Sunday 5 November 2017

SHIRK SAB SE BARA ZURM HAI..


Bismillahir Rahmanir Raheem

Allah Ta'ala ka farman hai:

‏إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ

Shrik yaqeenan bahut bada zulm hai  (Surah Luqman 31: 13)

issi tarah Allah Ta'ala ka farman hai:

اَلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ لَمۡ یَلۡبِسُوۡۤا اِیۡمَانَہُمۡ بِظُلۡمٍ  اُولٰٓئِکَ لَہُمُ الۡاَمۡنُ وَ ہُمۡ مُّہۡتَدُوۡنَ {۸۲﴾

Jo log emaan laye , phir apne emaan ko zulm (shrik) se aaludah nahi kiya unhi ke liye aman aur salmti hai aur wahi log rahh e rast par hain  ( Surah al Anam : 82)

 Hazart Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu beyan karte hain keh jab yeh ayat nazil hui

اَلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ لَمۡ یَلۡبِسُوۡۤا اِیۡمَانَہُمۡ بِظُلۡمٍ  اُولٰٓئِکَ لَہُمُ الۡاَمۡنُ وَ ہُمۡ مُّہۡتَدُوۡنَ

too Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke asbaab Radi Allahu Anhum par bahut garan guzri , chunachah unhone kaha:

Hum mein se kaun hai Jis ne (gunah aur masiat ke zariye) apni jaan par zulm nahi kiya ?

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

"‏ لَيْسَ هُوَ كَمَا تَظُنُّونَ إِنَّمَا هُوَ كَمَا قَالَ لُقْمَانُ لاِبْنِهِ ‏{‏ يَا بُنَىَّ لاَ تُشْرِكْ بِاللَّهِ إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ‏"

"Iss se murad woh nahi jaisa tum guman kar rahe I ho , balke iss se murad shrik hai jaisa keh Hazrat Luqman Alaihi salam ne apne bête se kaha tha : aaye mere bête ! Allah ke sath shrik mat karna kyun ke shrik bahut bada zulm hai-"

📓 (Sahih Muslim: 124)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment