Sunday 5 November 2017

Allah Ki Nafarmani Me Kisi Ki Ita’at Nahi Karni Chahiye


🎐🕳Hadees: Hazrate Ali (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki–

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ek Lashkar Rawana Farmaya.

Aur Ek Shakhs Ko Uska Sardar Bana Diya, Aur Logo Ko Uski Ita’at Karne Ki Takid Ki.

Uss Shakhs Ne Aag Jalayee Aur Logo Ko Kaha Ki Aag Me Kud Jao,

Kuch Logon Ne Uski Ye Baat Man’ne Se Inkar Kar Diya Aur Kaha Ki.
“Hum Tou Aag Se Bhaagkar Islam Me Aaye Hain”

Aur Kuch Logo Ne Ameer Ki Ita’at Samajhkar Aag Me Dakhil Hona Chaha.

🎐🕳Ye Khabar Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Pass Pahuchi, Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya–

“Agar Wo Log Aag Me Kud Jatey Tou Hamesha Usee Me Rehte ..”

Iske Baad Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya–

“Allah Ki Nafarmani Me Kisi Ki Ita’at Nahi Karni Chahiye,

"Ita’at Tou Sirf Uss Me Hai Jo Maruf Ho (Yaani Neik Aur Jayaz Baat Ho)”

📚{Sunan Abi Dawud 2625}

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment