaar na ho ga , iss ka hisab to Allah Ta'ala kare ga aur aur jo koi hamare samne zahir mein burai kare ga to hum bhi usse aman nahi denge aur na hum uss ki tasdiq karen ge khawa woh yahi kahta rahe ki uss ka batin acha hai.

📘 ( Sahih Bukhari : 2641)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍 CHAAR MASAYEL JINKA JAANNA HAR MUSALMAN PAR ZAROORI HAI AUR USKI DALEEL


1⃣ Ilm hasil karna ya'ni Allah ta'ala ko pehchanna aur uske nabi ko pehchanna aur deen e islam ko dalayel ke sath jaanna.

2⃣ Uske mutabik amal karna.

3⃣ Uski janib dawat dena.

4⃣  Us raah me pesh ane wali takleefon par sabr karna.

📘  Is masayel ki dalayel Allah taala ka ye farman hai :

 Zamane ki qasam! be shak insan khasare me hai siwaye un logo ke jo emaan laaye aur neik amal kiye aur ek doosre ko haq ki talqeen ki aur ek doosre ko sabr ki talqeen ki .

📚 (Surah al Asr ,ayat no. 1-3)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 Mere ( Muhammad sallallahu Alaihi wasallam ki ) paigham ko logon tak pahunchao agarcheh ek hi kyun na ho


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: " Mera paigham logon ko pahunchao agarcheh ek hi ayat ho aur bani israyil ke waqyaat tum beyan kar sakte ho , iss me koi harz nahi , aur jis ne mujh par qasdan jhoot bandha to usse apne jahannm ke thikane ke liye tayyar rehna chahiye."

📘 ( Sahih Bukhari: 3461)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 Aj Humari Namazon Mein Khushu Na Raha


Bismillahir Rahmanir Raheem

🌷 Abu Darda Radi Allahu Anhu kahte hain keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ke sath the , achnak ap ne apni nazar aasaman ke tarf gar dyen, phir farmaya , aisa waqt aaye ga Jis me logon ke seeno se ilm uchak lya jaye ga, yahan tak keh logon ke pass kuch ilm bhi nahi hoga, zaid bin Labid Ansari ne kaha : Allah ke Rasool! Ilm hum se kis tarah cheen lya jaye ga, jab ke hum Quran padhte honge,Qasam Allah ki hum zarur usse padhen ge aur hum zarur apni auraton ko usse padhayen ge ,aur apni bachon ko sikhaen ge, Aap ne farmaya: Aye zyad tumhari maa tumhe khoo de ! main tumhe ahle madinah ke fiqah mein shumar karta tha, yeh tauret aur injeel bhi to pass hai yahud aur nasara ke kya kaam aayi unn ke ?" Kya faidah pahunchaya tauret aur injeel ne unn ko?

Zubair Radi Allahu Anhu kahte hain ki meri mulqat ubidah bin Samat Radi Allahu Anhu se hui , to main ne unn se kaha : kya ap nahi sunte keh ap ke bhai Abu Darda Radi Allahu Anhu kya kahte hain? Phir Abu Darda Radi Allahu Anhu ne jo kaha tha maine unhe bata dya,unho ne kaha , Abu Darda Radi Allahu Anhu ne sach kaha,agar tum ( mazeed ) janna chao to main tumhe bata Santa hu keh pehle pahl logon se utha lya Jane wala ilm , khushu hai ,anqareeb aisa waqt aye ga keh tum jamah masjid ke andar jao ge lekin wahan tumhe koi ( sahi maeno mein ) khushu khuzu karne wala shkash dekhai na de ga."

📘 ( Jamia Tirmidhi: 2653)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 Mere Baad Tum Baaz Kaam Ko Dekho Ge Jo Tum Ko Bura Lagen Ge


🌷 Hazrat Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: " tum mere baad baaz kaam aise dekho ge jo tum ko bura lagen ge, sahaba Radi Allahu Anhum ne arz kya; Ya Rasool Allah ! App iss silsile mein kya hukm farmate hain ? Aanhazrat sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya; " tum unn ka haq ada karo aur apna haq Allah se man'go."

📘 ( Sahih Bukhari: 7052)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/


﴾وَیۡلٌ   لِّلۡمُطَفِّفِیۡنَ ۙ﴿۱
﴾الَّذِیۡنَ  اِذَا  اکۡتَالُوۡا عَلَی النَّاسِ یَسۡتَوۡفُوۡنَ ۫﴿ۖ۲
﴾وَ  اِذَا کَالُوۡہُمۡ  اَوۡ وَّزَنُوۡہُمۡ  یُخۡسِرُوۡنَ ﴿ؕ۳

Bari kharabi hai naap taul mein kammi kerne walon ki

ke jab logon se naap ker lete hein to pura pura lete hain

Aur jab unhe naap ker ya taul kar dete hain to kaam dete hain

📘 (Surah al Mutafifeen : 1-3)

🚫 Jab maine iss surah ko pehle pehle padha to yeh samjh kar chorr dya ke yeh taziron ke liye hai , jo naap taul mein kamm kar ke logon ko faurkht karte hain

🚫 Lekin yeh Surah sirf tazir hazraat ke liye nahi  hai bulke yeh Surah har uss shaksh ke liye hai jo

🥀 logon se puri umeeden rakhe lekin unn ki umeedon par khara na utre

🥀 logon se leta hai to pura leta hai aur jab deta hai to ghata kar deta hai

🥀 Yani logon ke jo huquq uss par hain unn ko to pura usul karta hai , lekin uss par jo logon ke huquq hain unhe pura pura ada nahi karta

🥀  Rishtadar to uss ka kheyal rakhen,har khussi aur gham mein sharik hon , lekin ye rishatadron ke khussi aur gham mein sharik na ho to koi masala nahi

🥀  Awlaad se to khidmat ki umeed rakhe lekin awlaad ke huquq ada na kare

🥀 Biwi se khidmat ki umeed rakhe lekin biwi ke jo huquq hain unn mein kotahi kare

🥀 Allah se pura pura Inaam ki umeed rakhe aur shikwe kare lekin waisi ibadat aur shukr na kare jo uss ka haq hai.

🌹 Allah Ta'ala hume Quran ko samjh kar padhne aur uss par chalne ki taufeeq ata kare.....
Aameen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍 Apni Mominah Biwi se Nafrat Na Karo


Bismillahir Rahmanir Raheem

Sayeedna Abu Hurairah Radi Allahu Anhu rivayat karte hain keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya;"koi momin mard apni  mominah biwi se nafrat na kare , agar uss ki koi ek adat uss ko na pasnd hai to dosri ada zarur pasnd ho gi."

📘 (Sahih Muslim: 1468b & 1469 )

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 IBADAT KI KAMMI SE EMAAN KA GHATNA




 Hazrat Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke Aye Auraton ki jamat! tum Sadqa kiya karo. Aur ziyada se ziyada Astaghfaar kiya karo. Kyun-ke mai ne dekha ke jahannam mein ziyada tadaad mein auraten hain. Ek Aqalmand aurat boli ke ya RasoolAllah! ﷺ kiya sabab hai, auraten ziyada jahannam mein hain? Aap ﷺ ne farmaya ke woh la'nat bahuth karti hain aur khawind ki na-shukri karti hain. Maine Aqal wa deen mein kam hone ke bawajood Aqalmand shaks ko be Aqal karne wali tum se ziyada kisi ko nahi dekha. wo aurat boli ke ya RasoolAllah! ﷺ  hamari Aqal aur deen mein kya kami hai?  Aap ﷺ ne farmaya ke Aqal ki kami to usse maloom hoti hai ke do auraton ki gawahi ek mard ki gawahi ke barabar hai. Aur deen mein kami ye hai ke aurat kai din tak (har mahine mein haiz ki wajha se) Namaz nahi padhti aur Ramadhan mein (haiz ke dino mein) roze nahi rakhti.


 📘 (Sahih Muslim : vol 1, hadith # 241)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 JO CHEEZ HASIL NA HO USS PAR FAKHR KARNA ❗❗

 

Asma bin Abu Bakr sidiqq Radi Allahu Anha ne beyan kya keh ek khatoon ne arz kya : Ya Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ! meri saukan ( husband's another wife ) hai , agar apne shohar ki tarf se unn cheezon ke hasil hone ki bhi dastane usse sunaun jo haqiqat mein mere shohar mujhe nahi deta to kya iss mein koi harz hai ?

Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne iss par farmaya :

" jo cheez hasil na ho uss par fakhr karne wala  uss shkash jaisa hai Jo fareb ( falsehood ) ka jora yani ( dosre ke kapde mang kar pehne ."

📘 ( Sahih Bukhari: 5219)


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 TEEN BAATEN JISE RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE MANA FARMAYA.



Hazrat Abdur Rahman bin Shibl Radi Allahu Anhu kahte hain keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne teen baaton se mana farmaya;

"Kawaye ki tarah  thonke marne se ( yani jaldi jaldi chote chote sajdah karna aur jalsah bhi puri tarah na karna )"

"Dosre darinde ki tarah bazuu zameen par bichane se (  sajdah me bajuu zameen par bicha dena jaise kutta ya bheria bichata hai)"

"Tesre Namaz padhne ke liye mustaqil taur par ek  jagah muttain karne se jaise unnt apni jagah muttain kar leta hai"

📘 ( Sunan ibn e Majah :1429)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Monday, 20 November 2017

📍Jaahiliyyat ke 4 kaam aise hain jinhei’n meri ummat ke log bhi karenge.


1. (Apne) Hasb (T: Family, Tribe, Khaandaan) par faqhar karna.

2. (Doosre ke) nasab (T: Family Status) par ta’an karna.

3. Sitaaro’n ke zariey paani talab karna.

4. Noha (T: crying & shouting when somebody is dead) (aur ye bhi farmaaya) Agar noha karne waali aurat marne se pehle tauba na kare to qiyaamat ke din is par gandhak ka kurta aur khaarish ki odhni hogi.’

{Sahih Muslim, 934}

Ahle Jaahiliyat ka aqeeda tha ke sitaaro’n ki naqal o harkat aur tuloo o ghuroob ka barish aur deegar zameeni waqeaat o hawaadis ke sath gehra ta’alluq hai aaj kar ilm nujoom bhi inhi shirkiya khurafaat se ebaarat hai.
Allah Ta’ala mehfooz rakhe.

Ameen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

 & to join  them with our group

send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Sunday, 19 November 2017

📍 INSAN MUSHKILAT SE GHIRE HUA HA.


Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne chokhata (square ) khatt kheenche phir uss ke darmiyan ek khatt kheenche jo chokhate ke darmiyan mein tha , uss ke baad darmiyan wala khatt ke iss hisse mein jo chokhate ke darmiyan mein tha,chote chote bahut sa khatoot kheenche aur phir farmaya keh

Yeh insan hai , aur yeh uss ki maut hai Jo isse ghire hui hai , aur jo ( beech ka khatt) bahar nikla hua hai , woh uss ki umeed hai aur jo choti choti khatoot hain uss ki duniyawi mushkilat hain,pass insan jab ek mushkil se bach kar niklta hai to dosri mein phans jata hai aur dosri se niklta hai to tesri mein phans jata hai."

📓 ( Sahih Bukhari : 6417)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

 & to join  them with our group

send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 TAWEEZ SHRIK HAI AUR USS SE AGAR RAHAT MIL BHI JATI HAI TO WOH SHAITAN KE TARAF SE HOTA HAI TA'KE LOG ISS PAR YAQEEN KAR KE SHIRK KAREN.



Hazrat Abdullah bin Masood ki biwi Zainab Radi Allahu Anhuma ne kaha ki Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki taweez, gandey ( mantra) waghairah sab shrik hai,
Ye sunn kar Zainab Radi Allahu Anha ne kaha ki tum yeh kya kahte ho , Allah ki Qasam meri aankh Dard ki shiddat se bahar nikalne ko thi aur maine phalan yahudi ke pass jaya karti thi wo mujhe taweez diya to mujhe sukun ho gaya to Hazrat Abdullah kahne lagen yeh to shaitani amal hai jab ki woh shaitan apne hath jab usey ( yani ankh ) dabaya karta tha , jab uss yahudi ne uss par damm kya to woh shaitan uss amal se rukk gaya ta' ki tum uss taweez par hi yaqeen karne lag jao ) aur beshak tumhare liye yahi kafi hai ki tum iss tarah kah diya karo jaisa Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam kya kahte the.

Aye Allah logon ke Rabb, takleef ko durr karne de,shifa ata farma,tuu hi shifa dene wala hai ,Tere Siwa koi shifa dene wala nahi, aisa shifa ata farma  ke ko ii beemari bilkul baki na rahe.

📘 (Sunan Abu Dawud, vol 3 hadith #485)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

 & to join  them with our group

send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍Nabi ki Basharat aur Uspar fiqr.


Hazrat Ans bin Malik razi Allah ta'ala anho se rivayet hai ke rasool Allah sallallaho alaihe wasallam aur Maaz bin Jabal ek sawari par sawaar they Maaz razi Allah ta'ala anho aap sallallaho alaihe wasallam ke peechay they aap ne farmaya aye Maaz hazrat Maaz razi Allah ta'ala anho ne arz kiya haazir hon aye Allah ke rasool aap ne phir farmaya ae Maaz ! hazrat Maaz razi Allah ta'ala anho ne arz kya aye Allah ke rasool mein haazir hon khidmat Aqdas mein mojood hon, aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya jo bandah is baat ki gawahi day ke Allah ta'ala ke siwa koi mabood nahi aur Mohammad rasool Allah sallallaho alaihe wasallam us ke bande aur us ke rasool hain Allah us par zaroor jahannum haraam kar day ga, hazrat Maaz razi Allah ta'ala anho ne arz kya aye Allah ke rasool sallallaho alaihe wasallam kya mein is farmaan ki logon ko ittila nahi kar dun ke woh khush ho jaien aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya agar aisa hoga to aamaal chhor kar log isi par bharosa kar bathain ge Maaz razi Allah ta'ala anho ne apni maut ke waqt gunah ke khauf ki wajah se yeh hadees bayan ki .

📚{Sahih Muslim Hadees # 56}

🥀Note -
Aaj ummat isi par bharosa kar baithi hai aur Allah ke sath khullam khulla shirk karte phir rahi hai. Logon ne ye samajh liya ke LA ILAHA ILLALLAH MOHAMMADUR RASULULLAH padh liya to jahannam haram aur jannat to hame hi milegi aur tamam Allah aur uske rasool ke ahkaamon ko chhor kar duniya ki rangeeniyon me mulawwis hain.

Allah hame kalma e shahadat ko samajhne aur uske taqazon ko pura karme ki taufeeq ata farmaye aur jahannam ko humpar haram farma.

Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 DILON KO TASALLI KAISE HASIL HO❓❓


Irshad Bari Ta'ala hai

👇👇👇👇

Jo log emaan laye unn ke dil Allah ke zikar se itminan hasil kerte hain.

Yaad rakho Allah ke zikar se hi dilon ko tasalli hasil hoti hai.

📘 (Surah al Raad:28)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

 & to join  them with our group

send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 HAR NEKI SADQA HAI




Hazrat Aaisha umm ul Momineen farmati hain keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:

Har aadmi ke badan mein 360 joren hain soo Jis ne Allah ki barai beyan ki aur Allah ki Hamd ki aur لا الہ الا ﷲ kaha aur سبحان ﷲ kaha aur استغفرﷲ kaha aur pathar logon ke rasta se hata diya ya koi kanta ya hadi raah se hata di ya achchi baat sikhai ya buri baat se roka iss 360 jodon ke ginti ke barabar woh uss din chal raha hai aur hat gaya hai apni jaan ko le kar jahnnam se ."

📓 (Sahih Muslim,vol 3, hadith# 2330)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

 & to join  them with our group

send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 INSAN MUSHKILAT SE GHIRE HUA HA.


Bismillahir Rahmanir Raheem.

Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne chokhata (square ) khatt kheenche phir uss ke darmiyan ek khatt kheenche jo chokhate ke darmiyan mein tha , uss ke baad darmiyan wala khatt ke iss hisse mein jo chokhate ke darmiyan mein tha,chote chote bahut sa khatoot kheenche aur phir farmaya keh

Yeh insan hai , aur yeh uss ki maut hai Jo isse ghire hui hai , aur jo ( beech ka khatt) bahar nikla hua hai , woh uss ki umeed hai aur jo choti choti khatoot hain uss ki duniyawi mushkilat hain,pass insan jab ek mushkil se bach kar niklta hai to dosri mein phans jata hai aur dosri se niklta hai to tesri mein phans jata hai."

📓 ( Sahih Bukhari : 6417)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

 & to join  them with our group

send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Thursday, 16 November 2017

📍 FURSAT KE LAMHE MEIN KYA KAREN❓


Allah Ta'ala ki zikr ki fazilat

🥀  Rasool-Allah Sal Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ;

SubhanAllah wa Alhamdulillah wa  La ilaha illAllah wa Allahu Akbar,

 Al-Baqiyat As-Salihat yani baqi rahne wali nekiya hain.

📘 Al-Silsilat As-Sahiha-2854)

🥀 Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasllam ne farmaya 100 bar Subhanallah kaho ye tumhare liye Ismail Alaihi Salam ki aulad se 100 gardenein (Gulam) Aazad karne ke barabar hai, Aur 100 bar Alhamdullilah kaho ye tumhare liye 100 zean aur lagam pehne huye(tayyar shuda) ghode ke barabr hoga Jo tum Allah Subhanahu ke raste mai do,Aur 100 bar Allah hu Akbar kaho ye tumhare liye Nakel dali maqbul Oontniyo ke barabr hoga, Aur 100 bar La ilaha ilAllah kahao

 Ibn khalf ne kaha: mere khayal mai Ap Sallahahu Alahai Wasllam ne farmaya

ye asman aur Zameen ko bhar dega ,

us din kisi shaksh ka ammal itna buland nahi hoga siwaye us shakshs ke Jo us tarah kare.


📘 At Tabrani , 298 , Hasan)
(Al-Silsilat As-Sahiha-2855)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Wednesday, 15 November 2017

📍 Fursat Ke Lamhe Mein Kya Karen.




Irshad Bari Ta'ala hai

👇👇👇👇

فَاِذَا  فَرَغۡتَ فَانۡصَبۡ ۙ﴿۷﴾

وَ اِلٰی  رَبِّکَ فَارۡغَبۡ ٪﴿۸﴾


Pus jab tuu farigh ho to ibadat mein mehnat ker

Aur apney parwardigar hi ki tareef mein dil laga

📚 (Surah al Sharah 94: 7-8)

🥀 Numan Bin Bashir Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :

👇👇👇👇

 Allah Ta'ala ki Azmat ka Jo tum zikr karte ho woh

Tasbih (Subhan Allah)
Tahlil (Allahu Akbar)
Tamhid (Alhumdulilah)

hai, yeh kalme Arsh ke irdd gird ghumte rahte hain , aur inn mein shahad ki makhion ki bhanbhanahat ki tarah awaz hoti hai, apne kahne wale ki zikr karte hain  ( Allah ke samne ) , kya tum mein se koi ye pasnd nahi karta hai ke iss ke liye ek shaksh ho jo Allah Ta'ala ke samne uss ka barabar zikr karta rahe .

📘 (Sunan ibn e Majah : 3809)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Tuesday, 14 November 2017

📍 ALLAH HI SAB SE BADA HAI WAHI HAR CHEEZ PAR QADIR HAI.



🥀 Surah al Waqiya mein Allah Ta'ala ki apne bandon se chinchorne wali chaar swalat❗❗

Irshad Bari Ta'ala hai

👇👇👇👇

Acha phir yeh bhi batlao ke tum jo kuch bo'te ho

Usse tum hi ugate ho ya Hum ugane wale hain.

Agar Hum chahen to usse reza reza ker dalen aur tum hairat ke sath baten banate hi reh jao.

ke hum per to tawaan hi par gaya.

Bulke hum bilkul mehroom hi reh gaye.

📘 (Surah al Waqiya 56 :63-67)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 ALLAH HI SAB SE BADA HAI WAHI HAR CHEEZ PAR QADIR HAI.



🥀 Surah al Waqiya mein Allah Ta'ala ki apne bandon se chinchorne wali chaar swalat❗❗

Irshad Bari Ta'ala hai

👇👇👇👇

Acha yeh batao kay jiss pani ko tum peete ho❓.

Usse baadlon se bhi tum hi utarte ho ya Hum barsate Hain?

Agar Humari mansha ho to Hum isse kerwa zehar kerden phir tum Humari shukar guzari kyun nahi kerte❓.

📘 (Surah al Waqiya 56: 68-70)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 ALLAH HI SAB SE BADA HAI WAHI HAR CHEEZ PAR QADIR HAI.


🥀 Surah al Waqiya mein Allah Ta'ala ki apne bandon se chinchorne wali chaar swalat❗❗

Irshad Bari Ta'ala hai

👇👇👇👇

Acha zara yeh bhi batao ke jo aag tum sulgate ho ❓

Iss ke darakht ko tum ne paida kiya hai ya Hum us ke paida kerne wale Hain❓

Hum ne isse sabab-e-naseehat aur musafiron kay faideh ki cheez banaya Hai.

Pass apne Bahut Bare Rabb ke naam ki tasbeeh kiya kero❗

📘 (Surah al Waqiya 56: 71-74)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍 ALLAH HI SAB SE BADA HAI WAHI HAR CHEEZ PAR QADIR HAI.




🥀  Surah al Waqiya mein Allah Ta'ala ka apne bandon se chinchorne wali chaar swalat ❗❗

Irshad Bari Ta'ala hai

👇👇👇👇

Hum hi ne tum sab ko paida kiya hai phir tum bawer nahi kertay❓

Acha phir yeh to batlao kay jo mani tum tapkate ho.

kiya uss ka (insaane) tum banate ho ya paida kerne wale Hum hi hain❓

Hum hi ne tum mein maut ko mutaeyen ker diya hai.aur iss se hare huye nahi hain.

Kay tumhari jagah tum jaise aur paida kerden. aur tumhen naye siray say uss aalam mein paida keren jiss se tum (bilkul) be-khabar ho.

Tumhen yaqeeni taur per pehli dafa ki pedaaeesh maloom hi hai phir kyun ibrat hasil nahi kerte❓.

📘 (Surah al Waqiya 56: 57-62)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Tawbah kis ki qubul nahi.




🌹 Unn ki tawbah nahi
 jo buraian karte chale jayen yahan tak ke jab inn mein se kissi ke pass maut aa jaye to kah de ke mein ne ab tawbah ki aur unn ki tawbah bhi qubul nahi jo kufr per hi marr jayen yahi log hain jin ke liye hum ne alam- naak azab tayyar kar rakha hai.```

📖 (Surah al Nisa : 18)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Sunday, 12 November 2017

📍 SAB SE ZYADA AQALMAND INSAN KAUN❓❓



Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu farmate hain, main Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke sath tha keh ek ansari aap sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me hazir hua,

Aap sallallahu Alaihi wasallam ko salam kiya aur arz kya,ya Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam, kaun sa momin afzal hai❓

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ; Jis ke ikhalaq ummdah hon uss ne arz kiya, sab se zyada aqalmand kaun hai ❓

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya.

"Jo maut ko sab se zyada yaad karta ho aur uss ki achchai tarah tayyari karta ho wahi sab se zyada aqalmand hai".

📘 ( Sunan ibn e Majah : 4259)


🚫 Allah Ta'ala hum sab ko apni maut ko yaad karne aur uss ki  achchai se achchai tayyari karne ki taufeeq ata kare.
Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

📍Jis ne kisi qaum ki mushabahat ikhtiyar ki woh unhi mein se hai.


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Sa'id khudri Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya;

Tum apne se pehli ummaton ki ek ek balisht aur ek ek gazz mein ib'ta karo ge, yahan tak agar woh kisi gooh ke surakh mein dakhil hoye honge to tum uss mein bhi ib'ta karo ge, hum ne Pucha ; ya Rasoollullah! Kya yahudi o nasara murad hain? Farmaya aur kaun".
📓(Sahih Bukhari: 7320)


Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

Jis ne kisi qaum ki mushabahat ikhtiyar ki,khane peene,lebass,rehane sahan mein to woh unhi mein se hoga,qayamt mein uss ke sath hashr hoga.
📓(Sunan Abu Dawud , vol 3, hadith #630)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:- 
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

Saturday, 11 November 2017

📍Aurat Aur Mard Ki Namaz Me Kya Koi Farq Hai❓




Video Clip ↑↑↑↑






Question ??
Aurat Aur Mard Ki Namaz Me Kya Koi Farq Hai❓

Answer.
Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka farman hai ke :
👇🏻👇🏻👇🏻

Aur namaz aise adaa karo jaise tum mujhe namaz adaa karte huye dekhte ho.
📚{Bukhari : 631}

🥀 Is hadees me, mard aur aurat dono shamil hai.

Fir bhi kuch log mard aur aurat ki namaz me farq karte hain. Jabki Naahi Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka koi farman maujood hai ke jisme Unhone Aurato ko alag tareeqe se namaz ada karne ka hukm diya ho Naahi kisi sahabiya se koi hadees riwayat hai ke unhone kaha ho ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ham aurato ko alag tarah se namaz padhne ka hukm dete the.

Balki.

Note:-
Shariat e Islamiya me jo bhi sunnate hai wo mard aur aurat ke liye yaksa(ek) hai.

Ham ye aam taur se dekhte hai ke Aurato ko zameen se chipak kar sajda karne ko kaha jata hai jabki bukhari me iske khilaaf riwayat hai.

🥀Farman e Rasool sallallaho alaihi wasallam hai ke :
👇🏻👇🏻👇🏻

"Tumme se koi apne baazu Sajde me is tarah na bichhaye jis tarah kutta bichhata hai".
📚{Sahih Bukhari : 822}

Ye hadees se clear hai ke aurato ko is tarah sajdah nahi karna chahiye balki jaisa Mard hazraat sajdah karte hai waise hi aurat ko bhi karna hai.

📍Is bareme Ulmao ka kya kahna hai❓

Aaiye dekhte hai ke Ulemaae deen ka mard aur aurat ki namaz me farq ke baare me kya kahna hai.

1⃣ 🥀Sheikh ibn Baaz Rahimahullah farmate hai ke :

Sahi bat yahi hai ke mard aur aurat ki namaz me koi farq nahi hai albatta fuqahaye kiram jo farq bayan karte hain uski koi daleel nahi hai, aur jo hadees zikr ki gayi hai ke Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:

(Aur Namaz aise adaa karo jaise tum mujhe namaz adaa karte hue dekhte ho)

isme sab mard wa khawateen shamil hai balki puri shariyat e islamia mard wa aurat ke liye yaksa(ek tarah) hai.

Albatta farq waha dekha jayega jaha koi daleel maujood ho, lehaza sunnat yahi hai ke.....

Aurat bhi usi tarah namaz padhe jaise mard namaz padhta hai uske liye ruku, sajdah, tilawat, seene par haath bandhna waghairah tamam ke tamam umoor yaksa honge.

Aur, isi tarah dauran e ruku haatho ko ghutno par rakha jayega aur sajde ke dauran kandho ya kano ke barabar zameen par haath rakhe jayenge, halat e ruku me kamar ko sidha rakhenge aur ruku wa sajde ki duaayein, qaume aur qayde ki duaayein, do sajdo ke darmiyan ki dua sab kuch mard ki tarah aurate bhi sab anjaam dengi.

Taaki Sahih Bukhari me maujood Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ke farmaan (aur namaz aise padho jaise tum mujhe namaz padhte hue dekhte ho) par amal ho jaaye.

📍Kya Aurat Iqamat aur Azaan kah sakti hai:❓

Albatta Iqamat aur azaan namaz se alag amal hain isliye iqamat aur azaan sirf mard hi kahenge, kyunki iske baare me nas agayi hai ke mard hi azaan de aur iqamat kahe, khawateen iqamat aur azaan nahi kahengi.

🖍{Fataawa Noor Ala Darb 2/799}

2⃣ 🥀Allama Albani Rahimahullah farmate hain ke :
👇🏻👇🏻👇🏻

Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki namaz ke tareeqe me jo kuch bayan kiya gaya hai usme mard aur aurat barabar hain, sunnat e Nabwi me koi bhi daleel(saboot) nahi milti jo ye taqaza karti ho ke usme se kuch me auratein mustsan(exception) hain,

Balki,

🖍Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka aam(general) farman hai ke :

"Tum namaz is tarah ada karo jis tarah tumne mujhe namaz ada karte hue dekha hai"

Jisme aurtein bhi shamil hain.

📗{Sifatul Salatun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam page 189}

3⃣ 🥀Imam Bukhari  Rahimahullah sahih sanad ke sath Umm e Darda Radiallahu anha ka amal bayan karte hai ki.*

"wo (Namaz me) Mardo ki tarha baithti thi".
📘{Al-Tarikh Al-Saghir Al-Bukhari 90}


4⃣ 🥀Ibrahim Al-Nakhai Rahimahullah farmate hai ke :*

“Aurto ko namaz me mardo ke tarah baithna chaiye.”
📗{Ibn e Abi Shaybah 1/170}


5⃣ 🥀Imam Ibn e Hazm Rahimahullah farmate hai ke :

“Mard aur aurat ki namaz me koi farq nahi hai.”
📕{Al-Muhalla 3/37}


6⃣ 🥀Imam Ibn-e-Hajar Rahimahullah farmate hai ke :*

“Mard aur Aurat ke Takbeer ke dauran hath uthane me koi farq nahi hai.”
📒{Fath Ul Bari 2/222}


7⃣ 🥀Imam Nawawi Rahimahullah farmate hai ke :*

“Aurto ko mardo ki tarha apne hatho ko seene par rakhna chahiye”.
📘{Sharh Muslim 1/195}


🖍Nateeja ❓❓

Lehaza aurato ki aur mardo ki namaz me koi farq nahi paya jata hai aur jo Hazraat farq karte hai unke dawe khokhle hai aur jo bhi unki daleele hai wo ya to Aurat aur Mard ke Namaz me farq karne wali Hadeese ya to mangadhant /fabricated aur zaeef hai.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

Thursday, 9 November 2017

📍How to react when people treat you badly.



 📍 How to react when people treat you badly.


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

📍Related to Mandir ka Prasad !!! 📍Khane Pe surah Fatiha Padhna:

📍Related to Mandir ka Prasad !!!

📍Khane Pe surah Fatiha Padhna:

Allah pak Quran me farmate hai.

Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye.
📚{Al Israa :89}

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya.

” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai …”
📚{Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382}

Muslim ummah ke ek groh me ek riwaj paya jata hai ki wo kisi khas mauke par ya har jume-raat ko khane ke upar surah fatiha padhte hai aur fir uska sawab faut shuda logo ko baksh dete hai. Is amal ka zikr na toh kitab e hidayat me hai aur na hi sunnate Rasool me. Lihaza ye biddat me shumar hota hai.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
📚{Sahih Bukhari, 2697}
📚{Sahih Muslim, 1718}

Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
📚{Musnad Ahmad 4/126}
📚{At-Tirmidhee 2676}

Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.
📚{Sunah Kubra Baihaqi, 138}

RasoolAllah ﷺ ne hame biddat se bachne ki sakht nasihat farmai hai. So hame Allah se darna chaiye deen me nayi chize ijaad karne se aur biddat ko chor kar sunnat ko apnana chaiye.

Ahle biddat apne is amal ko support karne ke liye ek riwayat pesh karte hai jo ki ek lambi hadith hai jiski summary(khulasa) kuch aisa hai:

Hazrate Abu Talha RaziALLAHU Anhu Ke Ghar Dawat Par, Aap NABI E PAAK (SALLALAHU ALAYHI WASALLAM) Ne Roti Aur makhhan Rakha aur Jo Chaha Padha, Aur Fir Usme Itni Barkat Ho Gayi, Ki 70 ya 80 admio ne use khaya.
📚{Sahih Bukhari 6688}

Kya daleel di hai batil ne jab nabi[swas] ne roti[khane] me barkat ke liye duwa kare tu 70-80 sahaba[ra] pet bhar kar khaye! Lekin ahle biddat ke yaha khane me barkat ke liye duwa ki jata hai tu 3 admiyo ka khana 1 hi admi kha jata hai. Ye ahle biddat ke liye sochne wali baat hai.

Jab nabi[saw] ne roti me barkat ke liye duwa ki tu ap[saw] ne kaunsi surat padhi yeh kisi sahaba[ra] ko malum nahi tha. Lagta hai ahle biddat ko ilm gaib hai kyu ke nabi[saw] ne bataya hi nahi ke unhone kaunsi surat ya ayat ya dua padhi ha Roti me barkat ke liye. Khairr.

📍Khana Khane se pahle us khane par surah fatiha padhna sahih hadiths ke khilaf hai :

Aisha r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ﷺ che(6) sahaba ke sath khana kha rahe the aur tab hi ek dehati (Bedouin) aya aur usne do niwale me pura kha gaya. RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘ Agar usne Bismillah kaha hota to ye(Khana) tumlogo ke liye kafi hota(bismillah ke barkat se). Jab tum maise koi khana khae to use Bismillah kahna chaiye aur agar shuruwat me bismillah kahna bhul gaya ho to use Bismillah fi awwalihi wa akhirih kahna chaiye(Allah ke naam se shuru aur Allah ke naam se khatm).
📚{Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 29, Hadith 3264}

So hame is hadiths se yeh pata chala ki khana khane se pahle Surah Fatiha nahi balki Bismillah padhna chaiye.

Dusri baat, ahle biddat ki di hui ahadith se ye saaf pata chalta hai ki ye RasoolAllah ﷺ ka mojzah(miracle) tha aur agar kisi muslim me zara si bhi aql hogi to usko ye pata hoga ki mozza aur sunnat alag alag chize hai. Ummatio ko mojzah ka nai balki sunnah ka paband hona chaiye. Ab sahih hadiths me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e mohammadi ko bhi roz ya jume-raat ko ya hafte me ek baar ya kisi khas mauke pe chand ko ungli ke ishare se do tukde karne ki koshish karni chaiye❓❓
Ye bilkul hi aql ke khilaf hai aur sath-sath islami shariah ke khilaf bhi hai.

JO chiz deen hai hame RasoolAllah ﷺ ne bata diya hai. Agar khane ke upar surah fatiha padhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah ﷺ hame zarur bata kar jate. Unhone nauzbillah ummat se koi baat chupai nahi hai.

Mohammad sallalaahu alaihi wa sallam ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”

📚{Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942}
📚{Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803}

📍Fatiha ki chize khana:

Ahle biddat khane par Surah fatiha padhte hai aur us khane par faut shuda shaks ka naam lete hai. Jab ki Allah swt Quran me char mukam pe farmate hai.

📘Surah Baqarah Ayat 173}
📘{Surah Maida Ayat 3}
📘{Surah Anaam Ayat 145}
📘{Surah Nahl Ayat 115}

حُرِّمَتْ عَلَيْكُمُ الْمَيْتَةُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِيرِ وَمَا أُهِلَّ لِغَيْرِ اللَّهِ بِهِ

” Tum per haraam kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jis par Allah kay siwa kisi aur ka naam pukara gaya ho .. “

In ayato se saaf pata chalta hai ki agar khane ke upar Allah ke alawa kisi aur ka naam pukara gaya ho wo shaks chahe jitna hi nek kyu na ho to wo khana hamare liye khana haram hai. Isi ayat ki wajah se Hindu ke yaha ka Prasad bhi khana haram hai. Aur isi ayat ke wajah se Fatiha ka khana khana bhi haram hai.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/