Sunday 5 November 2017

📍Kalima Tawheed Ki Fazeelat Mein Ek Azeem Hadees.



Hazrat Abdullah bin Umru RA se riwayat hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya:

"Qayamat ke din tamam makhluqat ke samne Meri ummat ke ek shaks ko pukara jayega, phir uske samne 99 register phailaye jayenge jin mein se har register hadd e nigah tak lamba hoga. Phir usse poocha jayega: kya tumne apne in a'maal mein se kisi a'mal ka inkar karte ho??

Wo kahega: Nahi...

Ai mere Rab!!! 

Phir usse kaha jayega: kya tere paas koi neki hai???

To wo shaks dar jayega aur kahega: Nahi...to usse kaha jayega: kyun nhi , teri ek neki hamare paas mahfooz hai aur aaj tum per zulm nhi kiya jayega. Phir uske liye ek card nikala jayega jisme likha hoga:

اشهد ان لا اله إلا الله و ان محمد عبده ورسوله

"Main gawahi deta hoon ke Allah ke siwai koi Mabood e Barhaq nhi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke bande aur Uske Rasool hain."

Wo kehne laga: Ai mere Rab!! 

Ye card itne register ke samne to kuch bhi nhi!!
Usse kaha jayega: Aaj tum per koi zulm nhi hoga. Phir tamam registeron ko tarazu ke ek palre mein aur uss card ko doosre palre mein rakh diye jayega. Aur register wala palra uper uth jayega aur card wala palra jhuk jayega"

📖 Tirmizi: 264
📖 Ibn Majah: 4300


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/



No comments:

Post a Comment