Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 19 November 2017
📍 TAWEEZ SHRIK HAI AUR USS SE AGAR RAHAT MIL BHI JATI HAI TO WOH SHAITAN KE TARAF SE HOTA HAI TA'KE LOG ISS PAR YAQEEN KAR KE SHIRK KAREN.
Hazrat Abdullah bin Masood ki biwi Zainab Radi Allahu Anhuma ne kaha ki Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki taweez, gandey ( mantra) waghairah sab shrik hai,
Ye sunn kar Zainab Radi Allahu Anha ne kaha ki tum yeh kya kahte ho , Allah ki Qasam meri aankh Dard ki shiddat se bahar nikalne ko thi aur maine phalan yahudi ke pass jaya karti thi wo mujhe taweez diya to mujhe sukun ho gaya to Hazrat Abdullah kahne lagen yeh to shaitani amal hai jab ki woh shaitan apne hath jab usey ( yani ankh ) dabaya karta tha , jab uss yahudi ne uss par damm kya to woh shaitan uss amal se rukk gaya ta' ki tum uss taweez par hi yaqeen karne lag jao ) aur beshak tumhare liye yahi kafi hai ki tum iss tarah kah diya karo jaisa Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam kya kahte the.
Aye Allah logon ke Rabb, takleef ko durr karne de,shifa ata farma,tuu hi shifa dene wala hai ,Tere Siwa koi shifa dene wala nahi, aisa shifa ata farma ke ko ii beemari bilkul baki na rahe.
📘 (Sunan Abu Dawud, vol 3 hadith #485)
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
& to join them with our group
send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Shirk
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment