Saturday, 11 November 2017

📍Aurat Aur Mard Ki Namaz Me Kya Koi Farq Hai❓




Video Clip ↑↑↑↑






Question ??
Aurat Aur Mard Ki Namaz Me Kya Koi Farq Hai❓

Answer.
Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka farman hai ke :
👇🏻👇🏻👇🏻

Aur namaz aise adaa karo jaise tum mujhe namaz adaa karte huye dekhte ho.
📚{Bukhari : 631}

🥀 Is hadees me, mard aur aurat dono shamil hai.

Fir bhi kuch log mard aur aurat ki namaz me farq karte hain. Jabki Naahi Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka koi farman maujood hai ke jisme Unhone Aurato ko alag tareeqe se namaz ada karne ka hukm diya ho Naahi kisi sahabiya se koi hadees riwayat hai ke unhone kaha ho ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ham aurato ko alag tarah se namaz padhne ka hukm dete the.

Balki.

Note:-
Shariat e Islamiya me jo bhi sunnate hai wo mard aur aurat ke liye yaksa(ek) hai.

Ham ye aam taur se dekhte hai ke Aurato ko zameen se chipak kar sajda karne ko kaha jata hai jabki bukhari me iske khilaaf riwayat hai.

🥀Farman e Rasool sallallaho alaihi wasallam hai ke :
👇🏻👇🏻👇🏻

"Tumme se koi apne baazu Sajde me is tarah na bichhaye jis tarah kutta bichhata hai".
📚{Sahih Bukhari : 822}

Ye hadees se clear hai ke aurato ko is tarah sajdah nahi karna chahiye balki jaisa Mard hazraat sajdah karte hai waise hi aurat ko bhi karna hai.

📍Is bareme Ulmao ka kya kahna hai❓

Aaiye dekhte hai ke Ulemaae deen ka mard aur aurat ki namaz me farq ke baare me kya kahna hai.

1⃣ 🥀Sheikh ibn Baaz Rahimahullah farmate hai ke :

Sahi bat yahi hai ke mard aur aurat ki namaz me koi farq nahi hai albatta fuqahaye kiram jo farq bayan karte hain uski koi daleel nahi hai, aur jo hadees zikr ki gayi hai ke Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:

(Aur Namaz aise adaa karo jaise tum mujhe namaz adaa karte hue dekhte ho)

isme sab mard wa khawateen shamil hai balki puri shariyat e islamia mard wa aurat ke liye yaksa(ek tarah) hai.

Albatta farq waha dekha jayega jaha koi daleel maujood ho, lehaza sunnat yahi hai ke.....

Aurat bhi usi tarah namaz padhe jaise mard namaz padhta hai uske liye ruku, sajdah, tilawat, seene par haath bandhna waghairah tamam ke tamam umoor yaksa honge.

Aur, isi tarah dauran e ruku haatho ko ghutno par rakha jayega aur sajde ke dauran kandho ya kano ke barabar zameen par haath rakhe jayenge, halat e ruku me kamar ko sidha rakhenge aur ruku wa sajde ki duaayein, qaume aur qayde ki duaayein, do sajdo ke darmiyan ki dua sab kuch mard ki tarah aurate bhi sab anjaam dengi.

Taaki Sahih Bukhari me maujood Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ke farmaan (aur namaz aise padho jaise tum mujhe namaz padhte hue dekhte ho) par amal ho jaaye.

📍Kya Aurat Iqamat aur Azaan kah sakti hai:❓

Albatta Iqamat aur azaan namaz se alag amal hain isliye iqamat aur azaan sirf mard hi kahenge, kyunki iske baare me nas agayi hai ke mard hi azaan de aur iqamat kahe, khawateen iqamat aur azaan nahi kahengi.

🖍{Fataawa Noor Ala Darb 2/799}

2⃣ 🥀Allama Albani Rahimahullah farmate hain ke :
👇🏻👇🏻👇🏻

Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki namaz ke tareeqe me jo kuch bayan kiya gaya hai usme mard aur aurat barabar hain, sunnat e Nabwi me koi bhi daleel(saboot) nahi milti jo ye taqaza karti ho ke usme se kuch me auratein mustsan(exception) hain,

Balki,

🖍Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka aam(general) farman hai ke :

"Tum namaz is tarah ada karo jis tarah tumne mujhe namaz ada karte hue dekha hai"

Jisme aurtein bhi shamil hain.

📗{Sifatul Salatun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam page 189}

3⃣ 🥀Imam Bukhari  Rahimahullah sahih sanad ke sath Umm e Darda Radiallahu anha ka amal bayan karte hai ki.*

"wo (Namaz me) Mardo ki tarha baithti thi".
📘{Al-Tarikh Al-Saghir Al-Bukhari 90}


4⃣ 🥀Ibrahim Al-Nakhai Rahimahullah farmate hai ke :*

“Aurto ko namaz me mardo ke tarah baithna chaiye.”
📗{Ibn e Abi Shaybah 1/170}


5⃣ 🥀Imam Ibn e Hazm Rahimahullah farmate hai ke :

“Mard aur aurat ki namaz me koi farq nahi hai.”
📕{Al-Muhalla 3/37}


6⃣ 🥀Imam Ibn-e-Hajar Rahimahullah farmate hai ke :*

“Mard aur Aurat ke Takbeer ke dauran hath uthane me koi farq nahi hai.”
📒{Fath Ul Bari 2/222}


7⃣ 🥀Imam Nawawi Rahimahullah farmate hai ke :*

“Aurto ko mardo ki tarha apne hatho ko seene par rakhna chahiye”.
📘{Sharh Muslim 1/195}


🖍Nateeja ❓❓

Lehaza aurato ki aur mardo ki namaz me koi farq nahi paya jata hai aur jo Hazraat farq karte hai unke dawe khokhle hai aur jo bhi unki daleele hai wo ya to Aurat aur Mard ke Namaz me farq karne wali Hadeese ya to mangadhant /fabricated aur zaeef hai.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment